Jump to content

Roh'ul Ma'aani kay Baray mai Pochnay par Aaitaraz ka Jawab


Recommended Posts

(salam) Khalil shaib

 

(azw)(ja) for sharing the info

 

 

Bad Zauq Ghair muqallid nay yaqeenan Hayat e Aalahazrat(ra) kabhi nahi daikhi ho gi.

 

uss nay tau apnay Imam-ul-Asar Zaheer aur Prof Atta ul Rehman Saqib ki andhi taqleed main makhi par makhi maari hay.

 

 

Atta ul rehman saqib nay Zaheer ki kitab Albarailviyyah ka urdu tarjumma(Barailviyyat published Idara Tarjamanul Sunnah) kiyya tha aur uss kay start main uss nay yeh dawa kiyya tha keh

"tarjumma kartay waqt main nay arbi ibarat ka tarjumm akrnay ki bajaye Barailvi hazraat ki asal kitabon ki abaraton ko hee naqal kiyya hay. ta keh tarjuma dar tarjuma say mafhoom main tabdeeli na hau." pg #17

 

lahaaza jau urdu edition aaj kal kay Ghair Muqallid Muqalideen kay pass hay uss kay hawala jaat issi Atta ul rehman saqib kay lagaye huway hain.

aur Bad Zauq nay bhi ussi kay page #58-59 say naqal kiyya hay aur uss main Hayat-e-AalaHazrat say naqal karda khat ka Page# 266 hee darj hay....................

 

 

Bad Zauq nay hawala likhnay say pehlay jau yeh likha hay keh

"Ahmed Raza Apnay aik muasir ko mukhatib kar kay likhtay hain......"

yeh bhi uss kay apnay alfaz nahi balkeh yeh bhi uss nay Zaheer aur atta ul rehman ki taqleed main same to same likha hay......................jau iss ki andhi taqleed ka munh bolta saboot hay.

 

attaul rehman Saqib nay bhi ibarat ghalat naqal ki aur Bad Zauq nay bhi uss ki taqleed main ghalat hawala aur ghalat ibarat likhi hay.

Link to comment
Share on other sites

Abb zara Ghair Muqalliddeen ki bhi talashi lay lain keh unn ko apnay akabir ki kutab ka kitna pata hay.

inn kay Molvi kaya Munazir bhi apnay akabireen ki kutab kay naam tak say waqif nahi hain.

 

Mubashir Rabbani jau keh Ghazwa aur doosray mags main sawalaon kay jawab daita hay.

 

uss kay pass jab meray aik dost aik sawal kay silsilay main Ismail Dehlvi ki kitab "Yak Rozi" lay kar gaye tau janab ka kehna tha

keh yeh kitab tau uss ki hay hee nahi.

main nay kabhi diakhi hee nahi

yeh kahan publish hoti hay???

 

tau phir unn ko inhi kay ghair muqallid ki Seerat e Ismail dehlwi par likhi hui kitab aur Taqwiyyatul Iman ka muqadma jau keh Molvi Ghulam Rasool Mehr nay likha hay, uss main say tasaneef ki list main say Yak Rozi ka naam dikhaaya tau phir unn ko pata lagga keh yeh bhi koi kitaab hay

 

aur hamaray ilaqay kay Ghair Muqallid Sheikhul hadees sahib ka bhi yehi haal tha. woh tau sirray say inkari ho agye keh aisi koi kitab bhi hay. unn kay sath bhi phir wohi tareeqa apnaaya gaya manwanay kay liye.

 

 

 

Tau jau Wahabi ghair Muqallid Munazir aur Sheikhul hadees

 

apnay batil Aqeeda Imkan-e-Kizb ki bunyad rakhnay wali kitab Yak Rozi kay naam tak say na waqif honay aur na yeh jan'nay ka keh yeh Ismail Dehlwi ki tasneef hay ka ailan kartay haun

 

tau Ilm-ul-Rijjal par aap janaabon ki kaya dastras ho gi???

 

kaya iss kay bataanay ki koi zaroorat bhi hay???

Link to comment
Share on other sites

  • 8 months later...

Join the conversation

You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • Recently Browsing   0 members

    • No registered users viewing this page.
×
×
  • Create New...