Jump to content

Aalahazrat Per Shia Hony Ka Wahabi Ilzaam


Recommended Posts

  • 8 months later...
  • 2 years later...

Etraz: Molvi Ahmad Raza khan sahib shia khandan say thay jesa keh in kay nasab naamay sy zahir hay : ''Ahmad raza wald naqi ali wald raza ali wald kazim ali''

 

Jwab : Yeh etraz aesa hi hay keh jesay koi baywuqoof keh day , Bhayi yeh ahl-e-sunnat barelwi maslak walon ki aik nayi tahreef aor izafa dekho , pehlay to molana ahmad raza khan kay naam kay saath sirf barelwi likhtay thay ab unhon nay saath qadiri bhi eejad kar lea hay , bas inka aqeeda hi aesa hay , yeh to halway maanday khanay walay biddati hain waghera waghera -

Haqeeqatan inkay etrazat aesay hi hotay hain.

 

Hazrat Molana Ahmad Raza khan qadiri barelwi ka khandani nasab naama istarah hay :

 

''Ahmad Raza Khan Ibn-e-Hazrat Molana Naqi Ali Khan Bin Hazrat Molana Raza Ali Khan Bin Hazrat Molana Hafiz Muhammad Kazim Ali Khan Bin Hazrat Molana Shah Muhammad A'zam Khan Bin Hazrat Muhammad Saa'dat Yar Khan bin Hazrat Muhammad SaeedUllah Khan Rahmatullah-e-Ta'la Alaihum Ajmaeen''

(Hayat-e-Alahazrat , Jild Awwal , Matbooa Maktaba-e-Razawia Aaram Baagh Karachi Page.2)

 

Shayad yahan koi parha likha jahil yeh etraz bhi kar day keh jnab is pathan khandan kay nasab naamay main aik nam ''Shah Muhammad Azam Khan'' bhi hay , yeh pathan aor sayed yakja kesay? kiyonkeh is main naam kay saath ''Shah'' bhi likha hua hay.

 

Ab aesay etraz karnay walay kay ilmi yateem honay par afsos hi kia ja sakta hay keh jis becharay ko itna bhi naheen pata keh lafz ''Shah'' izzat kay tor par bola aor likha jata hay , Jesay lafz ''Hazrat'' aor ''Khan'' waghera izzat kay tor pa rbolay jatay hain , istarah aor bhi bahut saray alfaz hain , Aal-e-Rasool kay leay bhi yeh lafz ezat-o-buzurgi kay leay bolaa jata hay , isi tarah lafz ''Sayyed'' bhi izzat-o-buzurgi kay taor par bola jata hay , baaz ghair aal-e-rasool buzurgon kay naam kay saath ''Sayyadi'' ka lafz bhi bola jata hay , Arabi main Aal-e-Rasool Saadat kay leay lafz ''Alshareef'' bola jata hay.

 

Molana Ahmad Raza khan Rahmatullah-e-Ta'la alih kay nasab naamay say kea shi'at zahir ho rhay hai, kuch pata naheen , bas ji naam shion walay hain , kia imam ZainulAabedeen , Imam Jafar Sadiq , Imam Musa Kazim , Imam Ali Raza , Imam Naqi Rahmatullah-e-T'ala alaihum Ajmaeen Shia thay? yeh naam amooman shia kay hotay hain? La Haola Wa La Quwwta Ila Billah

 

Yeh hay tahqeeq Juhala-e-Najdiat ki, in baycharon ko itna khial bhi naheen aata keh ahl-e-ilm hmaray is istidlal ko parh kar kia kahain gay? Ab aaeay in kay ulama-e-Akabir kay naamon ki traf , Shaikh-Ul-Kul Molvi Nazeer HUSSAIN muhaddis-e-dehlvi (Ghair Muqalid) , Molvi Nwab Siddique HASAN khan Bhopali (Ghair Muqalid) , Molvi Muhamamd HUSAIN Batalwi (Ghair Muqalid) , Molvi sayed shareef HUSSAIN , molvi Deputy sayed Ahmad HASAN , Molvi sayed Ameer HASAN Shswani , Molvi SIBT AHMAD , Molvi Hakeem MAZHAR ALI , Molvi Muhammad TAQI , Molvi Syed ALI , Molvi Syed AOLAD-E-HASN , Molvi Nwab Sayed ALI HASAN Bhopali , Molvi Sayed HAIDAR ALI , Molvi KHURRAM ALI Balhori , Molvi Mirza HASAN ALI Lakhnawi-

 

(Tarajum Ulama-e-Hadees Hind, Az Abu Yahya Imam Khan Nosherwi , Matbooa Maktab-e-Ahl-e-Hadees Trust , Karachi , Page.3 To 13)

 

Yeh Naam shia bhi rakhtay hain lihaza kea yeh ghair Muqalid Molvi Shia thay? Agar naheen to Kion?

 

Sihah-e-SItta ki mashhoor kitab ''Sunan Ibn-e-Majah'' kay muqadama main hadees number 65 kay taht darj hay '' حدثنا علی بن موسیٰ الرضا عن ابیہ عن جعفر ابن محمد عن ابیہ عن علی ابن الحسین عن ابیہ عن ابی طالب ''

(Kutub-e-SItta (Ibn-e-Maja) , Matbooa Dar-Ul-Salam , RIyad , Saudi Arab)

 

Yeh naam Khandan-e-Ahl-e-Bait-e-Rasool kay hain , yeh buzurg Ahl-e-Sunnat kay imam hain , Shiat say inka kia Taluq?

 

Ibn-e-Majah kay dada Ustad Abu Salt nay kaha ''Is Sanad ko agar kisi majnoon par parha jaaye to uska junoon door ho jaye''

(Kutub-e-SItta (Ibn-e-Maja) , Matbooa Dar-Ul-Salam , RIyad , Saudi Arab)

SubhanAllah (azw)

 

Laikin kia kijiay , in juhala-e-wahabiat ki bad bakhti kla keh wo in babarkat naamon ko daikhain to inka pagal pan aor ziada ho jata hay.

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

Join the conversation

You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • Recently Browsing   0 members

    • No registered users viewing this page.
×
×
  • Create New...