Jump to content

who is shaikh amin in multan


Anwar200

تجویز کردہ جواب

sulah kulli hai , her firqa ko saheeh samjhta hai

 

 

kiya sheikh amin ka taloq sunni maslaq se ha ya nahi ?kiya aqeeda ha os ka?

mera aik aziz os ka murid ho giya ha pehlay wo siraf sunni masjid main hi namaz ke liye jata tha likin ab wo wahabion ki masjid main bi namaz pernae jata ha.sheikh amin ke baray mein sunni ullma ke kiya raiy ha?sheikh amin ke kehnay per mera aziz mehmood ul hassan deobandi ka likha terjma quran perta ha aur sheikh amin ka farman ha ke yeh terjma bohat accuha ha.

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

 

madina

ap ne jo shaikh ameen k aqaid k baray men likha ,darulifta se is baray men kisi ne aik fatwa liya tha us ka jawab mulahiza farmain:

Ques:

assalam o aalaikum 5 saal qabal meyri molaqat aik adami jis ka naam sheikh amin ha say howi yeh adami apnay aap ko duniya ka sab say bara sufi peer manta ha.sheikh amin shah rukan alam colony multan main rahta ha aur apna taloq silsale idreesia say batata ha.main nay bohat koshish ki k silsale idreesia kay bare main malomat hasil kar sakon likin mugh ko kohi kamyabi nahi mili,yeh silsale idreesia kiya ha? baherhal sheikh amin kay asal aqeeday kay bare main bi mugh ko shaq ha k aya yeh kis aqeeday ka malik ha? sheikh amin apnay baray main ajeeb o ghareeb kisam kay daway karta ha jin ki muhtasar tafil yoon ha (1)Allah aur Nabi(pbuh)dono meyray jisam main dahil hain(2)tamam kiynat main Allah Nabi(pbuh)aur meyray (sheikh amin)kay ilawa kisi aur chiz ka wajood nahi ha (3)Nabi (pbuh)ko jis nay dekha wo sab mosalman na ban sakay likin jis kisi nay bi mugh ko (sheikh amin) dekh liya wo musalman ban giya aur janaat lazim ho gi (4)wahabi,deobanidi shia qadyani sab muslim hain k wo bi calmagoo hain jis nay qadyani ko kafar qarar diya os ka aur os ki olad ka badtareen anjam howa (5)hazraat sheikh abdul qadir jilani ka haqeeqat say taloq nahi ha bas yeh aik afsana hi ha jis nay sheikh abdul qadir jilani ko mana wo kafar ho giya (maz allah) yeh batin os sheetani sheikh nay apni zuban say ada ki aur main nay bi soni hain. kiya asay aqeeday wala adami mosalman ho sakta ha? afsas kay sheikh amin jasa napaak adami oillya Allah kay azim shaher multan sharif main qayam karte howay apnay nappak aqeed ko sada logon main phila raha ha. wahabi deobaniyon nay Allah ka naam istamal karte howay islam ki asal rooh say muslims ko door kiya aur aab yeh sheikh amin Nabi(pbuh)ka naam mubarak istamal kar kay logon ko bad aqeeda bana raha ha.sheikh amin kay mureed to os ko Allah ka nabi bi likhte hain is ki misal yeh link ha jo aap ko arsal kar raha hon (SHAIKH MOHAMMAD AMEEN BIN ABDURRAHMAN SHEIK SHAIB IS THE GREATEST GOD MESSENGER )

shaikh_ameen.GIF

 

(ja)

wassalam ma'al ikram

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(wasalam) bahi rana sahib pehli baat to yeh ha ke mein ne jo post urdo mein sheikh amin ke motaliq tafsil se di hain wo malomat mugh ko aik islami bahi ne mail ki hain jis ko mein ne is forum per laga diya ha.

doim baat yeh ha ke idris bin abdullah jo ke 788 mein piyda howa tha madina mein post mein os ke shia honay ka likha ha na ke ahmed ibn idrisi ka.ahmed ibn idrisi ke baray main os ka wahabiyon se taloqat ka aur os ka ghair moqalad hona tarikh ki kutab mein ata ha.jis ki tafsil ap ko link ki sorat mein majood ha.ho skata ha ke ap ki teqiq doroosot ho likin ap link per ja kar khud bi per lain ke ahmed ibn idris ke motaliq jo kuch daraj ha.ke wo ghair mokalid aur wahabiyon se dostana marasam rekhta tha.

http://66.102.9.104/search?q=cache:ZnePJCv...;cd=1&gl=dk

 

is baat mein kohi shaq nahi ke sheikh amin ka taloq kisi sufi silsla se nahi ha wo bas aik naam istamal kar raha ha aur logon ko bewakof bana raha ha.yeh banda hergiz aik musalman nahi ha to aik sufi kasay ho skata ha?

idris bin abdullah ka shia honay ka link

http://en.wikipedia.org/wiki/Idrisid_dynasty

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(wasalam) muhtaram baradar rana sahib jo link ap ko send kiya tha wo siraf english mein hi mugh ko mila ha jis ka bunyadi terjama yeh ha ke ahmed ibn idris aik ghair mokalid tha wahabiyon ke saath os ke taloqat bohat dostana thay.wo najdi ko islam ke bare mein saaf niyat

janta tha likin os ka tariqkar mein kuch ghaltiyan ko bi manta tha.

jab pehli bar wahabiyon ne mecce sharif per qabza kiya to bohat se ullama ahle sunnat ya to meece se nikal gaay ya phir wahabiyon ne on ko shaheed kar diya likin ahmed ibn idris sahib na to meece se farar howa aur na hi wahabiyon ne on ko qatal kiya albata wo najdi ke farzandon aur saud ka qaribi dosat ban giya aur jab 10 saal bad sunni mohammad ali pasha ne mecca per qabza kiya to idris sahib wahabiyon ke saath wahan se bagh nikla.

ager tareekhi tor per yeh haqeeqat ha to phir mein kisi asay adami ko jo (saw) ke dushmano se dostana marasam istawar rekhay hergiz walli Allah nahi manta.

ager kisi ke dil mein Nabi (saw) ki muhabat ha phir Nabi paak ke dushman se dosti kiyon kar?

sunniyat siraf yeh nahi ke namaz,pero milad kro ya daroodod sharif jab tak ke mehboob khuda ke dusman ko apna sab se bara dushman na man loo tab tak sunniyat mokamal nahi hoti.

kiya zindgi ha wo jis mein nafarte dushman-e- RASOOL (saw) na ho.

kiya mout ha wo jis mein jalkh-e jazba-e ilm uddin ghazi na ho.

yeh baat apni jaga haqeeqat ha ke sheikh amin na to kisi sufi silsala se munsalik ha aur na hi

wo kohi ahle imam ha han albata wo idrisia ka naam istamal is liye kar raha ha ke pakistan mein

is ki babat kam ilmi ha.ab wo qadri ya chishti silsala ka naam istamal karnay se raha.lihaza os ne

asay silsala ka naam istamal kiya ha jo ghair maroof ho ta ke logon ko ziyada dair bewakof bana jay.

mein nahi janta ke idreesia ki haqeeqat kiya ha ager ap jantay hain to zaroor faraham karin.

sheikh amin ya os ke muridon ko khud malom nahi ke silsala idreesia kiya ha wo log to yeh bi nahi jantay ke on ke peer sahib ki zulfain hi ghair sharai hain.aur Allah wala ho nahi skata jo shariyat islami se azad ho.

ap ko jo link send kiya ha ap is ka terjama zaroor krawain aur teqeeq bi karin ke ahmed ibn idris waqi aik sufi tha ya nahi?

modoodi bi to khud hi apnay alam honay ka dawa karta tha dawa karana to assaan hota ha likin kiya modoodi ki kutab per kar bi kohi os ko muslaman tasawar kar lay to phir yeh aqal ki kami nahi to aur kiya ha?

aur aj jo kufar ki madad se pakistan ki jo halat dushman Nabi paak ne kar di ha aur hum apnay samnay yeh sab hota dekh rahay hain to lazim ha ke kufar ke piyada kiye howay yeh log rahay to phir pakistan nahi rahay ga.

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...