Jump to content

haqeeqat e bidat


Aabid inayat

تجویز کردہ جواب

bahi sahib mishkar ho ya sahib bukhari jo kowee bhee ghalt baat karay gha woh ghalt he ho ghee.

 

Jo Bhi Ghalat Bat Kerey Ga Woh Waqayi Ghalat Hogi... Ager Sahib-e-Bukhari ya Sahib-e-Mishqaat Ya Mufti-e-Deoband Waghera Ghalti Kerein Gey Tu Zahir Hai Un Per Bhi Us Ghalat Baat ka Hukm Lagey Ga..

 

Islam Mein Her Kam kerney Per Koi Na Koi Hukm Hai.. Maslan Farz, Wajib, Sunnat, Mustahab, Mubah, Makrooh, Haraam Waghera...

 

Aub Biddat Ki Jab Aqsaam Hi Nhin Hain Aur Ager Koi Biddat Kerey Tu Asooli Tour Per Ussey Biddati (Gumrah) Kehna Zarori Hai... Key Yahi Quran-o-Hadees Ka Hukm Hai..

 

Tu Kiya Biddat Ka Hukm Kisi Khas Per Hoga ya Jis ney Bhi Biddat Ki Sab Per? Ager Aap Key Nazdeek Sab Per hai tu Baqaul Aapkey Yeh Muhadiseen (Sahib-e-Bukhari, Sahib-e-Mishqaat Aur Deger Tu Abhi Aapko Ginwaye Bhi Nhin Hain) Sab Gumrah T

herey.. Nez Khud Ulema-e-Deoband Bhi...

 

Tu Aap Inki Kutub Sey Istadlal Kesay Kertey Hain? Aur Bukhari Shareef Ko Quran-e-Pak Key Baad Afzal kesay Mantey Hain?

 

Chalein Aap Deen Ko Samjhtey Hain Apney Dil Sey Faisla Ker Lein Keh Yeh Tu Sab Aapkey Nazdeek Kiya Therey Jo Biddat Ki Aqsaam Bayan ker Rahey Hain...

 

Mazeed Aik Riwayat Fazail-e-Aamal key Hawaley Sey Saeedi bhayi Ney Post Ki Hai... Us Per Aap Kiya Kehtey Hain? Yeh Molvi Zakriya Sahib ka Qaul tu Nhin Hai Jo Ghalti Keh dein, Woh Tu Naaqil Hain... Yeh Tu Hazrat Aisha Siddiqua (Radi Allah Anha) Ka Qaul Hai.. Tu Batain Is Pait Bharney Wali Bemari Sey Sub Gumrah Howey key Nhin?

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

asim sahib yeh to bata do ke quran paak jo ap ke ghar mein bi ho ga kitab ki shakal mein to quran paak kab aur kasay quran ki shakal mein aya?ap ka dawa ha ke ap deen islam se achi tarha wakif ho to meharbani kar ke bata do ke quran jo ke Nabi paak (saw) ke zaman mein to kitab ki shakal mein nahi tha to aj kiyon kitab ki shakal mein ha aur seena ba seena hifaz kiyon nahi kiya jata jaisa ke Nabi paak (saw) ke waqat tha?khana kaaba per ghilaf kiyon ha aj jab ke Nabi paak (saw) ke zamanay mein nahi tha.masjid ke minar kiyon ker hain aaj, luodspeekar per azan nahi the likn aj ha.haj tv per live ha jo ke pehlay nahi tha is tarah ke anginat kaam hain jo jo ap bi karte ho aur phir her os chiz ko bidaat bi kehtay ho jo Nabi paak (saw) ke bad mein riwaj paee.to ya to ap quran ko kitab ki shakal mein na apnay ghar rakho ke ha to yeh bi bedaat?

ap phir siraf dosron ko hi bidaati kiyon kehtay ho go ke khud bi jo amal kartay ho.

omed ha ap apnay bepana ilm se jawab ata karin gay?

Link to comment
Share on other sites

  • 4 years later...

app tamam logon kay dalail apnee jagha magar mujhay yeh samjh nahin atee kay jab NABI AKARM SAW nay bidaat ko zalalat kaha hay to app kiuon is tashreeh o taweel kar rahay hain.kiya ap kowee bidat kartay hain ya app biddat karna chahtay hain.

 

Salam alayqum wr wb

 

Brother is maslay meh yaqeenan aap ghalti per hen. Sunniyoon ki ghalti yeh heh kay in ko adat per gahi heh ilzami jawab denay kee jis say masail hal nahin hotay. Woh zamana guzr chuka heh kay ilzami jawab pa ker logh ghor o fikr kertay thay aur is say nateeja nikaltay thay joh behtr hota thah. Aaj kal kay daur me logoon kee aqaloon aur soch damagh 2 + 2 = 5 walay hen. Is leyeh aap Deobandi sahibaan thora ghor o fikr keeya keren kay aap ko ilzaami jawab aur is kay dalahil per ghor kerna chahyeh jab aap kay uqabir aap kay khilaaf likh ker gahay hen toh jin dalahil ko unoon nay bunyaad banaya apni tehreer ka un ko talash keren aur samjen. Agar aap ko gold watch ka ek kinara dekhahi deh toh aap us ko khod ker baqi be zameen say bahir nikal lenh gay magar joh sahih bateh aap kay ulamah likh ker gahay hen aap un ko yeh keh ker jaan churwa detay hen kay woh apni jaga magar meri tehqeeq yeh kehti heh. Apnay uqabir ulamah kay nazriyat per tehqeeq keeya keren nah kay khud tehqeeq keren. Aur Sunni brother please aap har discussion ko munazra nah bana leeya keren, is mentality ko chor denh. Discuss keeya keren in bahiyoon kay saath, in kay dalahil kee Quran o hadith say wazahat keeya keren, apnay mowaqif kay dalahil pesh keeya keren, aur phir ulamah kee taeed. Aur agar aap achay tareekay say Quran o hadith ki roshini meh mukhalifeen kay dalahil kee wazahat ker denh gay toh 70% target aap achieve ker lenh gay aur baqi 30% apnay mowaqif kay dalahil say achieve ker lenh.

 

The Of Abdullah Ibn Umar In Context Of Prophet's (sallalahu alayhi was'sallam) Teaching:

 

Mother of Momineen Aysha (radiallah ta'ala anha) narrates the types of innovations Prophet (sallalahu alayhi was'sallam) termed misguidance and error: “He who did any act for which there is no sanction from our behalf, that is to be rejected.” [Ref: Muslim, B18, H4267] The misguiding, erroneous innovation is further defined in another hadith: "If somebody innovates something which is not in harmony with the principles of our religion, that thing is rejected." [Ref: Bukhari B49, H861] Prophet (sallalahu alayhi was'sallam) explains further: “He who innovates things in our affairs for which there is no valid (reason) and these are to be rejected.” [Ref: Muslim, B18, H4266] So every action, custom, practice, belief which is not in harmony of principles of deen such as worship, Tawheed, encouraging good, forbidding evil, halal, haram is to be rejected because its a evil innovation. Also if there is no explicit permission from; Allah (subhana wa ta'ala), RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) and does not have valid reason in form of sharaee ijtihadi evidence then such innovation is to be rejected. Every such innovation is a error, a most evil affair, and as such: "Every innovation is misguidance, even if the people see it as something good." Hence the one who innovates a misguiding, reprehensible, evil innovation, practice; Prophet (sallalahu alayhi was'sallam) has informed he is to bear the burden of his innovation: And he who introduced some evil practice in Islam which had been followed subsequently (by others), he would be required to bear the burden." [Ref: Muslim, B34, H6466] as well as those he misguided: “And he who called (people) to error, he shall have to carry (the burden) of its sin, like those who committed it, without their sins being diminished in any respect." [Ref: Muslim, B34, H6470]

 

Finale point "... every innovation ..." does not mean every innovation in the sense of word, but every innovation is used to mean every innovation which does not agree with deen, which has no proof from Quran and sunnah, and every innovation without a valid reason is innovation. Every is restricted to a particular type as mentioned and not unrestricted otherwise every innovation would include computers, your mother, bukhari, Deobandi madrassa, Mango juice, electricity, Radio, Cars. You can not take the meaning of every literally because it has been restricted according to ahadith to a certain type of innovations.

 

Praiseworthy Innovations Established From Ahadith:

 

Prophet (sallalahu alayhi was'sallam) has stated: “He who introduced some good practice in Islam which was followed after him (by people) he would be assured of reward like one who followed it, without their rewards being diminished in any respect.”[Ref: Muslim, B34, H6466] and in another hadith Prophet (sallalahu alayhi was'sallam) is reported to have said: He who called (people) to righteous (i.e. innovation), there would be reward (assured) for him like the rewards of those who adhered to it, without their rewards being diminished in any respect.” [Ref: Muslim, B34, H6470] Prophet (sallalahu alayhi was'sallam) said: I enjoin you to fear Allah, and to hear and obey even if it be an Abyssinian slave, for those of you who live after me will see great disagreement. You must then follow my sunnah and that of the rightly-guided caliphs.” [Ref: Abu Dawood, B40, H4590] Here the fallowing of Sunnah rightly-guided Khulafah means innovations, practices of rightly-guided Successors after Prophet (sallalahu alayhi was'sallam).

 

I have some 18 articles explaining the innovations, their evidences, which explain the hadith of innovation and reffute Deobandi, and Wahhabi distortions of these ahadith. If a Sunni brother is willing to post them on this forum I will email them to you.

 

Jazakallah khair.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

bahi sahib mishkar ho ya sahib bukhari jo kowee bhee ghalt baat karay gha woh ghalt he ho ghee.aour mujhay plz kisi web site ka na batain. main khud itni aqal rakhta hoon kay apnay deen ko samjh sakoon , allah nay quran main kaha kay hum nay is deen ko asan banaya.to phir mushkil kiya hay.

 

mera khiyal hay kay app kay her swal ka jawab dainay ke koshish to ke hay agar phir kisi sawal ka jawab na diya hoo to ap plz duhra dain.

 

As Salam alayqum wr wb

 

Baee sahib joh aap damagh rakhtay hen woh be hammeh pata heh aur joh aap ilm rakhtay hen woh be hammeh pata heh. Jistera marasi ko haq nahin paunchta kay woh badsha kay takht per be'thay aap ko haq nahin paunchta kay aap ahle ilm o aqal honay ka dawa keren. Har banday kee ilmi aur aqali oqaat hoti heh aap aapni oqaat meh rahen. Aap kee oqaat nursery kay bachay jesi heh deeni ilm kay midaan meh aap nusery meh ho ker hadaiq e bakhsish kay expert honay ka hammeh na batahen aur nah apni aqal kay geet hamaray samjnay gahen. Ham ko woh bilqul nazr aa raha heh kay aap kitnay ilm walay hen aur aqal walay.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...