Jump to content

Wahabiyoun Ke Masail


Sunni Tehreek

تجویز کردہ جواب

1) FATAWA ALAMA ABDUL AZIZ BIN BAAZ Jammah kiye hain Dr Luqman Salfi P94 Abdullah Bin Baaz inka Shaykh ul Islam hain aur Dr Luqman Salfi Wahabiyoun Ka aaj ke dour ka Shaykh ul Asr hain Makkah me beta huwa hain.

 

Q= Me Masjid pouncha us waqat isha ki namaz shuru hochuki ti, aur namaz me dahil houne se pehle muje yaad aaya ke mene Maghrib ki namaz nahin pari hain. Ab kya me Maghrib ki namaz parloun? aur uske baad jamaat se jitni mile utni parloun? Ya pehle Jamaat ke saat Isha Paroun aur uske baad Maghrib ki namaz parhoun?

 

Ans= Aap jab Masjid me jayen aur Isha ki namaz horahi ho, us waqat aapko yaad aajaye ke aap ne maghrib ki namaz nahin pari hain, to aap Maghrib ki niyat karke jamaat me shamil hojayen, aur jab Imam 4th Rakat ke liye kara ho to aap bete rahen, aur intizaar karen aur aap Imam ke saat salam pairden, Saheeh Qaul ke mutabiq Imam aur Muqtadi ki niyat me ihtilaaf se koi farq nahin parta aur agar aap tanha maghrib ki namaz parlen aur uske baad jamaat ke saat milkar Isha ki baaqi namaz ada karen to aisa bhi karsakte hain. ( Fatawa Abdul Aziz Bin Baaz p94)

 

1) Mufti E Azam Wahabiyat Mufti Abdul Sattar Dehlvi Apni Kitaab Fatawa Sattaria Jild Number Do Safa Number Ikis:

 

Q= Aik Shakhs ne Sawal kiya ba naam Munchi kehta hain RasoolAllah (Sallaho Alahii Wassallam) ne Biju ke mutaliq farmaya ke halal hain. (Biju us janwar ko kaha jata hain joh qabren kolta hain aur murde kaata hain)

 

A= Biju ke mutaiq farmaya halal hain. Joh shakhs biju ka kaana halal na jaane, woh munafiq be deen hain. Uski Imamat hargiz jaiz nahin.

 

2) Nawab Waheed uz Zaman GM Wahabi Molvi Apni mashoor kitaab Nuzulul Abraar Minfiqhin Nabiyil Mukhtar ( Yani isme joh masle hain Nabi Paak ki fiqah hain MAZALLAH) jild number theen ke andar:

Ke agar koi shakhs aata guund leta hain sharab se, aur phir uski roti pakaayi jati hain, to farmaya roti jab pakayi jati hain to roti pakaane se, sharab saari jal jaati hain us roti ka kaana jaiz hain aur halal hain.

 

3) Tariiqe Ahmadiyat Qadiyaniyoun ki kitab hain, iska moaliq likhta hain ke joul Attaran Sou Sataasi Qadiyan se Ambala jate huwe huzoor (Mirza Dajjal) apne ahlo ayaal samed Molvi Hussain Batalvi (Yeh Wahabiyoun ka woh molvi hain jis ne Queen Victoria se Wahabi naam change karke Ahlehadith rakwaya ta) ke maqaan par aik raat tehre te, aur Molvi Sahib ne Hazrat e Aqtas ( Mirza Kazzab) aur Ahlebait (uske Gharwaloun) ki purtakaluf dawat ki ti.

Tariiqe Ahmadiyat Jild number Do Safa number aik sou attatiis.

 

4) Tariiqe Ahmadiyat Ka Moaliq hud likhta hain, ke Asmaani Dula ( Mirza Khabees) Do hudaam ki mukhtasar si baraat lekar Delhi pounche, Khawaja m,iir daad Masjid me Asr aur Maghrib ke dameyaan Molvi Nazeer Hussain Batalvi ( Wahabiyoun ka sheikh ul kul filkul Kisii bhi wahabi se iska naam len, kahegen sheikh ul kul bahut bare alim te humare) Gyaaran sou Rupaya Mahar par nikkah parha, joh Zouq aur Burhaape ki wajah se chal pir nahin sakte te (Lekhin kaha aaj mere yaar ki Shaadi hain ) Lekhin phir Mirza Sahib se muhabat ka yeh Alam ta ke is zouq ki halat me phir bhi woh nikkah parhaane ke liye gaye, aur Doli me beth ke ayete, aur Hazrat Maseeh o Mouud (Mirza Shaytaan) ne is moqa par Molvi Sahib ko aik Jaye namaz (Massala) aur Paanch Rupaye batoure Hadya diyete.

Tariiqe Ahmadiyat Jild number Do Safa Number Chappan par baat yeh likhi huwi hain.

 

5) Fatawa Sanayyah Wahabi Sheikh ul Islam Sanaullah Amratsari likhta hain ke:

Agar Football Kelne ke liye jaana hoto, Zuhar aur Asar ki namaz aihkatte parsakte hain. ( Quran o Hadith se yeh masla sabit hain ???)

 

6) Moulana Muhammad Ismail Sahib Salfi joh inki Jaamaat ke Ameer te unhoun ne, Apni Kitab me yeh likha hain.Ke Mirza Ghulam Ahmad Qadiyani ibtida aur bachpan me Hanfi ta, uske baad woh Ghair Muqalid ban gya.

Tehqiike Azaadiye Fikhar me Book Name.

(Mirza wahabi ta isme beshumaar dalail hain INSHALLAH AAPKO AAGE SAMAJ AAJAYEGI JAB MAZEED INKE MASLE RAKEGEN)

 

7) Muhammad Hussain Batalvi likhte hain Ishaat-us-Sunnah me ke joh loog Quraan o Hadith se khabar na rakte hon, aur uloom e Arbiya Adabiya se na aashna hon, Sirf Urdu Farsi tarjuma parkar, ya logoun se sunkar, ya tooti pooti arbi jaankar mujtahid aur har baat me Taqleed ko chor bete hon, unke haq me tarke Taqleed siwaye Gumrahi ke aur kisii cheez ke tawaqu nahin, Pachiis saal ka mera tajurba yeh hain, ke joh loog be ilmi ke saat taqleed ke tarik banjaate hain, woh aakar Islam ko Salaam kar bet te hain.

 

8) Al Kitaabul Majeed Fi Behki Taqleed, Amratsar se chapi huwi hain, Moulvi Mahboob Ali Sahib ki likhi huwi hain, uske Safa Bayiis ke haashiye per likha huwa hain, ke Amratsar aur uske girdo nawa me jitne bhi Isaii aabad hain yeh sab pehle Ahle Hadith te.

 

9) Hakeem Faiz Alam Siddiqui ne apni Kitaab Ihtilaaf E Ummat ka Almiya, usme yeh likha hain ke humaare bahut se Ahle hadith hain jinhoun ne Madaaris ban aarake hain, aur uske liye chande lete hain, lekhin jab me us shehar me pouncha to wahan kisii madrase ka naam o nishaan hi nahin. (Wahabi/Deobandi to hain hi Chandakur apna molvi kehta hain pesa kaate hain Madrasoun ke naam per aur wahan jab jayen to aik iint bhi nahin hoti. Allah ke naam per besharm apa peth barte hain, Chote bhai ki Shalwaar bare bhai ki Kameez, aur Deo aik Haat me lota doosre me Fazail E Amal)

 

10) Sheikh ul Islam Wahbiyoun Ka Sanaullah Amratsari ne Quran ki Tafseer ki, naam raka Tafseerul Quran be Kalaamil Rahman, Asii ulema ne likha ke Sanaullah ki tafseer Mirza Qadiyani se badtar hain, aur yeh kafir hain murtad hain, iske piche namaz jaiz nahin, Faisla Makkah, Faisla Hijaaziya me ke Sanaullah Amratsari Tafseer likne se pehle to Ahlehadith ta, Tafseer likne ke baad iska kuffar firoun se badtar hain, iska kufar namrood se badtar hain, iska kufar Abu Jahal se badtar hain.

 

11) Kanzul Haqaik Sanaullah Amratsari ki Book me likha hain, ke aik aadmi ne namaz parhaayi, aur namaz parhaane ke baad usne yeh kaha ke me kafir houn, to Muqtadiyoun ko Namaz dorhaane ki Zaroorat nahin, ya usne kare hoke kaha ke me bewudu houn, to phir bhi namaz dorhaane ki zaroorat nahin. (isii kisam ka fatwa moujood hain, Abdullah bin baaz ke Fatawa me jiska hawala mene aap ko pehle diya hain)

 

12) Imam Ibne Hajar Al Makki ne apni kitab Fatawa Hadiithiya me likha hain, ke Allah Ta'ala ne Ibne Taymiyyah ko anda aur behra banaya, Bahut saare Muhadith aur Fuqaha ne kaha ke iske aamal naqli te, aur iske alfaaz jhoot per mabni te, jinhoun ne Azeem Muhaddieen ki kitabain pari hain, Yani Abul Hassan As-Subki aur unke Sahibzade Taj-ad-din-as-Subki aur Imam al-Izz Ibne Jam'aa ki kitabain pari hain, aur jinhoun ne tahqeek ki hain Shaafi, Maaliki, aur Hanafi ulema ke fatwoun ki joh unhoun ne Ibne Taymiyyah ke radd par lagaye hain, uske apne dour me to unko aasani se is baat ka ilm hojayega ke woh sab daroost te aur haq par mabni te.

 

13) Dastuurul Mutaqeen Safa Number Aik Sou Theen per likhte hain ke Ghair Muqalideen ka mazhab yeh bhi hain ke roze ki halat me kisi ne qasdan kaa piiiliya to Ghair Muqalideen ke nazdeek iske Zimaa Kaffara nahin hain.

 

14) Al Beyaanul Masoos Kitab ka naam hain Likne waale Moulana Samroodi Wahabi jiske musanif hain, Safa number aik sou arsat par likte hain ke Ghair Muqalideen ke nazdeek pardah ki ayat haas sirf Azwaaje Paak hi ke baare me warid huwi hain, ummat ki aurtoun ke waaste nahin.

 

15) Nawab Waheed uz Zaman apni kitaab Nuzulul Abraar Min Fiqh hin Nabiyil Mukhtaar me likte hain (Al Mutta tu Saabitun Jawaazuha bi Ayatin Qatatiiatin) ke mutta Ka jawaz Quran e Kareem ki Qatiii Ayat se Sabit hain, Nuzulul Abraar Minfiqhin Nabiyil Mukhtar Safa number tentiis aur chountiis.

 

16) Nazeer Hussain Dehlvi inka Sheikh ul Kul ne Fatawa Nazeeriya P449 per likha hain ke waziife ke tour par mukamal kalme ka wird karna iska koi saboot nahin, Saboot sirf La Ilaha Illallah ka wird karna yeh sabit hain.

 

17) Nuzulul Abrar Waheed uz zaman ki iske safa number choubis me hain ke:

Insaan ka woh paani jisko mani kehte hain,cemain, sharab, murdaar, kutta aur khinzeer, tamam janwaroun ka bishaab paak hain.

 

18) Kanzul Haqaik Sanaullah Amratsari ki Safa Number theen sou Chatiis:

Agar roti ke beech me chuwe ka pahana payegya to uska kaana jaiz hain.

 

19) Nuzulul Abraar Waheed uz Zaman ki Pehli Jild Safa Number Pachaas:

Agar ginuu ya Channa aur isii tarah ke doosre galle agar bishaab me pare rahen, aur bishaab se woh phool jayen, phir usko paani me duboo diya jaye, aur khushk karliya jaye to phir woh paak hojayegen (Hud Hisaab Lagaalen)

 

20) Nuzulul Abrar Jild Aik Safa Theen Nawab Waheed uz Zaman:

Allah ka chehra hain, Aank,naak,kaan,kanda,pasli,taang,pawoun,ungliyan sab kuch hain. (Naoz Billah)

 

21) Hadyatul Mehdi Safa Number Aik Sou Das Waheed uz Zaman ki: Khutbaaye Jummah me Khulafaye Rashideen Ka zikar biddat hain.

 

22) Daleel ut Talib ke Safa number Chaar Sou Chaar, Badduurul Ahila ke Safa Number Pandran, Urful Jahdi ke Safa Number Do Sou Pentalis par likha huwa hain:

Sharab na paak aur najis nahin balke paak hain.

 

23) Wahabi Shaykh ul Islam Sanaullah Amratsari sahib likte hain: Agar aurat mirzayan hain, to ulema ki raaye mumkin he muhtalif ho, mere naaqis ilm me nikkah jaiz hain. P48 Bahawala Akhbar E Ahlehadith 1934.

 

24) Urful Jahdi Safa Gyaaran, Noor ul Hassan Khan ki: Najasat se aaluda juute masjid me le jaana aur un jhootiyoun me namaz adaa karna jaiz hain

 

25) Urful Jahdi Safa Number Das, Fiqa Muhammadi P41, Fatawa Nazeeriya Chapter 1 p197 : Ahlehadith wahabiyoun ke nazdeek mani har surat paak he.

 

26) Urful Jahdi Noor ul Hssan Khan Safa Number Choubis, Ahlehadith ke nazdeek junbi Azaan keh sakta hain.

 

27) Fatawa Sattariya Jild Aik Safa Aat Mufti Abdul Sattar ki, Fiqha Muhammadi P97 Number: Bila Wudu Azaan kehna makrooh nahin.

 

28) Fatawa Nazeeriya Nawab Nazeer Hussain Dehlvi Chapter 1 P348: Sajdah tilawat be wudu Sabit hain.

Wahabi Sahaba Ke Gustaak

 

1) Muhammad Jhoonagari Wahabi Ki kitab Tareeq-E-Muhammadi iske Safa Number Attattar ke upar yeh likhta hain ke: Hanfi Bhaiyo zara calega par haat rakh kar imaandaari se batlawo ke Hazrat Imam Abu Hanifa Ilm O Fiqha me bare huwe ya Hazrat E Umar Khalifa tul Muslimeen, bas awo suno bahut se saaf saaf mote mote masail aise hain jinme Hazrat Umar e Farooq ne unme galti ki hain.

 

2) Isi Kitab Tareeq-E-Muhammdadi Molvi Jhoonagari kehta hain Safa Number Do sou iksat ke upar likhta hain: Braadraan Hazrat Abubakar Siddique, Hazrat E Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Qattan apni apni khilafat ke zamane me dono maana se ullul amar te, lekhin bawajood iske na to kisii aik Sahabi ne inki Taqleed ki, na to koi inki taraf mansoob huwa, balke inke aqwaal ke khilaaf warzi ki jab woh Farmaan ULLAH aur Farman e Rasool ke Khilaf nazar aye.

 

3) Waheed uz Zaman apni kitab Lugaatulhadith Jild Dome Safa Number Chattis: Kehta hain magar isme kuch shaq nahin ke Muawiyyah aur Amar Ibne Aas dono baagi aur sarkash aur shareer te. Aage likhta hain indono sahibon ke Fazail aur Munakib beyan karna hargiz rawan nahin.

 

4) Urful Jahdi likhne wala Noor ul Hassan Khan Ghair Muqalid Wahabi likhta hain iske Safa Number Do sou saat per: Kehta hain jab Zaroorat pare to apne haat se mushtzani karlen ya kisi lakri wagera se, ya kisi aur jamat cheez se mushtzani karlen, aur kehta hain mushtzani muba hain, kehta hain hasoosan jab kisii fitneh ke andar mubtilaa hone ka dar ho ya khatra ho, to us waqat kar sakta hain, ya ksii nafarmaani ka darr ho kehta hain jab kisii aurat par galat nigah parne ka dar ho to us waqat bhi mushtzani kar sakta hain, balke kehta hain kabhi kabhi mushtzani karna wajib hojati hain, kehta hain jab us bure amal ke ilawa koi chaara na ho to, us waqat mushtzani wajib hojati hain, aage kehta hain Sahaba E Karaam jab apne Ahlo ayaal se, apni biwi bachoun se door hote to, Sahaba E Karaam bhi mushtzani kiya karte te, kehta hain yeh kaam karne me koi harj nahin, kehta hain balke iske saat koi moozi fuzalaat ya chizen badan se nikal jaati hain. (ASTAGFIRULLAH, aise Fatweh aur Sahaba se Mohabbot ka Dawah ?)

 

5) Irshaad Asri Ghair Muqalid Wahabi apni kitaab Ihtilafe Asbaab, Ihtilaafe Fuqaha, Safa Number Che par likhta hain: Ke aap ke ilawa yani Nabi Paak (Sallaho Alahi Wassallam) har kisi ki baat daleel ki binah par radd ki jaasakti hain.

 

6) Nuzulul Abraar Safa Number Attaran par Waheed uz Zaman likhta hain ke: Kare hokar bishaab karna musafir ke liye makrooh nahin hain, aur Sahaba se iska Saboot hain.

 

7) Nuzulul Abraar Waheed uz Zaman ki hain Jild theen Safa Number Churaanve per likhta hain: Baaz Sahaba Fasiq te, Walid, Muawiyyah, Amar Bin Aas, Mageera, Samra.

 

8) Raees Ahmad Nadvi Tanveer ul Afaaq ke Safa Number Aik sou paanch per likhta hain: Ke Muttadid Sahaba aik waqat ki Talaaq e Salaasa ke wuqu ka, agar che Fatwa dete te, magar basarahat bhi unse manqool hain, ke aik waqat ki Talaq e Salaasa nasoose Kitab o Sunnat ke khilaaf hain, aur Haram hain aur najaiz bhi.

 

9) Raees Ahmad Nadvi Tanveer ul Afaaq me likhta hain ke: Kyounke Ibne Masood ka beyan mazkoora Allah aur uske Rasool ke beyan karda usool e shariat ke khilaaf hain, isii liye zahir hain ke beyan Ibne Masood Sharan Saaqitul ittebar hain, darin surat me, Ibne Masood ka apni nazar me, is tarah ka, talbees wala mashkook amal, agar kaabile nafaaz hain, lekhin Shariat ki nazar me iska hukam bhi waaze aur zahir hain.

 

10) Fatawa Sanayyah Sheikh ul Islam Sanaullah Amratsari Wahabiyoun ka likhta hain: Hazrat E Umar ke muttaliq masla theen Talaq per behas karte huwe likhta hain ke, Hazrat E Umar joh theen ko theen houne per ijmah karwaya, joh theen ko theen houne nafiz kiya, uske baare me kehta hain, ke yeh Hazrat E Umar ka apna zaati fail hain, joh na Qaabile amal hain, aur Hazrat E Umar ka yeh qaul humare liye hujjat nahin.

 

11) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki Jild dome Safa Do sou ikaawan hain likhta hain: Logoun ko Tareeqi mohtabar rawayat nahin pounchi, kehta hain ke Muawiyyah barsare mimbar Hazrat E Ali ko bura kaha karte te, balke doosre khateeboun ko bhi hukam de raka ta, ke woh har khutba me janab Ameer ko bura kahen, inpar lanat karte rahe hain, sachi baat yeh hain, ke Muawiyyah par dunya ki tamaam galib hogayi ti, woh Hazrat E Ali ko ailaaniya bura kaha karte te, aur mimbar par inpar lanat kiya karte te.

 

12) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki Jild dome Safa Theen sou chabbis per likhta hain: Ke jinhoun ne Hazrat E Ali par Lanat kanra, inko bura kehna, apna shiyaar karliya ta, har khutba me woh Hazrat E Ali par Lanat karte te, Ahir Khuda ne, inka chehra kaala kiya, inki santanat tabah kardi, ab Hazrat E Ali ki har khutba me qayamat tak tareef hoti rahegi.

 

13) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki Jild dome Safa Theen sou Nawasi yani 389 isme likhta hain: Ini dono bataoun ne yani sakhawat aur hilm ki wajah se logoun ke dill inki taraf maiiil hogaye te, halake inka koi haq khilafat mena ta, magar logoun ki tayid se woh khalifa banbete.

 

14) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki Jild dome Safa Theen sou che, kitab chaar jildoun me hain, kehta hain Ke: bahut kaane wala, bahut hagne wala, likta hain is se muraad Muawiyyah hon, kyounke woh bahut purkhaar te, kehte hain, sou sou tarah ke dastarkhawan par inke kaane te, aur woh kaate kaate yeh kehte ke peth to nahin barha, lekhin me chabaate chabaate tak gya, aur Huzoor (Sallaho Alahii Wassallam) ne inki nisbat yeh farmaya ta, ke Allah inka peth na bare, unhoun ne hi musalmanoun ko aapas me larwaya, aur hazar haan braadraan e Islam ka ka khoon karaya, joh agar zinda rehte, joh musalmaan inki larayi ki wajah se shaheed huwe, agar woh musalmaan zinda rehte, to tamaam kufristaan ko daar ul Islam kardete, kehta hain Islam ka saara kaam unhoun ne hi kharab kiya hain.

 

15) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki usme likhta hain: Ke agar Hazrat E Umar mutta mana na karte, to koi bhi zina na karta.

 

16) Fatawa Sanayyah Wahabi Sheikh ul Islam iski jild Do Safa Number Do sou santaalis per likhta hain: Sahaba aur Fuqaha ke aqaid gumrah kun hain.

 

17) Tanveer ul Afaaq me Raees Ahmad Nadvi likhta hain: Ke bahut se Sahaba aur Tabaeen bahut si aayat ki khabar rakne aur tilawat karne ke baawajood bhi muhtalif wujuu se unke khilaf amal pera te.

 

Isko Agar Rakhsaken to upar rakhlen, aur mazeed inke masail sab bhai yahan add karen, taake jisne dekhne houn woh dekhsake !!!

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...
  • 1 month later...
  • 3 weeks later...
  • 2 weeks later...
Assalamo alaikum

 

Wahabi and Hindus are same in aqeeda hindu ka aqeeda hai ke bhagwaan asmaan per rehta hai aur wahabi bhi yehi kehtay hain allah arsh per rehta hai....

 

Haan Tumhara kiya aqeeda hei woh bhi bataa do Allah(SWT) To quran main ye hi keh raha aur hum ye bhi kehtei hein k Allah(SWT) to sheh rag se bhi ziyada qareeb hei ussi se mangnaa chahei to aap kiya manttei ho pehilei kehtei ho k asmaan tuck janein k lyein seerhi banaana parhei gi Yani K Waseela Mohmmad(SAW) ka waseela aur khud hi kehtei ho K Allah (SWT) Asmaan main nahin wah re wah Ahl-e-Bid'At kitnain Toghlei ho tum log hahaha Allah (SWT) hidayat dei..

Pagal kahin ke

Link to comment
Share on other sites

Ahle Sunnat Wajjamt Par Barasne Se Pehle Ab Kuch Apne Ghar Ka Ahwal Sun Lain.

 

Wahabion Ke Naam Kia Kia Hain

 

1-Ahle Hadees

 

2-Wahabi Najdi

 

3-Gulabi Wahabi( Deobandi)

 

Yahan Ye Waze Rahe Ye Deobandi Or Wahabi Aik Hi Group Hai In Ke Aqaid Sab Aik Jaisay Hain

 

4-Muhammadi

 

5-Ghair Muqallad

 

Wahabio Tumhare Ahle Hadees Ulama

 

Waheed Uz Zama”” Book (Hayat Waheed Uz Zama Page 102 Matbua Noor Muhammad Karkhana Tijarat Kutab Karachi(Waheed Ul Lughat) Main Darj Hai

 

“Hamare Ahle Hadees Bhaiyon Ne Ibne Timia Or Ibne Qayyam Or Shokani Or Shah Wali Ullah Sahib Or Molvi Ismail Sahib Ko Deen Ka Thekay Daar Bana Rakha Hai. Jahan Kisi Musalman Ne In Buzurgon Ke Khilaf Koi Qol Ko Ithiar Kia Bas Is Ke Peechay Par Gaye,Bura Bhala Kehne Lage.

Bhaiyo Zara To Ghor Karo Or Insaaf Karo Jab Tum Ne Abu Hanifa Or Shafai Ki Taqleed Chor Di To Ibne Timia,Ibne Qayyam Or Shokani Jo In Se Bohat Mut’khir Hain In Ki Taqleed Ki Kia Zarurat Hai”

 

Suna Wahabio Aap Ke Tarze Amal Ki Mukhalifat Aap Ke Apne Baron Se Sabit Hai Lekin Is Ke Bawajud Aap Ko Ismail Dehalwi Ka Muqallad Hone Par Israr Hai Shayad Isliye Ke Badzubani Or Badgoi Main To Kisi Ko To Aap Ne Apna Muqtada Manna Hi Tha.

 

“Hayat Waheeduz Zama” Page 102 Main Hai Wo Farmate Hain

 

“Ghair Muqallad Ka Garoh Jo Apne Tien Ahle Hadees Kehte Hain Unhon Ne Aisi Azadi Ikhtiar Ki Haike Masail Ijmai Ki Parwa Nahi Karte Na Salf Saliheen Or Sihaba Or T’bieen Ki Quran Ki Tafseer Sirf Lughat Se Apni Man Mani Kar Laytay Hain Hadees Shareef Main Jo Tafseer Aa Chuki Us Ko Bhi Nahin Suntay Hain”

 

Aap Hi Ke Aik Ahke Hadees Sarbarah Janab "Ibrahim Mir" Aap Ke Tolay Ko Jo Talqeen Or Wasiat Farmatay Hain Wo Bhi Mulahiza Ho:

 

“Ahle Hadees Jamat Apne Niqisul Ilm,Ghair Muhtat, Naam Nihad Ulama Ki Tehreeron Se Dhoka Na Khaye Kyon Ke Un Main Baaz To Puranay “Khariji” Or Be Ilm Mehaz Or Baaz Congressi Hain”

{Book Ihyaul Mayyat, Page 36}

Aap Ke Tolay Ke Aik Baray Janab “Muhammad Dehelvi” Aap Ke Tolay Ke Mullaon Or Muftion Ke Baray Main Farmatay Hain.

 

“(Ahle Hadees) Mufti Sahiban Main Bohat Se To Wo Hain Jo Imamat Ke Tukron Par Pal Rahe Hain ,Ilm Se Koray ,Jihalat Ke Putlay –In Se Jo Chaho Likhwalo Muqaddama Karwalo ,Jo Chaho Adalaton Main Halfia Jhoot Bulwalo-Wo Isi Matlab Ke Liye Paalay Pasoy Ja Rahay Hain”

 

{ Reference -Akhbare Muhammadi Page 13 ( 15 Nov 1939)

Lagta Hai Aap Ki Tasalli Nahi Hui Hogi Zahir Hai Aap Ke Ulama Ki Bhi Tasalli Nahi Hui Mazeed Farmatay Hain Suniye

 

1915 Main Aap Hi Ke Tolay Ke Janab “Abu Bashir Murad Ali” Ke Famuda Alfaz Bhi Mulahiza Hon

 

“ Agar Jamat Ahle Hadees Ke Rukan Mujhay Bura Na Keh Uthain To In Se Mirza Aan Jahani(Qadyani) Bhi Ilmi Maidan Main Sabqat Le Gaya Hai.”

 

{Refernce - Ahle Hadees, Amrit Sar Page 7,17- Sep 1915}

Yeh To Main Ne Abhi Jhalak Dikhai Hai Pura Post Mortem Bhi Inshallah Main Karon Ga

 

Ab Wahabi Batain Ye In Apne Mullaon Ki Ibaraton Or Kitabon Ke Baray Main Kia Kahain Gay

 

Abhi In Ke Kafi Man Pasand Mullaon Ke Bhi Comments Aanay Hain Misal Ke Tor Par Ashraf Ali Thanvi Waghaira,

 

Chalain Thanvi Sahib Ka Bhi Apne Baray Main Jawab Or Comment Sun Lain Shayad Tasalli Ho Jaye

 

" Ghair Muqalladi Ke Lawazim Se Hai Ke Salf Ke Saath Badgumani Or Phir Badzubani ....Ghair Muqalladin Main Badgumani Ka Marz Bohat Ziada Hai....Ghair Muqalladi Nihayat Khatarnaak Cheez Hai.Is Ka Anjaam Sarkashi Or Buzurgon Ki Shaan Main Gustakhi, Ye Is Ka Awwaleen Qadam Hai"

 

{References- Book Alkalamul Hasn Page 472,46

Book Ifazate Yomia Page 217,Jild 1, Page 242 Jild 2)

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...
Haan Tumhara kiya aqeeda hei woh bhi bataa do Allah(SWT) To quran main ye hi keh raha aur hum ye bhi kehtei hein k Allah(SWT) to sheh rag se bhi ziyada qareeb hei ussi se mangnaa chahei to aap kiya manttei ho pehilei kehtei ho k asmaan tuck janein k lyein seerhi banaana parhei gi Yani K Waseela Mohmmad(SAW) ka waseela aur khud hi kehtei ho K Allah (SWT) Asmaan main nahin wah re wah Ahl-e-Bid'At kitnain Toghlei ho tum log hahaha Allah (SWT) hidayat dei..

Pagal kahin ke

 

 

(bis)

(salam) AHLEHADIS YA MUNKIR QURAN-O-HADIS ?

 

Bhai kafeel legtay tu app educated he ho. tu app kay pas ALLAH (jallah) nay akal bhi de hoge? khair pehalay tu ya faisla ho jaay kay kay app Gair Mulakid Ahlehadis ho ya Munkir QURAN aor HADIS? kioun kay app logon ka dawa ya hota hai kay jee hum QURAN aor HADIS per he chalaty hain aor is say he maslay laytay hain, magar meray bhai zara apnay giraban mai jhanko tu sayi kia app kay amal aasay he hain jasay app app daway kartay hain? (Sirf QURAN aor HADIS) per amal karnay walay? mai kuch aadat baata raha hon app ke ya wo amal hain jo kay na QURAN say SABIT hain na kise SAHI, SARIH aor MARFOO AHDAIS say sabit hain.

 

1, Kia NABI PAK (saw) nay baad al-rako NAMAZ-E-WITER mai haat utha kay dua mangi? ya iss ka hukum dia? zara dikhana kise SAHI, SARIH aor MARFOO hadis say?

 

2, Kia NABI PAK (saw) nay NAMAZ-E-JANAZA ke har takbeer kay sath RAFA-E-DAIN kia? ya iss ka hum dia? Dikhao zara kise Sahi, SARHI aor Marfoo AHDIS mai?

 

3, HAZOOR-E-ANWAR (saw) nay apnay kis SAHAI ke SHAHADAT per GAIBANA Namaz-e-Janaza prahie thi? jo app log iss per amal kartay ho? kia aasa kise SAHI, SARIH aor MArfoo Hadis say sabit hai?

 

4, Koie HADIS aasi hai jo kay SAHIE SARIH aor MARFOO ho jis say ya sabit ho jaay kay NABI PAK (saw) nay Namaz mai SINNA MUBARIK per hat badhay hon?

 

agar ya uper diay gaay

 

4 sawalat HADIS SAHIE,SARIH, MARFOO say sabit ho jayin tu mujhay bhi bata dayna warna ajj kay baad IMAN ka takaza ya he hai kay har jugha QURAN aor HADIS per he amal karnay ka dawa chor dayna, aor iss kisam kay Sawalat tu bohat hain magar abhi kay liay sirf 4 sawalat app ke sehat kay liay bohat hain zara inn ka answer tu dhond kar la dain aor waqt kay sath sath mazeed sawal bejhta rahon ga shaid app HAQ ke tarf aajayin.

(ja)

NAVAID AHMED KHAN.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam) AHLEHADIS YA MUNKIR QURAN-O-HADIS ?

 

Bhai kafeel legtay tu app educated he ho. tu app kay pas ALLAH (jallah) nay akal bhi de hoge? khair pehalay tu ya faisla ho jaay kay kay app Gair Mulakid Ahlehadis ho ya Munkir QURAN aor HADIS? kioun kay app logon ka dawa ya hota hai kay jee hum QURAN aor HADIS per he chalaty hain aor is say he maslay laytay hain, magar meray bhai zara apnay giraban mai jhanko tu sayi kia app kay amal aasay he hain jasay app app daway kartay hain? (Sirf QURAN aor HADIS) per amal karnay walay? mai kuch aadat baata raha hon app ke ya wo amal hain jo kay na QURAN say SABIT hain na kise SAHI, SARIH aor MARFOO AHDAIS say sabit hain.

Ager Girebaan main jhanknein ki hi bat karee hei to sub se pehlei Bhai Apnaa girebaan jhank likjye Kuch kuch Rafzion walei aqaide mileinggei...!!!

Aur Alhadmulillah Quran aur sirf sahee hadith pe hi amal kartei hein... Aur Muqallid aur Ghair Muqallid kiya hota hei yani k Kala Aur Ghair Kala....hahah Seedha seedha Ye bolei na Muqallid(kala)----Ghair Mukallid(Suffaid) Allah Subhanaho Wat'ala Hidyaat dei Ahl-e-Bid'at ko k ye Haque bat ko sumjhein Aur khud sakhtaa aqaide se bachnain ki koshish karein....

 

1, Kia NABI PAK (saw) nay baad al-rako NAMAZ-E-WITER mai haat utha kay dua mangi? ya iss ka hukum dia? zara dikhana kise SAHI, SARIH aor MARFOO hadis say?

 

Ye topic yehaan nahin ager aap ko ye bat cheirhni hei to witer ka naya topic shuroo karein yehaan jo bat chal rahee hei woh hi karein.... Ye ghumanain walee batein naan karein....

2, Kia NABI PAK (saw) nay NAMAZ-E-JANAZA ke har takbeer kay sath RAFA-E-DAIN kia? ya iss ka hum dia? Dikhao zara kise Sahi, SARHI aor Marfoo AHDIS mai?

NULL

3, HAZOOR-E-ANWAR (saw) nay apnay kis SAHAI ke SHAHADAT per GAIBANA Namaz-e-Janaza prahie thi? jo app log iss per amal kartay ho? kia aasa kise SAHI, SARIH aor MArfoo Hadis say sabit hai?

NULL

4, Koie HADIS aasi hai jo kay SAHIE SARIH aor MARFOO ho jis say ya sabit ho jaay kay NABI PAK (saw) nay Namaz mai SINNA MUBARIK per hat badhay hon?

NULL

agar ya uper diay gaay

 

4 sawalat HADIS SAHIE,SARIH, MARFOO say sabit ho jayin tu mujhay bhi bata dayna warna ajj kay baad IMAN ka takaza ya he hai kay har jugha QURAN aor HADIS per he amal karnay ka dawa chor dayna, aor iss kisam kay Sawalat tu bohat hain magar abhi kay liay sirf 4 sawalat app ke sehat kay liay bohat hain zara inn ka answer tu dhond kar la dain aor waqt kay sath sath mazeed sawal bejhta rahon ga shaid app HAQ ke tarf aajayin.

Chandda Pehlei Jo Behess Chal Rahee Hei WOh To poori Kar lo...!!!!!

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
Ager Girebaan main jhanknein ki hi bat karee hei to sub se pehlei Bhai Apnaa girebaan jhank likjye Kuch kuch Rafzion walei aqaide mileinggei...!!!

Aur Alhadmulillah Quran aur sirf sahee hadith pe hi amal kartei hein... Aur Muqallid aur Ghair Muqallid kiya hota hei yani k Kala Aur Ghair Kala....hahah Seedha seedha Ye bolei na Muqallid(kala)----Ghair Mukallid(Suffaid) Allah Subhanaho Wat'ala Hidyaat dei Ahl-e-Bid'at ko k ye Haque bat ko sumjhein Aur khud sakhtaa aqaide se bachnain ki koshish karein....

 

 

 

Ye topic yehaan nahin ager aap ko ye bat cheirhni hei to witer ka naya topic shuroo karein yehaan jo bat chal rahee hei woh hi karein.... Ye ghumanain walee batein naan karein....

 

NULL

 

NULL

 

NULL

 

Chandda Pehlei Jo Behess Chal Rahee Hei WOh To poori Kar lo...!!!!!

 

Baath zara sa ye hai k mai aap se in maslo par baadh me baath karunga pehle AQAAIDH to durust kar lijya warna wo amal jo app kar rahe hain agar sahi hadees se saabit bhi hoga to aapko koi faaida nahi pohonche ga aur aap jahannam me jayega..mai saabith karunga InshaAllah quran aur hadees se k Muqallid Awwal darje k muskrik aur kaafir hai

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...