Jump to content

Allah ne sub se pehlay kia paida kia? HADITH-E-NOOR

Ghulam E Mustafa

تجویز کردہ جواب

(salam)

MAIN KAFI ARSA SAY ISS HADITH-E-MUBARIK KE SAHI HONE KA BAYAN AUR PURI HADITH TALASH KARNE KI KOSHISH MAIN LAGA HOA THA.

TU KAL TAK MUJHE ISS BARAY MAIN KAFI INFO MIL GAI.

INSAHALLAH ABB KOI WAHABI/DEOBANDI ISS HADITH KO ZA'EEF KEHNE KI KOSHISH NAHI KARAI GA.

fi-aman:

Hadith-e-Noor-Full.gif

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Aap ne Imam Hakim ke hawale se likha hai k iss hadees ki tamam asnaad sahih hain. Aik to iss ka hawala darkaar hai doosra yeh k mahez kissi k keh dene se sanad saabit nahin ho jaati. Aap se guzarish hai k iss hadees ki aap k mutabiq jo bohat si asnaad hain unn main se koi aik pesh ker dain. Bila sanad rawaet to Imam Bukhari R.A. ki qabool nahin ki jati to kissi doosre ka kia muqam. Iss baat per muhadissen ka itifaaq hai.

Aap ne jitne naam likhe hain un main se kissi aik ne bhi iss hadees ko sanad ke saath naqal nahin kia jo iss baat ka saboot hai ke yeh hadees mahez aik se doosri kitabon main naqal hoti chali aayi hain rawaet nahin hui werna iss ke rawaet kerne wale raawi kahan hain? Pehle naqal aur rawaet ka faraq to maloom ker aayen.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

doosra yeh k mahez kissi k keh dene se sanad saabit nahin ho jaati.

wah. talinenor sahb. apki kya bat hay. jahan dil chahe jo rang apna lain. acha hay isi riwayat or rawi pr ap se pehle bat ho chuki hay. mujhe waqt nahi mil or woh topic check na kar saka is lye woh reply wohen ruk gaye.. khair koshish hogi k usi topic main dobarah ap se discussion ho.

Taqleed ya Gumraahi...?

chunache is topic ki post # 14 main talinenoor likhte hain.

Abhi siref itna arez hai k Quran ka hukam hai k tumhaare paas jo khaber laaye uss ki tehqeeq ker lia kero lahaza ager kissi ko sahih ya zaeef kehte hain to yeh unn gawahion ki buniad per hai jinn ko maanane ka Allah aur Nabi ne hukam dia hai. Doosra yeh k Iss per Ijmaa hai k Hadees rawaet kerne walon ki tehqeeq ki jae gi. Mazeed yeh k ooper meri post mai aap ki asooli kitaabon ke hawale se yeh guzer chuka hai k gawahion per faisla taqleed nahin.

yahan pr bat gawahi pr agayi..

age ja kr likhte hain.

Baat yeh hai k ager kissi mohaddis ne aik raawi ko Saqqa kahe aur koi doosra mohaddis ussi raawi ko zaeef kahe aur saath daleel bhi de to baat uss ki maani jae gi jo saath wajah bhi bata raha hai

ab yahan bat ayi k muhadis ne rawi ko saqqa kaha tu jiski dalel mazbot hogi uski gawahi mani jaye gi.

or ab likhte hain.

Aap se guzarish hai k iss hadees ki aap k mutabiq jo bohat si asnaad hain unn main se koi aik pesh ker dain. Bila sanad rawaet to Imam Bukhari R.A. ki qabool nahin ki jati to kissi doosre ka kia muqam. Iss baat per muhadissen ka itifaaq hai.

yahan pr likha k bila sanad kisi ki bat ko qubol nahi karte. rawi/sanad par muhadis ki gawahi mante hain hades par nahi mante. kesa ajeb tazad hay.

yahan par sirf hawale naqal howay hain .. aap k pas kiya dalel k in sab muhadisen ne baghair sanad k hades ko sahi qarar dia.. kia aj ke ghair muqaliden in se zyada hades or uski asnad ko jante hain?

Aap ne jitne naam likhe hain un main se kissi aik ne bhi iss hadees ko sanad ke saath naqal nahin kia jo iss baat ka saboot hai ke yeh hadees mahez aik se doosri kitabon main naqal hoti chali aayi

or jin muhdasien ki gawahi se rawi ko jhota ya sacha kehte hain unhi k bare main likha ke hades ko sanad k baghair sahi qarar de dya.

hain rawaet nahin hui werna iss ke rawaet kerne wale raawi kahan hain? Pehle naqal aur rawaet ka faraq to maloom ker aayen.

(sa) yani direct muhadisen par iftara bandha hay k unko naqal or riwayat main farq hi nahi pata.. or itne muhadisen ne apni kutub main baghair sanad sirf naqal hoti hoyi hades ko sahi qarar de dya.. wah..

ye 15ven saddi k jadeed ghair muqalid muhadis agye hain jo apni raye se aahades ko sahi or zaeef qarar rahe hain or jinki rawion par gawahi qubool karte hain unke bare main kehte hain k baghair sanad zaeef hadees ko sahi qarar de dya..

or unko itna bhi pata nahi hay k is hades ki naqal or riwayat main kya farq hota

ghair muqaliden ko chellenge hay k ap is par apni tehqeq pesh karain. or humain jhoota nahi balke jis jis muhadis ne isko naqal kia hay unko jhota sabit karain or ye bhi sabit karain ke unho ne baghair sanad k hades ko sahi qarar de dya is lye unhain sahi hades ki asnad or naqal ka farq bhi pata nahi tha.

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Aap ne Imam Hakim ke hawale se likha hai k iss hadees ki tamam asnaad sahih hain. Aik to iss ka hawala darkaar hai doosra yeh k mahez kissi k keh dene se sanad saabit nahin ho jaati. Aap se guzarish hai k iss hadees ki aap k mutabiq jo bohat si asnaad hain unn main se koi aik pesh ker dain. Bila sanad rawaet to Imam Bukhari R.A. ki qabool nahin ki jati to kissi doosre ka kia muqam. Iss baat per muhadissen ka itifaaq hai.

Aap ne jitne naam likhe hain un main se kissi aik ne bhi iss hadees ko sanad ke saath naqal nahin kia jo iss baat ka saboot hai ke yeh hadees mahez aik se doosri kitabon main naqal hoti chali aayi hain rawaet nahin hui werna iss ke rawaet kerne wale raawi kahan hain? Pehle naqal aur rawaet ka faraq to maloom ker aayen.

Wasalam

YEH HADITH HAZRAT-E-JABIR (ra) SAY RIWAYAT KI GAI HAI AUR AJJ KAL K ULAMA ISS KO IMAM ABDUR RAZZAQ ( MUSSANAF ABDUR RAZZAQ ) K HAWALE SAY PESH KARTE HAIN.

AUR JANAB-E-WALA IMAM BUKHARI KO IMAM ABDUR RAZZAQ PER AFZLIAT MAT DOO WOH IMAM BUKHARI AUR IMAM MUSLIM K DADA USTAAD THAY.

اسمعیل دھلوی جو کہ آپکے مکتبہ فکر سے ھیں اپنی کتاب یک روزہ ص١١ پر لکھتے ھیں۔۔۔۔روایات میں آیا ھے کہ اللہ نے سب سے پھلے حضور صلی اللہ علیہ وسلم کے نور کو پیدا کیا۔۔

رشید احمد گنگوھی فتاوی رشیدیہ مین لکھتے ھیں کہ شیخ عبدالحق نے اس حدیث کو صحیح لکھا ھے۔۔۔

نیز مولانا اشرف علی تھانوی نے اپنی کتاب نشر الطیب میں پہلی فصل کا نام رکھا نور محمدی صلی اللہ علیہ وسلم کے بیناب میں اور سب سے پہلے اس حدیث کو بیان کیا۔۔۔۔۔

تفسیر روح المعانی میں بھی علامہ آلوسی نے اس کو ان الفاظ میں بیان کیا

وكونه صلى الله عليه وسلم رحمة للجميع باعتبار أنه عليه الصلاة والسلام واسطة الفيض الإلٰهي على الممكنات على حسب القوابل، ولذا كان نوره صلى الله عليه وسلم أول المخلوقات، ففي الخبر " أول ما خلق الله تعالى نور نبيك يا جابر "

اس سے پہلے میں آپ کو مرقات شرح مشکوہ کے حوالے دے چکا ھوں مگر آپ محض اپنی ضد پر اڑے ھوے ھیں

نیز یہ ھدیث درج ذیل اصول حدیث کی روشنی میں قوی قرار باتی ھے

١-اگر ایک حدیث چند ضعیف روایتوں سے مروی ھو جائے تو وہ ضعیف نہیں رھتی بلکہ حسن بن جاتی ھے۔ چنانچہ فتح القدیر ج١ ص٢٤٨، کتاب الاذکار ص٨٧٧ پر درج ھے۔

جب حدیث ضعیف متعدد اسناد سے مروی ھو تو جمہور محدیثین اس سے استدلال کرتے ھیں اور اس کو گاہ صحیح کے ساتھ اور گاہ حسن کے ساتھ لاحق کرتے ھیں،،،

٢- جب ضعیف حدیث کے موافق مجتہدین کا قول مل جائے تو اس سے بھی حدیث کو تقویت ملتی ھے۔چنانچہ ردالمختار ج١ ص٤٤ پر علامہ شامی لکھتے ھیں۔۔

مجتہد جب کسی صحیح حدیث پر استدلال کرے تو اس کا استدلال بھی حدیث کے صحیح ھونے پر دلیل ھے۔۔۔

٣-اگر کسی ضعیف حدیث کے موافق اھل علم کا قول ھو تو اس سے بھی حدیث کو تقویت ھو جاتی ھے، چنانچہ دیکھیے مرقاہ ج٣ ص٩٨۔۔

اس لئیے عاصم صاحب آپ اس حدیث پر کوئی اعتراض کرتے ھیں تو وہ مندرجہ بالا اصولوں کے تحت رد ھو گا۔۔۔

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Aap ne Imam Hakim ke hawale se likha hai k iss hadees ki tamam asnaad sahih hain. Aik to iss ka hawala darkaar hai doosra yeh k mahez kissi k keh dene se sanad saabit nahin ho jaati. Aap se guzarish hai k iss hadees ki aap k mutabiq jo bohat si asnaad hain unn main se koi aik pesh ker dain. Bila sanad rawaet to Imam Bukhari R.A. ki qabool nahin ki jati to kissi doosre ka kia muqam. Iss baat per muhadissen ka itifaaq hai.

Aap ne jitne naam likhe hain un main se kissi aik ne bhi iss hadees ko sanad ke saath naqal nahin kia jo iss baat ka saboot hai ke yeh hadees mahez aik se doosri kitabon main naqal hoti chali aayi hain rawaet nahin hui werna iss ke rawaet kerne wale raawi kahan hain? Pehle naqal aur rawaet ka faraq to maloom ker aayen.

Wasalam

اس میں لڑاءی والی تو کوءی بات نہیں آپ لوگ حق کو آخر کیوں تسلیم نہیں کرتے ؟

sannad.gif

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Mujhe nahaet afsos ke saathkehna parrta hai k meri post ko sarsari andaaz se parha jaata hai aur baat se woh maani nikale jaate hain jo main ne nahin kahe.

Sab se pehle to yeh baat clear ker lain k mohadisseem ka kissi rawaet ko mahez naqal ker dena uss ki toseeq nahin hoti aur iss per itni misaalain naqal ki ja sakti hain k aik alag mazmoon ki zaroorat hai.

Doosra yeh k rawaet k liye sanad ka hona zaroori hai werna woh rawaet naqabale aitbaar hoti hai. Iss main kissi mohaddis ka koi ikhtilaaf nahin. Ager kissi ko meri iss baat se ikhtilaaf hai to saboot se baat kare.

Teesra yeh k ager muhadissen ki baat main ikhtilaaf ho sahih ya zaeef kehne main kissi rawaet k to dekha jae ga k kiss ki baat asool-e-hadees aur daleel ke mutabiq hai.

Inn baaton main koi tazaad nahin hai bal k alag alag halaat ka faraq hai. Aap sab se guzarish hai k asool-e-hadees ki kitabon ki taraf rajoo karen aur deen ko zid main seekhne ki bajae daleel aur zahen ko roshan kerne k liye seekhain.

Abb kuch iss hadees-e-Jabir almaroof hadees-noor ke baare main. Mere bhai logo aap mahez Musanaf-Abd-ur-Razzaq ka naam le rahe hain. Werna haqeeqat yeh haik kissi bhi hadees ki kitaab main iss ka wajood nahin.

Iss main gussa kerne wali baat nahin hai aap ager iss baat main sache hain to iss hadees ko basanad hadees ki kitaab se bian ker dain. Akhir ager yeh hadees itni hi sahih haito phir iss ki sanad kion bian nahin ki jaati.

Akhir main iss sawal ka jawab k Ham Imam Bukhari ko Imam Abd-ur-Razzaq se ziada kion maante hain to bhai baat yeh hai k Imam Bukhari ki Sahih Bukhari ki kitaab per ijmaa hai k iss ki tamam ahadees sahih hain, jo Imam Abd-ur-Razzaq ki kitaab ko hasil nahin. Phir aap bhi jo Imam Abu-Hanifa ki taqleed kerte hain to unn ki taqleed ki bajae unn ke ustaatza ki kion nahin ker lete. Ajeeb baat hai ham daleel ki buniad per tarjeeh dain to galat aur aap log Imam Abu-Hanifa ko taqleed main tarjeeh dain unn ke usaatza per to sahih.

Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen.

بات سنو۔

میں نے اتنے ثبوت اتنی کتابوں کے حوالے دیے جس میں یہ حدیث ہے اب اگر تم لوگوں کو نبی کی تعظیم سے تکلیف ہوتی ہے تو اس میں ہمارا کیا قصور۔

میں جلد ہی تمہیں اس پر ایک تفصیلی جایزہ پیش کروں گا۔

اور امام بخاری کا مرتبہ امام عبدالرزاق سے زیادہ نہیں اور جناب ہمارے نزدیک حضور صلی اللہ علیہ وسلم کے ارشادات کی قدر ہے نہ کہ کسی کتاب کی۔

اور وہابیوں کے پاس جو مصنف عبد الرزاق ہے اس میں سے اس حدیث کو ان منافقوں نے نکال دیا ہے کیوں کہ یہ تو نبی پاک کی تعظیم ہے ناں۔

بہر ہال تھوڑا انتظار کرو۔

اور میں نے یہ ثابت کیا ہے کہ یہ حدیث صحیح ہے اب تمہاری عقل پر پردہ ہے تو میں کچھ نہیں کر سکتا۔

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Aap ne likha hai k wahabion ke paas jo Musanaf-Abd-ur-Razzaq hai uss main se unhon ne iss hadees ko nikaal dia hai. To aap se guzarish hai k aap Musanaf Abd-ur-Razzaq ka woh nuskha bataen jis main yeh hadees mojood ho.

Imam Hakim ne iss hadees ko pesh ya rawaet kia hai to iss ki sanad kahan hai? Haqeeqat yeh hai k iss hadees ko Imam Hakim ne hergiz inn alfaaz se bian nahin kia aur na hi sahih kaha hai. Ager tum sache ho to Mustadrik-Hakim ki mazkoora hadees jin alfaaz se naqal ki hai idher scan ker k laga do. Mazeed bhi jin kitabon ke naam aap ne yeh hadees naqal ker k likhe hain unn main se kissi ke alfaaz kuch hain to kissi k kuch. Her aik alfaaz woh nahin jo aap ne bian ker k neeche inn kitabon ke hawale de die hain.

Sab se aham baat yeh k aap abhi tak iss hadees ki sanad bian nahin ker sake jo aap ki shikest ke liye kaafi hai. Sanad ka hona hi hadees saabit kerta hai werna kia aap her woh baat hadees tasleem kerte hain jo kissi ne bhi apni kitaab main Nabi s.a.w. se bian ker di ho? Khud Imam Hakim hadees ki asnaad bian kerte hain. Ager

Aap ne yeh bhi likha hai k aap ke nazdeek qader kitabon ki nahin bal k Hadees-e-Rasool ki hai. Mager pehle Hadees-e-Rasool saabit to kero, k bas jis ko Hadees-e-Rasool keh ker bian ker do woh hujjat hai. Sahih hadees ki sharat hai k uss ke raawi aadil, zabit wagera hon. Phir jis ki na sanad ho na rawion ka atta patta uss per aisa zor dena siref zor-zaberdasti hi hai.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Aap ne likha hai k wahabion ke paas jo Musanaf-Abd-ur-Razzaq hai uss main se unhon ne iss hadees ko nikaal dia hai. To aap se guzarish hai k aap Musanaf Abd-ur-Razzaq ka woh nuskha bataen jis main yeh hadees mojood ho.

noor_e_Muhammadi_aleh_salam_hadees_e_pak.jpg

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum2 all muslims,

Plz read

(bis)

(saw)

:rolleyes::rolleyes::rolleyes::rolleyes::rolleyes:B)B)B)B)

Allah (azw) ne jab qalam to takhleeq diya or usko hukm diya ki jo kuch ho chuka wo likh de or jo kuch hoga wo bhi likh de....to wahabi hazrat ye jawab dein ki jab qalam sab se pehly paida ki gayi to qalam ne Allah (azw) ke hukm se kya likha jab kuch tha hi nahin....kyun ki likha wahi jana tha jo ho chuka or ho chukna ye sab maklhooq ke liye hi aata hai na or jab kuch tha hi nahin kalam se pehly to.....?? :lol: Allah wahabis ko hidayat de ki bughz e rasool (saw) se tauba karky islam le aayein...Ameen

Ya Mohammadah sahib,

Nahayaet afsos ki baat hai main ne sahih ahadees paish kin aur aap uss ka mazaq urra rahe hai. Aap ko to yeh chahiye tha k ya to inn ahadees ko maan lete ya phir inn ko zaeef sabit kerte. Aap ne age barrh ker Nabi s.a.w ke alfaaz ko nishana banana shuroo ker diahai. Main neeche aik waqia naqal ker raha hoon ho sake to iss se ibrat hasil kijiye ga. Allah aap ko hadayat de.

Doosra yeh k Nabi s.a.w. ne apne dor main yeh baat kahi hai k qalam ne likh lia jo abb tak hua aur jo baad mai ho ga, iss hadees ka woh matlab nahin hai jo aap galti se samajh ker Nabi s.a.w. ke alfaaz per attack ker rahe hai.

Teesra yeh k ager sahih hadees paish ker k yeh manana bughz e rasool (saw) hai k qalam ko Allah ne sab se pehle paish kia to phir yeh aqeedah Ibn-e-Abbaas R.A. ka bhi hai. Kahiye inn per kia hukam lagen ge. Bal k iss ke hilaaf kissi sahabi se kuch saabit nahin. Ya ho sakta hai k aap k khayal main yeh bhi wahabi hon, jinhen bughz e rasool (saw) ho. (nauz-u-billah). Kuch to taasub chor ker dekho kia keh rahe ho.

Wasalam

Edited by talinenoor
Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum2 all muslims,

Abhi tak koi aik bhi Jabir R.A. se mansoob Hadees-e-Noor ki sanad paish nahin ker saka. Ulta Sahih ahadees ka mazaq uraya ja raha hai aur phir bhi Aashiq-e-Rasool hone ke dawe. Sahih hadees per aitraaz kerne walon k liye aik waqia:

post-1317-1205111383.jpg

Edited by talinenoor
Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Ya Mohammadah sahib,

Nahayaet afsos ki baat hai main ne sahih ahadees paish kin aur aap uss ka mazaq urra rahe hai. Aap ko to yeh chahiye tha k ya to inn ahadees ko maan lete ya phir inn ko zaeef sabit kerte. Aap ne age barrh ker Nabi s.a.w ke alfaaz ko nishana banana shuroo ker diahai. Main neeche aik waqia naqal ker raha hoon ho sake to iss se ibrat hasil kijiye ga. Allah aap ko hadayat de.

(bis)

(salam) Momin Bhaiyon !!! BAQIYON KO HIDAK ALLAH

Allah na kary ki hum Rasool (saw) ya unky qol ka ya kisi hadees ya sahabi ka be kahayali me bhi mazak urayein...mene to aapki us bad bakhti ka radd kiya hai jo aap bughz e rasool (saw) ki bina par huzur ke noor ko awwal takhleeq manny se inkaer kar rahy hain jabki jamhoor ulema e ikram ne Musannaf Abdur Razzq ki hadees ko sahih kaha hai...kya wo sary muhaddis or ulema e ikram bhi aapki upar paish ki gayi hadees ko nahin manty hongy ya phir keh dijiye ki wo sab bhi barelwi thy.... :rolleyes: or sahabaon or rasool (saw) ki sahan me gustakhiya kon karta aaya hai isko kya alag se batana parega..jao apny dada jaan mohammad bin abdul wahab se poocho...mera sawaal aap par abhi bhi qayam hai ki jab qalam ko sab se pehly paida kiya gaya to us se ye kyu kaha gaya ki likh de jo ho chuka.....aap bas itna bata dein ki kya ho chuka tha..or us qalam ne kya likha....bat ko doosri taraf na morein apki jaan aisy nahin chootegi yahan jis tarah aap hamesha ek topic chor naya topic banaty chaly aayein hain.

Link to comment
Share on other sites

Nahayaet afsos ki baat hai main ne sahih ahadees paish kin aur aap uss ka mazaq urra rahe hai. Aap ko to yeh chahiye tha k ya to inn ahadees ko maan lete ya phir inn ko zaeef sabit kerte.

Ji Talinoor sahab Humara ye shewa nahin ki sahih hadees ko apni zid me aakar zaeef ya mozu sabit karein...haan aap logo ki ye purani khaslat hai o wo aap hi ko mubaak ho jo itny jamhoor ulemaon ki taraf aap jahalat mansoob kar apny Albani ko foqiyat de rahy ho Allah is gumrahi se bachaye...

Asslamoalaikum2 all muslims,

Abhi tak koi aik bhi Jabir R.A. se mansoob Hadees-e-Noor ki sanad paish nahin ker saka. Ulta Sahih ahadees ka mazaq uraya ja raha hai aur phir bhi Aashiq-e-Rasool hone ke dawe. Sahih hadees per aitraaz kerne walon k liye aik waqia:

bohtaan tarashi na kaein...mazak to aap apna banwa chuky hain kai martaba...aapki ye baat ki ye hadees sahih nahin agar for sake of argument ek lamhy ke liye tasleem bhi kar liya jaye..to bhi is hadees ki qubooliyat me koi fark nahin aata ki ye zaeef kehlati hai mozu nahin or aap Ahle hadith kehlaty hain itna to ilm rakhy ki zaeef haditho ko Huzur (saw) ke Fazail or Manaqib me qubool kiya jata hai...or aapny sahi hadees ka rad karny waly shakhs ka kissa quote kiya ab zara zaeef hadees ka radd karny walon ka haal bhi mulahiza ho .........

30.GIF

31.GIF

32.GIF

34.GIF

35.GIF

36.GIF

ref.GIF

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Ya-Mohammadah, baat ko uljhane ki koshish na karen. Jo topic hai uss per baat karen. Hadees-e-Jabir ki sanad to aap se pesh ho nahin rahi aur baton main waqat zaia ker rahe hain. Ham ne jo ahadees pesh ki hain Alhamdulillah sahih hain aur aap k Ahmed Raza Khan sahib keh chukke hain k sahih k saamne zaeef wajib-ut-Tarrak hai. Hawala meri Rafa-ul-Yaden wali post main dekh lain.

Doosra yeh k yeh masla fazael ka nahin bal k aqeedah ka hai jis main bil-ittifaq zaeef qabi-e-qabool nahin.

Phir iss k zaeef ya sahih hone ka faisla to tabb ho ga jab aap iss ki sanad pesh ker sako ge...?

Na sanad pesh ho gi na yeh hadees saabit ho gi.

Iss ke muqable main hamari pesh ki hui ahadees sahih hain.

Allah tassub se bacha ker seedhi raah dikhae, Aameen

Edited by talinenoor
Link to comment
Share on other sites

Array janab app ki baat ka jawab Ya-Mohammadah bhai ne bari achi tarha dia abb app ki aqal per pardah para howa hai tu iss mein kisi ka kasoor nahi.

Aur app logh jo hadith pesh kartay hain wohi sahi hoti hai hum loghon ko tu hadith aati he nahi Ahl-e-Hadith wahabio tum logon ko tu naam he angraiz ne dia.

Khair main topic say hat nahi raha iss waqt raat k 11:29 PM ho chuke hain insahAllah kal kisi waqt bhi tumhain jawab doon ga aur sunno tumhare nah mann ne say koi hadith ghalat sabit nahi ho jati.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...