Jump to content

taboot-e sakina kya he


Sumreen

تجویز کردہ جواب

  • 2 years later...
  • 5 weeks later...
  • 1 month later...
  • 9 months later...
  • 2 months later...
  • 2 weeks later...
  • 11 months later...
  • 5 months later...
  • 5 months later...

Salaam,

Moulana sahib apny taboot e sakena me page#2 per dars e hidyet me farmya k sabit hwa k bazurgan e deen k tabarqaat ki Allah k han bari ahmiat hai or umet ko fayez jari kerti hai.......

Moulana sahib Taboot e sakina jesa k apny shoro me farmya k Adam (as)  ki trf Allah ne nazil farmya, anbia e karam ne bad me apni ashia is me rakhni shoro keen, ye Allah ki trf se shoro din hi se rehmet tha  ye darust nahi k Anbia e karam ke tabarqaat ki waja se rehmet tha. Dosri bat Anbia e karam or bazurgan e deen me zameen asman se bhi zyada fasla hai, koi bary se bara bazurg wali jo kuch bhi keh len, Taba Tabaeen, ki khaq bhi ni, or koi Taba Tabaeen, Tabaeen k baraber nahi, or koi Tabaeen Sahaba k baraber nahi, hatta k Sahaba e karam me bhi 3 catagories define hen (Allah ki trf se) jin me sab se motaber Badri Sahabi hen. Isi tarha koi Sahabi kisi Nabi k baraber nahi h, Anbia e karam k nafs ki zamanet Allah ne di hai, or kisi k bary Allah ne zamanet ni di, ye kisi bhi bazurgan e deen or Nabi me farq ka pata chalata hai.  Dosri bat abdullah bin ubai (munafiq e aazam) ko dafnaty waq iska beta jo Sahabi e Rasool guzry hen Hazrat Mohammet (saw)  k pas Apka (saw)  ka kurta leny ata hai jo de dia jata hai. aik Sahabi k istafsaar per Apny farmya tha "Yaqeenan mera kurta is bad-bakht ko Allah k azab se nahi bacha saky ga"

Edited by Mughal...
جناب درود تو پرا لکھا کریں
Link to comment
Share on other sites

Sawal number 2:

 

Apny sabit kia k bazurgan e deen ka jism jis qaber me ho ga wahan rehmateen hon gi, is logic k tahet fot shuda jism se zinda bateen kerta jism zyada behter hona chahiye, bhir Nabi (saw)  ka waqt her koi iman kion na le aya jb k Apka wajood on me mojood tha..?     kion bohet se logon per rehmet ki barish na bars saki jabky wo to rehmatoon k samunder me ghareq they.

Edited by Mughal...
جناب درود تو پورا لکھا کریں
Link to comment
Share on other sites

kion Umer e Farooq (raa)  ne wo shajer k jahan Ap (saw)  ne sahaba se baeet li thi (baeet e rizwan) ko jar se ukhar phenka tha?

 

Farooq e Azam wo hasti hen jin ki tareef me Allah ne Quran me farmya "Shida ala kufar".

 

Kia ap any is mantaq k haq me Quran ki koi ayet pesh ker sakty hen......? ya mustanad hadis.....?

 

kion k deen to Allah or Allah k Nabi ki perwi hai na k apka farman 

Edited by Mughal...
جناب درود پاک تو پورا لکھا کریں
Link to comment
Share on other sites

Ab me apko apki mantaq k khilaf Allah ka kalaam pesh kerta hun. Aik ghzwa (jang) me kuch log jany se reh gay kuch gher iradi or kuch jan bojh ker. Jab Ap (saw)  wapis tashrif lay to baqi reh jany waly bari bari Ap SAW k pas hazir hoty or on me kuch bahany bana k apko mutmain ker lety, jisky jawab me Allah ne ye Ayet utari:

 

Ye qasmee khaeen gay tumhary samny k tum razi ho jao inse, so ager razi ho bhi jao tm onse to be shak Allah razi nahi hota nafarman logon se.

 

Surah Touba 9, verse No. 96

 

Allah ke Nabi Mohammed (saw)  logon ko moaf ker rahy hen per Allah farma rahy hen, inki koi mafi nahi, ab kia kehty hen molana sahib........?

Edited by Mughal...
جناب آپ درود پاک تو پورا لکھا کریں
Link to comment
Share on other sites

Kamran_Hashmi

 

 

جناب آپ نے اپنی کسی پوسٹ میں بھی نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم پر مکمل درود نہیں 

کیا مکمل درود لکھتے وقت ہاتھ درد کر رہے تھے کیا؟

 

Warning

smiles per click ker app Darood Pak Add ker sakty hean 

آئندہ سے اپنی کسی پوسٹ میں اس قسم کی حرکت نہ کی جیئے گا ورنہ پوسٹ ڈیلیٹ کر دی جاے گئ

Link to comment
Share on other sites

kion Umer e Farooq (raa)  ne wo shajer k jahan Ap (saw)  ne sahaba se baeet li thi (baeet e rizwan) ko jar se ukhar phenka tha?

 

Farooq e Azam wo hasti hen jin ki tareef me Allah ne Quran me farmya "Shida ala kufar".

 

Kia ap any is mantaq k haq me Quran ki koi ayet pesh ker sakty hen......? ya mustanad hadis.....?

 

kion k deen to Allah or Allah k Nabi ki perwi hai na k apka farman 

 

یہ درخت کیوں کٹوایا گیا؟ وہاں صحابہ کرام رضوان اللہ تعالیٰ علیھم اجمعین کیا کرتے تھے اور کب سے کررہے تھے؟  برائے مہربانی ذرا اس کے بارے میں میرے علم میں اضافہ فرمائیں گے۔

جزاک اللہ

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

کیا وھابی یہ عقیدہ رکھتے ہیں کہ صحابہ کرام نعوذباللہ شرک و بدعت میں مبتلا تھے ؟

سیدنا عمر فاروق رضی اللہ تعالی عنہ نے وہ درخت نہیں کٹوایا بلکہ دوسرا درخت کٹوایا جس کے متعقلق غلط مشہور ہو گیا تھا کہ وہ بیعت رضوان والا درخت ہے۔

ابراہیم بن عبدالرحمٰن بن عبدالقاری بیان کرتے ہی
ں

میں نے حضرت ابنِ عمر رضی اللہ عنہ کو دیکھا کہ انہوں نے منبر نبوی کی وہ جگہ جہاں حضور صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم تشریف فرما ہوتے، اسے اپنے ہاتھ سے چھویا اور پھر ہاتھ اپنے چہرہ پر مل لیا۔    طبقات کبری ، شفاء شریف

حضرت موسیٰ بن عقبہ فرماتے ہیں۔
’’میں نے حضرت سالم بن عبداللہ کو دیکھا کہ وہ (حرمین کے) راستے میں کچھ جگہوں کو ڈھونڈ ڈھونڈ کر وہاں نماز پڑھا کرتے تھے اور وجہ یہ بیان کرتے تھے کہ ان کے والدِ گرامی (حضرت عبداللہ بن عمر رضی اﷲ عنہما) ان مقامات میں نمازیں پڑھا کرتے تھے اور انہوں نے حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو ان مقامات پر نماز پڑھتے دیکھا تھا۔‘‘     بخاري شریف کتاب الصلاة

Link to comment
Share on other sites

انبیاء علیہم الصلٰوۃ والسلام اور صلحاء اور ان کے آثار اور متعلقات سے تبرک حاصل کرنا جائز ہے جبکہ فتنہ اور عقیدے کے فسا د کا احتمال نہ ہو اسی معنی پر محمول ہے جو عبداللہ ابن عمر رضی اللہ تعالٰی عنہما سے مروی ہے کہ آپ نے بیعت رضوان والے درخت کو کاٹ دیا تاکہ نومسلم لوگ اس درخت کی وجہ سے فتنہ میں مبتلا نہ ہو جائیں تو تبرک کے جواز اور درخت کٹوانے میں منافات نہیں ہے اور ہمارے زمانے کے جاہلوں کا جو ایسے امور کا انکار کرتے ہیں کوئی اعتبار نہیں اہل محبت آثار کے متعلق شعر کہتے ہیں:؂


میں خاص دیار پر جو لیلٰی کا دیا رہے گزرتاہوں، میں اس کی دیوار اور اس دیوار کو بوسہ دیتاہوں، دیار والے میرے دل میں گھر کر چکے ہیں لیکن دیار میں رہنے والوں سے محبت ہے۔ واللہ تعالٰی اعلم۔


 


عہ:  کما ھو فی نسختی النسیم وصوابہ عن عمر ۱۲ منہ


 


(۱؎ نسیم الریاض  شرح الشفاء     فصل ومن اعظامہ واکبارہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم     دارالفکر بیروت    ۳/ ۴۳۴)

Link to comment
Share on other sites

Salaam,

Moulana sahib apny taboot e sakena me page#2 per dars e hidyet me farmya k sabit hwa k bazurgan e deen k tabarqaat ki Allah k han bari ahmiat hai or umet ko fayez jari kerti hai.......

Moulana sahib Taboot e sakina jesa k apny shoro me farmya k Adam (as)  ki trf Allah ne nazil farmya, anbia e karam ne bad me apni ashia is me rakhni shoro keen, ye Allah ki trf se shoro din hi se rehmet tha  ye darust nahi k Anbia e karam ke tabarqaat ki waja se rehmet tha. Dosri bat Anbia e karam or bazurgan e deen me zameen asman se bhi zyada fasla hai, koi bary se bara bazurg wali jo kuch bhi keh len, Taba Tabaeen, ki khaq bhi ni, or koi Taba Tabaeen, Tabaeen k baraber nahi, or koi Tabaeen Sahaba k baraber nahi, hatta k Sahaba e karam me bhi 3 catagories define hen (Allah ki trf se) jin me sab se motaber Badri Sahabi hen. Isi tarha koi Sahabi kisi Nabi k baraber nahi h, Anbia e karam k nafs ki zamanet Allah ne di hai, or kisi k bary Allah ne zamanet ni di, ye kisi bhi bazurgan e deen or Nabi me farq ka pata chalata hai.  Dosri bat abdullah bin ubai (munafiq e aazam) ko dafnaty waq iska beta jo Sahabi e Rasool guzry hen Hazrat Mohammet (saw)  k pas Apka (saw)  ka kurta leny ata hai jo de dia jata hai. aik Sahabi k istafsaar per Apny farmya tha "Yaqeenan mera kurta is bad-bakht ko Allah k azab se nahi bacha saky ga"

 

Salam alayqum wr wb,

 

Janab aap ko muqamal jawab likhta magar aap kee sense of reasoning meray jesay unpar banday kay samaj say bahir heh is leyeh mukhtasar jawab likh raha hoon. Agar aap thora clear ker kay apnay message ko likhen aur apni argument ko wazahat say likhen toh khadam zeroor tafseelan jawab deh ga.Aap kay underlined kay mutaliq yeh arz heh: “Those who believe, and adopt exile, and fight for the Faith, in the cause of Allah as well as those who give (them) asylum and aid,- these are (all) truthful mominoon: for them is the forgiveness of sins and a provision most generous. [Ref: 8:74] Muhajireen aur Ansar kee bakhshish kee zamanat Allah tallah nay Quran meh farma deeh. Aap apni taraf say scud missile mat choren.

 

Aap nay Abdullah bin Ubai kay leyeh jo RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam nay kurtay shareef ata keeya thah us kay mutaliq yeh sabat kerna chaha kay kurta shareef meh kohi barkat nahin thee. Janab RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam ka farman kay yeh kurta shareef Abdullah bin Ubai ko faida nahin deh ga is leyeh farmaya thah keun kay Abdullah bin Ubai haqiqat murtad thah aur musalmani'at zahir kerta thah. Abdullah bin Ubai jesa Munafiqeen kay mutaliq yeh ayaat zahir huwi: "Make no excuse; you have disbelieved after you had believed. If We pardon some of you, We will punish others amongst you because they were Mujrimûn." [9:65,66] Abdullah bin Ubai Kafir thah joh apnay aap ko musalman zahir ker raha thah, magar keun kay deen e Islam meh zahir ko dekh ker aur zubaan say iqarar per Islam gina jata heh is leyeh us ko musalmanoon meh gina gaya.

 

Agar RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay kurta shareef waja e barkat nah hota toh Sahabi e Rasool manqwata keun aur RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam detay keun. Jis cheese ka faida nahin us kee talab keun kee jahay aur RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam detay keun agar faida nah hota? Janab agar kurta shareef meh kohi khasoosiat nah hoti toh Yusuf alayhis salam apnay walid Yaqoob alayhis salam kay leyeh kurta nah behijtay: "Go with this shirt of mine, and cast it over the face of my father, he will become clear-sighted, and bring me all your family."  [12:93] Quran meh aya heh kay ek Nabi Yusuf alayhis salam nay Nabi Yaqoob alayhis salam kay leyeh kurta behja unoon nay woh kurta ankhoon per mala toh Allah tala nay kurtay shareef kee barkat say ankhoon kee nazr lota deeh:  "Then, when the bearer of the glad tidings arrived, he cast it (the shirt) over his face, and he became clear-sighted. He said: "Did I not say to you, 'I know from Allah that which you know not.'" [12:96] Abh dekhyeh kesay kurta shareef waja e barkat bana aur waseela e rehmat e illahi bana. Agar kurtay meh kuch barkat, kohi maqam nah hota toh kia faida behijnay ka? Kia jis Nabi nay kurta shareef behja woh pagal thay? Ya un kee towheed meh kohi kami peshi thee? Ya aap Quran o kareem ko behtr samjay hen Allah kay Nabi sallallahu alayhi was'sallam say?

 

Abhi khadam ikhtisar say kaam leeya heh warna khadam kay pass esa beesiyoon dalahil hen jin say RasoolAllah sallallahu alayhi wassallam kay kurta sharee, baal sharee, paseena mubarak, taq ko tabarruk kay tor per Sahabah alayhi ridwan nay istimal keeya aur woh be us waqt jab rasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam hayat thay. Agar aap ko shok ho toh khadam ko challenge ker kay dekh lenh. Allah subhanahu wa tallah kay karam say aap kee tabiat bahaal ker doon ga aur joh nasha towheed ka chara heh utar jahay ga. Jab likhtay hotay hen toh apni oqaat mat boola keren. Ghalti say ek doh hadesen per leen toh dosroon ko tanqeed ka nishana bana shoroon ho jatay hen. Jahil ko haq nahin kay woh un masail meh tanqeed keray jis ko us ka khud nahin pata. Adab aur adaab yeh hen kay aap forum meh ahay, chahay aap disagree kertay hen magar sawaal keren, aur jawab hasil keren aur phir un jawabat per mazeed sawal keren taqay aap ilm hasil ker saken. Kia aap samajtay hen kay yahan per agar kuch Quran aur Hadith kay khilaaf likh jahay ga ahle ilm hazrat khamosh rahen gay? Kia aap samajtay hen kay aap per hee sirf haq ka bhoot sawar heh? Aap abhi new hen yahan per aap say ziyada deen e Islam ka difa aur tableegh kernay walay mojood hen. Yahan per aap say kaheen ziayada ilm yafta mojood hen jesay kay hamara moaziz Hazrat Khalil Rana Sahib aur agar yeh hazraat kohi baat khilaaf e Quran o hadith hoti toh zeroor kuch nah kuch likhtay.

 

 

 

Sawal number 2:

 

Apny sabit kia k bazurgan e deen ka jism jis qaber me ho ga wahan rehmateen hon gi, is logic k tahet fot shuda jism se zinda bateen kerta jism zyada behter hona chahiye, bhir Nabi (saw)  ka waqt her koi iman kion na le aya jb k Apka wajood on me mojood tha..?     kion bohet se logon per rehmet ki barish na bars saki jabky wo to rehmatoon k samunder me ghareq they.

 

 

Meh aap kee mantaq ko ek aur tareekay say ghalat sabat kerta hoon. Kia hamara Rabb, Allah Rabbil alameen har cheez per qadir nahin? Bilqul heh! Kia Allah subhanahu wa ta'ala meh kohi kam o peshi heh? Allah subhanahu wa ta'ala kamil heh kohi kami o peshi o nuqs o nuqsaan nahin Allah kee zaat meh. Kia Allah kay Quran meh kohi kami o peshi o nuqs o nuqsaan heh? bilqul nahin, Quran toh Kamil Rabb ka kamil farman heh. Abh dekhyeh, jab Allah har cheez per qadir heh, kami o peshi, nuqs o nuqsaan, say bee paak heh aur us ka farman joh Quran heh woh bee nuqs o nuqsaan, kami o peshi say paak heh toh phir Allah ka Quran Mushrikoon, Sikhoon, Hinduwoon, Easahiyoon, yahoodiyoon ko qail keun nahin kar sakka? Kia yeh nateeja darust hoga kay Allah meh nuqs o nuqsaan, kami o peshi aur us kay farman meh wohi kami o peshi heh? Agar aap kee aqal e saleem huwi toh yaqeenan samajen gay kay, nah Allah subhahanhu wa tallah meh nuqs o nuqsaan, kami o peshi nah Quran meh, balkay yeh kami peshi un logoon meh heh jin kay wastay Nabi sallallahu alayhi was'sallam ko Quran kay saath behja gaya.

 

Wajood e Nabi e kareem (sallallahu alayhi was'sallam) ka ba barkat hona toh kohi bewaqoof hee inqaar keray ga. Thook mubarak joh RasoooAllah sallallahu alayhi was sallam kay moon mubarak say girta woh be ba barkat thah is leyeh Sahabah kiram aap kay thook mubarak ko moon per maltay thay, aur joh lotay ka pani bachta thah Sahabah kiram us kay leyeh lartay thay: "By Allah, whenever Allah's Apostle spat, the spittle would fall in the hand of one of them (i.e. the Prophet's companions) who would rub it on his face and skin; if he ordered them they would carry his orders immediately; if he performed ablution, they would struggle to take the remaining water; and when they spoke to him, they would lower their voices and would not look at his face constantly out of respect. Urwa returned to his people and said, "O people! By Allah, I have been to the kings and to Caesar, Khosrau and An-Najashi, yet I have never seen any of them respected by his courtiers as much as Muhammad is respected by his companions. By Allah, if he spat, the spittle would fall in the hand of one of them (i.e. the Prophet's companions) who would rub it on his face and skin; if he ordered them, they would carry out his order immediately; if he performed ablution, they would struggle to take the remaining water ..." [Ref: Bukhari, Book 50, Hadith 891] Jis Nabi sallallahu alayhi was'sallam kay moon mubarak ka thook aur chooha huway pani kay leyeh Sahabah kiraam apas meh laren kia us ka jism ba barkat nahin hoga? Janab yeh aap nahin, kay agar aap kissi ghost kee boti ko haath lagahen toh doh kuttay bee nah larren us boti kay leyeh, yeh aap kee zaat heh aur apnay aap ko dekh ker Nabi sallallahu alayhi was'sallam kay oopar qiyaas mat keryeh ga, warna joh hammeh aap kay musalman honay ka shuba heh woh door ho jahay ga. Nabi sallallahu alayhi was'sallam kee zaat e muqadissa ba barkat zaat heh is'see leyeh Sahabah kiram jesay buland o jannati group RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay thook mubarak aur chooway huway pani kay leyeh ek dosray say lartay thay.

 

Mukhtasar keeyeh deta hoon aap kay leyeh, jistera Quran aur Allah kay farmaan ko agar Mushrik qabool nah keren toh Quran aur Allah per nuqs nahin keeya ja sata aur yeh sabat nahin keeya ja sakta kay Allah kay farman meh nuqs o nuqsaan o kami peshi heh, is'see tera RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay jism e mubarak kee mojoodgi meh agar kohi imaan nah lahay toh RasoolAllah kay jism mubarak meh barkat NAH honay ka iqraar nahin keeya ja sakta. Allah kay Nabi sallallahu alayhi was'sallam kay jism e mubarak ka ba barkat hona upper sabat ker chooka hoon. Is leyeh aap kee jasarat ahle iman walay kee nahin. Ek aur misaal deh ker samjata hoon, RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam rehmatal lil alameen hen tamam jahanoon kay leyeh rehmat, abh agar kohi amal esa ho, misaal kay tor per RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam ka doraan e jang kissi kafir ko marna, ya zabiya e qurbani kerna, toh kia aap is bunyad per fori tor per RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay rehmatal lil alameen honay ka inqar ker denh gay? O jee, RasoolAllah nay camel kee qurbani kee, yeh rehmat kay manafi heh, joh rehmat heh woh jaan kesay leh sakta heh, lehaza rasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam baqi sab kay wastay rehmatal lil alameen hen magar camels per nahin. Kia aap esi chawal mantaq mar ker RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay rehmatal lil alameen kay mansub kee takhsees shoroon ker denh gay?

Link to comment
Share on other sites

kion Umer e Farooq (raa)  ne wo shajer k jahan Ap (saw)  ne sahaba se baeet li thi (baeet e rizwan) ko jar se ukhar phenka tha?

 

Farooq e Azam wo hasti hen jin ki tareef me Allah ne Quran me farmya "Shida ala kufar".

 

Kia ap any is mantaq k haq me Quran ki koi ayet pesh ker sakty hen......? ya mustanad hadis.....?

 

kion k deen to Allah or Allah k Nabi ki perwi hai na k apka farman

 

Ab me apko apki mantaq k khilaf Allah ka kalaam pesh kerta hun. Aik ghzwa (jang) me kuch log jany se reh gay kuch gher iradi or kuch jan bojh ker. Jab Ap (saw)  wapis tashrif lay to baqi reh jany waly bari bari Ap SAW k pas hazir hoty or on me kuch bahany bana k apko mutmain ker lety, jisky jawab me Allah ne ye Ayet utari:

 

Ye qasmee khaeen gay tumhary samny k tum razi ho jao inse, so ager razi ho bhi jao tm onse to be shak Allah razi nahi hota nafarman logon se.

 

Surah Touba 9, verse No. 96

 

Allah ke Nabi Mohammed (saw)  logon ko moaf ker rahy hen per Allah farma rahy hen, inki koi mafi nahi, ab kia kehty hen molana sahib........?

Zera intizaar farmayeh, Allah ta'ala kay karam say haq aur batal, kee tafseel meh likh doon ga. Thora sabr ek doh din meh Eid kee waja say masroof hoon is leyeh intizar farmaya yeh ga is opper walay hissay ka jawab chan gantoon kay baad likh doon ga.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

کامران ہاشمی صاحب نے لکھا ہے کہ کیوں عمر فاروق رضی اللہ عنہ نے وہ شجرکہ جہاں آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے صحابہ سے بیعت رضوان لی تھی اس کو جڑ سے اکھاڑ پھینکا تھا ؟

کامران ھاشمی صاحب ! یہ روایت طبقات ابن سعد کی ہے کہ امام نافع نے بیان کیا کہ حضرت ابن عمر رضی اللہ عنہ نے وہ درخت کٹوادیا تھا۔

عرض ہے کہ امام نافع کی یہ روایت منقطع ہے، لہذا آپ کا استدلال درست نہیں، جیسا کہ امام ابن حجر عسقلانی نے تہذیب التہذیب میں لکھا کہ کہا احمد بن حنبل نے  امام نافع جو حضرت عمر سے روایت کریں وہ منقطع ہوجاتی ہے۔

 

 

post-2742-0-03533400-1382001528_thumb.jpg

post-2742-0-10113700-1382001550_thumb.jpg

post-2742-0-69211600-1382001568_thumb.jpg

post-2742-0-82630300-1382001585_thumb.jpg

post-2742-0-41939700-1382001624_thumb.jpg

post-2742-0-13847000-1382001638_thumb.jpg

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

AlSalaam o Alaikum,

 

Molana sahib sb se pehly to mazret ke apni sabiqa post me darood type na ker saka, me is keyboard se familier nahi hun ye isi waja se howa (i am an overseas). Sosri bat ye k apky andaz e takhatib se ahsaas hwa ka apko mery sawalat pasand nahi aye jisky liy mazret chahta hun. Kuch Ayaat attach ker raha hun. braye meherbani inki tashrih farma dijiye. thanking

post-15123-0-67046900-1383061458_thumb.jpg

post-15123-0-94536900-1383061503_thumb.jpg

post-15123-0-54067900-1383061617_thumb.jpg

post-15123-0-35857100-1383061659_thumb.jpg

post-15123-0-59744000-1383061804_thumb.jpg

Link to comment
Share on other sites

aik safar k dauraan aik haji naybaatoon baatoon main batya kay khaana kaaba ke chat ko ghaur say daikhain to wahan aik sandook/dabba say nazar aata hay. jab barish ho to barish ka paani is sandook say takra kar maizabay rehmat ke taraf jaata hay.yaanee paani is sandook  ko boosa day kar parnaalay ke taraf jaata hay. wo kehnay laga dar asal tabootay sakina hay.  jis main anbieea karam kay tabarkaat hain. 

 

is saal ALLAH TAALA nay umrah kee saadat atta farmaee to khas taur par last floor par ja kar daikha to chat par maizabay rehmat  kay parnala k paas aik cornor main ail sandook nazar aa raha that.

 

ho sktay ha yahee taboot a sakina ho

 

    

 

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...