Jump to content

jasne nawarooz


ata_ho_ghame_madina

تجویز کردہ جواب

(wasalam) nawrooz shion ka khas din hay. jo ke hazrat ali (ra) ko khilafat milne ki khushi main manaya jata hay. zayada detail tu mujhe nahi pata. albata chonke ye pehle 3 khulfa e rashiden ki khilafat ko maaz Allah ghazibana o zalimana khilafat kehte hain is lye khushi manate honge.

wallahu aalam mujhe detail kahen se mili tu post karon ga. ya koi or members is par kuch share kar dain ge. insha Allah

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Nawroz mausam e bahar ki amad ka ailan aur Irani Calender ka Pahla Din hai. yani Persian New Year. Iran kay elawa Afghanistan mai bhe yehi calender follow kia jata hai. kam o baish har sal yei din 21 march ko manaya jata hai

 

is din Iran , Afghanistan,Azerbaijan,Turkamanistan,Tajikistan,Uzbekistan,Kazakhistan mai National Holiday hoti hai aur waha kay sunni musalman bhe yei din national holiday aur new year kay tuar pay manatay hain. Turkey, Iraq, Sham, Pakistan aur India waghaira mai bhe baaz loag (parsi ,shia ya farsi zuban or tahzeeb say muta'alik loag) yei tahwar manatay hain.

 

Nawroz kay mutaliq shia riwayat:

" yei wo din hai jab Allah (azw) nay Arwah say Meesaq lia tha kay wo Allah (azw) ko he Wahdaho la sharik manay gain aur usi ki ebadat karay gain.

yei wo din hai jab soraj ki pahli kiran zameen pay pari

yei wo din hai jab Hazrat Noah alaihislam ki kashti Joadi pahar pay ruki

isi din aik nabi alahislam ki qaum say 30000 loago ko Allah nay taoon ki waba say bhag janay kay baad halak kia aur phir nabi alaihislam ki dua pay unhain zinda kara. baz shia kitabo mai un nabi alaislam ka nam Kharqeel darj hai alaihislam

isi din Hazrat Ali (ra) nay khana kaba sharif mai 360 buto ka safaya farmaya.

isi din Hazoor e pur noor (saw) nay Ghadir kay muqam par Hazrat Ali (ra) ki khilfat ka ailan kia.

isi din Hazrat Usman ZunNorain (ra) ki shahadat kay baad Hazrat Ali (ra) khilafat milee.

isi din Hazrat Imam Mehdi (ra) dobara say zahoor farmaiay gain.

aur is din shio kay saray dosray Imam wapis dunya mai rujoo karay gain aur qayamat tak aik aik kar kay sab ki khilafat qayam hogee"

waghaira waghaira

baaz shia leader ooper ki bato say muttafiq hain aur baazay maslan khomaini waghaira is ka inkar kartay hain aur is din ki koi shia mazhab mai hasiyat nahe mantay laiken taqreeban tamam shia aamal aur wazaif ki kitabo mai Eid Nawrooz kay leay khososhi amal ka zikar milta hai..

 

Shiyat ko parwan Irani tahzeeb say mila is leay mairay khayal hai yei nawroz bhe isi leay shiaon kay han mazhabi rang ikhtiyar kar gaya..

 

(jallah)(saw)

wallaho wa Rasooluhu aalam

Edited by Saif ul Islam
Link to comment
Share on other sites

(ja) brother. tafseli information dene ka bohot shukria.

 

irani calendar ki kia tarteb hay? i think ye esawi year ki tarteb se manate hain.. march main har sal aik hi date ko hota hay.. i think....

 

hazrat noah (as) ki kishti koh e jodi par 10 muharam ko ruki thi.

 

main ne yahan kuch shion se suna tu unho ne sirf hazrat ali (ra) ki khilafat ka bataya k hum is lye khushi manate hain. inko apni beshter baton ka pata bhi nahi hota.

Link to comment
Share on other sites

asalamoalikum

aik aur info hay kah ISMAILIES bhe nawaroz manaty hain aur woh hazrat ALI alih salam ko manty hain tu woh un ki nisbat sy yeh tehwar manaty hain tu hum alihesunnat jamat waly bhe tu HAZRAT ALI ALIHSALAM ko manty hain tu hum yeh tehwar kun nahi celeberte krty

aur secondly is tehwar ki shariee hasiyat aur manany ka sahii tareeqa kia hay?JAZAKALLAH AZAWAJAL

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Irani calendar bhee ieswi(Gregorian) calendar ki tarah shamsi calendar hai is mai 12 maheenay hotay hain jin kay naam yei hai

1.Farvardin

2.Ordibehesht

3.Khordad

4.Tir

5.Mordad

6.Shahrivar

7.Mehr

8.Aban

9.Azar

10.Day

11.Bahman

12.Esfand

 

1 say 6 months tak saray 31 din kay jab kay 7 say 11 tak 30 din kay hotay hain aakhri maheena Esfand umooman 29 din ka hota hai laiken leap year mai 30 ka. kyu kay ieswi aur irani dono calendar shamsi he hain is leay irani new year march mai he aata hai 21 march ki tareekh ko he ziada tar yei jashn manaya jata hai..

 

Hazrat Nuh alaislam ki kashti ka baray mai aur dosri batain jo mai nay phichli post mai likhi thee wo shia nukta nazar hai baki sari bato'n ki tareekh bhe koi aur he ho sakti hai

 

shia ya ismaili nawroz Hazrat Ali (ra) ko khilafat milnay ki khoushi mai is leay manaatay hain kay un kay nazdeek pahlay teeno khulafa rasheedin m (ra) ki khilafat zalimana aur ghalat thee aur khilafat pay asal haq Hazrat Ali (ra) ka tha is leay jab un ko mil gaee tu is baat ka jashn hai yani dar asal yei jashan dosray khulafa m (ra) ki adawat ka muzahira hai. jo Ahlesunnat manana tu kia soch bhe nahe saktay kyu kay Ahlesunnat ka aqeeda yehi hai kay saray Khulfa Rasheedain m (ra) haq pay thay aur har aik sahabi (ra) ki tazeem karna aur mohabbat rakhna farz hai kyu kay un ki tazeem dar asal syedina Rasulullah (saw) ki tazeem hai.

aur na he yei hamara National Holiday hai tu maira nahe khayal is din ko mananay ka hamain koi jawaz hai.

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Irani calendar bhee ieswi(Gregorian) calendar ki tarah shamsi calendar hai is mai 12 maheenay hotay hain jin kay naam yei hai

 

(wasalam)(ja) bro. nice informations.

 

alihesunnat jamat waly bhe tu HAZRAT ALI ALIHSALAM ko manty hain tu hum yeh tehwar kun nahi celeberte krty

 

saif ul islam bhai ne sahi likha hay k ye 3 khulfa k bughz main ye din manate hain. khilafat tu baqi 3 khulfa ko bhi mili tu phir 1 kion 4 din celebrate karne chahyen.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...