Jump to content

Sadaqat ka Mayaar


Aamir Malik

تجویز کردہ جواب

sallam

 

mere es nai post banane ka maqsad sirf awr sirf yeh hai keh mein ne apni pehli post mein bhi kaha tha keh mein waqt barbar nhi krna chahta mein yeh nhi chahta keh hum loog aik dosre ki takzeeb krte rahain awr aik dosre ki khamyaan nikalte rahain humain Khuda Talla ne Quran e Karim jaise Kitab se Nawaza hai jo faisla krne wali hai uki taieed mein Ahadees ki Kuttab mojood hain .

 

ager es trah aik dosre ki takzeeb krte rahay to koe nateeja nhi nikal ske ga aisa hergiz nhi keh mere pass anti material nhi laiken yeh tareeq muslamani nhi

 

ap apni aankhoon se daikh skte hain jinhoon ne jhutlana hota hai unko sirf khamyan nazar aate hain ager mein jhoot bol raha hon to bataye keh yahood o nasaara q islam qubool nhi kr lete awr Muhammad e Mustafa SAW pe q nhi emaan lay aate eski wajja sirf yehi hai keh unko sirf Khamyan nazar aati hain awr unka tareeq bilkul ap logoon ki trah hai

 

Mirza sahib na to koe nya kalma lae hain awr na he koe nai shariat ....

 

mein wadda karta hon keh Ap k jo bhi etraaz honge mein sab clear kr donga laiken ager apne tehqiq ka tareeq apnaya too

 

mujy sirf apse etna pochna hai keh Quran e Karim mein kisi nabi k liye sadaqat ka kya mayaar hai....?

Link to comment
Share on other sites

(bis)

mere es nai post banane ka maqsad sirf awr sirf yeh hai keh mein ne apni pehli post mein bhi kaha tha keh mein waqt barbar nhi krna chahta mein yeh nhi chahta keh hum loog aik dosre ki takzeeb krte rahain awr aik dosre ki khamyaan nikalte rahain humain Khuda Talla ne Quran e Karim jaise Kitab se Nawaza hai jo faisla krne wali hai uki taieed mein Ahadees ki Kuttab mojood hain .

 

mr aamir kya takzeeeb sirf hum ker rahy hain ?

 

tumhary mirzy lannati ne to tamam dunya ki takzeeeb ki hay.

hawaly chahye to mil jayen ge.tumhain humari takzeeb to nazar aarahi hay jo hum mirzy lannati pe kr rahy hain lakin tumhain mirzy lannati ki takzeeb nazar nien aati.?

 

mein wadda karta hon keh Ap k jo bhi etraaz honge mein sab clear kr donga laiken ager apne tehqiq ka tareeq apnaya too

abhi tak to tum ne koi jawab dia nien agy kya jawab do ge.

mujy sirf apse etna pochna hai keh Quran e Karim mein kisi nabi k liye sadaqat ka kya mayaar hai....?

 

tum ne to ye poucha hay mien es ka jawab dun ga lakin mera bhi aik sawal hay.

sawal ye hay k mirzy k nazdeek quran ki kya haseyat hay?

umeed hay tum jald jawab do ge

Link to comment
Share on other sites

main kesay samjhaon apko

 

apne Mirza Sahib ko Nauzobillah Jhoota sabit krna hai na!

 

mein to fesla manoon ga Quran ka unhoon ne Ghair Tashrie nabi hone ka dawa kya hai ab mujy Quran se Nubwwat ki Sadat ka Mayyar bata do ager nhi maloom to koe baat nhi mein batane ko tyar hon

 

Quran jo bhi Sadaqat ka Myaar muqarr karta hai uspe Mirza Sahib ko Parkh k daikh lete hain ager Mirza Sahib Jhoote niklay to apka bhi bhala hoga awr mera bhi

 

to phir Janab ap zara Jaldi se bata dein keh Quran kya myar Muqarr krta hai

Link to comment
Share on other sites

apne Mirza Sahib ko Nauzobillah Jhoota sabit krna hai na!

LOL JHOTAY KO JHOTA SABIT KARNA HAY , HAY NA AIK NAIYA LATEEFA.LOL

mein to fesla manoon ga Quran ka

OK HUMAIN MANZOOR HAY.

unhoon ne Ghair Tashrie nabi hone ka dawa kya hai

QURAN SAY GHAIR TASHRIE NABI SABIT KAROO

ab mujy Quran se Nubwwat ki Sadat ka Mayyar bata do

AMIR SAHIB NABOWAT HOTEE HE SACHE HAY AIK NABI KE SADAQAT KA MAYAR POCHAIN TO WOH HUM BATA DAIN GHAY.PEHLAY SAWAL KARNA TO SEEKH LOO.

ager nhi maloom to koe baat nhi mein batane ko tyar hon

ABB TUM MAIYAR BHEE BATA OO GHAY OUR IS MEYAR PER MIRZA KO SABIT BHEE KAROO.AOUR PEHLAY YEH BATAOO AGAR MIRZA IS MAIYAR PER PORA NA UTRA KO KIYA MIRZEEYAT CHOR DOO GHAY KAY NAHIN.

Link to comment
Share on other sites

sallam

 

mere es nai post banane ka maqsad sirf awr sirf yeh hai keh mein ne apni pehli post mein bhi kaha tha keh mein waqt barbar nhi krna chahta mein yeh nhi chahta keh hum loog aik dosre ki takzeeb krte rahain awr aik dosre ki khamyaan nikalte rahain humain Khuda Talla ne Quran e Karim jaise Kitab se Nawaza hai jo faisla krne wali hai uki taieed mein Ahadees ki Kuttab mojood hain.

 

Aap ka masla yehi hai ke aap apni kahay jatay hain samnay walay ki suntay hi nahi. Aap apnay dil per haath rakh kar bataiye ke aap ne abhi tak mere aik basic sawal ka jawab diya? Mein aap se baar'ha pooch chuka ke janab Quran-o-Hadith ki tafasir-o-sharah mein kis ko aap mutabirr maantay hain? Iss seedhay se sawal ka jawab aap dete nahi aur phir takraar kartay hain ke Quran-o-Hadith se baat karo. Janab thora thanday dil se mere sawal per ghour kijiye. Jab tak aap ye nahi bataye gay ke aap ke nazdeek kaun si tafasir aur shurohaat mutabirr hain, dalail ka taiyunn kaisay hoga?

 

Maslan kisi maslay per aap aik Qurani ayat paish karein aur kisi qadiani ya xyz kisi ki bhi tafsir paish karein jo humaray nazeek ghair'mutabirr ho to bataiye ke kya hum per woh hujjat hogi? Issi tarah mein agar aap ko humaray akabireen ki tafasir aur shurohaat paish karo ga tu aap ye keh kar radd kar dein gay ye tu aap ke apnay mullao ki tafasir hain.

 

Tu janab dalail woh qabil-e-qubool hotay hain jo fareeq-e-mukhalif ke liye bhi mutabirr hon. Mein ya koi bhi doosra agar Mirza ki kitabo se hawala deta hai tu aap per uss ko maanna lazim hai! Kyu ke aap Mirza ko, uss ki kitabo ko mutabirr samajhtay hain. Agar nahi samajhtay tu aik baar khul kar bata dijiye ke aap Mirza ki kitabo ko qabil-e-aitebaar nahi samajhtay. Hum uss se hawalay dena band kar dein gay.

 

Rahi baat Mirza ki kitabo se hawala paish kartay waqt tehreef ka dawa, tu issay sabit karna tu aap ki zimay'daari hai. Humaray akabireen ki kutb se hawala paish kartay howay deobandi/wahabi aksar tehreef kartay hain tu hum jawaban sirf itna tu nahi kehtay ke "Tehreef kardi". Hum uss tehreef ko hawalo ke saath sabit kartay hain ke janab ye thi asal ibarat ya mouqiff aur iss iss tarah tehreef kar ke maani badlay gaye. Aap ko agar lagta hai ke Mirza ki kitabo se hawalay dete waqt hum tehreef kar rahay hain tu aap apnay hi Nabi ke diffa mein uss tehreef ka parda chaak kar ke humari islaah karne se kyu ghabratay hain?

 

Mirza sahib na to koe nya kalma lae hain awr na he koe nai shariat ....

 

Ab mein iss mamlay per Mirza ki kutb se hawalay don ga tu aap bajaye jawab dene ke sirf yeh kar baat khatam kar dein gay ke "Tehreef ki hai". Kahiye aap ke Mirza ki khud'sakhta shariat ki jhalkiya dikhao? Mirza ki kitabo mein jageh jageh aisay usool moujod hain jo Shariat-e-Muhammadi (saw) mien moujod nahi.

 

mein wadda karta hon keh Ap k jo bhi etraaz honge mein sab clear kr donga laiken ager apne tehqiq ka tareeq apnaya too

 

Dekh lijiye, ab aap ne wada bhi kar liya. Mere sawalaat pehlay hi aap per udhaar hain. Pehlay wada nibhatay howay sirf unhi ka jawab de dijiye. Aur jaha tak baat hai tehqeeq ki tu aap ne kya tehqeeq karli Mirza per? Tehqeeq ke liye lazim hai ke aap mukhalif ka mouqiff bhi janay. Aap ne kabhi ye zehmat ki? Aap ko tu Mirza ki Khazain ka hawala bhi deta hon tu aap jawab dene se katraatay hain. Mirza ki Khazain aur deegar books aap hi ki official website per dastiyaab hain. www.alislam.org.

 

Aap ko bus yehi samajh dawa kartay hain ke hum Mirza ke mukhaliff ulema ki kitabo se hawala parh kar naql kar rahain hain. Iss zaman mein Allah (azw) ki qasam kha kar kehta hon ke Mirza ke baray mukhalif ulema ki kitabo mein jo hawalay hain unn mein se beshtar mein ne khud aap ki official website per moujod kutb se tasdeeq ke baad yaha post kiye hain. Aap ko yaqeen nahi tu bataiye mein uss kitab ka link, page number waghaira sab bataye deta hon.

 

mujy sirf apse etna pochna hai keh Quran e Karim mein kisi nabi k liye sadaqat ka kya mayaar hai....?

 

Janab mubahissa ka ye usool nahi hota ke aap sawaal kartay jaye aur agla jawab deta jaye. Ab tak aap ke kaafi sawalo ka jawab hum dete aye aur iss ka jawab bhi zaroor dein gay lekin pehlay humaray kuch sawalaat ka jawab bhi dein takay baat agay barhanay mein asaani ho. Mein aap ke issi sawal ka jawab agar Qurani ayat se bhi deta hon aur tafasir paish karta hon tu iss baat ki kiya zamanat ke aap unn tafasir ko mutabirr samajh kar qubool karein gay?

 

Issi liye mein aap se baar'ha pooch chuka ke iss zaman mein kuch irshad farmain magar her baar aap ne iss seedhay se sawal ko nazar'andaaz hi kya hai. Umeed karta hon iss baar aap ko baat samajh aa jaye gi aur jawab dein gay.

Link to comment
Share on other sites

Nubwwat ka Mayyar sirf batao Quran se Quran sab ka aik hai mein tafseer ki baat nhi kr raha....

 

Mirza ka Quran doosra hai! New topic jald hi post karo ga parh lijiye ga. Aur rahi baat ke tafsir ki baat nahi kar rahay tu jawab dijiye ke kyu nahi kar rahay? Tafsir per baat karne mien kyu jaan jaa rahi hai? Mirzai apni marzi ke tarjummay kartay phirein tu woh humaray liye hujjat nahi.

Link to comment
Share on other sites

unka Quran wohi hai to sab ka hai woh koe na to nai shariat lay hain awr na he kitab ap loog jo common sense ki bateen nhi samjh skte kahan aik Khuda k Nabi ki bateen samjhein gay her Nabi per aik he trah aik etrazaat hote aae hain

 

mein ne saaf saaf kaha tha keh jo ap ka Quran awr apki Tafseer hai usse dikhao keh Quran mein Saddaqat ka kya mayyar hai

 

ya to shayad apko pata he nhi keh Nabi ki Saddaqat ka Mayyar kya hota hai ya phir ap bas kujj behsi mein lagay rehna chahte hain

 

mera yeh challange hai ap Quran se Jo apk Nazdeek sahi hai us se Mujy Nabi k sadiq hone ka Mayyar bataeen mein Mirza Sahib ko us per Sabit kr k dikhao ga ager na dikha saka to Ahmadiyyat chor kr aik bar phir se Ahle Sunnat ho jaonga awr Mirza Sahib ki Mukhalfat krne mein paissh Paissho hunga.

 

 

ab ager ap logoon ne Idhar udhar ki tamac toyyan mareen to mein yahi samjhoon ga keh apko Quran ka knowledge hai nhi awr Lagay rehte hain Kajj behsiyoon mein

Link to comment
Share on other sites

(bis)

unka Quran wohi hai to sab ka hai woh koe na to nai shariat lay hain awr na he kitab ap loog jo common sense ki bateen nhi samjh skte kahan aik Khuda k Nabi ki bateen samjhein gay her Nabi per aik he trah aik etrazaat hote aae hain

 

aamir malik chalo tum ye sabit kr do k mirzy ka quran wo hi hay jo sab muslims ka hay?

tum chahty ho k sab tumhary sawal ka jawab dain aor koi tum se sawal na kary.

tum ne abhi tak ksi sawal ka jawab nien dya?

mein ne saaf saaf kaha tha keh jo ap ka Quran awr apki Tafseer hai usse dikhao keh Quran mein Saddaqat ka kya mayyar hai

 

Nubwwat ka Mayyar sirf batao Quran se Quran sab ka aik hai mein tafseer ki baat nhi kr raha....

 

aamir tumhari apni baat mien tazaad hay tumhari baat aikdosry se milti hi nein.

abhi keh rahy ho k apny quran aor tafseer se dekhaow aor pehly kaha tha k mien tafseer ki baat nien ker raha

ab tum batow k tumhari koun si baat mani jaye?

kya tum apni tafseer aor quran se mirzy ko sabit ker sakty ho?

Link to comment
Share on other sites

@ ASHIQ KOUN

 

My dear mere pass to mayyar bhi hai awr saboot bhi mein sirf ap logoon ko dekhna chahta hon keh Quran se apko koe waqfiat bhi hai ya sirf Mullah se Mirza Sahib k Khilaf Material la la kr post krne ka theeka lea howa hai apne

 

 

Ager Nubwat ki sadaqat ka myyar apko nhi maloom to saaf saaf lafzoon mein keh do keh hum Quran se etne ashna nhi tab mein bata bhi dunga awr sabit bhi kr dunga

 

ager sirf kajj behsi krne hai to ap logoon ki marzi jitna chahe kr lein awr apne apko sabit krte jaein keh ap bhi Nabyoon per aitrazz krne wale hain na keh manne wale

 

@ ASIM

 

Asim tum ja kr Qadian mein tableegh shiroo kro tum to Qadyanion k nabi ho na KHUDA KI TRAF SE?

Mayyar to mein dikha do lekin pehlay mein yeh dekhna chahta hon keh Naam Nehad Ulma e Ahle Sunnat mein se ko hai jo Quran se aik Nabi ki Sadiq hone ka Mayyar batae????

 

 

Lao Lao Jaldi se lao mein to entazaar kr raha hon

Link to comment
Share on other sites

LOL JHOTAY KO JHOTA SABIT KARNA HAY , HAY NA AIK NAIYA LATEEFA.LOL

Ap Quran se aik Nabi ki saddaqat ka mayyar to laein

OK HUMAIN MANZOOR HAY.

kufr toota khuda khuda kr k

QURAN SAY GHAIR TASHRIE NABI SABIT KAROO

to goya Ahle sunnat k nazdeek ghair tashree nubwat nhi hoti awr aj tak koe ghair tashree nabi nhi aaya?????

AMIR SAHIB NABOWAT HOTEE HE SACHE HAY AIK NABI KE SADAQAT KA MAYAR POCHAIN TO WOH HUM BATA DAIN GHAY.PEHLAY SAWAL KARNA TO SEEKH LOO.

LOLZ! Hans hans k mere pait mei dard ho gya enta acha lateefa sunane ka shukrya Asim ap thora khisaak gai ho Mental Dr k pass jane ki zurruat hai apko ager nabwat hote he sachi hai to Maslyma ki Nubwat kya thi?,,,, phir Mirza Sahib ki Nubwat ko Q nhi maan lete mein to chahta bhi yahi hon keh mayyar la kr dikhao

ABB TUM MAIYAR BHEE BATA OO GHAY OUR IS MEYAR PER MIRZA KO SABIT BHEE KAROO.AOUR PEHLAY YEH BATAOO AGAR MIRZA IS MAIYAR PER PORA NA UTRA KO KIYA MIRZEEYAT CHOR DOO GHAY KAY NAHIN.

mein ne kab kaha keh Mayyar bhi mein he bataonga ap na batao????? mein to apko dawat day raha hon keh Nabi ki Sadaqat ka Mayyar kya hai Quran mein Khuda ra bataye ????????????????????????????

Link to comment
Share on other sites

Ap Quran se aik Nabi ki saddaqat ka mayyar to laein

 

kufr toota khuda khuda kr k

QURAN SAY GHAIR TASHRIE NABI SABIT KAROO

to goya Ahle sunnat k nazdeek ghair tashree nubwat nhi hoti awr aj tak koe ghair tashree nabi nhi aaya?????

LOLZ! Hans hans k mere pait mei dard ho gya enta acha lateefa sunane ka shukrya Asim ap thora khisaak gai ho Mental Dr k pass jane ki zurruat hai apko ager nabwat hote he sachi hai to Maslyma ki Nubwat kya thi?,,,, phir Mirza Sahib ki Nubwat ko Q nhi maan lete mein to chahta bhi yahi hon keh mayyar la kr dikhao

mein ne kab kaha keh Mayyar bhi mein he bataonga ap na batao????? mein to apko dawat day raha hon keh Nabi ki Sadaqat ka Mayyar kya hai Quran mein Khuda ra bataye ????????????????????????????

 

Mirzaiyoo ke Quran-o-Hadith per aqaid per alehda topic post kar diya hai. Pehlay waha aa kar jawab tu dein ke aap ka Quran kaun sa hai phir Quran se dalail talb kijiye ga. Aur waisay bhi usooli tour per bhi yaha aap ke kisi sawaal ka jawab denay ka paband nahi kyu ke aap sirf sawal kartay hain aur jawab milta hai tu topic adhoora choor kar doosray topic ki taraf chalaang laga dete hain. Aur jab hum sawaal kartay hain tu unn sawalaat ka jawab dene mein aap ki sari Mirzai (na'paid) ghairat raffo'chakkar ho jati hai.

Link to comment
Share on other sites

Ap logoon k Nazeek jo bhi Quran sahi hai awr Jo bhi tafseer dursut hai ap laeen Hum usi pe Hazrat Mirza Sahib ko parkh lein gay mujy sirf yeh dekhna hai keh ap logoon ko yeh bhi pata hai ya nhi keh kisi ki sachai ka mayyar kya hota hai ya bas sirf aitraazz krna aata hai

 

 

mein ne pehlay he kaha tha keh mien to baat karunga Quran o Hadees se

 

sare ab aik dosree ka munh daikh rahay hain jab apko yeh he nhi pata keh Quran mein nabi ki sachai ka kya mayyar hai to phir lagay raho aitrazz krne Yahoodyoon ki trah jaise woh 1400 saal se Khuda k sachay Nabi per sirf aitrazaat krte ja rahay hain

 

 

mein ne kaha tha na keh ap logoon mien aksar aise hain jin ko Namaz ka tarjuma he nhi aata awr jab Mirza Sahib ki baat hote hai to Yahoodyoon ki trah apni zubaan 6, 6 fit kr lete hain

 

Mein to apko Challange day raha hon challange ....

 

ager thori c bhi ap logon mein GHAIRAT Baqi hai to Quran se meri baat ka jawab do mein apk Her Elazaam ka Jawab donga lekin Faisla sirf Quran ka chalay ga kisi aire ghaire ka nhi

Link to comment
Share on other sites

Hazrat ye tu sawal gandum jawab channa wali baat ho gai. Quran se Imkaan-e-Nabuwat ke maslay ko chooriye, apnay qoul ke mutabiq Mirza ko Quran se sacha sabit kijiye. Aap ke iss copy+paste article ke "Page 10" per diye gaye "4-5" nuqaat ko wazeh kijiye. Baqi alislam se ye 48 pages ka poora article chaapnay ki zaroorat nahi. Aur aap se aik choota sawal aur. Allah ke Nabi Masoom hotay hain. Iss per baat aap yaqeen rakhtay hain ya nahi?

Edited by Sybarite
Link to comment
Share on other sites

zara sabar karo aj Atmam Hujjat krne walla hon...Phir apko Khuli chuti ho gi

 

Ye article mein already parh chuka janab. Page 10 per diye gaye 4th aur 5th nuqtay ka jawab dijiye ga jo iss article ke page 34 se start ho raha hai, poora article paste kar ke topic ko toul na dijiye ga.

Edited by Sybarite
Link to comment
Share on other sites

ab eska jawab dena apka kaam hai ....Apki to Ghairat marrr gai the saddaqat batae howe.....

 

Miya kya howa? Copy+paste ki salahiyatt kaha marr gai? Lakeer ka fakeer ban kar poora article paste karne ke mood mein thay aap, mein ne tu sirf itna kaha hai according to the topic jo baatein hain woh pages paste kar dein. Aap ne article ke woh pages paste maar diye jin ka iss topic se koi lena dena nahi aur mein ne aap ko tanbeeh kar di tu jall bhun kar raakh howay jaa rahay hain. Zaatiyaat per utar anay se kuch sabit nahi kar paye gay aap. Jaldi se paste kijiye page 34 se onwards, takay sab ke samnay aap ki iss article ka post-mortem kiya jaa sakay. Shabaash! darnay ki koi baat nahi.

Edited by Sybarite
Link to comment
Share on other sites

Wallah! Tuff hai aisi koorh'maghzi per! Miya aaj se pehlay kisi forum per discussion ki bhi ya pehli baar ka bukhaar hai ye aap ka? Mein yaha iss topic mein aap ki post ka intizaar kar raha hon aur aap waha topic pe topic banaye jaa raha hain! Aik hi article ko 4 alag topics ki soorat mein post karne ka maqsad bayan karein gay? Ya aap apnay start kiye howay topics ki tadaad barha kar khud ko fateh qaraar dene ke mood mein hain?

 

Waqai bad'mazhabo mein common sense kaafi uncommon hai!

 

Khair abhi tu office mein hon per fiker na karein aap ke iss copy+paste shahkaar ka jawab jald hi mousol hoga, intizaar farmaiye.

Edited by Sybarite
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...