Jump to content

tamam doston sey 2 sawalat (pehla sawal)

Nasir Noman

تجویز کردہ جواب

(salam) Sage Attar bhai and all muslims

Nasir nauman sahab ka aqida yei hai kay Allah azzawajal wahdaho la sharik tu hai magar jo insan zinda ho Allah us ko apnay sath sharik kar laita hai aur us banday say madad hasil karna shirk nahe balkay haqooq ul abad ban jata hai yani shirk jaisa gunah na sirf shirk nahe rahta balkay sawab ho jata hai aur us banday kay martay hi us say madad hasil karna phir shirk ho jata hai. aur Sage Attar bhai kay reply mai aayat jo unho nay paish kee apnay tarjumay kay saath us say aqida sabit karna chaha kay Allah azzawajal kay siwa jis ko bhe pukara jaiay jo khaliq o malik na hu zameen o asman ki takhleq karnay wala na ho tu wo sarasr shirk hai tu ab yei pocha jaiay kay janab Nasir numan sahab is aayat ki ro say tu maan ka bacho ko mia ka biwi ko bacho ka baap ko is ka us ko har kisi ka har kisi ko pukarna shirk sabit hota hai kay Allah kay siwa na koi khaliq hai na malik na zinda na murda..... magar phir apni he baat say mukar jatay hain.

Aisi tauheed say Allah ham sab ko bachaiay aamin.

wasslam o ala man itabail huda

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 97
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Nasir Noman sahab, aik baar phir aap ne hatt'dharmi ka muzahira kartay howay koi jawab diye baghair bilkul hi alag masail per baat karna shuru kar di jin ka iss topic se koi lena dena nahi. Mein iss topic per aap kiye gaye woh tamaam sawalaat ki summary bana kar likh raha hon. Baray-e-mehrbaani pehlay inn ka jawab dijiye.

Queries by Ya Mohammadah bhai

1. Ye sahab kis maslak ke hain or kya wo maslak naji hai ?

2. Inky nazdeek baki firqay kyu nari hain kyu batil hain ?

3. Ya ye sahab sary firqo ko naji samjhty hain kya inky nazdeek sabhi firqay haq par hain?

Iss ke jawab mein simply apnay tabqa-e-fikr ya maslak ka naam bataiye aur jin firqo ko aap ghalat samajhtay hain unn ke naam likh dijiye.

Queries by Sagg-e-Attar bhai

2. Saudiyon Ki Arab Per Hakomat 1924/25 Sey Start Hoyi Is Sey Pehley Arab Per Kis Ki Hakomat Thi? Aur Jo Hakomat Thi Woh Kab Sey Thi Nez Us Hakomat Key Kiya Aqaid They?

Jawab mein ba'maa hawalajaat bataiye ke kis maslak ke logo ki hukumat thi, kab se thi aur unn ke Aqaid kiya thay ya kis aaj ke kal kis moujodah Maslak ki tarah thay.

3. Ulema-e-Pak-o-Hind (Barelavi) Tu Ajami Hain... Ager Wohi Aqaid Arabiyon Sey Sabit Ho Jayen (Nazr-o-Niyaz, Milad, Waseela Etc) Tu Phir Woh Ulema Bhi Barelavi Kehlayen Gey Ya Aap Un Sab Hawalajaat Ko Bila Saboot Barelaviyon Ki Tehreef Qarar Dey Dein Gey?

Aap seedhay seedhay jawab dijiye ke agar Arab ulema se ye aqaid sabit kar diye jatay hain tu aap unhay kya qaraar dein gay? Barelwi ya Arab? Aqaid ka saboot aamaal se nahi milta. Quran-o-Hadith ki taleemat per Musalman agar amal na karay tu kya woh taleemat ghalat hain ya amal na karnay walay ghalat?

5. Ulema-e-Pak-o-Hind (Barelavi) Tu Ghair Arabi Hain... Ager Yeh 100/150 Saala Najdiyon Key Ilawah Aarabiyon Ney Bhi Qurani Aayat Ki Wohi Tafseer Bayan Ki Hoo Jo Barelavi Kertey Hain Tu Woh Arabi bhi Ghair Arabi Kehlayen Gey? Ya Barelavi? Ya Unki Kutub Mein Barelaviyon Ney Tehreef Ker Di Bila Saboot?

Jo poocha ja raha hai uss ka jawab dijiye. Pichlay 100/150 sala Saudiyo ke ilawah, unn se pichlay jin Arabi ulema nay Quran-o-Hadith ki wohi tashreeh ki jo Barelwi Ulema kartay hain tu unn Arabi Ulema ki aap ka kya qoul hai? Aya ke woh Arabi ulema Barelwi kehlaye gay ya kuch aur?

1. Qabroon Per Mazaraat Banana Jaiz Hai ya Nhin?

2. Baqi-e-Pak Mein Sahaba-e-Karam Key Mazaraat Kis Ney Banwaye They?

3. Kis Ney Un Mazaraat Ko Dhaa Diya?

4. Jis Hakomat Mein Banaye Gaye They Woh Kaunsi Hakomat Thi Aur Kis Aqeedey Per Thi?

5. Ager Mazaraat Banana Aur Mazaraat Per Jana Barelaviyon Ka Kam Hai (Kiyon Wahabi Ghair Muqalid aur Deobandi Dono Iskey Against Hain) Tu Us Waqt Arab Mein Aisi Hakomat Kesey Bani Jab Key Aapki Pesh Kerdah Hadees Key Mutabiq Aisa Na Mumkin Hai.

Sawal bilkul seedhay hain tu jawab bhi isi andaaz se dijiye.

1. Mazaraat banana jayaz hai? Haa ya Naa? Agar nahi tu daleel paish kijiye.

2. Jannat-ul-Baqi mein Ashaab-e-Kiram ke mazaraat kis ne tameer kiye thay?

3. Kis ne Ashaab-e-Kiram ke mazaraat ko dhaya? Shakhsiyaat ke naam nahi maloom tu unn ka maslak bayan kijiye.

4. Jannat-ul-Baqi mein Ashaab-e-Kiram ke mazaraat ko dhaanay wali hukomat kaun thi. Shakhsiyaat ke naam nahi maloom tu unn ka maslak bayan kijiye.

5. Agar mazaraat banana aur un per jana Barelwis ka kaam hai tu uss zamanay Ashaab-e-Kiram ke zamanay mein mazaraat kis ne banaye kaun howay?

1. Aap Ney Jo Hadees Bayan Ki Hai Khaana-e-Kaba Ki Chabiyon Wali Iska Hawala Bama Sannad Pesh Kerein..

2. Aap Ney Dawa Kiya Hai Key Pori Dunya Mein Wahabi Aqaid Key Loug Hain.. Apney Dawey Per Daleel Pesh Kerein.

3. Dalail ka Ta'ayun Kerein.. Aapko Hum Apni Baat Sabit Kerney Key Liye Kahan Sey Dalail Dein.. Quran Sey? Hadees Sey? Ulema Ki Kutub Sey? Tareekh Sey? Jab Tak Aap Dalail Ka Ta'ayun Nhin Kerein Gey... Aap Sey Baat Nhin Ho Sakti...

1. Aap ne jo hadith paish ki thi uss ka mukammal hawala ba'maa sanadd likhiye. Aap ne jawab diya "Ibn-e-Majah, pg. 225", publisher ka naam likhiye.

2. Poori dunay mein Wahabi mojoud hai iss ka saboot paish kijiye.

3. Aap decide kar ke bataiye ke aap ko kisi baat ka saboot dene ke liye hum kya paish karein? Quran, Hadith, Aqwal-e-Aimma ya kuch aur?

Saif-ul-Islam bhai ne apni post mein ( http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...ost&p=22796 ) mein jin videos ke link diye hain uss se aap ko sari dunya mein Mahafil-e-Milad ka saboot nazar aya ya nahi.

Ab aaiye mere kiye gaye sawalat ki taraf;

1. Shia ke mutta ke mutalliq aqeeday se tamaam sunni ikhtilaaf kartay hain. Yaqeenan aap bhi kartay hongay, tu ye aiteraz unn ki kitabo mein moujoud aqeeday per hai. Yaa phir aap ko amli tour per kisi shia ko mutta kartay dekhne ke baad ikhtilaaf hai?

Yaqeenan aap ko Shias ke mutta ke aqeeday se ikhtilaaf hoga (Agar nahi hai tu bata dijiye). Tu Shias ka mutta ka aqeeda aap ne unn ki kitabo mein parha ya zaati tour aap ne Shia ko mutta ke aqeeday per amal kartay dekha? Aap hum se Milad ke zaman mein “amali saboot” ki demand kartay hain tu kya iss se ye matlab liya jaye ke aap ne Mutta bhi amali tour per hotay dekha hai? Agar nahi tu kyu?

Aap sab chooriye ye bataiye ke iss "josh-o-kharoosh" per aap ko shara'ee aiteraaz kya hai aur uss aiteraaz ki daleel kya hai.

Aap iss “josh-o-kharoosh” per shara’ee noiyatt ke aiteraaz ki daleel paish kijiye.

NOTE: Ye aap ki last warning hai. Inn tamaam awalaat ka mufassil aur ba'maa dalail-o-saboot jawab diye baghair agar aap ne agli posts ki tu aap ki posts ko mehfooz kiye baghair delete kar diya jaye ga. Umeed hai ke iss baar aap ko shayad ghairat aa hi jaye!

Link to comment
Share on other sites

Nasir Noman Sahib... Aap Her Bar Naya Topic Shurow Ker Detey Hain.. Aur Aapki Taraf Sey Awal Ta Aakhir Post Tak Dalail Ka Fuqdan Hai.. Suwalat Key Jawabat Nadarad... Mazeed Suwal Gandam Jawab Channa Key Misdaq Aap Her Post Key Baad Topic Change Ker Detey Hain...

Aap Ney Jo Ghair Ullah Ki Tareef Ki Hai... Aur Phir Pukarney Sey Zindah Ko Nikal Diya.. Is Per Aap Sey Bat Main Zaror Kerta.. But Sybrite Bhayi Ki Bat Sahi Hai...

Aap Ney Agli Post Mein Phir Madad Sey Kisi Dosrey Topic Per Aajana Hai.. Aur Pichley Suwalat Key Jawabat Ghaib... Waisey Aapki Madad Wali Post Aur Us Per Pesh Ki Gayi Aayat Tafseeli Jawab Asif Bhayi (Ya Muhammadah) Ney Dey Diya Hai... Isliye Aap Pehley Pichley Suwalat Key Jawabat Dein... Phir Kisi New Topic Ki Taraf Aayen..

Link to comment
Share on other sites

Nasir Noman sahab, baray afsoos ke saath phir kehna parr raha hai ke aap ki najanay kitnay ghantay ki mehnat rai'gaa gai.

Hum ne aap se apnay kiye gaye sawalaat ke jawabat ma'aa dalail-o-saboot mangay thay. Dalail-o-Saboot se muraad Quran-o-Hadith aur Aqwal-e-Aimma se istadlaal. Humaray nazdeek aap ki ya kisi bad'mazhab airay ghairay nattho khairay ki koi auqaat nahi ke hum uss ki paish'karda zaati mantak ko hujjat maan lein.

Misal ke tour per aap ne aik mantak baarha paish kar chukay ke "Najdi/Wahabi jo ke naslan Arabi hain, unhay Quran-o-Hadith ki woh taleemat kyu na samajh aieen jo Barelwi Ulema ko samajh aa gai. Najdi/Wahabi chonke Arabi hain iss liye unhay Barelwi Ulema se zyada samajh ana chahiye Quran-o-Hadith". Iss ka jawab aap ko tafseeli tour per mein ne aur Khalil Rana bhai ne de diya lekin uss ka jawab aap ne ajeeb hi raag alaapna shuru kar diye.

Aap doosri aqal se aari mantak ye paish kartay hain ke "Jis tarah Pak-o-Hind mein Mahafil-e-Milad aur juloos waghaira hotay hain bilkul ussi andaaz mein baqi dunya mein kyu nahi hotay". Iss ke jawab mein ne aap se seedha sa sawal kya ke "Jis tarah Pak-o-Hind mein Panj'waqta namaz se pehlay Azaan loudspeaker per di jati hai, ussi tarah Europe aur America mein nahi di jati, tu kiya iss se mein ye samjhein ke Europe aur America ke musalman Namaz se pehlay Azan nahi dete?" Aap ko iss ka jawab dene ki toufiq nahi howi. Her mulk ka apna rehn-sehn aur apnay qawaid hotay hain. Aur ussi hisaab se unn mumalik mein deegar Islamic tehwaar ki tarah Mahafil-e-Milad mein Pak-o-Hind se mukhtalif hoti hain, magar hoti zaroor hain. Unn Mahafil-e-Milad mein Salat-o-Salam bhi hota hai, Naat'Khuwani bhi hoti hai, Nazr-o-Niyaz bhi hoti hai aur jaha mumkin ho Juloos bhi nikalta hai! Ye mamolaat Najdi/Wahabi/Deobandi/Ghair'Muqallideen ke yaha rayaj nahi balkay in ke khilaf fatwa hai. Ye saray mamoolat hum Ahle'Sunnat wa al'Jamat Barelwi bhi kartay hain so sabit howa ke sari dunya mein Ahle'Sunnat wa' al'Jamat Barelwi ke hum'maslak mojoud hain.

Agar aap Mahafil ki zahiri noi'yyatt se uss ki Shara'ee haisiyatt ka andaza lagatay hain tu mera aap ko khulla challenge hai ke jis andaaz mein Islami Mumalik mein khosusan Pak-o-Hind mein Eid-ul-Adha manai jati hai, itni bari mandi lagti hai, Mawaishiyo ko sajaya jata hai, khullay aam road per Qurbani hoti hai, ussi tarah Eid-ul-Adha Europe aur America mein manaye janay ka saboot paish kar dijiye. Aap saboot paish karne se qasir rahein gay ke waha Eid-ul-Adha Pak-o-Hind ki tarah josh-o-kharoosh se nahi manai jati. Waha Eid-ul-Adha waha ke qanoon aur mahool ke hisaab se manai jati hai. Tu kya aap ye kahein gay ke Europe aur America mein Pak-o-Hind ke musalmano ka hum'maslak koi nahi?

Aap se sawal kya jaye tu jawab dene mein aap ko saanp soongh jata hai. Aur agar kabhi na'paid ghairat ka muzahira kartay howay reply kartay bhi hain tu uss reply ka na sarr hota hai na pair. Na koi daleel hoti hai na saboot. Poora thread sab ke saamnay hai khud imaan'daari se (jis ke mujhe aap se khuch khaas umeed nahi) dekh lijiye ke aap ne ab tak apna mouqiff sabit karne ke liye kya paish kiya hai? Apni zaati raye, apni zaati mantak ke ilawa aap abhi tak kuch bhi paish karne se qasir rahay hain aur agay bhi rahein gay.

Kehna tu nahi chahiye magar abhi tak aap se guftugo kar ke aap ki ilmi halat ka humein ba'khoobi andaza hai. Aap ko abhi hadith quote karne ka saleeqa bhi nahi maloom. Aap samajhtay hain ke hadith ke hawalay ke tour per "Ibn-e-Majah, page fala fala" likh dena kaafi hota hai aur agar usool tour per aap se pooch liya jaye ke hazrat publisher ka naam hi bata dijiye tu aap naak bhoon charha lete hain. Kisi ghissay pittay mullay ki kitabein parh kar unn kitabo se hawalajaat copy+paste karne walo ki halat aisi hi hoti hai.

Aap se barh’aa mein ne poocha ke Pak-o-Hind mein jis josh-o-kharosh se Milad manai jati hai iss josh-o-kharoos per aiteraaz karne ke liye aap ke paas koi Shara’ee wajeh hai, koi shara’ee daleel hai ke jis se Milad per ye josh-o-kharosh ghalat aur ghair’islami sabit hota ho? Aap se jawab nahi diya jata iss seedhay se sawal ka ulta be’sharmi se aap agay ajeeb-o-ghareeb posts kiye jatay hain.

Aap ki last posts aap ke paas yaqeenan mojoud hongi. Unhay dobara parhiye aur bataiye ke uss poori post mein kahi Quran-o-Hadith ya Aqwal-e-Aimma se istadlaal kartay howay aap ne koi aik bhi hawala paish kiya? Haa topic se hatt kar aap ne Ghair’Allah se istiaanat per Qurani Ayaat paish kardi.

Aap ko baar baar warn karne ke ba’wajood aap ne hatt’dharmi dikhatay howay ajeeb-o-ghareeb postings jari rakhi. Na pehlay aap ki kisi post mein Quran-o-Hadith se koi hawala moujod tha na ab hai. Aur majbooran jab humein aap ki post delete karni parien tu aap doosray forums per jaa kar typical Najdi baiwa ki tarah roonay lagay. Najdiyo/Wahabiyo ki 2 4 kitabein parhne se Islam nahi samajh aana Hazrat! Jis mislay per baat karna chahtay hain uss per pehlay thori tehqeeq kijiye aur phir kisi debate ya discussion ka hissa baniye. Warna doosri soorat mein aap sirf apna aur doosra ka waqt barbaad karein gay aur kuch nahi. Khair mujhay andaza hai ke ye mashwara bhi deegar baatoo ki tarah aap ko samajh nahi aye ga.

Aap ko iss forum per debate/discussion ke liye hamesha khush’amded kaha jaye ga lekin uss waqt ke jab aap saleeqay se baat karna seekh jaye gay.

Link to comment
Share on other sites

Assalam-o=ALikum,

pehley Sybarite bhai wada karey key ab koi humari post delet nahi kary gaey or hum apkey her aitraz ka jawab dain gey mager apney bhi humarey sarey aitrazat ka jawab dain gey ?

or ek waqat main ek hi hum sey baat karey ga sarey log ek sath reply nahi kary gey

jis bhai ko bhi koi jawab samjh aaey wo apna dalail jin sey hum bat kar rahy hongey un ko Privte Massage ker ga or sirif wo bhai hi humain dalail dain gey

sarey log ek sath nahi dalail dey gey.

Ghulam Mustufa bhai Sybaraite bhai sey poochh lain ager wo wo humain is topic per dobara discuss ki ijazat deytey hain to hum tayyar hain

Pehlay aap wada kar lijiye ke jawab wohi hoga jo poocha gaya na ke jazbaati taqareer. Aur jawab ba'maa hawalajaat-o-dalail hoga, personal experiences ya fala ne ye kaha, ya fala youn kartay hain wali baatein nahi hongi tu yaqeenan aap ki post ko delete nahi kiya jaye ga. Aap ko shayad ye ghalat fehmi hai ke hum aap ki awaaz ko daba rahay hain, lekin agar zara aqal se soochiye tu aisa karne ke liye aap ko iss forum se ban karne mein 2 minute nahi lagtay. Lekin hum aap ko baar baar mouqa diye jaa rahay hain ke shayad ab dhang ka jawab aye!

Khair, umeed hai iss baar aap tareeqay se jawab dein gay. Yaad rakhiye, jazbaati taqareer ki ab mazeed koi gunjaish nahi so jo bhi baat dijiye ga dalail-o-saboot ke saath kijiye ga.

Link to comment
Share on other sites

Assalam-o=ALikum,

Ghulam Mustufa bhai Sybaraite bhai sey poochh lain ager wo wo humain is topic per dobara discuss ki ijazat deytey hain to hum tayyar hain

Nasir Noman

(wasalam)

Nasir bhai jaisa Sybarite bhai ne kaha aghar app jawab uss cheez ka dain jo pochi jai tu phir thekh hai but zahir hai jab app say pochain kuch aur tu app ka jawab kuch aur ho tu phir delete nahi karni tu aur kiya karna hai.

Link to comment
Share on other sites

Pehlay aap wada kar lijiye ke jawab wohi hoga jo poocha gaya na ke jazbaati taqareer

Kia ap bata saktey hain key hum ney ap key kis sawal ka jawab nahi dia ?

. Aur jawab ba'maa hawalajaat-o-dalail hoga, personal experiences ya fala ne ye kaha, ya fala youn kartay hain wali baatein nahi hongi tu yaqeenan aap ki post ko delete nahi kiya jaye ga.

Ap jo dalail key liyain Buzrugan-e-Deen key Hawala jaat ya Ulma Deoband ki books key halawala jaat sey ager ap baat karma chahain gey to hum bar bar ek baat dohra chukey hian ab apko Quraan Pak key hawala jaat sey bhi apni bat sabit kertey hain (Attachment dekhiey.Quraan paak main kai jaga Allah Taala ney ye farmaya hai to koi to waja hogi jo Allah Taala bar bar Quraan main humain ager koi baat bata raha hai) key kis tarha Insan Buzrugan-e-Deen ko chhoarain balkey Allah ki bheji hoi aasmani books main kis tarha tabdeeli kerkey Allah key ehkamat ko apney maqasid hasil kerney key liyain Dunia sey chhupatey hain ya badal deytey hain jis ki waja sey logon main gumrahi pehlti hai or log such tak nahi ponch patey.

Ye perhiey or pora aakhir tak perhiey ga:

Hazrat Essa Alihey Assalam kia humarey bhi peghember nahi hain ?

yaqinan hain or intehai qabil-e-ehtaram hain

aaj kal Essaion ki Injeel main jo Essai Hazrat Essa Alihey Asalam key ehkamat pesh karty hian to Musalman kion inkar kartey hain?

Musalman kio in ehkamat ko tasleem nahi kartey ?

To kia is tarha Sarey Muslaman Hazrat Essa Alihey Assalam key ehkamat key munkar ho jatey hain?

Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho humarey 04th khalifa hain,

intehai qabil-e-Ehtaram hain

jab Shia Hazrat Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key aqwal apni books main pesh kar key apney aqeedey ko drust sabit karty hian,

to Sunni Muslaman kio nahi qabool kartey Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key Aqwal ko ?

to kia Sunni Musalman Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key ehkamat key mukar kehlain gey ?

is ka matlab ye hua key ager koi apko kisi Paghember ka hawala dey ker apna Aqeeda drust sabit karta hai to ap yaqin nahi kartey balkey inkar kartey hian key ye ho hi nahi sakta,

issi tarha koi ager Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho ka hawala dey ker apna Aqeedey ko drust sabit karta hai to phir bhi ap yaqin nahi kartey ,

akhir kio ??

kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty.

To kia Musalman per ye Ilzam lagey ga key aap kisi Paghember key Ehkamat key mukar hain ?

Kia ab ap ko ye baat samjh aarahi hai jo hum samjhana chah rahy hain?

Yaha ek bohat eham baat samjh aati hai jo aap bhi zehan main rakhiey ga key Insan logon ki likhi hoi books ko to chhorain Allah Taala key bheji hoi aasmani books main bhi Allah key ehkamat ko tabdeel kardeytey hain jis ki missal hum ney apko pesh ki,

Jis dunia main Asmani book main tadeeli ker key apni marzi ki baatain edit ki jasakti hoon.

Or jab Asmani book ko ager tabdeel kia jasakta ho or apney ghalat aqeedey sabit karney key lian Shia Hazrat ki books main muqadas hastion key hawala jaat pesh kiey jatey hoon.

Waha dunia sey kia umeed rakhi jasakti hai?

Sirif ek Quraan Pak hai jo sari dunia janti hai 1400 saal sey ek lafaz bhi na tabdeel hua or na kabhi hoga kio key Allah Taala apni aakhiri kitab Quraan Pak ki hifazat farma raha hai.

Kisi bhi Buzrugan-e-Deen ki book ko koi Musalman ka dushman utha ker ley jaey kisi printing press per or sirif chand lafzon ki tabdeeli kardey or baqi book ussi tarha hi rakhey or hata key publisher key naam main bhi tabdeeli na kary to ek aam Musalman ko jab ye book hath main pohnchey gi wo apna Aqeeda kia banaey ga ?

Issi tarha ager musalman ka koi dushman ager kisi dewbandi Alim ki book ko printing press main ley jaey or sirif chand lafzon ki tabdeeli kar dey or baqi sab kuch wo hi issi tarha rakhey or phir jab dosrey aqeedey key Musalman wo book perhain gey to wo Dewbandi Ulma sey nafrat nahi kary gey to or kia kary gey?

or issi nafrat key sath musalman apas main lartey rahy gey or Musalmano key dushman faida utha tey rahy gey?

“sirif ek nuqtey ki tabdeeli Mehram sey Mujrim bana deti hai’

(urdu main Mehram likhain or sirif ek nuqtey ka izafa kardian dekhain kia ban jaey ga)

To Sybaraite bhai is tarha sey Musalamano main Ikhtalafat pehheltey hain,

Is liyain hum apko dosrey tareeqey sey dalil dey rahy hain,

Jis ka ek hissa samjhney ka ap ney khud ek dafa iqrar kia or phir jab hum ney apko baqi hissa samjhaya to apney humari post delet kerni shoro kerdi:

Ye perhiey kia ye apkey alfaz nahi hain ?

Be'shakk Quran-o-Hadith Arabi mein hai aur jo ke Arab bashindo ki madri zaban hai aur unhay ba'haisiyatt apni qoumi zaban ke, Arabi per hum se zyada uboor hai.

Ya Allah tera Lakh Lakh shuker hai key kisi ney to humari sawal ka pehla hissa samjha.

Bohat shukria bhai ap ko ek hissa samjh aya ab ye baat pehley to sarey bhaion ko samjha dain jo bhai abhi tak ye baat nahi samjhey hain.

Apkey baqi baton ka bhi jawab dey tey hain.

Lekin jo mantak aap paish kar rahay hain woh samajh se bala'tar hai.

Apko ye samjh aagaya key ek matheri zuban waley or gher zuban waley ki samjh ka kia faraq hai Insha Allah apko baqi mantaq bhi dobara samjhney ki koshissh kertey hian.

Arabi hona be'shakk iss baat ki daleel ho sakti hai ke unhay Arabi non-Arabs se zyada achi samajh aa jaye.

Sarey dost jo bhi is thread ka abhi tak sawal nahi samjhey hain pehley ye samjh lain baqi agey ka jawab bhi dey tey hain.

Aap ko shayad ye ghalat fehmi hai ke hum aap ki awaaz ko daba rahay hain, lekin agar zara aqal se soochiye tu aisa karne ke liye aap ko iss forum se ban karne mein 2 minute nahi lagtay. Lekin hum aap ko baar baar mouqa diye jaa rahay hain ke shayad ab dhang ka jawab aye

Khair, umeed hai iss baar aap tareeqay se jawab dein gay. Yaad rakhiye, jazbaati taqareer ki ab mazeed koi gunjaish nahi so jo bhi baat dijiye ga dalail-o-saboot ke saath kijiye ga

Apka shukria key ap humain bar bar moqa dey rahy hain ,

Mager ager humari batain bewaqoofi wali thin to phir apko chahiey tha key in post ko delete nahi kertey or sari forum key liyain open rakhtey takey log humari zehni position ka andaza lagatey key hum kitney bewaqoof hain ?

Phir post delet kerney ka kia maqsad tha ?

Or apko ek bar phir wazeh kardia hai key jo sabot key sat hap bat karney ko kehtey hain hum un tareeqon sey kio nahi sabot deytey ?

Ager bat na samjh aaey to doobara perh lain ya hum sey doobara pooch lain.

Apka ek bar phir shukria humain baat karney ka moqa deyney ka,

Duaon ka talabgar

Nasir Noman

post-1849-1213771599.jpg

post-1849-1213771618.jpg

Link to comment
Share on other sites

Kia ap bata saktey hain key hum ney ap key kis sawal ka jawab nahi dia ?

Post abhi tak moujod hai parh lijiye dobara. Yaha forum per moujoud tamaam afraad ki aap yehi guzarish rahi hai ke jo sawal kiya jaye ussi ka jawab dein idher udher ki baatein kar ke apna aur humara time barbaad na karein. Sirf apni iss taza tareen post ko hi dekh lijiye. Khalil Rana bhai ki 2 post moujoud hai aur uss mein kafi sawalaat hain aap ki janib. Aap ne kisi 1 ka jawab dene ki bhi zehmat abhi tak nahi ki.

Ap jo dalail key liyain Buzrugan-e-Deen key Hawala jaat ya Ulma Deoband ki books key halawala jaat sey ager ap baat karma chahain gey to hum bar bar ek baat dohra chukey hian ab apko Quraan Pak key hawala jaat sey bhi apni bat sabit kertey hain (Attachment dekhiey.Quraan paak main kai jaga Allah Taala ney ye farmaya hai to koi to waja hogi jo Allah Taala bar bar Quraan main humain ager koi baat bata raha hai) key kis tarha Insan Buzrugan-e-Deen ko chhoarain balkey Allah ki bheji hoi aasmani books main kis tarha tabdeeli kerkey Allah key ehkamat ko apney maqasid hasil kerney key liyain Dunia sey chhupatey hain ya badal deytey hain jis ki waja sey logon main gumrahi pehlti hai or log such tak nahi ponch patey.

Kya aap ke nazdeek Quran mehfooz nahi? Kya aap ke nazdeek hadith mehfooz nahi? Simple haa ya naa mein jawab dijiye ga. Rahi baat buzurgan-e-deen ki kutb se hawalajaat ki aur unn mein doosro ki gai tehreef ki baat tu janab aap kya kehna chah rahay hain, ke jo bhi kitab aap ki mantak ki khilaaf hai woh tehreef shuda hai? Aap ye bataiye ke aap ne Quran-e-Pak ko jo Urdu tarjuma paish kiya woh kya aasmani hai? Hargizz nahi! Quran-e-Pak ke saray tarajim issi dunya ke logo ne likhay, tu aap ki mantak ke mutabiq tu Quran bhi mehfooz na raha so phir aap ko chahiye ke Quran se bhi istadlaal na karein!

Aap ki nirali mantak se tu sari dunya mein koi bhi kitab mustanadd na rahay gi! Ahadith bhi nahi, kyu ke Bukhari Shareef mein ahadith ko bhi Imam Bukhari ne jama kya. Aap kal ko kisi maslay per phans gaye tu shayad ye bhi keh dein gay ke Imam Bukhari nay tu apna matlab nikalnay ke liye ahadiths mein tabdeeli kar di!

Aur pehlay tu ye bataiye ke mein ne kab aap se sirf aur sirf Buzurgan-e-Deen ki kutb se hawalajaat maangay? Mein tu aap se kab se keh raha hon ke jo bhi baat kartay hain uss per Quran-o-Hadith aur Awliya-e-Kiram ki tafasir-o-tasaneef se hawalajaat paish karein. Aap buzurgan-e-deen ko layk-e-istadlaal nahi samajhtay tu Quran-o-Hadith se hi daleel paish kar dein! Quran-o-Hadith bhi aap ke nazdeek tehreef se mehfooz nahi kya? Even agar Quran-o-Hadith se bhi istadlaal kartay hain tu tafasir ke liye aap ko ulema ki taraf tu jana hi paray ga aur phir wohi baat aa jaye gi ke kis tafsir sahi kis ki ghalat. So iss baat ka bhi taiyunn kar lijiye ke aap ke nazdeek kaun si tafasir aur shurohaat mustanadd hain.

Hazrat Essa Alihey Assalam kia humarey bhi peghember nahi hain ?

yaqinan hain or intehai qabil-e-ehtaram hain

aaj kal Essaion ki Injeel main jo Essai Hazrat Essa Alihey Asalam key ehkamat pesh karty hian to Musalman kion inkar kartey hain?

Musalman kio in ehkamat ko tasleem nahi kartey ?

To kia is tarha Sarey Muslaman Hazrat Essa Alihey Assalam key ehkamat key munkar ho jatey hain?

Allah ne Quran-e-Pak nazil kar ke pichli tamaam Asmaani kitabo ko mansukh farma diya tu phir pichli kitabo ki taleemat per baat karna kaha ki mantak hai? Aap ki issi tarah ki ghair'mantaki batoo ki wajeh se aap ki post delete ki jati hain.

Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho humarey 04th khalifa hain,

intehai qabil-e-Ehtaram hain

jab Shia Hazrat Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key aqwal apni books main pesh kar key apney aqeedey ko drust sabit karty hian,

to Sunni Muslaman kio nahi qabool kartey Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key Aqwal ko ?

to kia Sunni Musalman Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key ehkamat key mukar kehlain gey ?

is ka matlab ye hua key ager koi apko kisi Paghember ka hawala dey ker apna Aqeeda drust sabit karta hai to ap yaqin nahi kartey balkey inkar kartey hian key ye ho hi nahi sakta,

issi tarha koi ager Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho ka hawala dey ker apna Aqeedey ko drust sabit karta hai to phir bhi ap yaqin nahi kartey ,

akhir kio ??

Shia hazrat ki kitabein khool kar ke parh lein. Unn ka apna aqeeda unn ki kitabo mein ye hain ke deen ka 90% hissa taqiya yaani jhoot hai! Ab khud bataiye ke jo banda khud kahay ke mein jhoota hon tu uss ki daleel kyu kar maan li jaye? Shia Hazrat Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) ki taraf jo bhi baatein mansoob kartay hain uss ki sanadd kya hai? Koi nahi tu phir unn ki jhooti baato ko kyu kar mana jaye. Haa jo aqwal Quran-o-Hadith ki taleemat ke mutabiq hain unhay hum zaroor mantay hain.

kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty.

To kia Musalman per ye Ilzam lagey ga key aap kisi Paghember key Ehkamat key mukar hain ?

Aap kya kehna chah rahay hain janab? Aaj tak kisi bhi Nabi bhi Allah ki ihkamaat ya uss zamanay ki Asmaani kitaab ke khilaf taleemat paish nahi ki. Ab Allah nay pichli tamaam asmaani kitabo ko khud mansukh kar ke Quran-e-Karim nazil farma di tu phir ye ilzaam tu be'tukka sa hi hoga ke aaj ke musalmaan pichlay Anbiya ki taleemat ke khilaaf jaa rahay hain. Hujjat Quran-o-Hadith hai janab! Koi Nabi Allah ke ihkamaat ke khilaaf taleemat de ye tu na'mumkin hai aur issay shayad aap bhi mantay hongay. Rahi baat Awliya-e-Kiram ki tu unn ki aqwal ko Quran-o-Hadith se parakh lijiye. Agar Quran-o-Hadith ki taleemat ki khilaf hain tu na'qabil-e-qubool aur khilaaf nahi tu jayaz! Aap ka masla ye hai ke aap sari dunya ke Aimma, Awliya ke aqwaal ko radd karnay per tulay hain lekin inn aqwal ke radd mein aap ke paas Quran-o-Hadith se koi daleel nahi. Agar aap ko lagta hai ke kisi kitab mein tehreef howi hai tu uss tehreef ko sabit bhi kijiye na! Aisa tu honay se raha ke hum Awliya ke aqwaal se hawalajaat paish kartay jaye aur aap sirf ye keh kar unhay radd kartay jaye ke iss mein tehreef howi hai uss mein tehreef howi hai.

Yaha ek bohat eham baat samjh aati hai jo aap bhi zehan main rakhiey ga key Insan logon ki likhi hoi books ko to chhorain Allah Taala key bheji hoi aasmani books main bhi Allah key ehkamat ko tabdeel kardeytey hain jis ki missal hum ney apko pesh ki,

Jis dunia main Asmani book main tadeeli ker key apni marzi ki baatain edit ki jasakti hoon.

Or jab Asmani book ko ager tabdeel kia jasakta ho or apney ghalat aqeedey sabit karney key lian Shia Hazrat ki books main muqadas hastion key hawala jaat pesh kiey jatey hoon.

Waha dunia sey kia umeed rakhi jasakti hai?

Jin aasmaani kitabo ko aap roo rahay hain unhay Allah nay hi nazil farmaya aur khud Allah nay hi mansukh farma dya. Tu phir uss per behs karnay ka faida? Jo cheez Allah nay mansuk kardi uss se ab agar koi Esai hawala de ya Muslim, koi faida nahi. Humaray liye kitab nazil howi Quran aur wohi humien rehnumari deti hai. Shia hazrat kya kartay hain woh aap ko un ki kitabein parh kar maloom ho jaye ga. Jin ke aqeeday ka 90% hissa jhoot hai unn se sach ki kya umeed.

Sirif ek Quraan Pak hai jo sari dunia janti hai 1400 saal sey ek lafaz bhi na tabdeel hua or na kabhi hoga kio key Allah Taala apni aakhiri kitab Quraan Pak ki hifazat farma raha hai.

Kisi bhi Buzrugan-e-Deen ki book ko koi Musalman ka dushman utha ker ley jaey kisi printing press per or sirif chand lafzon ki tabdeeli kardey or baqi book ussi tarha hi rakhey or hata key publisher key naam main bhi tabdeeli na kary to ek aam Musalman ko jab ye book hath main pohnchey gi wo apna Aqeeda kia banaey ga ?

Issi tarha ager musalman ka koi dushman ager kisi dewbandi Alim ki book ko printing press main ley jaey or sirif chand lafzon ki tabdeeli kar dey or baqi sab kuch wo hi issi tarha rakhey or phir jab dosrey aqeedey key Musalman wo book perhain gey to wo Dewbandi Ulma sey nafrat nahi kary gey to or kia kary gey?

Chaliye shukar Quran-e-Karim ko tu aap ne maan liya, ab aiye Quran ke tarjumay ki taraf. Aap ko Arabi tu aati nahi tu phir kaisay samjhay gay? Zahir hai tarjumay se, tu tarjuma karnay wala mutarajjim bhi tu tarjumay karne mnein khayanat ya ghalti kar sakta hai jis musalmano ke aqeeday bigar jaye. Tu ab ye bataiye ke kis alim ke tarjuma-e-Quran ko aap sahi mantay hain.

Rahi baat kitabo mein tehreef ki ke koi dushman kitab utha kar thori bohut tabdeeli kar ke baqi sab kuch as it is chaap de tu janab zahir hi si baat hai ke asli kitab ko badal kar hi tehreef karay ga. Tu jis alim ne woh kitab likhi, ya agar unn ka intiqaal ho gaya tu unn ke maslak ke logo ke paas asli kitab tu mojoud hogi na. Tu phir agar koi iss tarah ki tehreef shuda kitaab chaap kar market mein de ga tu zahir hai ye Ulema ki zimay'daari hai ke woh uss tehreef shuda kitaab ko radd kar dein aur awaam ko bata dein ke fala fala publisher se chapi howi kitaab mein tehreef hai ussay na parhein aur asli kitaab iss iss publisher ki hai ussay parhein.

Humaray maslak ke ulema ke naam se deobandiyo ne kaafi jhooti kitaabein chaap dien jo un ulema ne siray se kabhi likhi hi nahi. Tu hum un kitabo ki khull kar tardeed kartay hain ke ye kitabein jhooti hain. Hadaiq-e-Bakhshish jis per deobandi/wahabi aiteraaz kartay nahi thaktay uss mein bhi tehreef ki gai publisher ki taraf se. Tu humaray Ulema Toubah'nama chapwa kar publically aelaan kar diya ke iss kitab mein chapai ki ghalti howi, kuch ishaar idher se udher ho gaye, aur iss se hum tobah kartay hain (poori tafseel ki hadaiq-e-bakhshihs wala topic dekh lijiye ga)

So agar deobandiyo ka koi dushman kisi deobandi alim ki kitaab mein tehreef kar ke chaap deta hai tu zahir hai deobandiyo ke paas tu asli kitaab mojoud hogi. Woh kyu awaam ke samnay nahi boltay ke ye tehreef wali kitaab mein kuch baatein ghalat hai aur asli kitaab se mukhtalif hain? Khair ye aik bilkul alehda topic hai iss per phir kabhi tafseel se baat karein gay. Filhaal batana ye maqsood ke kitab mein tehreef ki jaye tu woh pakri bhi jaati hai.

Apka shukria key ap humain bar bar moqa dey rahy hain ,

Mager ager humari batain bewaqoofi wali thin to phir apko chahiey tha key in post ko delete nahi kertey or sari forum key liyain open rakhtey takey log humari zehni position ka andaza lagatey key hum kitney bewaqoof hain ?

Phir post delet kerney ka kia maqsad tha ?

Janab hum ne yaha koi circus tu khoola nahi howa ke jis ka jee chahay munh uthay bakwaas per bakwaas kar ke font size barha kar lambi lambi post karta jaye! Sirf aap ki bolti band karna maqsood hota tu mein aap ki tamaam posts delete kar deta aur ban bhi kar deta. Aqal'mand ke liye ishara kafi hota hai lekin aap ishara kya warnings ke baad bhi nahi samjhay tu zahir hai phir tu post delete honi hi hai. Rahi baat ke loog aap ki zehni position ka andaza laga lein tu uss ke liye aap ki gai posts jo delete nahi howi wohi bohut kaafi hain. Members ke comments already aap ko nazar aa rahay hongay, aisa tu nahi ke mein akela aap se keh raha hon ke aap jawab nahi dete. Iss topic per taqreeban saray hi members ne aap se yehi guzarish ki hai sawal ka jawab dijiye, idher udher ki baatien na karein.

Or apko ek bar phir wazeh kardia hai key jo sabot key sat hap bat karney ko kehtey hain hum un tareeqon sey kio nahi sabot deytey ?

Ager bat na samjh aaey to doobara perh lain ya hum sey doobara pooch lain.

Aur aap ki wazahat kis hadd tak ghair'mantaki hai iss ka jawab bhi mein aap ko de chuka. So ya tu ab usooli tour per dalail-o-saboot paish kijiye, ya phir agar aap apni mantak ko sahi samajhtay hain tu ussay sabit kijiye. Mein ne tafseeli tour per aap ki post ka jawab de diya. Ab aap ki baari.

Meri batoo ka jawab dene se pehlay Khalil Rana bhai ki posts ka bhi kuch jawab dijiye ga. Naiz aap ne post ke aakhir mein jo scans lagaye hain unn se aap kya sabit karna chahtay hain ye bhi tafseel se likh dijiye takay aap ko uss ka jawab diya jaa sakay.

Shukriya.

Link to comment
Share on other sites

Post abhi tak moujod hai parh lijiye dobara. Yaha forum per moujoud tamaam afraad ki aap yehi guzarish rahi hai ke jo sawal kiya jaye ussi ka jawab dein idher udher ki baatein kar ke apna aur humara time barbaad na karein. Sirf apni iss taza tareen post ko hi dekh lijiye. Khalil Rana bhai ki 2 post moujoud hai aur uss mein kafi sawalaat hain aap ki janib. Aap ne kisi 1 ka jawab dene ki bhi zehmat abhi tak nahi ki.

Bhai hum ney Khalil Rana sahib key bhi jawabat diey they jo apney 05 post delet ki hian ager apkey pas save hain to apko un main is ka jawab bhi mil jaey ga.

Ap chahtey hian key hum dobara jawab dain to hum dey dain gey mager pehley jab tak apko dalail wali bat nai clear hogi jab taka p nahi samjh sakey gey.

Is liyain pehley ye dalail wali bat cear kardain.

Kya aap ke nazdeek Quran mehfooz nahi?

Ap to humari post ka maqsad hi badal dey tey hain

Uski missal kuchh esey hain key kisi ney sirif itna suna key:

Allah Taala Quraan Pak main fermata hai key “Namaz key qareeb mat jao”

To sunney wala foran fatwa laga deyta hai

Phir agey ka jumla suntan hai key “mager jab Nashey ki halat main ho”

To apna fatwa wapis ley leyta hai.

Ek hi post main ek jumley ko tor dain gey to uska to matlab hi badal jaey ga poori baat perhain gey tab hi koi matlab nikalain gey ya adhi bat per hi fatwa lagadain gey ye perhiey apkey hi alffaz:

“Chaliye shukar Quran-e-Karim ko tu aap ne maan liya,”

Rahi baat buzurgan-e-deen ki kutb se hawalajaat ki aur unn mein doosro ki gai tehreef ki baat tu janab aap kya kehna chah rahay hain, ke jo bhi kitab aap ki mantak ki khilaaf hai woh tehreef shuda hai?

Ager hum ney koi apko kitab ka hawala dia ho tab ap ye bat kehtey key hum apney matlab ki baat ko sabit karney key liayin logon ki likhi hoi book ka hawala dey rahy hain or jab ap hawala dey tey hian to hum nahi mantey?

Aap ye bataiye ke aap ne Quran-e-Pak ko jo Urdu tarjuma paish kiya woh kya aasmani hai? Hargizz nahi! Quran-e-Pak ke saray tarajim issi dunya ke logo ne likhay, tu aap ki mantak ke mutabiq tu Quran bhi mehfooz na raha so phir aap ko chahiye ke Quran se bhi istadlaal na karein!

Allah ka ek bar phir shukar hai key ab aap ahista aahista humari muntaq ko samjhtey jarahy hain,

Jaha tak Quraan Pak main tabdeeli ka sawal hai wo apko jawab mil gaya hai ooper.

Mager jo tarjumey wali baat hai to ye hi to masla hai key Quraan pak key tarjumey main hi faraq hai jab hi aaj humarey darmian itney barey ikhtalafat hain us key liayin hi hum ney ye bunyadi sawal pesh kia hai.

Aaj jo bhi Barey Ikhtalafat hain wo sirif Quraan Pak ko samjh ka faraq hai,

Jo jesa Quraan Pak ko samjha or Tarjuma karta gaya or apney aqeedey banata gaya.

Ab humara asal sawal hi ye hai key Quraan Pak ki Kis ki samjh drust hai ?

Jab ek ek lafaz wohi sab key pas phir itna bara ikhtalaf kio ?

Aap ki nirali mantak se tu sari dunya mein koi bhi kitab mustanadd na rahay gi! Ahadith bhi nahi, kyu ke Bukhari Shareef mein ahadith ko bhi Imam Bukhari ne jama kya. Aap kal ko kisi maslay per phans gaye tu shayad ye bhi keh dein gay ke Imam Bukhari nay tu apna matlab nikalnay ke liye ahadiths mein tabdeeli kar di!

Apko chhoti chhoti bat bhi samjhani perti hai or wo bhi lafz ba lafz

Arey bhai likha to hai Jo Quraan Pak sey sabit ho wo drust hai.

Ye perhain pichhli post:

“kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty.”

Aur pehlay tu ye bataiye ke mein ne kab aap se sirf aur sirf Buzurgan-e-Deen ki kutb se hawalajaat maangay?

Kabhi ap ye poochhtey hain:

Or khud hi jawab ap key hi lafaz sirif ek line chhoer ker ye kehtey hain:

“ Mein tu aap se kab se keh raha hon ke jo bhi baat kartay hain uss per Quran-o-Hadith aur Awliya-e-Kiram ki tafasir-o-tasaneef se hawalajaat paish karein. “

Aap buzurgan-e-deen ko layk-e-istadlaal nahi samajhtay tu Quran-o-Hadith se hi daleel paish kar dein! Quran-o-Hadith bhi aap ke nazdeek tehreef se mehfooz nahi kya? Even agar Quran-o-Hadith se bhi istadlaal kartay hain tu tafasir ke liye aap ko ulema ki taraf tu jana hi paray ga aur phir wohi baat aa jaye gi ke kis tafsir sahi kis ki ghalat. So iss baat ka bhi taiyunn kar lijiye ke aap ke nazdeek kaun si tafasir aur shurohaat mustanadd hain.

Sybarit bhai ap post ko poora parha karian takey apko pichhli post yad rahy,

Humara asal sawal hi ye hai key Arab key Ulama (jin ki mother language arbi hai wo hi sab sey behter samajh saktey hain or ager Arab Ulama main ye Aqeedey key barey Ikhtalafat nahi hain to is ka matlab hai key Quraan Pak key tarjuma or tafseer key samjhney ki ghalti ek gher zuban (Urdu ya Hindi) waley ki hi hosakti hai jo Arab Ulma sey Aqeedey key Barey Ikhtalaf rakhtey hain?

Allah ne Quran-e-Pak nazil kar ke pichli tamaam Asmaani kitabo ko mansukh farma diya tu phir pichli kitabo ki taleemat per baat karna kaha ki mantak hai? Aap ki issi tarah ki ghair'mantaki batoo ki wajeh se aap ki post delete ki jati hain.

Baat gher mantaqi nahi hoti shayad ap samjh nahi patey.

Bhai kam az kam kahney waley ka maqsad to samjha kary.

Jab Allah ki bheji hoi asmani book main insane tabdeeli karsakta hai apna maqsad hasil karney key liayin to kia Musalmano ka koi dushman buzrugan-e-Deen ki books main likhey hoey ko nahi tabdeel karsakta Musalmano ko apas main laraney key liyain?

Shia hazrat ki kitabein khool kar ke parh lein. Unn ka apna aqeeda unn ki kitabo mein ye hain ke deen ka 90% hissa taqiya yaani jhoot hai! Ab khud bataiye ke jo banda khud kahay ke mein jhoota hon tu uss ki daleel kyu kar maan li jaye? Shia Hazrat Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) ki taraf jo bhi baatein mansoob kartay hain uss ki sanadd kya hai? Koi nahi tu phir unn ki jhooti baato ko kyu kar mana jaye. Haa jo aqwal Quran-o-Hadith ki taleemat ke mutabiq hain unhay hum zaroor mantay hain.

Akhiri line main ap ney khud hi is bat ka jawab dey dia jo hum kahna chahtey hain key ager koi baat Quraan or Sunnat sey takrati ho wo chahey kisi sey bhi mansoob ho hum usko tasleem nahi karty.

Aap kya kehna chah rahay hain janab? Aaj tak kisi bhi Nabi bhi Allah ki ihkamaat ya uss zamanay ki Asmaani kitaab ke khilaf taleemat paish nahi ki. Ab Allah nay pichli tamaam asmaani kitabo ko khud mansukh kar ke Quran-e-Karim nazil farma di tu phir ye ilzaam tu be'tukka sa hi hoga ke aaj ke musalmaan pichlay Anbiya ki taleemat ke khilaaf jaa rahay hain.

Ab ap khud hi batain ager apko mamooli mamooli bat nahi samjh aati to hum kia kary ?

Kis ney kaha key Musalman deegar Umbia-e-Kiram key bataey hoey rastey key Khilaf jarahy hain?

Ye dobara parhain:

“kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty.

To kia Musalman per ye Ilzam lagey ga key aap kisi Paghember key Ehkamat key munkar hain ?

Kia ab ap ko ye baat samjh aarahi hai jo hum samjhana chah rahy hain?

Yaha ek bohat eham baat samjh aati hai jo aap bhi zehan main rakhiey ga key Insan logon ki likhi hoi books ko to chhorain Allah Taala key bheji hoi aasmani books main bhi Allah key ehkamat ko tabdeel kardeytey hain jis ki missal hum ney apko pesh ki,

Jis dunia main Asmani book main tadeeli ker key apni marzi ki baatain edit ki jasakti hoon.

Or jab Asmani book ko ager tabdeel kia jasakta ho or apney ghalat aqeedey sabit karney key lian Shia Hazrat ki books main muqadas hastion key hawala jaat pesh kiey jatey hoon.

Waha dunia sey kia umeed rakhi jasakti hai?

Sirif ek Quraan Pak hai jo sari dunia janti hai 1400 saal sey ek lafaz bhi na tabdeel hua or na kabhi hoga kio key Allah Taala apni aakhiri kitab Quraan Pak ki hifazat farma raha hai.”

Ji Sybarite bhai parha ap ney hum ney kia likha tha?

Koi or bhai Sybarite bhi ko samjhey hum kia kahna chahtey hain?

Hujjat Quran-o-Hadith hai janab! Koi Nabi Allah ke ihkamaat ke khilaaf taleemat de ye tu na'mumkin hai aur issay shayad aap bhi mantay hongay. Rahi baat Awliya-e-Kiram ki tu unn ki aqwal ko Quran-o-Hadith se parakh lijiye. Agar Quran-o-Hadith ki taleemat ki khilaf hain tu na'qabil-e-qubool aur khilaaf nahi tu jayaz!

Allah hum sab key liyain hidayat key rastey samjhney aasan farmaey Ameen.

Aap ka masla ye hai ke aap sari dunya ke Aimma, Awliya ke aqwaal ko radd karnay per tulay hain lekin inn aqwal ke radd mein aap ke paas Quran-o-Hadith se koi daleel nahi. Agar aap ko lagta hai ke kisi kitab mein tehreef howi hai tu uss tehreef ko sabit bhi kijiye na! Aisa tu honay se raha ke hum Awliya ke aqwaal se hawalajaat paish kartay jaye aur aap sirf ye keh kar unhay radd kartay jaye ke iss mein tehreef howi hai uss mein tehreef howi hai.

chalain hum ye bhi koshish kartey hain.

Hum ney Aqeedey key Ikhtalafat main do barey Ikhtalafat main ek Milad (jesey Pakistan main manaya jata hai)

Or dosra Aqeeda “Allah key siwa kisi sey madad mangna jaiz hai”

ye barailvi Aqeedey hain jo barey Ikhtalafat hain.

Milad ka to hum ney apko sabit kardia key ye treeqey jo Pakistan main hotey hian wo poori dunia main or kahin nahi hotey

Yaha ek baat doobara wazeh kardain key Milad ka public holyday poori Islami dunia mian manaya jata hai.

Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key seerat-e-Mubarikha bhi bayan ki jati hai.ye batain zehan main rakhiey ga.

(ager ap inkar kary gey to humarey pas uskey sabot save hain hum doobara post kersaktey hian)

Ab reh gaya Dosra bara Ikhtalaf

“Allah key siwa kisi dosrey sey madad mangna jaiz hai”

Ap apney dalil pesh kary

Hum apko sabot key sath jawabat deyney ki koshish kary gey Insha Allah

Rahi baat kitabo mein tehreef ki ke koi dushman kitab utha kar thori bohut tabdeeli kar ke baqi sab kuch as it is chaap de tu janab zahir hi si baat hai ke asli kitab ko badal kar hi tehreef karay ga. Tu jis alim ne woh kitab likhi, ya agar unn ka intiqaal ho gaya tu unn ke maslak ke logo ke paas asli kitab tu mojoud hogi na. Tu phir agar koi iss tarah ki tehreef shuda kitaab chaap kar market mein de ga tu zahir hai ye Ulema ki zimay'daari hai ke woh uss tehreef shuda kitaab ko radd kar dein aur awaam ko bata dein ke fala fala publisher se chapi howi kitaab mein tehreef hai ussay na parhein aur asli kitaab iss iss publisher ki hai ussay parhein.

Allah Taala ney jo asal Anjeel utari kia dunai key kisi Essai key pas asal Anjeel mojood hai ?

So agar deobandiyo ka koi dushman kisi deobandi alim ki kitaab mein tehreef kar ke chaap deta hai tu zahir hai deobandiyo ke paas tu asli kitaab mojoud hogi. Woh kyu awaam ke samnay nahi boltay ke ye tehreef wali kitaab mein kuch baatein ghalat hai aur asli kitaab se mukhtalif hain? Khair ye aik bilkul alehda topic hai iss per phir kabhi tafseel se baat karein gay. Filhaal batana ye maqsood ke kitab mein tehreef ki jaye tu woh pakri bhi jaati hai.

Is ka asan hal ye hai key koi bhi barilvi kisi Darul Uloom jaey or ye na zahir kary key main barailvi hoon or un kitab ka hawala dey or jab wo kitab mil jaey to Deonad Ulama sey poochain key apka ye hi matlab hai jo barailvi Ulama kahtey hain ?

Ya kia matlab hai in baton ka ?

Apko jawab mil jaey ga behas ki zaroorat hi nahi.

very important note:

Apney sarey jawabat deyney ki koshish to ki mager ap ney jo humari bey tuki mantaq ko samjhney ka iqrar kia tha uska jawab ap shayad dena bhool gaey?

Font size is liyain bara kartey hain kio key ap ko humari baat samjhney main dushwari pesh aarahi hai.

duaon ka talabgar

Nasir Noman

Link to comment
Share on other sites

Bhai hum ney Khalil Rana sahib key bhi jawabat diey they jo apney 05 post delet ki hian ager apkey pas save hain to apko un main is ka jawab bhi mil jaey ga.

Ap chahtey hian key hum dobara jawab dain to hum dey dain gey mager pehley jab tak apko dalail wali bat nai clear hogi jab taka p nahi samjh sakey gey.

Is liyain pehley ye dalail wali bat cear kardain.

Chaliye ye baat aap ki theek. Pehlay dalail ka taiyunn kar lijiye phir jawabat dijiye ga.

Ap to humari post ka maqsad hi badal dey tey hain

Uski missal kuchh esey hain key kisi ney sirif itna suna key:

Allah Taala Quraan Pak main fermata hai key “Namaz key qareeb mat jao”

To sunney wala foran fatwa laga deyta hai

Phir agey ka jumla suntan hai key “mager jab Nashey ki halat main ho”

To apna fatwa wapis ley leyta hai.

Ek hi post main ek jumley ko tor dain gey to uska to matlab hi badal jaey ga poori baat perhain gey tab hi koi matlab nikalain gey ya adhi bat per hi fatwa lagadain gey ye perhiey apkey hi alffaz:

“Chaliye shukar Quran-e-Karim ko tu aap ne maan liya,”

Aankhein khool kar parhiye meri post ko. Mein ne pehlay aap se sawal kiya, na ke koi ilzaam lagaya. Aap ne pehli line quote kartay howay bhi khayanat ki aur doosri line quote kartay howay bhi! Pehli line mukammal tour per iss tarah thi;

"Kya aap ke nazdeek Quran mehfooz nahi? Kya aap ke nazdeek hadith mehfooz nahi? Simple haa ya naa mein jawab dijiye ga."

Iss line mien na tu koi ilzaam hai na fatwa na kuch aur. Seedha sa sawal hai jisay aap apnay zehni fitoor ki bina per samajhnay se qasir rahay. Aur agay jo aap ne meri post se line quote ki woh aap ki iss baat ke isbaat mein thi;

"Sirif ek Quraan Pak hai jo sari dunia janti hai 1400 saal sey ek lafaz bhi na tabdeel hua or na kabhi hoga kio key Allah Taala apni aakhiri kitab Quraan Pak ki hifazat farma raha hai."

Aur iss ke jawab mein meri kahi howi baat ko quote kartay howay aap ne doosri baar khayanat ki aur aadhori baat quote ki. Poora line parhnay ki zehmat kar letay tu baat samajh aa jati;

"Chaliye shukar Quran-e-Karim ko tu aap ne maan liya, ab aiye Quran ke tarjumay ki taraf."

Soo iss sab ka masqad ye tha ke Quran ko aap mehfooz samajhtay hain ye humien maloom ho gaya, ab baat kjiye tarajim ki. Iss pooray mouzo mein kahi koi ilzaam tha hi nahi siray se jis per aap bekaar ka wawaila kar ke asal topic se door janay ki koshish kar rahay hain. Aap ne sirf aur sirf baat ko ghool gool ghumanay ke liye "Fatwa laga lar wapis lena, adhoori baat se matlab nikalna" jaisi bekaar baatein kar ke phir sabit kar dya ke aap siwaye bekaar ki baatein kar ke topic ko toul denay ke ilawa kuch nahi kar saktay!

Ager hum ney koi apko kitab ka hawala dia ho tab ap ye bat kehtey key hum apney matlab ki baat ko sabit karney key liayin logon ki likhi hoi book ka hawala dey rahy hain or jab ap hawala dey tey hian to hum nahi mantey?

Aap ne ab tak kisi kitab ka hawala diya hi kaha hain janab? Aap tu abhi tak bus apnay zehn se misaalay hi paish kartay aye hain. Koi thoos saboot, koi mustanadd hawala tu abhi tak paish kiya nahi aap ne. Hawala'jaat ko parakhnay ka asaan tareeqa hai ke Quran-o-Hadith ki taleemat se parh lijiye. Ab aap agar kisi deobandi/wahabi ka janib'darana aur ghalat hawala paish karein gay tu zahir hai humein qubool nahi hoga. Ikhtilaafi masail mein hawala'jaat apnay ghar ke alimo ke nahi diye jatay balkay unn ulema ke diye jatay hain jinhay mukhalif bhi mustanadd samajhta ho. Maslan agar kisi deobandi se baat kartay howay agar mein Shah Abdul Haq Muhaddish Dehalvi ka hawala paish karta hon tu woh uss ka radd nahi kar saktay ke khud deobandi ulema ki sanad unn se milti hai. Ab isi tarah agar deobandi humein Ala Hazrat ki tasaneef se hawala deta hai tu humaray liye mustanadd hoga. Lekin agar koi deobandi humein Qasim Nanotwi ka hawala de kar apni baat manwana chahay ga tu hum woh hawala radd kar dein gay kyu ke humaray nazdeek Qasim Nanotwi mustanadd nahi. So aap koshish kar ke aisay ulema ke hawalajaat paish karein jo humaray nazdeek mustanadd hon. Aur apna bhi bata dijiye ke aap ke nazdeek kaun mustanadd hai aur kaun nahi.

Allah ka ek bar phir shukar hai key ab aap ahista aahista humari muntaq ko samjhtey jarahy hain,

Jaha tak Quraan Pak main tabdeeli ka sawal hai wo apko jawab mil gaya hai ooper.

Mager jo tarjumey wali baat hai to ye hi to masla hai key Quraan pak key tarjumey main hi faraq hai jab hi aaj humarey darmian itney barey ikhtalafat hain us key liayin hi hum ney ye bunyadi sawal pesh kia hai.

Aaj jo bhi Barey Ikhtalafat hain wo sirif Quraan Pak ko samjh ka faraq hai,

Jo jesa Quraan Pak ko samjha or Tarjuma karta gaya or apney aqeedey banata gaya.

Ab humara asal sawal hi ye hai key Quraan Pak ki Kis ki samjh drust hai ?

Jab ek ek lafaz wohi sab key pas phir itna bara ikhtalaf kio ?

Quran-e-Karim sirf Arbi literature tu hai nahi ke jis kisi ko bhi Arbi zaban per uboor hasil ho woh samajh jaye. Quran ko samajhnay ke liye sirf Arbi zaban ka aajana kaafi nahi hai! Quran ki taleemat ko samajhnay ke liye Imaan ki zaroorat hoti hai. Aur Imaan sirf Arabs ki miraas nahi. Arabi zaban ka kya hai woh tu Iblees ko bhi aati hai! So agar Quran ke tarjumay ko parkhna ho tu simply Akabir Ulema ki tafasir aur tarjumay jo ke sari dunya ke nazdeek mustanadd hain un se parh lein.

Apko chhoti chhoti bat bhi samjhani perti hai or wo bhi lafz ba lafz

Arey bhai likha to hai Jo Quraan Pak sey sabit ho wo drust hai.

Ye perhain pichhli post:

“kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty.”

Quran se kya sabit hai kya nahi ye kaisay maloom karein gay? Aap ko tu Arabi aati nahi aur agar aati bhi tu bhi ye zaroori nahi ke Quan ki taleemat bhi samajh aa gai hon. Tu zahir hai Quran ko samajhnay ke liye bhi ulema se rijoo tu karna hi paray ga. Aur ye jo aap ne likha ke "Quran mein Allah ke wazeh ihkamat inn aqeedo ke khilaaf hain" tu yaha aap ki "INN AQEEDO" se kya muraad hai? Kaun se aqaid ki baat kar rahay hain khull kar bayan kijiye.

Aur pehlay tu ye bataiye ke mein ne kab aap se sirf aur sirf Buzurgan-e-Deen ki kutb se hawalajaat maangay?

Kabhi ap ye poochhtey hain:

Or khud hi jawab ap key hi lafaz sirif ek line chhoer ker ye kehtey hain:

“ Mein tu aap se kab se keh raha hon ke jo bhi baat kartay hain uss per Quran-o-Hadith aur Awliya-e-Kiram ki tafasir-o-tasaneef se hawalajaat paish karein. “

Allah hi janay ke aap sach mein iss qadar aqal se paidal hain ya jaan boojh kar baat ko samajhna nahi chahtay. Apni pichli post parhiye, aap sirf issi baat per roye jaa rahay thay ke dalail-o-saboot buzurgan-e-deen ki kutb se nahi don ga ke uss mein tabdeeli ho sakti hai balkay Quran-o-Hadith se don ga jo ke mehfooz hai. Tu issi liye mein ne aap ko dobara samjhana chaha ke miya jee, aap se koi zoor zabardasti nahi ke aap ulema ki kutb se hi hawala dein aur kahi se naa dein. Humaray tu seedha sa mutaliba hai ke Quran-o-Hadith AUR Aqwal-e-Aimma se hawalajaat paish karein. Agar Aqwal-e-Aimma se hawalajaat paish karne se aap mutma'inn nahi tu Quran-o-Hadith tu hai na.. ussi se baat kar lijiye. ye beech mein AUR ka lafz aap ko samajh nahi aya tha shayad iss liye wazahat ki thi.

Sybarit bhai ap post ko poora parha karian takey apko pichhli post yad rahy,

Humara asal sawal hi ye hai key Arab key Ulama (jin ki mother language arbi hai wo hi sab sey behter samajh saktey hain or ager Arab Ulama main ye Aqeedey key barey Ikhtalafat nahi hain to is ka matlab hai key Quraan Pak key tarjuma or tafseer key samjhney ki ghalti ek gher zuban (Urdu ya Hindi) waley ki hi hosakti hai jo Arab Ulma sey Aqeedey key Barey Ikhtalaf rakhtey hain?

Pehli baat tu ye ke jab tak aap apnay aqaid ko Ahle'Sunnat wa Jamat ke mutabiq sabit nahi kar dete mujhe "bhai" kehnay se guraiz karien. Isay koi zaati dushmani na samajhiye ga, imaan ka taqaza yehi hai ke bad'mazhabo se taluqaat na barhaye jaye.

Meri samajh nahi aata ke mein issay aap ki be'waqoofi kaho, jahalat kaho ya phir gumrahi. Mujhe sirf ye bataiye ke Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi. Aap se pehlay bhi kaafi baar ye seedha sa sawal poocha lekin aap jawab dene se katraatay hain. Seedha sa sawal hai dobara likhay deta hon. Iss baat ki kya zamanat hai ke jis shakhs ko Arabi zaban per mukammal uboor hasil ho ussay Quran ki taleemat bhi poori tarah se samajh aajati hain. Abu Jahl Arabi hi tha na? Ussay kyu na samajh aie Quran ki taleemat? Agar sirf Arabi zaban samajh lenay se Quran ki taleemat samajh aajati tu her Arabi Aalim hota. Tu phir kaisay keh saktay hain ke Quran-e-Karim ko samajhnay mein ghair'Arab Ulema se hi ghalti howi hai?

Aap ne kitnay Arab Ulema ki kutb/tafasir/shurohaat parhi hain jo aap ko ye maloom ho gaya ke Arab Ulema mein aqaid ke silsilay mein koi bara ikhtilaaf nahi? Baraye'meherbaani unn Ulema aur unn ki kutb ke naam bata dijiye.

Mein aakhir mein aap ki asani ke liye dobara iss zaman mein matloob jawabat ke sawalat likh raha hon. Inn ka jawab zaroor dijiye ga.

1. Kya Quran-e-Pak ko samajhnay ke sirf Arabi zaban per uboor hasil hona kaafi hai?

2. Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi?

3. Abu'Jahl Arabi tha tu phir usay Quran ki taleemat kyu samajh na aiee?

4. Aap ne kitnay Arab Ulema ki kutb/tafasir/shurohaat parhi hain jis se aap ko maloom ho gaya ke Arab ulema mein ikhtilafaat nahi? Unn Ulema aur Kutb ke naam likh dijiye.

Number wise issi tarteeb se in seedhay se sawalo ka seedha sa jawab dijiye ga. Lambay chooray tabsaray ki zaroorat nahi. Koshish kar ke jitna seedha sawal hai utna hi seedha jawab dijiye ga.

Baat gher mantaqi nahi hoti shayad ap samjh nahi patey.

Bhai kam az kam kahney waley ka maqsad to samjha kary.

Jab Allah ki bheji hoi asmani book main insane tabdeeli karsakta hai apna maqsad hasil karney key liayin to kia Musalmano ka koi dushman buzrugan-e-Deen ki books main likhey hoey ko nahi tabdeel karsakta Musalmano ko apas main laraney key liyain?

Bilkul Islam ke dushman musalmano ko gumrah karne ke liye Ulema ki kitabo mein tehreef kar saktay hain balkay kar chukay hain. Lekin tehreef ko pakra bhi jata hai. Zahir hai ke Ulema ki asal kitabain mojoud hain tabhi koi unn mein tehreef karay ga. Tu agar tehreef ki jati hai tu ihl-e-ilm jinho ne asli kitabein parhi hai, unn mein se koi na koi uss tehreef ko zaroor pakar hi leta hai. Sirf aik andaishay ki bina per ke "tehreef ki jaa sakti hai" aap kisi bhi kitab ko na'qabil-e-qubool qaraar nahi de saktay. Agar aap ko shakk hai tu tehqeeq kijiye aur agar tehreef hai tu saboot paish kar ke apna mouqif sabit kijiye.

Akhiri line main ap ney khud hi is bat ka jawab dey dia jo hum kahna chahtey hain key ager koi baat Quraan or Sunnat sey takrati ho wo chahey kisi sey bhi mansoob ho hum usko tasleem nahi karty.

Ye usool Ahle'Sunna wa Jamat ke tamaam ulema ka hai. Farq sirf itna hai ke kuch bad'mazhab logo ko gumrah karnay ke liye Sahi aur Jayaz Aqaid ko bhi Quran-o-Sunnat ke khilaaf qaraar detay hain aur Ihl-e-Haqq unn ki sazish ko be'naqaab karnay ke liye Quran-o-Hadith se dalail-o-saboot paish kar ke iss tarah jhoota ilzamat ka radd kartay hain.

Ab ap khud hi batain ager apko mamooli mamooli bat nahi samjh aati to hum kia kary ?

Kis ney kaha key Musalman deegar Umbia-e-Kiram key bataey hoey rastey key Khilaf jarahy hain?

Ye dobara parhain:

“kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty.

To kia Musalman per ye Ilzam lagey ga key aap kisi Paghember key Ehkamat key munkar hain ?

Alhumdulillah mujhay aap ki baat samajhnay mein kahi bhi ghalti nahi howi aur agar howi bhi tu yaha mojoud mere hum'maslak bhai mujhay zaroor samjha dein gay. Baat tu aap ko samajh nahi aati ya phir shayad aap jaan boojh kar samajhna nahi chahtay.

Mein nay jo likha usay dobara parhiye ghour se;

"Ab Allah nay pichli tamaam asmaani kitabo ko khud mansukh kar ke Quran-e-Karim nazil farma di tu phir ye ilzaam tu be'tukka sa hi hoga ke aaj ke musalmaan pichlay Anbiya ki taleemat ke khilaaf jaa rahay hain."

Mein ne ye nahi kaha ke "aap ilzam laga rahay hain" ya "aap ka ilzam be'tukka hai". Mein ne sirf itna likha hai ke agar koi iss tarah ka ilzam lagata hai tu aisa ilzaam be'tukka hoga. Aap ne mujh se sawal kiya ke "To kia Musalman per ye Ilzam lagey ga key aap kisi Paghember key Ehkamat key munkar hain ?"Aur issi ke jawab mein ne likha ke aisa ilzaam lagana be'tukki si baat hogi! Ab aap ye bataiye ke jab mein aap se kaha hi nahi ke aap ya koi bhi aisa ilzaam laga raha hai tu phir aap kyu roye jaa rahay hain ke kis ne aisa kaha aur waisa kaha!

chalain hum ye bhi koshish kartey hain.

Hum ney Aqeedey key Ikhtalafat main do barey Ikhtalafat main ek Milad (jesey Pakistan main manaya jata hai)

Or dosra Aqeeda “Allah key siwa kisi sey madad mangna jaiz hai”

ye barailvi Aqeedey hain jo barey Ikhtalafat hain.

Milad ka to hum ney apko sabit kardia key ye treeqey jo Pakistan main hotey hian wo poori dunia main or kahin nahi hotey

Yaha ek baat doobara wazeh kardain key Milad ka public holyday poori Islami dunia mian manaya jata hai.

Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key seerat-e-Mubarikha bhi bayan ki jati hai.ye batain zehan main rakhiey ga.

(ager ap inkar kary gey to humarey pas uskey sabot save hain hum doobara post kersaktey hian)

Pehli baat tu ye zehn nasheen kar lijiye ke aap ne ab tak Milad ke tareeqay per aiteraaz kya hai ne ke Milad ke jawaz per. So ye aiteraaz Aqaid per nahi balkay Aamal per howa.

Milad per humara mouqif ye hai ke Milad her mulk her sheher mein apnay rehn'sehn aur rasm-o-riwaj ke hisaab se manai jati hai. Jis tarah deegar Islami mamoolat tamam mumamlik mein apnay apnay andaz mein kiye jatay hain. Iss ki kuch misalaien aap ko baar baar de chuka jis per aap ne zaban kholnay ki himmat kabhi nai ki. Jaisa ke Eid-ul-Adha ke mamolaat. Eid-ul-Adha jis andaz mein Pak-o-Hind mein manai jati hai iss tarah tamaam dunya mein nahi manai jaati. Tu phir jo mouqiff aap Milad ke baray mein ikhtiyaar kar rahay hain wohi mouqiff Eid-ul-Adha ke baray mein bhi ikhtiyaar kijiye aur kahiye ke Pak-o-Hind ke Musalman deegar mumalik se alag andaz mein Eid-ul-Fitr manatay hain. Ye aap ka khullda dooghla'pana hai!

Ab reh gaya Dosra bara Ikhtalaf

“Allah key siwa kisi dosrey sey madad mangna jaiz hai”

Ap apney dalil pesh kary

Hum apko sabot key sath jawabat deyney ki koshish kary gey Insha Allah

Iss ke liye aap alehda topic create kar saktay hain. Usooli tareeqa ye hai ke pehlay aap apna mouqif Quran-o-Hadith se paish kijiye ke kis tarah kin dalail-o-saboot se "Allah ke siwa kisi doosray se madad mangna jayaz nahi". Yaha ye baat zehn mein rakhiye ga ke humaray aqeeda ye hai ke "Allah ke siwa Allah ke mehboob bando se iss niyyat se madad maangi jaa sakti ke woh Allah ki aataa-o-raza se bando madad kartay hain na ke apni zaati quwwat se" aur issi ke jawaz per hum dalail dein gay. Agar koi ye kahay ke fala fala Allah ke marzi ke baghair apni zaat se madad kar sakta hai tu hum iss ka radd kartay hain ke ye aqeeda batil hai.

Allah Taala ney jo asal Anjeel utari kia dunai key kisi Essai key pas asal Anjeel mojood hai ?

Injeel se humein koi lena dena hi nahi kyu ke Allah ne Quran-e-Karim nazil farma kar pichli tamaam asmaani kitabo ko mansukh farma diya. Humaray reh'numai ke liye Quran hai na ke Injeel. Jo cheez mansukh ho chuki uss se istadlaal karna ghalat hai so uss mein tehreef ho ya na ho uss se humaray aqaid per koi farq nahi parta. Aap khud dekh lijiye aap ne kis baat ko quote kar ke kya jawab diya.

Mein ne baat ki makatib-e-fikr aur unn ke ulema ki kitabo ki aur aap jawab de rahay hain Injeel per. Meri post ka jo hissa aap ne quote kya pehlay dekh lijiye ke woh aap ki kis baat ka jawab tha. Jaha tak baat hai Ulema ki kitabo ki, tu unn ki original kitabein mojoud hain.

Is ka asan hal ye hai key koi bhi barilvi kisi Darul Uloom jaey or ye na zahir kary key main barailvi hoon or un kitab ka hawala dey or jab wo kitab mil jaey to Deonad Ulama sey poochain key apka ye hi matlab hai jo barailvi Ulama kahtey hain ?

Ya kia matlab hai in baton ka ?

Apko jawab mil jaey ga behas ki zaroorat hi nahi.

Ajeeb hi mantak hai aap ki. Agar mein aap ko Wald-e-Haram keh do aur aap mujh se aakar poochain ke aisa kyu kaha aur uss ke jawab mein taweel doo ke mera ye nahi ye matlab tha tu kya aap ko tassali ho jaye gi aur aap apnay aap ko Wald-e-Haram kehlwa lein gay?

Rahi baat Darul Uloom aur unn ke fatwo ki tu iss forum per "Marsia-e-Gangohi" per poora topic mojoud hai woh parh lijiye. Aap ko baat samajh aa jaye gi.

Apney sarey jawabat deyney ki koshish to ki mager ap ney jo humari bey tuki mantaq ko samjhney ka iqrar kia tha uska jawab ap shayad dena bhool gaey?

Font size is liyain bara kartey hain kio key ap ko humari baat samjhney main dushwari pesh aarahi hai.

Be'tukki baat ko be'tukka hi samjha jata hai. Aap kis baat ka jawab maang rahay hain meri samajh nahi aya. Baraye'mehrbaani apni woh lines quote kar dein ke jin ka jawab aap ko nahi mila.

Meri kis baat se aap ko ye ihsaas ho raha hai ke Font size ki wajah se mujhe aap ki baat ko samajhnay mein dushwari ho rahi hai? Mein ne tu aisa kuch nahi kaha. Aur waisay bhi kisi baat ko samajhne ke liye font size nahi balkay baat karnay ke tareeqay ki zaroorat hoti hai. Mera font size normal hota hai uss ke ba'wajood meri baatein sabhi ki samajh aa rahi hain. So ye lateefay choorna band kijiye!

Mein ab ye bhi kehnay se qasir hon ke "Umeed hai iss baar mere sawalaat ka jawab dein gay" kyu ke aik baar nahi baar baar kehnay ke baad mein aap mein koi behtari ki soorat nazar nahi aiee. Bus yehi kaho ga ke koshish kijiye ga jawab dene ki.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Assalam-o-Alikum,

Is post main hum ney mukhtasir jawabat deyney ki koshish ki hai takey apko post lambi na lagey or koshish ki hai key gher zaroori behas key bajey jo baat kerney wali hai us per baat kary is liyain is dafa apki mukammal post ka jawab to nahi dia mager jo jawabat apko darkar they un key jawabt dey ney ki koshish ki hai ager apko mazeed pichhli post main apko jawabat darker hoon to pls humain bata dijiey ga hum jawabat deyney ki koshish kary gey.

Meri samajh nahi aata ke mein issay aap ki be'waqoofi kaho, jahalat kaho ya phir gumrahi. Mujhe sirf ye bataiye ke Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi.

2. Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi?

Islam ka qanoon (Quraan o Hadees) to nahi kahta mager jab Quraan or Hadees key samjhney main hi Ikhtalaf hojaey to phir kia kia jaey ?

Phir yahan dunia ka ek asam sa or seedha sada Asool key maatheri zuban waley behter samjh sakta hai ye gher zuban wala behter samjh sakta hai ? is baat ko ek dafa ap bhi tasleem karchukey hain.

Ye perhiey apkey alfaz:

“Be'shakk Quran-o-Hadith Arabi mein hai aur jo ke Arab bashindo ki madri zaban hai aur unhay ba'haisiyatt apni qoumi zaban ke, Arabi per hum se zyada uboor hai.

Lekin jo mantak aap paish kar rahay hain woh samajh se bala'tar hai.

Arabi hona be'shakk iss baat ki daleel ho sakti hai ke unhay Arabi non-Arabs se zyada achi samajh aa jaye.”

Quran-e-Karim sirf Arbi literature tu hai nahi ke jis kisi ko bhi Arbi zaban per uboor hasil ho woh samajh jaye. Quran ko samajhnay ke liye sirf Arbi zaban ka aajana kaafi nahi hai! Quran ki taleemat ko samajhnay ke liye Imaan ki zaroorat hoti hai. Aur Imaan sirf Arabs ki miraas nahi. Arabi zaban ka kya hai woh tu Iblees ko bhi aati hai! So agar Quran ke tarjumay ko parkhna ho tu simply Akabir Ulema ki tafasir aur tarjumay jo ke sari dunya ke nazdeek mustanadd hain un se parh lein.

1. Kya Quran-e-Pak ko samajhnay ke sirf Arabi zaban per uboor hasil hona kaafi hai?

Ye ap ney sawal pichhli post main bhi kia tha or hum ney jawab bhi dia tha mager shayad ap ney perhey bagher hidelet klerdia tha

Lekin Quran-o-Hadith sirf kisi aik Arabi literature nahi. Aik mukammal deen hai. So Arabi hona iss baat ki daleel nahi ke jo Arabi hoga ussay Quran-o-Hadith ki taleemat bhi samajh aa jaye gi.

Doobara perhain:

JI haan ap ney sahi kaha key Quraan Pak or Hadees Pak ek literature nahi hai ek mukammal Deen hai jo key Allah Taala ka Kalam hai.

Jab ap ye mantey hian key dunia ka koi bhi gher zuban wala maatheri zuban waley sey acha tarjuma or tashreeh nahi karsakta .

Ye to Allah Taala ka Kalam hai or is mian to dunia ki books or or deeger books sey bohat mukhtailf hai or kisi bhi shakhas ko is ka tarjuma or tashreeh kerney sey pehley kai dafa sochna chahiey key kahin hum sey koi samjhney main ghalti to nahi horahi ?

Lakhon log humarey peechey Emaan rakhtey hain key ye humarey Ulma-e-Kiram hain or jo hum Tashreeh karey gey us key mutabiq humarey pichhey chalney waley humari taqleed kary gey .

Or ager hum sey samjhney main koi ghalti hoi to humain Allah Taala key gher jawab dena hai.

Hum jo tashreeh or tarjuma kar rahy hain kia ye tarjuma or tashreeh kia ehley zuban ka koi Aalim ya Mahir humari baat ki tasdeeq ker raha hai ?

Quran se kya sabit hai kya nahi ye kaisay maloom karein gay? Aap ko tu Arabi aati nahi aur agar aati bhi tu bhi ye zaroori nahi ke Quan ki taleemat bhi samajh aa gai hon. Tu zahir hai Quran ko samajhnay ke liye bhi ulema se rijoo tu karna hi paray ga.

Ji haan bohat sari batain essi hain jin key Quraan pak main jawabat nahi miltey mager jo bunyadi ekamaat hain jesey Toheed us key wazeh ehkamat Quraan pak main mojood hain ( jesey Allah key siwa kisi sey madad nahi mangi jasakti or sirif Allah hi madadgar hai)

Kia aap in bunyadi aqeedey ko samjhney key liyain Ulama ki Tafseer ki zaroorat perti hay jabkey Quraan Pak main bohat sari jaghoon per wazeh ehkamat mojood hain,

Aur ye jo aap ne likha ke "Quran mein Allah ke wazeh ihkamat inn aqeedo ke khilaaf hain" tu yaha aap ki "INN AQEEDO" se kya muraad hai? Kaun se aqaid ki baat kar rahay hain khull kar bayan kijiye.

jis jaga hum ney ye line likhi thi waha hum Essai or Shia Hazrat ki baat kar rahy thy key jab hum dekhtey hain key deeger mazahib key Aqeedey key khilaf Quraan or Sunnat key Wazeh jawabat mojood hoon to ye baat wazeh ho jati hai key ye Ehkamat ager Essai Hazrat Essa Alihey Assalam sey mansoob kertey hain ya Shia Hazrat Hazrat Ali Razi Allah Talla unho sey masoob kertey hain to ye logon ki tahreef hain ye Ehkamat koi Nabi ya Peghember ya koi Muqadas hasti dey hi nahi sakta or yaqinqn logon ney un ehkamat main tahreef ki hai.

Aap se pehlay bhi kaafi baar ye seedha sa sawal poocha lekin aap jawab dene se katraatay hain. Seedha sa sawal hai dobara likhay deta hon. Iss baat ki kya zamanat hai ke jis shakhs ko Arabi zaban per mukammal uboor hasil ho ussay Quran ki taleemat bhi poori tarah se samajh aajati hain

Hum ney jawab dia tha mager ap ney perhey bagher delet kerdia.

Ap ye batain key ager Pakistan or India main Urdu boli jati hai to kia Pakistan or India main sarey log Urdu Adab ki books per mukammal Uboor Rakhtey hain ?

Yaqinan Apka jawab hoga : nahi.

Humarey urdu adeeb or urdu zuban key mahir hazrat jo Urdu per mukamal uboor rakhtey hain kia un ki jaga koi English bolney wala(Urdu seekh ker) ley sakta hai ?

Or English bolney wala ek din sarey Urdu key Adeeb or Mahireen ko chalange kerey key Urdu adab ki ye book ka tajuma ghalat hai tashreeh ghalat hai Tafseer ghalat hai ?

To kia ye mumkin hai ?

Ager na mumkin hai to udru bolney waley kesey Arabi walon sey achhey tarjuma or tashreeh or tafseer ka dawa ker saktey hain ?

Abu Jahl Arabi hi tha na? Ussay kyu na samajh aie Quran ki taleemat?

Agar sirf Arabi zaban samajh lenay se Quran ki taleemat samajh aajati tu her Arabi Aalim hota. Tu phir kaisay keh saktay hain ke Quran-e-Karim ko samajhnay mein ghair'Arab Ulema se hi ghalti howi hai?

3. Abu'Jahl Arabi tha tu phir usay Quran ki taleemat kyu samajh na aiee?

shayad ooper wali baat perh ker ab ap humara maqsad samjh gaey hoon?

Koi bhi qoom 100 % drust nahi hosakti ye baat 10 saal ka bacha bhi janta hai achhay burey her qoom main hotey hain.

Daleel ye nahi hai key Arbi zuban waley sarey jannati hain balkey daleel ye hai key ek maatheri zuban waley key Ulama or Mahireen ziada bather samjh saktey hain banisbat gher zuban waley key.

Aap ne kitnay Arab Ulema ki kutb/tafasir/shurohaat parhi hain jo aap ko ye maloom ho gaya ke Arab Ulema mein aqaid ke silsilay mein koi bara ikhtilaaf nahi? Baraye'meherbaani unn Ulema aur unn ki kutb ke naam bata dijiye.

4. Aap ne kitnay Arab Ulema ki kutb/tafasir/shurohaat parhi hain jis se aap ko maloom ho gaya ke Arab ulema mein ikhtilafaat nahi? Unn Ulema aur Kutb ke naam likh dijiye.

Ikhtalafat kis main nahi hotey ?apney sawal main hum ney khud likha hai ikhtalafat to Deobandi, Ehley Hadees Arab Ualama main bhi hain(jo Bareeki main jaaker peda hotey hian) mager bunyadi Aqeeda (jo key ek Moti baat hai)Toheed “Allah Taala madad karnay wala hai”main koi Ikhtalaf nahi.

Bilkul Islam ke dushman musalmano ko gumrah karne ke liye Ulema ki kitabo mein tehreef kar saktay hain balkay kar chukay hain. Lekin tehreef ko pakra bhi jata hai. Zahir hai ke Ulema ki asal kitabain mojoud hain tabhi koi unn mein tehreef karay ga. Tu agar tehreef ki jati hai tu ihl-e-ilm jinho ne asli kitabein parhi hai, unn mein se koi na koi uss tehreef ko zaroor pakar hi leta hai. Sirf aik andaishay ki bina per ke "tehreef ki jaa sakti hai" aap kisi bhi kitab ko na'qabil-e-qubool qaraar nahi de saktay. Agar aap ko shakk hai tu tehqeeq kijiye aur agar tehreef hai tu saboot paish kar ke apna mouqif sabit kijiye.

Insha Allah apko sabot bhi miley ga,

Thora time chahiey hum new topic per ap sey bat kary gey.

Pehli baat tu ye zehn nasheen kar lijiye ke aap ne ab tak Milad ke tareeqay per aiteraaz kya hai ne ke Milad ke jawaz per. So ye aiteraaz Aqaid per nahi balkay Aamal per howa.

Muslaman honey key baad sab sey pehley Aqeeda banta hai Toheed jab bunyadi aqeedey main kharabi ho to uskey baad jo amal bhi ho wo aap apney bunyadi Aqeedey hi key mutabiq karty hain is liyain hum bar bar ek baat kahtey rahy hain key “jis tareeqey sey Pakistan or India main Milad manaya jaata hai”

Kio key Barailvi Aqeeda kahta hai key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Hazir Nazir hain,

Hazoor Sallaho Alihey Wassalam or Buzrugan-e-Deen madad kersaktey hain,

Jab ap is tarha key aqeedon key sath Milad manatey hain to ek mukhtalif soorat hoti hai,

Naat Khuani main Ikhtalafi ashaar hotey hain jo Barailvi Aqeedey ki bunyad key mutabiq hotey hain,

Jalsey main Taqareer wo hi hoti hain jo Barailvi Aqeeda pesh karta hai,

Jaloos main wo hi naarey lagey jatey hain jo Barailvi Aqeedey rakhtey hain.

Is liyain hum bar bar ye baat kahtey rahy key jesey Pakistan maim hota hai,

Or Wahabi Ulama key Aqeedey key mutabiq:

Naat khuani (wo ashaar jo Nabi-e-Kareem Sallaho Alihey Wassalam ki Mohabat or Aqeedat main kahin jaey mager jo ikhtalafi na hoon)

ya Nabi-e-Pak Sallaho Alihey Wassalam ki Seerat-e-Mubarika bayan farmana takey Musalmano key dilon main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki mohabbat peda ho or Muslaman Hazoor Sallaho ALihey Wassalam ki sunnaton per amal kary in tareeqon per koi aitraz nahi hai.

Apko iss silsiley main Hazooron bayanat or Mukhtalif Wahabi Aqeedey waley Ulama key taqareer bhi dekha saktey hain or ye bhi deekha saktey hain key kia Wahabi Hazoor Sallaho Alihey Wassalam sey Mohabbat kartey hain ya Toheen kertey hain.

Milad per humara mouqif ye hai ke Milad her mulk her sheher mein apnay rehn'sehn aur rasm-o-riwaj ke hisaab se manai jati hai. Jis tarah deegar Islami mamoolat tamam mumamlik mein apnay apnay andaz mein kiye jatay hain. Iss ki kuch misalaien aap ko baar baar de chuka jis per aap ne zaban kholnay ki himmat kabhi nai ki. Jaisa ke Eid-ul-Adha ke mamolaat. Eid-ul-Adha jis andaz mein Pak-o-Hind mein manai jati hai iss tarah tamaam dunya mein nahi manai jaati. Tu phir jo mouqiff aap Milad ke baray mein ikhtiyaar kar rahay hain wohi mouqiff Eid-ul-Adha ke baray mein bhi ikhtiyaar kijiye aur kahiye ke Pak-o-Hind ke Musalman deegar mumalik se alag andaz mein Eid-ul-Fitr manatay hain. Ye aap ka khullda dooghla'pana hai!

Is ka jawab Apney shayad perhey bagher hi ye jawab delet kerdia tha ab doobara perhlain :

Ye apka sawal tha:

Indo-Pak mein jis tarah Eid-ul-Adha ke liye mawaishiyo ki mandi lagti hai, jis dhoom dhaam se mawaishi khareed kar laye jatay hain, jis tarah sajawat ki jati hai, dunya ke kisi doosray mein aisa nahi hota. Mazeed ye ke Eid-ul-Adha ke din jis andaz mein Qurbani hoti hai, deegar mumalik mein waisay nahi hoti. Indo-Pak mein apnay gharo ke aas paas Qurbani hoti hai aur baqi baishtar mumalik mein Qasba'gaah mein jaa ke Qurbani ki jati hai. Ab aap ki mantak ke mutabiq Indo-Pak ke musalman jis tarah Eid-ul-Adha aur Qurbani kartay hain, baqi dunya ke musalman waisay nahi kartay. Agar aisa nahi kahein gay tu kyu nahi kahein gay?

Ye humara jawab jo ap ney eprhey bagher delet kerdia:

matlab pehley janwer ki tangain kaatey hain ?

ya pehley janwer ki khhal utarna shoro kertey hain?

Ya raat ko qubani kertey hain or pak-o-hind waley subah kertey hian?

Kia apko humari pesh ki hoi poori dunia key Islami country main Namaz-e-Eid ada kertey hoey dekh ker bhi nahi samjh aaya key humara sawal kia hai ?

Qubani infiradi amal hai jo sari dunia ka nahi dekhaya jasakta.

Namaz or Hajj Ijtemai amal hai jo ko poori dunia dekh sakti hai.

Or Barailvi jesey Eid Milad or Jaloos nikaltey hain ye bhi Pakistan or India main Ijtemai amal ki tarha hota hai.

Sarey barailvi kia akeley akeyley apney ghharon main Milad kartey hain ?

Or akley akeley Jaloos nikaltey hain ?

Ya Pakistan or India key aalawa sari Islami dunia main Akeley akley Milad or Jaloos nikaltey hain?

(ya aap ye isliyain sabit kerna chah rahy hain kio key ap key pas is ka koi jawab nahi hai ?)

is liayin sari dunia waley Namaz-e-Eid ek jaga pehtey hian mager Jaloos or Milad akley akeyley nikaltey hain?

To phir ap logon ko dunai main jo Jaloos or Milad ki mehfil dekhaney pichhli post wali koshish kio ki ?

Jab or video nahi mili to ye theek hai key ab baqi dunia ghharon main qurbnani ki tarha Milad kerti hai?

Nasir Noman

Edited by Nasir Noman
Link to comment
Share on other sites

Islam ka qanoon (Quraan o Hadees) to nahi kahta mager jab Quraan or Hadees key samjhney main hi Ikhtalaf hojaey to phir kia kia jaey ?

Phir yahan dunia ka ek asam sa or seedha sada Asool key maatheri zuban waley behter samjh sakta hai ye gher zuban wala behter samjh sakta hai ? is baat ko ek dafa ap bhi tasleem karchukey hain.

Phir wohi murghi ki aik taang! Aray miya joo poocha hai uss ka jawab denay mein kyu sharm se paani paani howay jaa rahay hain aap. Seedha sa sawal number 1 tha, woh khaa gaye aap kawwa biryani samajh kar! Mein ne aap se kaha bhi tha ke jitna seedha sawal hai utna hi seedha aur simple sa jawab dene ki koshish kijiye ga.

Mera pehla aur doosra sawal ghour se parhiye.

1. Kya Quran-e-Pak ko samajhnay ke sirf Arabi zaban per uboor hasil hona kaafi hai?

Iss ke seedhay se 2 jawab ho saktay hain ke "Nahi sirf Arabi zaban per uboor hasil hona Qurani Taleemat ko samajhnay ke liye kafi nahi" Ya phir "Haa sirf Arabi zaban per uboor hasil hona Qurani Taleemat ko samajhnay ke liye kafi hai". Lekin aap ko seedhay se sawal ka jawab denay mein na'janay kaun si takleef thi jo aap ki zaban iss per khamoosh rahi. Ab aiye doosray sawal ki taraf;

2. Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi?

Iss ke jawab mein aap ne meri jo baat quote ki uss parh kar samajhnay ki aap ko shayad kabhi toufiq howi hi nahi. Meri statement ko dobara parhiye. Meri statement mein kahi bhi ye iqraar nahi ke Arabi zaban jaannay walay ko Quran ki taleemat samajh ana lazim hai! Meri statement mein iss baat ka aiteraaf hai ke Arabs ko ba'haisiyatt qoumi zaban ke Arabi per non-arabs se zyada uboor hai. Jo bold mein likha hai ussay 10 baar aankhein khool kar parhiye shayad aap ko samajh aa jaye baat. "Ba'haisiyatt qoumi zaban ke" Urdu humari bhi Qoumi zaban hai magar hum Urdu bool chaal Urdu ke asal qaido se kaafi mukhtalif andaz mein kartay hain. Aap ko aap hi ki posts se misaal deta hon. Aap ki aik post mein aap ne kuch iss tarah ki statements di;

"Bhai hum ney Khalil Rana sahib key bhi jawabat diey they jo apney 05 post delet ki hian ager apkey pas save hain to apko un main is ka jawab bhi mil jaey ga."

Urdu aap ki bhi qoumi zaban hai is ke bawajood aik seedhi si baat kartay howay aap ne Urdu ke beech 2 English lafz ghussa diye (jis mein se 1 ki spelling bhi ghalat hai). Aap ko usooli tour per tu Delete ki jageh Urdu mein "Hazaf" likhna chahiye tha aur Save ki jageh "Mehfooz" likhna chahiye tha. Aur shayad aap ko ginti bhi nahi aati tabhi Sawal number 2 ka jawab pehlay diya aur Sawal numer 1 ka baad mein! Tu kehna ka maqsad ye ke qoumi zaban ki aam bool chaal aur Quran-e-Karim jaisay Aala-o-Arfa Kalam ko samajhnay mein zameen asmaan ka farq hai.

Urdu humari qoumi zaban hai jab ke Urdu ke bayshumaar naamwar Shai'r Adeeb India ke hain jinki qoumi zaban Hindi hai! Salman Rushdie Maloon-o-Mardood ka naam suna hoga aap ne. Uss ki Madri zaban English nahi phir bhi iss khabees ko saikro Awards milay hain as an English Writer. Author of the Year (British Book Awards), Author of the Year (Germany), Kurt Tucholsky Prize (Sweden), Aristeion Prize (European Union), English-Speaking Union Award aur najanay kitnay deegar awards. Aur ye woh awards hain jin ke liye English writers including Britishers apni jaan dene ko tayyar ho jaye, aur ye sab mil kisay gaye? Aik aisay banday ko jo Indian hai, jis ki madri zaban Hindi hai magar woh hazaroo laakho Britishers se achi English bool leta hai, likh leta hai aur samajh leta hai!

Aur mein pehlay hi bata chuka ke humaray liye Hujjat Quran-o-Hadith hai. Aur iss baat ka iqraar aap khud kar chukay ke Quran-o-Hadith ye nahi kehtay ke jis ki madri zaban Arabi ho usay Quran ki taleemat bhi yaqeenan samajh aa jaye gi. So ab aap ki ye zaati be'waqoofana mantak "daleel" ki "daal" ko bhi nahi chooti!

Jab ap ye mantey hian key dunia ka koi bhi gher zuban wala maatheri zuban waley sey acha tarjuma or tashreeh nahi karsakta .

Aap mujhay bata dijiye ke mein ne kab kaha kis post mein ye baat kahi ho ke "dunia ka koi bhi gher zuban wala maatheri zuban waley sey acha tarjuma or tashreeh nahi karsakta" Itni bay'baaki aur be'sharmi se jhoot bolnay walay mein ne kam hi dekhay hain! Aap ya tu mujhay bataiye ke mein ne kis post mein ye baat kahi, ba'soorat-e-deeegar iss ghalti ka i'aada aap ke zimay hai.

Ji haan bohat sari batain essi hain jin key Quraan pak main jawabat nahi miltey mager jo bunyadi ekamaat hain jesey Toheed us key wazeh ehkamat Quraan pak main mojood hain ( jesey Allah key siwa kisi sey madad nahi mangi jasakti or sirif Allah hi madadgar hai)

Kia aap in bunyadi aqeedey ko samjhney key liyain Ulama ki Tafseer ki zaroorat perti hay jabkey Quraan Pak main bohat sari jaghoon per wazeh ehkamat mojood hain,

Aur agar mein aap ko Quran se hi hawalajaat paish kardo ke jaha se wazeh andaaz mein pata chalta hai ke Allah ke naik banday Allah ki aata say bando ki madad kartay hain tu? Aap ko dawat bhi di hai ke janab alehda topic bana kar iss maslay per bhi apnay dil ki hasrat poori kar lijiye. Najanay aap ki ghairat iss dawat ke jawab mein kyu soee pari hai!

Jee haa, Alhumdulillah hum wazeh ehkamat ko bhi poori tarah samajhnay ke liye Ulema ki tafaseer parhtay hain aur yehi Quran ka hukm hai.

"So pooch lo ihl-e-zikr se agar tum nahi jaantay"

(Surah Al-Nahl, Ayat 43)

Iss ki agli hi ayat mein hai ke;

"Bhaija tha un ko) khulli nishaniya aur kitaabein day kar aur utara hum ne tum per bhi ye zikr takay khool khool kar bayan karo tum insaano ke samnay woh taleem jo nazil ki gai hai un ke wastay takay woh ghour-o-fikr karein"

(Surah Al-Nahl, Ayat 44)

Ab ghour se parhiye ke pehlay Allah farmata hai ke "Bhaija un ko Khulli Nishaniya aur kitabein de kar" tu khulli nishaniya tu ba'qoul aap ke sabhi ko samajh aajani chahiye, lekin Allah agay farmata hai ke "takay khool khool kar bayan karo tum insaano ke samnay". Tu ab Allah se MaazAllah kya ye sawal karien gay ke "Khulli nishaaniyo ko bhi aur khool khool kar bayan karne ka hukum kyu dya?" Ab ye na kahiye ga ke iss tarjumay ko aap nahi mantay! Ye tarjuma humara nahi ussi website se as it as likha hai jaha se pehlay aap ne pehlay images post kiye thay!

Alhumdulillah hum Ahle'Sunnat wa Jamat se hain, muqallid hain aur dua kartay hain ke Allah apnay Habib (saw) ke sadqay humein aur humari nasal ko muqallid hi rakhay. Humaray yaha her tatt'poonjiya Mujtahidd nahi bana phirta iss liye hum Ulema ke ilm se mustafeez hotay hain.

Humarey urdu adeeb or urdu zuban key mahir hazrat jo Urdu per mukamal uboor rakhtey hain kia un ki jaga koi English bolney wala(Urdu seekh ker) ley sakta hai?

Or English bolney wala ek din sarey Urdu key Adeeb or Mahireen ko chalange kerey key Urdu adab ki ye book ka tajuma ghalat hai tashreeh ghalat hai Tafseer ghalat hai ?

To kia ye mumkin hai?

Ager na mumkin hai to udru bolney waley kesey Arabi walon sey achhey tarjuma or tashreeh or tafseer ka dawa ker saktey hain?

Iss ki zinda misaal mein ne aap ko Salman Rushdie Maloon-o-Mardood ki shikal mein de di. India ki paidaish hai, madri zaban hindi hai lekin hazaro laakho aam English bolnay say hi nahi, English literature ke najanay kitnay writers se achi English likh leta hai, bool leta hai aur samajh leta hai. Agar aisa na hota tu ye awards ussay kabhi na miltay balkay kisi Britisher ko hi miltay.

Ye tu thi sirf zaban ke baat. Ab aiye Quran-o-Hadith ki taraf. Arabs mein bohut se gumrah loog bhi hain. Arabs mein kitnay hi aisay hain jo Haram'kaari kartay hain. Jab ke dunya mein aisay bohut se non-arab muslims hain jo ye Haram'Kariya nahi kartay. Unn non-arabs ko ye samajh Quran-o-Hadith ki taleemat samajh aa gai, Arabs ko nahi aiee. Iss per kya kahein gay?

So dunya mein aisay bohut se loog hain jin ki madri zaban koi aur hai aur unhay mukammal uboor kisi doosri zaban per hota hai. Humaray Shiekh Nabira-e-Ala Hazrat Hazrat Allama Moulana Mufti Akhter Raza Khan Azhari (m-a) ki Arabi sun lijiye. Jamia Al-Azhar se "Jamia Al-Azhar Award" liya, did B.A in Arabic, first position, sirf Jamia Al-Azhar nahi pooray Cairo mein! Jamia Al-Azhar mein aaj bhi unn ki naam bhulaya nahi gaya! Khud Makka-o-Madina ke Arab Shuyookh iqraar kartay hain ke in ki Arabi hum madar'pider Arabo se achi hai! So Arabi per uboor sirf Arabs ki meeras nahi.

Dunya mein kisi bhi zaban ke kisi bhi baray se baray ustaad ke samnay apni ye mantak rakhiye, agar Ihl-e-Zouq hoga tu shayad aap ko jootay maray ga!

Koi bhi qoom 100 % drust nahi hosakti ye baat 10 saal ka bacha bhi janta hai achhay burey her qoom main hotey hain.

Daleel ye nahi hai key Arbi zuban waley sarey jannati hain balkey daleel ye hai key ek maatheri zuban waley key Ulama or Mahireen ziada bather samjh saktey hain banisbat gher zuban waley key.

Tu iss ka matlab ye kaha jaa sakta hai ke zaroori nahi ke Arabs mein bhi saray ke saray Ulema yaqeeni tour per Quran-o-Hadith ko samajh jatay hain. Aur mera bhi ye ilzaam nahi ke Arab Ulema saray ke saray hi gumrah hain. Aap baat ko agay barha kar hawala'jaat per aiye tu sahi janab. Aap ko hum apna aqeeda Arab Ulema ki kitabo se bhi zahir kar dein gay (ia)

Baqi aap jisay Daleel keh rahay hain ke Madri zaban walay Ulema Quran-o-Hadith ko zyada behtar samajh saktay ba'nisbat ghair'zaban walay Ulema ke tu ye daleel nahi jahalat hai. Daleel usay kehtay jis ke saboot mein kuch ho. Aap ke paas sirf apni mantak hai jab ke mein aap ko jeeti jaagti misalein dikha di hain. WALLAH! mujhay aap per hansi aati hai! Aap "madri" zaban per behes kar rahay hain aur madri ki spelling "maatheri" likh rahay hain. Aur ye ghalti bhi pehli baar nahi. Ab khud hi bataiye issay mein jahalaat nahi tu aur kya kaho! Typing mistake ka bahana matt kijiye ga warna yaqeen janiye iss per aap ki aisi durgat banay gi bus!

Ikhtalafat kis main nahi hotey ?apney sawal main hum ney khud likha hai ikhtalafat to Deobandi, Ehley Hadees Arab Ualama main bhi hain(jo Bareeki main jaaker peda hotey hian) mager bunyadi Aqeeda (jo key ek Moti baat hai)Toheed “Allah Taala madad karnay wala hai”main koi Ikhtalaf nahi.

Khud apnay dil per haath rakh kar bataiye kiya ye mere sawal ka jawab hai? Khair ye aap ke bus ka kaam nahi janay dijiye!

Aap dawa kar rahay hain ke bunyaadi masail mein Arabs mein ikhtilaaf nahi, misal ke tour per aapne Ghair'Allah se isti'aanat ka zikr kya. Mera pehlay bhi sawal yehi tha, ab bhi yehi hai ke aap ne kitnay Arab Ulema ki tafasir/shurohaat waghaira parhi hain ke jis se aap ko maloom ho gaya ke Arabs mein bunyadi masail mein ikhtilaaf nahi? Mujhay kuch tu naam bataiye naa ke aap ne aakhir Arabs ki kitni kitabein parh li hain? 100, 50, 10, 1, ya 1 bhi nahi?

Khair yaha tu Ulema ki baat bhi chooriye. Aap ka tu kehna hai ke Quran mein Allah ke Wazeh ihkamat ko samajhnay ke liye Ulema ke paas janay ki bhi zaroorat nahi. Tu matlab yaqeenan Quran mein Allah ke wazeh ihkamaat ko aap achi tarah samajh jatay hon gay. Tu zara ye bataiye ke mandarja'zail ayat se aap ki kya samajh aata hai.

"Aye woh logo jo imaan laye ho, agar madad karo gay tum Allah ki tu woh bhi tumhari madad karay ga, aur jama de ga mazbooti se tumharay qadam."

(Surah Muhammad, Ayat 7)

Tarjuma ussi website se lya hai jaha se aap ne pehlay images post kiye thay. Khair iss ki tafseel mein abhi nahi jatay aap bus mukhtasiran bata dijiye ke iss WAZEH ayat se aap ki kya samajh aata hai. Baqi tafseel (ia) jab aap mein alehda topic create kar ke baat karnay ki himmat hogi tab karein gay.

Muslaman honey key baad sab sey pehley Aqeeda banta hai Toheed jab bunyadi aqeedey main kharabi ho to uskey baad jo amal bhi ho wo aap apney bunyadi Aqeedey hi key mutabiq karty hain is liyain hum bar bar ek baat kahtey rahy hain key “jis tareeqey sey Pakistan or India main Milad manaya jaata hai”

Kio key Barailvi Aqeeda kahta hai key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Hazir Nazir hain,

Hazoor Sallaho Alihey Wassalam or Buzrugan-e-Deen madad kersaktey hain,

Jab ap is tarha key aqeedon key sath Milad manatey hain to ek mukhtalif soorat hoti hai,

Naat Khuani main Ikhtalafi ashaar hotey hain jo Barailvi Aqeedey ki bunyad key mutabiq hotey hain,

Jalsey main Taqareer wo hi hoti hain jo Barailvi Aqeeda pesh karta hai,

Jaloos main wo hi naarey lagey jatey hain jo Barailvi Aqeedey rakhtey hain.

Is liyain hum bar bar ye baat kahtey rahy key jesey Pakistan maim hota hai,

Tu phir tu ye aap ki bay'ghairti aur hatt'dharmi hai ke aap ko humaray bunyaadi aqaid per aiteraaz hai iss ke ba'wajood aap ne inn bunyaadi masail per baat karne ke bajaye Milad ke maslay per baat shuru kar di. Aap ko tu chahiye tha ke pehlay inn tamaam aqaid per baari baari baat kartay phir Milad ki taraf aatay.

Khud hi topic choose kar ke baat kartay hain aur phir kehtay hain ke bunyaadi aqaid pehlay atay hain. Apnay hi chakkar mein ghan'chakkar mein banay jaa rahay hain. Aap ko tu humari taraf se khulli dawat hai janab jab jee chahay inn mein se jis topic per jee chahay baat kar lijiye, apnay saray armaan nikal lijiye, hum tu bethay hi khidmat ke liye hain. Ab usooli tour per tu aap ko chahiye ke aap forun se Milad ke ghair'bunyaadi maslay ko aik taraf rakh kar inn bunyaadi masail per baat karna shuru karien gay. Karein gay naa???

Naat khuani (wo ashaar jo Nabi-e-Kareem Sallaho Alihey Wassalam ki Mohabat or Aqeedat main kahin jaey mager jo ikhtalafi na hoon)

ya Nabi-e-Pak Sallaho Alihey Wassalam ki Seerat-e-Mubarika bayan farmana takey Musalmano key dilon main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki mohabbat peda ho or Muslaman Hazoor Sallaho ALihey Wassalam ki sunnaton per amal kary in tareeqon per koi aitraz nahi hai.

Apko iss silsiley main Hazooron bayanat or Mukhtalif Wahabi Aqeedey waley Ulama key taqareer bhi dekha saktey hain or ye bhi deekha saktey hain key kia Wahabi Hazoor Sallaho Alihey Wassalam sey Mohabbat kartey hain ya Toheen kertey hain.

Naat se tu wahabiyo/najdiyo ko chirr hai aur iss ka iqraar ye khud bhi kartay hain tabhi Saudi Government ki taraf aaj tak Aalmi kya mulki sitah per bhi koi Naat'Khuwani nahi howi. Rahi baat ikhtilaafi ashaar ki tu janab aiye naa. Unn ashaar ko ghair'shar'aee sabit bhi tu kijiye na. Ye zanaan'khano mein ghuss ke "biddat hai, biddat hai, shirk hai, shirk hai" ke naray laganay se tu ikhtilafaat khatam nahi hongay. Yaqeenan aap ke paas bhi koi chooti mooti list zaroor mojoud hogi aisay ikhtilaafi ashaar ki. Tu aiye na janab, kijiye baat unn per dalail-o-saboot se.

Rahi wahabiyo ki toheen, tu iss forum per bohut saboot moujod hain, aankhein khool kar parh lijiye. Ye Saudi kuttay hi hain jo Gunbad-e-Khizra ko giranay ki na'paak khuwahishay apnay dil mein rakhtay hain, aur ye khuwahishay phir apni kitabo mein chaaptay bhi hain aur ye kitabein phir Saudia samait sari dunya mein publish bhi ki jati hain aur Saudi Government inn per koi ban nahi lagati!

Ye humara jawab jo ap ney eprhey bagher delet kerdia:

matlab pehley janwer ki tangain kaatey hain?

ya pehley janwer ki khhal utarna shoro kertey hain?

Ya raat ko qubani kertey hain or pak-o-hind waley subah kertey hian?

Kia apko humari pesh ki hoi poori dunia key Islami country main Namaz-e-Eid ada kertey hoey dekh ker bhi nahi samjh aaya key humara sawal kia hai?

Qubani infiradi amal hai jo sari dunia ka nahi dekhaya jasakta.

Namaz or Hajj Ijtemai amal hai jo ko poori dunia dekh sakti hai.

Or Barailvi jesey Eid Milad or Jaloos nikaltey hain ye bhi Pakistan or India main Ijtemai amal ki tarha hota hai.

Sarey barailvi kia akeley akeyley apney ghharon main Milad kartey hain?

Or akley akeley Jaloos nikaltey hain?

Ya Pakistan or India key aalawa sari Islami dunia main Akeley akley Milad or Jaloos nikaltey hain?

Wah jee wah! Kya kehnay.. apnay sarr per aye tu infiraadi aur ijtimaee ka farq nazar aa gaya. Mein zyada kuch nahi bolo ga, bus aik seedha aur simple sa sawal aap ki inn tamaam baato ka jawab hai.

Pak-o-Hind mein Eidain ki namazein jis andaaz mein hoti hain ussi andaz mein sari dunya mein hoti hain kya? Maslan;

1. Masjid se bahir road block kar ke namaz-e-Eid parhna.

2. Masjid ke Imam ka loudspeaker per Khutba-e-Taqreer karna

3. Naiz Eid ke ilawa panj'waqta namaz ke time Masjid se loudspeaker per Azan dena.

Inn ka jawab de dijiye aap ki baat ka jawab aap ko khud hi mil jaye ga.

Aap ko baar baar samjhaye janay ke ba'wajood aap dheet banay her post mein Milad se hatt kar doosray masail per zaroor kuch na kuch likhtay hain. Miya jee aap ko dawat di tu hai deegar tamam masail per alehda alehda topic create kar ke baat karne ki. Tu phir ye saray masail isi topic mein kyu ghussairnay per tulay hain? Agar Milad ki mouzo per baat karne ke liye ab aap ke paas kuch nahi bacha tu khamoosh ho jaiye, koi maray ga thori na aap ko! Waisay ab tu aap ko haqq bhi nahi ke aap iss topic per mazeed koi baat karein. Kyu ke aap khud iqraar kar chukay ke Milad bunyadi aqeeda nahi balkay bunyaadi aqeeday ki bina per kiya jana wala amal hai. Tu aamal per guftufo tu baad mein hoti hai pehlay tu bunyadi aqaid zaroori hain. Tu usooli tour per tu ab aap ko unn bunyaadi ikhtilafaat per baat karni chahiye jin ka aap ne zikr kya.

Mujhay hai aap usoolo ki pabandi kartay howay jald hi bunyaadi ikhtilafaat per baat shuru karein gay. Humari taraf se aap ko khulli choot hai, aap apnay paish'karda bunyaadi ikhtilafaat mein se jis per jee chahay baat shuru kar lijiye, hum hazir hain.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Assalam-o-ALikum,

Hum ney kaha tha key hum gher zaroori baton per behas nahi kary gey sirif jo khas point hain us per baat kary gey.

Kya Quran-e-Pak ko samajhnay ke sirf Arabi zaban per uboor hasil hona kaafi hai?

Is ka seedha jawab ye hai key “Quraan Pak or Hadees Pak Arbi zuban main hai or Arbi zuban Arab ki zuban hai or Arbi Ulama or Arbi key Mahireen sey acha Quraan or Hadees ka Tarjuma or Tashreeh koi nahi samjh sakta,(Khas tor per Deen key Bunyadi ehkamat)

2. Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi?

Ye pichhli post main likha thaw aha bhi perh lain yaha bhi perh lain:

”Islam ka qanoon (Quraan o Hadees) to nahi kahta”

Urdu humari qoumi zaban hai jab ke Urdu ke bayshumaar naamwar Shai'r Adeeb India ke hain jinki qoumi zaban Hindi hai! Salman Rushdie Maloon-o-Mardood ka naam suna hoga aap ne. Uss ki Madri zaban English nahi phir bhi iss khabees ko saikro Awards milay hain as an English Writer. Author of the Year (British Book Awards), Author of the Year (Germany), Kurt Tucholsky Prize (Sweden), Aristeion Prize (European Union), English-Speaking Union Award aur najanay kitnay deegar awards. Aur ye woh awards hain jin ke liye English writers including Britishers apni jaan dene ko tayyar ho jaye, aur ye sab mil kisay gaye? Aik aisay banday ko jo Indian hai, jis ki madri zaban Hindi hai magar woh hazaroo laakho Britishers se achi English bool leta hai, likh leta hai aur samajh leta hai!

1-Salman Rushdi ko itney Awards diey gaey wo Islam sey Dushmani ki waja sey diey gaey.(missal ye hubb-e-Ali nahi Bughaz-e-Moawia hai)

(Matlab English ki khidmaat sey ziada Islam dushmani ki waja sey)

2-Salaman Rushdi ko awards koi English books ki English writer sey achhi translate kerney par nahi dia gaya.

3- Salman Rushdi ney ager English seekhi to us ney sarey English writers ko challenge nahi kia key main tum sab sey achhi English janta hoon.

4-Salman Rushdi ki books ko bohat sarey British ney Tasleem kia,

Kia aap bata saktey hain key kis ney Brailvi Ulama ki translate ko kitney awards miley ya Arab Ulama ney Taaeed ki ho?

Aap mujhay bata dijiye ke mein ne kab kaha kis post mein ye baat kahi ho ke "dunia ka koi bhi gher zuban wala maatheri zuban waley sey acha tarjuma or tashreeh nahi karsakta" Itni bay'baaki aur be'sharmi se jhoot bolnay walay mein ne kam hi dekhay hain! Aap ya tu mujhay bataiye ke mein ne kis post mein ye baat kahi, ba'soorat-e-deeegar iss ghalti ka i'aada aap ke zimay hai.

Ye apkey alfaz jo teesri dafa hum post kar rahy hain ap shayad perh nahi rahy:

“Be'shakk Quran-o-Hadith Arabi mein hai aur jo ke Arab bashindo ki madri zaban hai aur unhay ba'haisiyatt apni qoumi zaban ke, Arabi per hum se zyada uboor hai.

Lekin jo mantak aap paish kar rahay hain woh samajh se bala'tar hai.

Arabi hona be'shakk iss baat ki daleel ho sakti hai ke unhay Arabi non-Arabs se zyada achi samajh aa jaye.”

Ye apkey alfaz hain humarey nahi hain.

Aur agar mein aap ko Quran se hi hawalajaat paish kardo ke jaha se wazeh andaaz mein pata chalta hai ke Allah ke naik banday Allah ki aata say bando ki madad kartay hain tu? Aap ko dawat bhi di hai ke janab alehda topic bana kar iss maslay per bhi apnay dil ki hasrat poori kar lijiye. Najanay aap ki ghairat iss dawat ke jawab mein kyu soee pari hai!

Jee haa, Alhumdulillah hum wazeh ehkamat ko bhi poori tarah samajhnay ke liye Ulema ki tafaseer parhtay hain aur yehi Quran ka hukm hai.

"So pooch lo ihl-e-zikr se agar tum nahi jaantay"

(Surah Al-Nahl, Ayat 43)

Iss ki agli hi ayat mein hai ke;

"Bhaija tha un ko) khulli nishaniya aur kitaabein day kar aur utara hum ne tum per bhi ye zikr takay khool khool kar bayan karo tum insaano ke samnay woh taleem jo nazil ki gai hai un ke wastay takay woh ghour-o-fikr karein"

(Surah Al-Nahl, Ayat 44)

Ab ghour se parhiye ke pehlay Allah farmata hai ke "Bhaija un ko Khulli Nishaniya aur kitabein de kar" tu khulli nishaniya tu ba'qoul aap ke sabhi ko samajh aajani chahiye, lekin Allah agay farmata hai ke "takay khool khool kar bayan karo tum insaano ke samnay". Tu ab Allah se MaazAllah kya ye sawal karien gay ke "Khulli nishaaniyo ko bhi aur khool khool kar bayan karne ka hukum kyu dya?" Ab ye na kahiye ga ke iss tarjumay ko aap nahi mantay! Ye tarjuma humara nahi ussi website se as it as likha hai jaha se pehlay aap ne pehlay images post kiye thay!

Is ka jawab apko humari new thread main miley gey Intezar kijey

Dunya mein kisi bhi zaban ke kisi bhi baray se baray ustaad ke samnay apni ye mantak rakhiye, agar Ihl-e-Zouq hoga tu shayad aap ko jootay maray ga!

Apki age kahin 60 ya 70 to nahi ?

Ager essa hi hai to ab hum samjh rahy hian key masla kahan hai

Ap sey kafi time sey baat kar rahy hain pehley to hum samjh rahy they key apko ghalat fehmi horahi hai or hum bar bar wazahat sey apki ghalat fehmi door kerney ki koshish ker rahy they mager ab hum samjh gey ap sirif zid kar rahy hain jis ka sirif ek hi hal hai,

Wesey apki Itelaa key liyain araz hai key humari ye bewaqoofana muntaq http://noormadinah.nett per Sulaiman Subhani sirif 05 din main samjh gaey they or unhon ney 10 din forum band rakhi or phir jab open ki to humain ban bhi kia or post bhi delete kerdi thi.

Yaha ek bat zehan main rakhiey ga key unhon ney or bohat sarey waha key member ney dawa kia tha key wo humarey sawalat ka jawabat dain gey mager jab unko humari”bewaqoofana muntaq” (apkey hisab sey)samjhaai to bagher jawabat diey hi delete kerdi

Ap is link per click kary or Sulaiman Subhani sahib sey pooochh lain.

http://ashraf786.com main Nomee sey poochain unka iqrar mojood hai key hum ap key jawab deyney sey qasir rahy.

3 time Shah Tarub Ul Haq sahib ko bhijwa chukey hain mukhtalif un key shagirdon key hath mager unhon ney bhi Humari bewaqoofana mantaq koi jawab nahi dia(yaha ye baat zehan main rakhiey ga bewaqoofana muntaq ki waja sey nahi kio key Shah sahib key Shagiron ka dawa tha key Shah sahib jawab zaroor dain gey)

02 time Tahir ul Qadri sahib ko bhej chukey hain ek dafa direct or ek dafa Tahir sahib key shagird-e-khas(Ali Gondel) key hath mager abhi tak wo sahib bhi dawa kerney key bawajood wapis nahi aaey.

Kuchh dost India key jinhon ney bhi humari bewaqoofana muntaq key jawab dey ney ka dawa kia tha,

Ye sab bataney ka maqsad ye hai ager apko koi bat nahi samjh arahi to is main muntaq bewaqoofana nahi,

Jabkey sab sey ooper apkey alfaz bhi mojood hain bewaqoofana muntaq samjhney key.

Ap humari frist post key 06 peges key print lain or Tahir ul Qadri sahib,Shah Turab-Ul Haq sahib ya Mufti Muneeb ur Rehman sahib key signature or stamp key sath ager ap ye hi comments jo ap ney is thread main diey hain ager ye Ulma-e-Kiram bhi dain gey to hum samjh lain gey key ap drust they or ghalti humari thi.

Wah jee wah! Kya kehnay.. apnay sarr per aye tu infiraadi aur ijtimaee ka farq nazar aa gaya. Mein zyada kuch nahi bolo ga, bus aik seedha aur simple sa sawal aap ki inn tamaam baato ka jawab hai.

Pak-o-Hind mein Eidain ki namazein jis andaaz mein hoti hain ussi andaz mein sari dunya mein hoti hain kya? Maslan;

1. Masjid se bahir road block kar ke namaz-e-Eid parhna.

Hum ney ye sarey link apko bhejey they mager shayad ap ney kisi link ko bhi dekhney ki zehmat gawara nahi ki ab doobara dekh lain key sari dunia Eid ki namaz Masjid main perh rahi hai ya khuley aasman key neechey,

Jesey Pakistan main bhi kuchh Masjid main Eid ki namaz ada ki jati hain issi tarha dosrey Islami dunia main bhi kahin Masjid main or kahin khhuley asman key neechey.

Pls check kary(mager humain pata hai ap apni zid ki waja sey nahi maney gey kher hum ney apna kaam poora kardia hai)

2. Masjid ke Imam ka loudspeaker per Khutba-e-Taqreer karna

Hum Muslims country ki bat kar rahy hian ap non Muslims country ki.

3. Naiz Eid ke ilawa panj'waqta namaz ke time Masjid se loudspeaker per Azan dena.

ye humara sawal tha :

“Namaz sari dunia main ek hi Tarha perhi jati hai”

Or phir apkey jawab per humara dosra jawab ye tha jo ap na perh saky:

ap jawab dey tey hain key azan deyney ka tareeqa dunia main mukhtalif hai(yaani Azan main bhi tabdeeli nahi sirif dey ney ka faraq hai or bhai hum ap sey Islami country ki baat ker rahy hain non muslim country ki nahi)

Nasir Noman

Edited by Sybarite
((irrelevant) Links deleted to maintain post width)
Link to comment
Share on other sites

Ap sey kafi time sey baat kar rahy hain pehley to hum samjh rahy they key apko ghalat fehmi horahi hai or hum bar bar wazahat sey apki ghalat fehmi door kerney ki koshish ker rahy they mager ab hum samjh gey ap sirif zid kar rahy hain jis ka sirif ek hi hal hai,

(bis)

Main Ney Aapki Aasani Key Liye Is Topic Mein Reply Chora Takey Aap Sybrite Bhayi Ko Jawab Dein Aur Phir Yeh Na Kahain Key Buhut Sarey Members Reply Ker Detey Hain...

Mager Mujhey Aapki Posts Perh Ker Hansi Aati Hai... Ager Yahi Mantaq Aap Kisi Urdudan Wahabi Key Aagey Pesh Kerein... Ager Tareekh Per Uski Nazer Hoyi Tu Woh Bhi Aapki Khoob Class Lagayen Gey...

Aapki Posts Dekh Ker Mujhey Malang Deobandi Yaad Aajata Hai.. Ba Wajod Iskey Keh Aapka Aur Uska Mawazna Nhin.. Super Ka Farq Hai... Aisa Ajeeb-ul-Ghareeb Mantaq Us Ney Bhi Pesh Nhin Kiya Tha..

Wesey apki Itelaa key liyain araz hai key humari ye bewaqoofana muntaq http://noormadinah.nett per Sulaiman Subhani sirif 05 din main samjh gaey they or unhon ney 10 din forum band rakhi or phir jab open ki to humain ban bhi kia or post bhi delete kerdi thi

Hum Bhi Sirf 2 Dino Mein Hi Samajh Gaye They... Mager Aapko Chances Sirf Is Liye Dey Rahey Hain Takey Aapki Batoon Ka Pol Bar Sar-e-Aam Khul Jaye.. Aur Aap Kisi Aur Jaga Per Ja Ker Yeh Na Kahain Key Aapka Jahilana Topic IslamiMehfil Per Is Liye Delete Ker Diya Gaya Key Unkey Pas Jawab Nhin Tha... Waisey Bhi Yahan Malangon Key Topics Bikhrey Perey Hain.. Hum Topics Delete Nhin Kertey.. Takey Koi Rah-e-Haq Ka Mutaalashi Aaker Aap Sab Ki Asliyat Jaan Sakey..

Baqi Aap Key Mantaq Per Tu Wahabi Bhi Aap Ko Jootey Marein Gey... Haan Mager Saudia Key Wahabis Ko Dekh Ker Munafiqat Na Dikhayi Tu....

Baqi Sybrite Bhayi Aap Key Reply Ka Tehqeeqi Jawab Dein Gey...

Link to comment
Share on other sites

Hum ney kaha tha key hum gher zaroori baton per behas nahi kary gey sirif jo khas point hain us per baat kary gey.

Aap ke paas bolnay ko ab kuch nahi bacha tu aik hi baat ko her post mein likhay ja rahay hain. Aap ne jin khaas khaas points per baat ki hai ussi ka jawab diya hai hum ne so ye bekaar ki baansi bajana band kijiye aur kaam ki baat per aiye.

Is ka seedha jawab ye hai key “Quraan Pak or Hadees Pak Arbi zuban main hai or Arbi zuban Arab ki zuban hai or Arbi Ulama or Arbi key Mahireen sey acha Quraan or Hadees ka Tarjuma or Tashreeh koi nahi samjh sakta,(Khas tor per Deen key Bunyadi ehkamat)

”Islam ka qanoon (Quraan o Hadees) to nahi kahta”

Kaun kehta hai? Quran ya Hadith? Iss ka jawab aap de chukay ke Quran-o-Hadith tu nahi kehta. Tu phir iss per daleel kya hai? Koi nahi! Kehnay walay (yani aap) ka ilmi maqaam kya hai? Kuch bhi nahi. So ye humaray liye hujjat nahi. Apni fatwa'baazi aap apnay ghar tak hi mehdood rakhiye. Humien tu daleel chahiye Quran-o-Hadith se. Agar hai tu paish kijiye warna aap ki zaati mantak aap ka zaati faisla humare liye koi maani nahi rakhta. Ab iss mouzo per tab hi baat kijiye ga jab koi daleel ho. Aap ka abhi itna Ilmi maqaam nahi ke aap keh dien aur ummat ke liye aap ka kaha hujjat ho jaye.

1-Salman Rushdi ko itney Awards diey gaey wo Islam sey Dushmani ki waja sey diey gaey.(missal ye hubb-e-Ali nahi Bughaz-e-Moawia hai)

(Matlab English ki khidmaat sey ziada Islam dushmani ki waja sey)

2-Salaman Rushdi ko awards koi English books ki English writer sey achhi translate kerney par nahi dia gaya.

3- Salman Rushdi ney ager English seekhi to us ney sarey English writers ko challenge nahi kia key main tum sab sey achhi English janta hoon.

4-Salman Rushdi ki books ko bohat sarey British ney Tasleem kia,

Kia aap bata saktey hain key kis ney Brailvi Ulama ki translate ko kitney awards miley ya Arab Ulama ney Taaeed ki ho?

1. Islam dushmani ka English writing se kya lena dena? Be'shakk uss ki khabasat per ussay Islam dushmano ne jaani aur maali dono tour per tahaffuz dya magar "English Literature" se is ka kya lena dena?

2. Salman Rushdie ko awards English books jaddi pushti Britishers se bohut achi Enlish likhnay per diya gaya jo ke translation se zyada mushkil kaam hai. Translation mein aap ke pas sab kuch likha likhaya hota hai ussi ko translate karna hota hai jab ke authoring mein aap ko khud likhna parta hai. Ab ye bataiye ke Quran bhaijna wala Allah bartar ya Quran ko translate karnay wala bartar? Kalam tu Allah ka hai, sara kamal tu Allah ke kamal ka hai. Banday ka kamal tu sirf uss ka tarjuma karna hai tu bartar zahir hai Kalam wala howa na ke kalam ka tarjuma karnay wala.

3. Salman Rushdie nay agar aisa koi challenge nahi kiya tu aisa koi challenge tu humaray ulema nay bhi nahi kiya ke hum se behtar Arabi koi nahi janta. Agar kabhi aap ko humaray ulema ki kitabein parhnay ki toufiq howi ho tu uss mein aap ko khud hi nazar aa jaye ga ke humaray Ulema khud Arab ke Ulema-e-Haqq se aksar-o-baishtar istadlaal kartay hain. So jab iss tarah ka koi dawa humaray ulema ki taraf se kya hi nahi gaya tu aap iss per kyu roye jaa rahay hain? Ainda fuzool batoo se perhaiz kijiye ga.

4. Sirf Ad'Daulat-ul-Makkia per hi 77 Ulema-e-Arab ki tasdeeq moujod hai! Ye sirf 1 kitab ka ihwaal.. aap ko agar tafseeli list chahiye tu bata dijiye mein Ulema ke naam ke saath faraham kar do ke kitnay Ulema-e-Arab ne humaray Imam Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan ki shaan mein kya kya kaha!

Ye apkey alfaz jo teesri dafa hum post kar rahy hain ap shayad perh nahi rahy:

“Be'shakk Quran-o-Hadith Arabi mein hai aur jo ke Arab bashindo ki madri zaban hai aur unhay ba'haisiyatt apni qoumi zaban ke, Arabi per hum se zyada uboor hai.

Lekin jo mantak aap paish kar rahay hain woh samajh se bala'tar hai.

Arabi hona be'shakk iss baat ki daleel ho sakti hai ke unhay Arabi non-Arabs se zyada achi samajh aa jaye.”

Ye apkey alfaz hain humarey nahi hain.

Iss bay'ghairti se jhoot bolna aap hi ke maslak ke bus ki baat hai! Pehlay dekhiye ke aap ne mujh per ilzaam kya lagaya tha;

Jab ap ye mantey hian ke dunia ka koi bhi gher zuban wala maatheri zuban waley se acha tarjuma or tashreeh nahi kar sakta.

Aap ka jhoot aur meri kahi howi baat, dono samnay hai. Mujhay highlight kar ke bata dijiye meri statement mein kaha ye alfaaz ya iss tarjuma aur tashreeh ke mutalliq meri iss tarah ki koi bhi baat mojoud hai. Jhoot boltay sharam tu aani nahi aap ko ke ye aap ke maslak ka turra-e-imtiaz hai. Lekin bila'shuba jis be'ghairti se aap ne iss jhoot ko sach sabit karne ke doosra jhoot bola uss ki misaal nahi!

Lanatullahe al'al-Kazibeen!

Is ka jawab apko humari new thread main miley gey Intezar kijey

Hadd hai jahalat ki! Khud hi baat kartay hain aur jab jawab thappar ban kar munh per parta hai tu kehtay hain ke iss ka jawab new thread mein do ga! Nasir miya ye bakwaas aap ne hi ki thi naa;

"Kia aap in bunyadi aqeedey ko samjhney key liyain Ulama ki Tafseer ki zaroorat perti hay jabkey Quraan Pak main bohat sari jaghoon per wazeh ehkamat mojood hain,"

Issi ke jawab mein aap ko Quran se hawala diya hai. Ab iss ka jawab dene ke liye new thread mein janay ki kya zaroorat paish aa gai? Aap ke under ka mujtahidd ab kaha marr gaya? Aap ko tu wazeh ehkamaat samajh aa jatay hain baghair ulema ke paas jaye! Tu phir meri quote ki howi ayat ka jawab denay mein aap ki jaan kyu jaa rahi hai. Iss ka jawab tu aap ko issi thread mein dena paray ga. Kyu ke ye aap hi ki baat ka jawab hai jo aap ne issi thread mein ki.

Haa Ghair'Allah se madad walay topic ko aap zaroor discuss kijiye alehda topic bana kar.

Apki age kahin 60 ya 70 to nahi ?

Ager essa hi hai to ab hum samjh rahy hian key masla kahan hai

Ap sey kafi time sey baat kar rahy hain pehley to hum samjh rahy they key apko ghalat fehmi horahi hai or hum bar bar wazahat sey apki ghalat fehmi door kerney ki koshish ker rahy they mager ab hum samjh gey ap sirif zid kar rahy hain jis ka sirif ek hi hal hai,

Wesey apki Itelaa key liyain araz hai key humari ye bewaqoofana muntaq http://noormadinah.nett per Sulaiman Subhani sirif 05 din main samjh gaey they or unhon ney 10 din forum band rakhi or phir jab open ki to humain ban bhi kia or post bhi delete kerdi thi.

Yaha ek bat zehan main rakhiey ga key unhon ney or bohat sarey waha key member ney dawa kia tha key wo humarey sawalat ka jawabat dain gey mager jab unko humari”bewaqoofana muntaq” (apkey hisab sey)samjhaai to bagher jawabat diey hi delete kerdi

Ap is link per click kary or Sulaiman Subhani sahib sey pooochh lain.

http://ashraf786.com main Nomee sey poochain unka iqrar mojood hai key hum ap key jawab deyney sey qasir rahy.

Aap ke saath doosray forums per kya howa kya nahi iss per behes karnay ka faida? Youn tu mein bhi najanay wahabis ki kitnay forums/communities per baat karne jaa chuka aur waha per siray se kisi wahabi mein himmat hi nahi howi ke baat karay. Ya tu khud bhaag gaye ya mujhay ban kar diya. Lekin inn sari baato ka yaha iss mouqay per karne ka kya maqsad? Topic kya hai aur aap kis baat per roye jaa rahay hain khud dekh lein. Topic start kiya tha Milad per, phir rootay rootay aye Ulema-e-Arab aur Ulema-e-Hind waghaira ke maslay phir, phir bhagay Ghair'Allah se madad ke maslay per!

Aap doosray forums ko roona chooriye iss forum ki baat kijiye. Yaha sabhi dekh rahi hain aap ki halat. Sawab gandum jawab channa wali baatein kartay hain aap. Milad per aiteraaz kar ke topic bana kar jab ruswa honay lagay tu roona lagay ke ye bunyaadi masla nahi, bunyaadi masla tu Ghair'Allah se madad, Hazir-o-Nazir waghaira hai... Aray tu miya aap ko chahiye tha na ke pehlay unn bunyaadi masail per baat kartay. Hum ne rooka thori na tha aap ko.

Aur aap ka ye dawa ke unhay aap ki bakwaas per mabni guftugo samajh aa gai tu unse jawab na diye gaye ye bhi aap ka zehni fitoor hai. Wohi baat hai ke pagal kisi rasta chaltay ko patthar maray aur woh banda chup chaap chala jaye tu pagal kahay; "Dekha darr gaya"! Hum iss tarah ke bawlo se uljhaa nahi kartay. Aap shayad ab tak ye samajh rahay hon ke hum aap se behes kar rahay hain. Hargizz nahi! Aap ki abhi itni ilmi auqaat hi nahi ke aap se iss kism ke ilmi masail per baat ki jaye. Yaha sirf aur sirf aap apni jahalat ki tarjumani kar rahay hain aur hum sirf isay projection de rahay hain ke dekh lo sunniyo, ye halat hai najdiyo/wahabiyo ke imaan aur ilm ki!

3 time Shah Tarub Ul Haq sahib ko bhijwa chukey hain mukhtalif un key shagirdon key hath mager unhon ney bhi Humari bewaqoofana mantaq koi jawab nahi dia(yaha ye baat zehan main rakhiey ga bewaqoofana muntaq ki waja sey nahi kio key Shah sahib key Shagiron ka dawa tha key Shah sahib jawab zaroor dain gey)

02 time Tahir ul Qadri sahib ko bhej chukey hain ek dafa direct or ek dafa Tahir sahib key shagird-e-khas(Ali Gondel) key hath mager abhi tak wo sahib bhi dawa kerney key bawajood wapis nahi aaey.

Kuchh dost India key jinhon ney bhi humari bewaqoofana muntaq key jawab dey ney ka dawa kia tha,

Allah hi behtar janta hai ke woh sawalaat Shah Sahib tak pohanchay ya nahi ya aap ne sawalaat bhaijay bhi ke nahi. Lekin aik baat samajh nahi aati. Aap keh rahay hain ke Shah Sahib ke "Shagirdo" ke haatho sawalaat bhijwaye, aur jaha tak mere ilm mein hai Shah Sahib Dars-o-Tadrees ke shubay mein tu hai hi nahi. Ustaad aur Muallim mein farq hota hai.

Aap nay sawalaat bhaijay ya nahi ye baat bhi yaqeeni tour per nahi kahi jaa sakti. Iss tarah ke sawalaat bhaijay jatay hain tu koi saboot bhi hota hai jaisa ke Hazrat Allama Abbas Rizwi Sahib ke Wahabiyo se sawalaat, jinhay posters ki shikal mein chaapa ja chuka aur aaj tak uss ke jawab dene ke liye poori wahabiyatt mein se koi samnay nahi aya.

Baqi aap ke paas agar sawalaat hain tu unhay yaha post kar dijiye. Aap ko yahi jawab mil jaye ga (ia)

Rahi aap ki mantak tu uss ko sabit karne ke liye tu khud aap ke paas bhi kuch nahi. Khud aap ne iqraar kar liya ke Quran-o-Hadith tu ye nahi kehta. Tu jab Quran-o-Hadith aap ki mantak ki taeed mein nahi tu phir jawab dene ki zaroorat hi kya baki rehti hai.

Ye sab bataney ka maqsad ye hai ager apko koi bat nahi samjh arahi to is main muntaq bewaqoofana nahi,

Jabkey sab sey ooper apkey alfaz bhi mojood hain bewaqoofana muntaq samjhney key.

Ap humari frist post key 06 peges key print lain or Tahir ul Qadri sahib,Shah Turab-Ul Haq sahib ya Mufti Muneeb ur Rehman sahib key signature or stamp key sath ager ap ye hi comments jo ap ney is thread main diey hain ager ye Ulma-e-Kiram bhi dain gey to hum samjh lain gey key ap drust they or ghalti humari thi.

Yaha baat samajh anay ki nahi balkay sirf itni si hai ke aap ka sawal hi na'maqoul hai. Aur meri kis baat mein aap ki mantak ko samajh kar uss ke sahih honay ka iqraar hai? Ye kamal-e-be'ghairti se jhoot bolnay ki beemari aap ki fitrati hai ya maslaki?

Aap ki ilmi halat ka andaza issi baat se hota hai ke aap Prof. Tahir-ul-Qadri ko humaray Ulema mein se samajh rahay hain. Humaray 300 ulema ka mutaffiq faisla hai ke Tahir-ul-Qadri GUMRAH hai. Iss forum per bhi aap ko Tahir-ul-Qadri ke khilaaf kaafi mawaad mil jaye ga. So miya jee pehlay kuch tehqeeq kijiye phir iss tarah ke masail per baat kijiye ga.

Rahi baat Shah Sahib, Mufti Muneed-ur-Rehman sahib aur deegar ulema ki tu janab woh Ulema mein se hain. Ilmi sawalaat hon tu woh zaroor jawab dete hain. Iss tarah ki ghair'mantaki bakwaas ka jawab dene ka na tu unn ke paas waqt hai aur na hi zaroorat. Aap jo signature aur stamp ki baat kartay hain tu janab aik kaam kijiye, aap ki bakwaas per mabni jo ye 6 pages hain unn per kisi known alim ke signature aur stamp lagwa kar post kar dein takay maloom ho jaye ke ye jahalat per mabni sawalaat jo aap kar rahay hain wohi aap ke ulema ke bhi hain.

Hum ney ye sarey link apko bhejey they mager shayad ap ney kisi link ko bhi dekhney ki zehmat gawara nahi ki ab doobara dekh lain key sari dunia Eid ki namaz Masjid main perh rahi hai ya khuley aasman key neechey, Jesey Pakistan main bhi kuchh Masjid main Eid ki namaz ada ki jati hain issi tarha dosrey Islami dunia main bhi kahin Masjid main or kahin khhuley asman key neechey.

Janab mera sawal "khullay asmaan ke neechay" namaz per nahi tha! Mera sawal ye hai ke aap sabit kijiye ke jis tarah Pak-o-Hind mein "ROAD BLOCK" kar ke Eidain ki namaz hoti hai ussi tarah tamaam dunya mein hoti hai. Jo bold mein likha hai ussay ghour se parhiye aur phir jawab dijiye.

Hum Muslims country ki bat kar rahy hian ap non Muslims country ki.

Tu aap ka matlab hai ke non-muslims countries mein Azan mukhtalif andaaz mein hoti hai? Muslim country ho ya non-muslim azaan ka haisiyatt tu wohi rahay ga na!

ye humara sawal tha :

“Namaz sari dunia main ek hi Tarha perhi jati hai”

Or phir apkey jawab per humara dosra jawab ye tha jo ap na perh saky:

ap jawab dey tey hain key azan deyney ka tareeqa dunia main mukhtalif hai(yaani Azan main bhi tabdeeli nahi sirif dey ney ka faraq hai or bhai hum ap sey Islami country ki baat ker rahy hain non muslim country ki nahi)

Aap ne khud hi apnay saray sawalaat ka jawab de diya.

Aap kehtay hain ke

"ap jawab dey tey hain key azan deyney ka tareeqa dunia main mukhtalif hai(yaani Azan main bhi tabdeeli nahi sirif dey ney ka faraq hai"

Tu Milad ka bhi ye mamla hai. Milad ke mamoolaat mein bhi koi farq nahi, sirf tareeqa ya andaaz alag hai. Naat'khuwani bhi hoti hai, Salat-o-Salam bhi parha jata hai, juloos bhi nikalta hai, jhanday bhi hotay hain, ijtimaa bhi hota hai gharz ke saray amaal wohi hain karnay ka andaaz mukhtalif hai ke kahi per Naat'khuwani khullay aam roads per hoti hain aur kahi per gharo mein, kahi per juloos ke liye pooray pooray roads band kar diye jatay hain tu kahi per road ke sirf kuch hissay per juloos nikala jata hai! Aap nay hoshiyaari hoshiyaari mein apnay aiteraaz ka khud hi jawab de dya!

Shukriya!

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...