Jump to content

Wuzu ke masail


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

aapki bohat meherbani ho gi agar aap merey in sawalon ke jawab hadees aur sunnat ki roshni mein dedein to!

agar aap ko waqiye mein yaqeen ho ke aap jo likhne ja rahe hain woh ahelesunnat ke mutabiq sahi hai.

 

bohat skukriya ap ka!

 

 

1-) Wuzu se pehle jo instanja karte hain, istanja karte waqat aksar kuch pechab ke qatrey jooton par gir jatey hain, to kya wuzu ke doran jab paaon dhote hain to jootey bhi dhoney chahiey?

 

 

2-) Agar kuch chote chote qatrey, pechab karte waqat kaprdon par gir jayen to kya namaaz ho jaye gi? kyon ki beroone-e-mumalik mein instanja nahaney wale Tab ke andher kiya jata hai jis mein yaqaqeen zyada jaga nahi hoti.

 

3-) jab wuzu mukamal ho gya, to aap masjid ki taraf rawana hooey, agar shalwar ke neechey kuch bhi na pehna ho to chalte waqat (nali) kabhi kaprdon se takrati hai aur kabhi jism se, jis ki waja se insaan ko mehssoss hota hai ke kuch qatrey nickle kar us ke kaprdon par lag rahey hain, aur jab wo masjid mein ja kar washroom mein ja kar dekhta hai to shalwar sookhi hoti hai, kyon ki mumkin hai ke masjid mein ate waqat qatra ya qatrey sookh gaye hon ya phir girey hi na hon. to kya un kaprdon se namaaz ho jati hai.

agar nahi, to agar kaprdey badal bhi diyen jayen to naye kaprdon ke saath bhi aisa hi ho to, to un kaprdon se namaaz pard saktey hain.

 

4-) kaprdey kitni had tak gandey hon ke un se namaaz padi ja sakti ho? (chote pechab ke katron se).

 

5-) aap ne wuzu kiya namaz pardi aur ghar aye, aur doosri namaaz tak aap washrom nahi gaye, aur doosri namaaz ke wuzu karte waqat bhi aap ko koi hajat na ho to jab doosri namaaz keliye wuzu karein gey to kya wuzu shuru se karna ho ga( yani istanaja se) ya haat, quli se?

 

6-)koi shakhs bawuzu hai, to kya filmein daramein dekhne ya internet istimaal karne se us ka wuzu toot jaye ga?

 

7-) aap masjid mein phonchey aur dekha ke magrib ki namaz ki pelhe rakat ki qiraat ho rahi to aap kis waqat sana pardey gey. agar doosri rakat ki qiraat hor rahi ho to kis waqat aur agar imam 2 rakatein poori kar chuka ho to teesri rakat mein aap usey kardey hooey paen to kab sana pardey gey?

Aur aisey hi aur namazon ke liye bhi kya hukam hai kis waqat sana pardni chahiey agar aap masjid mein lait phonchey?

 

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

 

 

 

Gulzar bhai kosish karta ho ka aap ke sawalon ke jwawb

 

1. Aaj kal istanja khano main seats lagi hoti ha jin aik fiada yeh ha wo delwan main hoti ha aur peshab ka katray wah girnay ke bhad jouton par nahi partay. Laikn phir be aap care kare to ziada zaruri ha. Agar aap ka jouton par peshab ka katray gir gay ha to dho lena ziada acha ha kyou ka wa katray aap ke karpon ko be palit karay ga aur aap kaay jism be.

 

2. Peshab ke katraon ko dohna zaruri ha

 

3. Agar aap apnay is sawal ka jawab amir e ahle sunnat ka kitabcha waza ke waswasy aur un ka ilaz paray to aap ko bohat se malomat mil jay ge. Phir be . Imam muhammad kitab ul asar main imam e azam se wo hazrat hamad se wo hazrat ibrahim se rewait karaty ha ke agar kasi ko shak ho k wazu ka bhad peshab k katray tapkay ha tu wo wazu karnay ke bhad pani ke katray shalwar par (peshab wali jaga par) chirak diya karay aur agar aisa mehsoos ho tu shiytan ka waswasa samajh kar ignore kar day.

 

4. Agar tu kapray ghanday ha tu namaz ho jaye ge lakin paleet honay ke surat main namaz nahi ho ge.

 

5. Istanja karana wajib ye faraz nahi ha. Istanjay ke beghari be wazu aur namaz ho jai ge. Ha agar peshab ke hajat ho aur peshab na kiya to aise surat main wazu par asar zaur paray ga.

 

6. Fiqa hanfi main aurat ko chunay se ye apni wife se boso kinar (kissing) karnay se wazu nahi tutata, bashirtiake beshab ye mazi kay katray na nikar jay. Tu lazmi baat film ye darama dekhna se be wazu nahi tutay ga. Ha fiqa shahi mein aurat ko chunay se wazu toot jata ha.

 

7. Aap zohar ke namaz mein imam ke sath dusri, tesri ya choti rakat mein shamil huway tu allah o akbar keh kar khamosh kharay ho jay. Imam jab apni namaz puri kar le tu aap khary ho jay aur agar aap ke aik rakat baqi ha tu sana paray phir surah fatiah aur phir koi aur surat par kar namaz puri kar le. Isi tarah agar 2 rakat baqi ha tu salam k bhad khary ho jay aur pheli rakat upar diya huwa taraqi ke mutaib paray aur dusri rakat main fataiah aur surat parai aur namaz puri kar le. Agar 3 raktain rahti ho tu imam ke salam ke bhad kharay ho jay phir sana paray phir surah fataih phir koi aur surat paray us ke bhad rakhu phir sajday kar ke tashad main beth kar aataihiat paray. Aur phir khary ho kar surah fataih paray us k bhad surah par kar rakhu karay phir sajday kar k kharay ho jay aur aur akhari rakat main sirf surah fataih par kar namaz mukamil kar le

 

ولللہ اعلم بالصواب

 

QAISER MUSTAFA ATTARI

Edited by Ya Mohammadah
block letters can't be read properly, changed in small caps.
Link to comment
Share on other sites

گلزار بھاءی صرف دعاؤں میں یاد رکھیے کیونکہ ایک تو میرے ایم اے پارٹ ٹو کے 18/07/2008 سے پہپیر سٹارٹ ہے اور دوسرا اور بہت سے کاموں کے لیے دعاؤں کی ضرورت ہے،۔

 

قیصر مصطفٰٰی عطاری

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...