Gulzar Posted July 17, 2008 Report Share Posted July 17, 2008 jiski kai saalon ki qaza namazein baqi hon aur uper se har roz namaze-e-zohar Asar ke waqat qaza karke pardta ho to, to aisey shakhs ko baqi namazon ki sunatein pardna lazmi hain ya nahi? jaise ke fajar ki 2 etccc jawab ke liye shukriya Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Qaiser Mustafa Attari Posted July 17, 2008 Report Share Posted July 17, 2008 گلزار بھاءی اگر آپ کی فجر کی نماز قضاء ہو گءی ہے تو اس کی دو صورتیں ہیں پہلی صورت تو یہ ہے کہ اگر آپ اس کو ضحٰہ کبرٰی (وقت زوال) سے پہلے پڑھے گءے تو آپ کوفجر کی پہلے والی دو سنتیں بھی پڑھنی پڑھے گی اور اگر ٓآپ وقت زوال کے بعد یعنی جب ظہر کا ٹاءم شروع ہو چکا ہو اس وقت پڑھے گءے تو صرف فرض پڑھے گءے اگر اس وقت میں سنتیں بھی پڑھ لے تو اس بھی کوءی حرج نہیں ۔ اور قضاء نماز کے متعلق اءمہ کرام لکھتے ہیں کہ یہ روزنہ کی 20 رکعتیں بنتی ہیں۔ 2 فرض فجر، 4 فرض ظہر ، 4 فرض عصر، 3 فرض مغرب ، 4 فرض عشاء اور 3 وتر عشاء ان کی قضاء تو لازم ہے اور اگرآپ سنتوں کی قضاء کر لے تو مدینہ مدینہ ہوجاءے۔ طالب دعا قیصر مصطفٰی عطاری Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted July 17, 2008 Author Report Share Posted July 17, 2008 Aslamo Elekum! Ok is baat ki samjh agaiyi hai keh jo mujh se zohar qaza hoti hai, agar mein usko asar pardney se pehle pardon ya baad mein to sirf farz ada karne ho gey nake sunnatein & nafal. dossra sawal, ab jaisey ke mujh par saalon ki namazein qaza baqi hain, aur main har farz namaz pardney se pehle ya baad mein main kuch na kuch qaza namazein pard laita hoon, sawal ye hai ke, jo farz namazein jo ke main un ke waqat par pardta hoon, un ki jo sunnatein hoti hain, jaise ke magrib ki 2 sunnatein hain. to magrib ki farz namaaz ada karne ke baad mujhe sunnatein bhi pardni hon gi ya behter hai ke sunnaton ki bajaey koi qaza namaz pard loon? maaf kijiey ga agar main kuch zyada hi sawaal pooch raha hoon! Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah Posted July 18, 2008 Report Share Posted July 18, 2008 Aslamo Elekum! Ok is baat ki samjh agaiyi hai keh jo mujh se zohar qaza hoti hai, agar mein usko asar pardney se pehle pardon ya baad mein to sirf farz ada karne ho gey nake sunnatein & nafal. dossra sawal, ab jaisey ke mujh par saalon ki namazein qaza baqi hain, aur main har farz namaz pardney se pehle ya baad mein main kuch na kuch qaza namazein pard laita hoon, sawal ye hai ke, jo farz namazein jo ke main un ke waqat par pardta hoon, un ki jo sunnatein hoti hain, jaise ke magrib ki 2 sunnatein hain. to magrib ki farz namaaz ada karne ke baad mujhe sunnatein bhi pardni hon gi ya behter hai ke sunnaton ki bajaey koi qaza namaz pard loon? maaf kijiey ga agar main kuch zyada hi sawaal pooch raha hoon! ji bilkul aapko sunnatein bhi ada karna hongi....qaza namaz to ada karein sunnatein bhi parhein...warna sunnat e moqqeda ko chorny ki adat banany par mazeed gunah gaar hongy.. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار Posted July 18, 2008 Report Share Posted July 18, 2008 (edited) Aslamo Elekum!mein usko asar pardney se pehle pardon ya baad mein to sirf farz ada karne ho gey nake sunnatein & nafal. Asar Perhney Key Baad Ada Nhin Ker Saktey... Key Makrooh Time Shurow Ho Jata Hai... Edited July 18, 2008 by Sag-e-Attar Wrong Answer - Find Accurate Answer in Post # 11 Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted July 18, 2008 Author Report Share Posted July 18, 2008 lekin sunnatein farz to nahi hain, farz to sirf farz namaaz hai, aur qayamat ke din to farz namaaz ke barey mein poocha jaey ga mere khial se, aur waisey bhi main to qaza namazon ki waja se sunnatein nahi pardta, kyo ke jahan sunattein pardni hain wahan main qaza pardta hoon, kyon ki qayamat ke din poocha jaey ga ke tum ne kya sari qaza namazein pardi thien. kya khial hai ap ka? agar mere uper qaza namazein na hoti to maine yaqeeqan sunnatein bhi pardni thein. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza Posted July 18, 2008 Report Share Posted July 18, 2008 lekin sunnatein farz to nahi hain, farz to sirf farz namaaz hai, aur qayamat ke din to farz namaaz ke barey mein poocha jaey ga madina........ ap apni is ghalat fehmi ko door kernay k liye sab se pehlay sharai istilahat ko samjhain sharai istilahat se murad hain "Farz,Wajib Sunnat e Moakkada o Ghair Moakkada,Mustahab,nafl, Mubah haram" or in sab istilahat ki defination k liye ye parhain phir yaqeenan ap ko samajh men ayega k sunnatain parhna zaroori hain ya nahi: mazeed maloomat k liye ye bhi parhiye: wassalam ma'al ikram 1 Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah Posted July 18, 2008 Report Share Posted July 18, 2008 shukriya behan Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted July 18, 2008 Author Report Share Posted July 18, 2008 asalamo elekum! theek hai ayenda se sunnatein nahi choron ga, is mein likha hai ke, fajar ke baad aur asar ke baad sunnatein nahi pard sakte, 1-) agar fajar ki namaaz ada kar li ho, lekin sunnatein na pardi hon, aur abhi namaaz pardney ke baad abhi fajar ka waqat bhi ho to kya 2 sunnatein ada kar sakte hain jo phele nahi pard sake? 2-) fajar au asar ki namaaz ke baad qaza namaazein pard sakte hain? hamarey haan, fajar ki namaaz 04h00 baje hoti hai aur sunrise 05h00 ke baad shuru hota, jawab ke liye shukria! Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faraz Madani Posted July 18, 2008 Report Share Posted July 18, 2008 (edited) 1-) agar fajar ki namaaz ada kar li ho, lekin sunnatein na pardi hon, aur abhi namaaz pardney ke baad abhi fajar ka waqat bhi ho to kya 2 sunnatein ada kar sakte hain jo phele nahi pard sake? wassalam faraz attari Edited July 18, 2008 by Faraz Madani Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faraz Madani Posted July 18, 2008 Report Share Posted July 18, 2008 2-) fajar au asar ki namaaz ke baad qaza namaazein pard sakte hain? wassalam o alaikum Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted July 18, 2008 Author Report Share Posted July 18, 2008 maaf kijiey ga janab kuch theek se samajh nai ai, meherbani kuck asan alfaz mein samja dijiey. shukriya Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار Posted July 18, 2008 Report Share Posted July 18, 2008 wassalam o alaikum Jazak Allahu Khaira - Buhut Shukriya.. maaf kijiey ga janab kuch theek se samajh nai ai, meherbani kuck asan alfaz mein samja dijiey. shukriya Fajir Aur Asar Key Baad Qaza Perh Saktey Hain.. Haan Asar Key Baad Makrooh Time Shurow Na Howa Hoo.. Ager Jama'at Fajir Fout Honey Ka Khadsha Ho Tu Suntanon Ko Chor Ker Jamaat Mein Shareek Ho Jayen.. Aur Ager Andaza Hai Key Sunnatain Ada Ker Key Jamaat Mein Shareek Ho Jaon Ga.. Tu Sunnatain Ada Kerein.. Phir Jamaat Mein Shareek Hoon.... Mazeed Jamaat Shurow Ho Tu Sunatain Kahan Perhein Yeh Fatwa Sey Dekh Lein... Umeed Hai Abhi Masala Clear Ho Gaya Hoga... Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted July 18, 2008 Author Report Share Posted July 18, 2008 jee han kuch kuch hal ho gya, ager main sahi samja hoon to youn hai ke, Fajar ki sunnatein agar reh bhi jayen to farz namaz pard kar ada kar sakte hain lekin makroo waqat shuru honey se pehle pehle, aur yahi baat asar ki hai, ke qazaa namazein asar ke baad bhi pard sakte hain lekin makroo waqat shuru honey se pehle pehle. agar main galith hoon to bata dijiey ga please! yeh Makroo waqat kab shuru hota hai? Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted August 16, 2008 Author Report Share Posted August 16, 2008 Jiski bohat sari qazaa namazein reh gai hon, wo agar har roz 10 qazaa padta hai, wo kya 10 qaza namazein ki ek hi niyat karke akathi hi 10 pard sakta hai? yani ke bajaey ke 10 namazon ko pardney ke liye un ki 10 bar niyat kare, kya ek hi niyat se 10 pard sakta hai? Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah Posted August 16, 2008 Report Share Posted August 16, 2008 namazin zayada qaza hoon ya kaam........sab kay liye ek hi hukum hai.....her namaz ki niyat kerni hoo gi.....aur niyat ye ho gi kay meri jo pehli namaz qaza hui hai mai us ki niyat kerta hoon....isi tarhan her namaz ki ye hi niyat ho gi aur her namaz ki niyat kerna zarori hai.....hadees e mubaraka hai kay''momin kay amaal ka daroo madaar us ki neyaat per hota hai''......isi liye niyaat her namaz kay liye zarori hai..... Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted August 16, 2008 Author Report Share Posted August 16, 2008 ok yeh hal ho gya, maine yeh risala pada hai ''Qaza Namazon ka Tareeqa'' aur is mein hai ke bohat sari qaza namazein ho to aap ke lieye 4 Tahfeefein hain, mas'lan, rakoo mein 3 ki bajaey 1 hi bar subhanallah kehna, sawal yeh hai ke, farz karein ke jiski kam az kam 2 ya 3 hazaar se zayada namazein rehti hon aur wo har roz 5 qaza namzein padta ho, jaise ke fajar ke baad ek qaza, zahur ke baad ek qazaa etc... to jab wo fajar ke baad ek qazaa padey ga to wo kya tehfeef ke saath pad sakta hai ya nahi, i mean wo kya rakoo mein 3 ki bajaey 1 martaba subhanallah kahe ga ya teen bar? Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah Posted August 17, 2008 Report Share Posted August 17, 2008 sirf qaza namaz mai hi tehfeef jaiz hai.......app qaza namaz jis waqt mai bhi parhain qaza namaz mai tehfeef ker sakte hain........aur teen ki jagha 1 bar subhan allah kehne se namaz ho jaye gi...... Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faizan-e-Mustafa Posted August 17, 2008 Report Share Posted August 17, 2008 Method of praying Qada salaah: There are 20 rak'at to make up for in a day (2 fardh for Fajr, 4 fardh for Zuhr, 4 fardh for Asr, 3 fardh for Magrib, 4 fardh for Isha and 3 Witr). One should make the following intention, "I am making up for the very first Fajr that I missed." (The same should be intended for every salaah and keep adding the number as you continue to offer qada prayers.) If one has a large amount of missed salaah to make up for, he can use the following shortcuts; 1) Saying the tasbihaat in Ruku and Sujood once instead of three time. 2) Saying subhanAllah 3 times in the 3rd and 4th Rak'at instead of Surah Fatiha, but remember you must recite both Surah Fatiha and additional verses in the 3rd rak'at of Witr. 3) Saying only "Allah'huma SallayAla Muhammadiwa aalayhi" instead of reciting the whole Durood and Dua after the tashah'hud. 4) Saying "Rab'bigh-Firlee" once or three times instead of Dua-e-Qunoot in the third rak'at of Witr. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted August 17, 2008 Author Report Share Posted August 17, 2008 sirf qaza namaz mai hi tehfeef jaiz hai.......app qaza namaz jis waqt mai bhi parhain qaza namaz mai tehfeef ker sakte hain........aur teen ki jagha 1 bar subhan allah kehne se namaz ho jaye gi...... aap ne kaha mein jis waqat bhi padon tehfeef kar sakta hoon, chahey mein sarey din mein sirf 1 hi qazaa namaz padon, phir bhi tehfeef kar sakta hoon? Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah Posted August 17, 2008 Report Share Posted August 17, 2008 aap ne kaha mein jis waqat bhi padon tehfeef kar sakta hoon, chahey mein sarey din mein sirf 1 hi qazaa namaz padon, phir bhi tehfeef kar sakta hoon? ji bahi ker sakte hain...........baqi tahfeef ka method ager apko na maloom ho to jane kay liye app sayyida fatima sis ki post parh lijiye........... Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah Posted August 17, 2008 Report Share Posted August 17, 2008 Method of praying Qada salaah: There are 20 rak'at to make up for in a day (2 fardh for Fajr, 4 fardh for Zuhr, 4 fardh for Asr, 3 fardh for Magrib, 4 fardh for Isha and 3 Witr). One should make the following intention, "I am making up for the very first Fajr that I missed." (The same should be intended for every salaah and keep adding the number as you continue to offer qada prayers.) If one has a large amount of missed salaah to make up for, he can use the following shortcuts; 1) Saying the tasbihaat in Ruku and Sujood once instead of three time. 2) Saying subhanAllah 3 times in the 3rd and 4th Rak'at instead of Surah Fatiha, but remember you must recite both Surah Fatiha and additional verses in the 3rd rak'at of Witr. 3) Saying only "Allah'huma SallayAla Muhammadiwa aalayhi" instead of reciting the whole Durood and Dua after the tashah'hud. 4) Saying "Rab'bigh-Firlee" once or three times instead of Dua-e-Qunoot in the third rak'at of Witr. jazakillahu khaira behna...............allah azwajal app ka senaa madina bana day...........ameeen ameeen bijahin nabiyil ameen ........... Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
gurya Posted August 29, 2008 Report Share Posted August 29, 2008 mari jin sy shadi honey wali thi un ka intal hogya kisi ny unhay goli mar di kya mai un ki taraf sy un ki qazay umri namaz perh sakti hu q k khah jata hai namaz ke mafi nai.namaz ka fadya money sy b ada hota hai per mairy pass nahi hai kya mai un ki taraf sy namaz ki neyat sy ada ker sakti hu. ager han to kya neyat kerni hogi plz jawab dijey Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar Posted August 29, 2008 Author Report Share Posted August 29, 2008 (edited) mari jin sy shadi honey wali thi un ka intal hogya kisi ny unhay goli mar di kya mai un ki taraf sy un ki qazay umri namaz perh sakti hu q k khah jata hai namaz ke mafi nai.namaz ka fadya money sy b ada hota hai per mairy pass nahi hai kya mai un ki taraf sy namaz ki neyat sy ada ker sakti hu. ager han to kya neyat kerni hogi plz jawab dijey mari jin sy shadi honey wali thi un ka intal hogya kisi ny unhay goli mar di kya mai un ki taraf sy un ki qazay umri namaz perh sakti hu q k khah jata hai namaz ke mafi nai.namaz ka fadya money sy b ada hota hai per mairy pass nahi hai kya mai un ki taraf sy namaz ki neyat sy ada ker sakti hu. ager han to kya neyat kerni hogi plz jawab dijey -------------------------------------------------------------------------------------------------------------- INNA LILLA HEY WA INNA ALEHI RAJEOON, MUJHE NAHI PATA AAP KAISSEY UN K LIEY QAZAEY UMRI KAR SAKTI HAIN, LEKIN MAINE BHI KAHIN PADA THA KE JO INSAAN IS DUNYA SE CHALEY JATEY HAIN, UN K GHAR WALEY YA KOI AUR MUSULMAN UN K LIEY QAZAEY UMRI KAR K BAKHASH SAKTA HAI, MUJHE UMEED HAI BOHAT HI JALAD IS FORUM PAR AAP KO AAP K SAWAAL KA JAWAB HADEES-O-SUNNAT K MUTABIQ MIL JAEY GA, INSHALLAH, ALLAH TALLAH AAP KO AUR UN KE TAMAM GHAR WALON KO SABAR ATA FARMAEY AUR HAMESHA APNE AMNON AMAN MEIN RAKHAY, Ameen BEHEN BOHAT DUKH HUA AAP KE MANGETAR K BAREY MEIN AISSA SUN KAR, ALLAH UNHE AZAAB-E-QABAR SE MEHFOOZ RAKHEY AUR QAYAMAT KE DIN NABI PAAK (sal lala ho alehey wasalm) KI SHIFAAT NASEEB FARMA KAR JANNAT AL FARDOS MEIN AALA MAQAAM ATA FARMAEY, Ameen, summa ameen Edited August 29, 2008 by Gulzar Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ubaid-e-Raza Posted August 30, 2008 Report Share Posted August 30, 2008 mari jin sy shadi honey wali thi un ka intal hogya kisi ny unhay goli mar di kya mai un ki taraf sy un ki qazay umri namaz perh sakti hu q k khah jata hai namaz ke mafi nai.namaz ka fadya money sy b ada hota hai per mairy pass nahi hai kya mai un ki taraf sy namaz ki neyat sy ada ker sakti hu. ager han to kya neyat kerni hogi plz jawab dijey inna lilahi wa inna alaihi rajeon isey tawajo se pedhye. is main fidya dene ka aasan tareeqa likha hay sharee heeley k sath. pora fidya shar e heeley k sath ba aasani ada ho sakta hay. sharee faqeer ki defination tawajo se pedhye ga. bazaron main ghomney wale sharee faqeer nahi hain. agar kuch samajhne main problem ho tu yahan reply kar dejye ga tu koi na koi bata de ga. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.