Jump to content

rishtey daron ke liey saleh sawaab...


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

 

 

maine kahin pe parda tha ke musulman aur ghair muslim mein namaaz ka farq hota hai, to jo hamarey rishtey dar faut ho jatey hain, maslan man ya baap ya behen bhai, aur wo kabhi namaaz nahi pardtey they, jaisey ke hamarey ma'shray mein yeh baat aam hai. lekin wo kalma pardtey they, to un ke faut ho janey ke baad un ke liey saley sawaab karna chahiey ya nahi?

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Namaz na parhna aur saray alag gunah jo sab aamal hain Allah azzawajal unhain maaf farmaiay aamin yei sab waeedain hain ; aur Namaz ka muqam bayan karnay kay leay hain kay yei Islami tashakkhus ki phaichan hai magar jo shaks namaz ka tarik ho usay ham kafir na kahai gain na samghay gain na kuffar ka koi hukam us pay lagay ga (magar jo shaks namaz ki farziyat ka he inkar kar day wo zaror kafir hai kay jaisay Syedina Abubakr raziAllah anho nay zakat kay munkiro pay jahad ka hukam dia) aur Allah azzawajal hamain aur sab musalmano ko namaz pay qayam karay aur jo is dunya say chalaiy gaiy Allah azzawajal apnay Nabi pak alaihislam kay sadqay un kay gunah maaf farma kay baksh day aamin innaho howat Tawwabur Raheem.

 

Jo musalman bhee is dunya say chalaiy gaiay un kay leay duaiy maghfirat aur iesal e sawab kartay rahain jis qadar taufeeq hu aur khousan walidain ka buhat buhat ziada haq hai ugar Alhamdulillah walidaain , rishta dar , doast ahbab jo Saheeh ul aqida Musalman hoon un kay leay zaror duaiy maghfirat karain aur Iesal-e sawab kartay rahain.

 

Har namaz kay baad kam az kam Sora fatiha , 3 martaba Sora Ikhlas aur Ayatul kursi (aur jo bhee aayat aurad waghaira parhnay hoon) , awwal aakhir darod sharif kay sath parh kay Allah azzawajal say dua karain kay is mai jo ghaltiyan hain Allah azzawajal unhain maaf kar kay qabool farmaiay aur is ka sawab hamari taraf say Sarkare du Aalam alaislam ki bargah mai hadiyatan tohfatan paish farmaiay aur Nabi pak alaislam kay waseela jaleela say tamam Anbiya karam alaihimusSlam , tamam Sahaba kiram , tamam Auliya kiram aur Nabi pak alaisSlam aur in sab kay wasilay say tamam Momineen Mominat Muslimeen Muslimat ko Allah azzawajal is ka sawab pohanchaiay aamin phir khosus bil khousus falan falan ko ( walidain , buzaragane deen aur jis ka bhee naam ho zikar kar dain) is ka sawab pohnchay

 

inshaAllah Allah azzawajal sab ko is ka sawab pohanchaiay ga aur Musalman ki shan yehi hai kay wo un Musalmano kay leay jo is dunya say chalaiy gaiay maghfirat ki dua aur Iesal e sawab karta rahay inshaAllah jab ham is dunya say chalaiy jaaiy gain tu hamaray baad walay musalman bhe hamain yaad rakkhay gain inshaAllah

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

leikin nabi s.a.w ka farman hai ke musulman aur ghair musllim mein namaaz ka farq, is ka matlib to yahi hua na ke benamaazi musalman nahi hota, zara yeh link to dekhiey! http://itmehal.com/showthread.php?t=1409 is mein likha hai ke namaaz tark karna kufar hai, ab kufar hai to kufar hai.

is ke barey mein aap ka kya kehna hai.

Edited by Gulzar
Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Hadis e pak mai yei bhe hai kay jis nay Lailahaillahlah kaha wo jannati hai aur aisi bayshumar ahadis hai jis mai Iman pay marnay walo kay leay maghfirat ki bisharat hai inshaAllah azzawjal... Namaz ka taarik kay dil say Iman kamzoor hota rahta hai hatta kay dar hai kahee bilkul he na nikal jaaiy aur wo kufr mai na par jaaiy isi leay kaha gaya namaz momin ki phaichan hai magar yei bhee aap nay suna kay jis kay dil mai rai'ee kay jitna bhe ieeman ho (sachay saheeh aqiday pay ho chahay kitna bayamal ho) inshaAllah wo jannat mai zaror jaiay ga chahay Allah azzawajal apni ata aur Nabi pak alaislam ki shafa'at say bayhisab he dakhil kar day chahay hisab kitab kay baad bakhsha jaaiy chahay tu Allah azzawajal us kay aamal ki saza day kar phir usay jannat mai dakhil karay aur Allah azzawajal ki bargah say ummid hai kay jin loago kay leay dua kartay rahay isale sawab kartay rahain tu un kay namae aamal say Allah azzawajal burai ko mita kar naikio aur sawab ka izafa farmata hai inshaAllah azzawajal isi leay har musalman ko apni duao aur isal e sawab mai yad rakkhna chaheay kay jis ka koi bhe na ho usko bhee isal e sawab hota rahay..

 

aap ki mazkoora photo mai aap syedina Imam e Azam rahmatullah alaih ka farman parh saktay hain kay baynamazi ko qaid karo hatta kay tauba karay wallaho alam waRasuluh alaihislam.. mai nay jo ulema karam say sunya hai wo hasoole barkat aur seekhnay sikhany ki niyyat say likh dia aur wo yehi hai kay Baynamazi kay ooper fatwa kufr ka nahee lagaya jata na us pay kuffar kay ahkam jari hotay hain warna aaj kal kitnay baynamzi hai un kay marnay kay baad phir na un ki janaza ho na kafan dafan magar yei sab aap bhee mantay ho gain sirf isale sawab mai phir aap kyu uljhan ka shikar hain.. may Allah suhana'o wa ta'ala help us all amin

 

jo kalmago'u saheeul aqida musalman foat ho jaiay us kay leay duaiy maghfirat karna aur isale sawab karna chaheay aur walidaain kay leay bayhad zarori balkay un ka haq hai ugar wo mashaAllah islam o iman pay foat howay Allah azzawajal ham sab ko Iman pay mo'aat naseeb karay aamin

 

aur yei tarke namaz kufr hai yei Imam Ahmed bin Hanbal rahmtullah alaih ka qaul likha hai mujhay nahee maloom kay is ki asal riwayat kia hai jis tarah baki farman likhay howay hain us say tu lagta hai kay mafhoom likha howa asal alfaz nahee ...

 

abhee mai fatwa likh kay bhaij raha ho inshaAllah jawab aajata hai tu yaha laga du ga ya kisi kay pas pahlay say ho tu inshaAllah wo aap ko jawab daay dai gain

 

dua hai kay Allah azzwajal hamain Madinay kay tajdar alaihisSlam ki shafa'at naseeb karay aur bayhisab jannat mai apnay Habib pak alaislam kay qadmo mai jaga naseeb farmaiay amin

 

Wasslam alaikum warahmtullah

Link to comment
Share on other sites

aapki thordi si aur roshni se ma'amla hal ho jaey ga inshallah,

 

(salam)

 

bhai mai nay likh kay sawal bhaij dia tha inshaAllah Allah pak karam karay tu jaisay he jawab aata hai mai yaha post karta ho baraiay madinah intazar karain jazakAllah azzawajal

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...