Jump to content

Tasveerein


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

kisi bhee jandar ki tasveer apnay ghar mai diwaro waghaira pay na lagaiay aur yei jo loag tughray waghaira lagatay hain jis mai kisi buzurg ki tasveer hoti hai aur is ko barkat ka bais samghtay hain yei bilkul theak nahee...

 

Khana e kaba , Roza e Rasool alaislam , Harmain Sharifain , Baitul Muqaddas , Mazarate Auliya , Masajid , Naqshe Naalain sharifain waghaira zaror oonchi jaga adab kay saath lagaiay inshaAllah barkat hogee

 

is kay elawa koi bhee tasveer lagaiay jaisay qudrati manazir, samundar , aabshar waghaira magar jandar ashiya insano , janwaro , parindo ki tasaveer ya jandar ki tarah banaiay gaee koi bhee tasveer maslan cartoons waghaira ki tasaveer aur mujassamy hargiz apnay gharo mai na rakkhain aur bachoon (aur ab tu ba'roon) kay kaproo'n shirts , socks aur khilono waghaira mai bhee jandar ashiya ki tasaveer print ho tu wo istamal nahe karnay chaheay .. aap nay sahee parha Allah azzawajal ki rahmat kay farishtay us ghar mai nahee aatay tu phir rahmat bhe nahee aati.. Allah azzawajal hamaray gharo pay apni rahmat rakkhay aamin

 

aur jo tasaveer phir bhe hoti hain jaisay passport , id card aur digar cheazain un ko kisi jaga locker waghaira mai rakkhain..

 

wallaho aalam wa Rasuluh alaihislam

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

jis print shuda tasver par kisi jan dar ka face ho mukamal tu aisi tasver banana banwana lagana na jaiz hay.

 

haan fiqah ka asol hay k zarorat chez ko mubah kar deti hay. yani agar picture ki aisi zarorat hay jis k baghair guzara nahi maslan identy card k lye passport k lye tu ab banwa sakte hain tasver. magar fiqah ka ye bhi asol hay k sirf zarorat tak hi mubah hogi. yani ab agar us pic ko ghar main laga dya tu ye najaiz hay.

 

islamimehfil par dar ul ifta ahlesunnat section check karain. is main tasveer par fatwe mojod hain. woh pedhen (ia) problem mazed clear ho jaye ga.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

un aamal ki qubooliyat ki waja say aur zikar aur darood sharif kay waqt Rahmat kay farishto ka jo nazool hota hai wo ghar mai nahee aatay jandar ki tasaveer ki waja say magar Allah azzawajal kay pass un aamal ki maqbooliyat ka daromadar insan kay khuloos pay hai ugar us nay Allah azzawajal ki raza kay leay koi amal kia tu Allah azzawajal tu dil ka hal daikhnay wala hai is dunya mai kisi na kisi tarah aur aakhirat mai tu zaror us ko ajar milay ga inshaAllah aur jo Allah azzawajal ki raza kay leay (dunyadari aur dikhaway kay leay nahee) naik aamal kartay hain Allah azzawajal un say baki buraio ko bhee dur farma kay un ko pak o saaf farma daita hai

 

aain kisi photo ya mujassamay waghaira kay samnay namaz parhi jaiay tu namaz ko dohrana paray ga kay yei namaz ko fasid kar daiti hai aur bilkul na bach saktay ho tu us tasveer ko ulat dain aur mujassamay ko dhanp dain ya phir apni pusht ki taraf kar lain jis jaga kuch mumkin na ho tu namaz tu har hal mai faraz hai aur Allah dilo ka hal jannay wala hai La Yukalliful laho nafsan Illa Wus'aha

 

tu ho sakta hai in aamal ki barkat say he un ko taufeeq ho jaiay gee aur inshaAllah wo yei cheazain bhe chor dai gain aur phir kamil qubooliyat bhee naseeb ho jaiay gee inshaAllah

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

jo bhee naiki ikhlas say kee jaiay usay Allah azzawajal qabool farmata hai .. inshaAllah azzawajal jis qadar ikhlas ho aur jitna kamil ho maqbooliyat bhe waisi he hoti hai utna ajar ziada hota hai tu inshaAllah jo bahtareen jaga , bahtareen daroode pak , bahtareen hal mai parhay us ko ajar bhee bahtareen milay ga ... aur jis kay pass kuch na ho yei sab magar Nabi pak alaislam ki mohabbat mai darood sharif parhay cahahy kis hal mai kahee ho Allah azzawajal us ko zaror qabool farmaiay ga kay yei aaik dua hai aur aisi dua jisay Allah pak kabhee rad nahe farmata..

 

Allah azzawajal ko har kisi kay haal ki har kisi kay amal ki khabar hai bina kisi farishtay kay bataiay wo (azw) Aalimul Ghaib bizZaat hai

 

wasslam aalikum

Link to comment
Share on other sites

yani ke tasveer wale kamrey mein darood parda jaey to qabool ho jaey ga.

mujhe darasal jo confusion hai wo farishton ki waja se hai, agar wo ghar mein dakhal nahi hongey to kaisey wo darood likheny gey, main janata hoon ke allah sab kuch janata hai, aur doosri baat ke allah farishtey kyon bhejta hai jab ke wo sab kuch khud hi janata hai aur likney ke liey to 2 farishtey muqarar hain kandhon par, thordi si aur roshni daal dijiey, umeed hai ke ma'amla hal ho jaey ga, inshallah,

shukrya

Link to comment
Share on other sites

yani ke tasveer wale kamrey mein darood parda jaey to qabool ho jaey ga.

mujhe darasal jo confusion hai wo farishton ki waja se hai, agar wo ghar mein dakhal nahi hongey to kaisey wo darood likheny gey, main janata hoon ke allah sab kuch janata hai, aur doosri baat ke allah farishtey kyon bhejta hai jab ke wo sab kuch khud hi janata hai aur likney ke liey to 2 farishtey muqarar hain kandhon par, thordi si aur roshni daal dijiey, umeed hai ke ma'amla hal ho jaey ga, inshallah,

shukrya

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Allah azzawajal nay har kaam aaik nizam kay tahat kar dia hai isi leay mukhtalif farishto kay zimmay mukhtalif kaam laga deay hain maslan Syedina Azraeel alaislam kay zimmay rooh qabz karna hai magar Haqiqataan Allah azzawajal he zindagi aur moat dainay wala hai isi tarah jo farishtay aamal likhtay hain yani Kiraman Katibain wo is leay nahe likhtay kay Allah azzawajal ko is likhnay ki zarorat hai balkay wo hamaray leay aur Insaf kay taqazay pooray karnay kay leay hai kay kal akhirat mai koi inkar kar day tu us kay samnay us ki sari zindagi ka aiak aaik amal likha howa hai phir us kay hath pao aankhain sab aaza-e jism mazeed gawai dai gain tu insan kay pass inkar ki koi gunjaish bhe na hogee .

 

aisay he Darood sharif ki azmat o maqam ki waja say farishtay us kay leay nazil hotay hain aur Nabi pak alaislam ki bargah mai paish kartay hain warna khabar Allah azzawajal aur Allah azzawajal ki ata say Us kay Nabi alaislam ko pahlay say hai.. Allah azzawajal koi bhee naik kaam zaror kabool farmata hai aisay he Darood sharif bhee bas ho sakta hai tasaveer ki waja say Malaika Rahmat jo udhar aana chahtay hain nahee aatay tu aaik tu yei farishtoo ko roaknay ka bais ho raha hai dosri taraf un farishto ki barkat aur un ky sath jo rahmat hai us ko ghar mai dakhil nahe honay daiti.. tu inshaAllah is say pak ho phir kia he baat hai magar sirf qabooliyat ki baat hai tu Allah azzawajal say yehi ummid hai kay us ki rahmat zaror qabool farmati hai jald badair is dunya mai us ko badla mil he jaiay ga inshaAllah aur akhirat mai ajre azeem inshaAllah

 

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

  • 6 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...