Jump to content

konday banana bidat hai

mufti

تجویز کردہ جواب

kondey banana bidat hai. ye ahle sunnat waljamat ka fatwa hai. han albata shiya hadhrat ka nazariya mukhtalif ho sakta hai. lekin sunni hadrat is k paband hain k kondey waghrah say bachain. Hadhrat IMAM JAFER SADIQ kisi taaruf k muhtaj nhn, wo humaray imam hain. lekin is ka koi jawaz nhn k konday banaay jaain. aur kondon k mutalliqu logon k jo nazariyat hain us k mutabiq ye amal bidat main shamil ho chuka hai

IEsal e sawab jaiz hai ,jawaz bhi mojod hai lekin kisi khas amal k sath kernay ko zarori samajhna aik cheez ko biddat bna deta hai. imposition say mamla kharab ho jata hai.

Link to comment
Share on other sites

lekin kisi khas amal k sath kernay ko zarori samajhna aik cheez ko biddat bna deta hai. imposition say mamla kharab ho jata hai.

QURAN O HADEES O IJMA SAY SABIT KARO APNI YE EBARAT,

IJMA SAY MURAD MERI AJJ KAL KAY DEOBANDI WAHABI NAHI HAIN.

I'M WAITING

OR HAAN BIDDAT KI TAREEF BHI?

Link to comment
Share on other sites

Herat haii K aik Cheez jaiz houn par agar Kiissi khas din ki ji tu najaiz hojiee ??

kia aap Ye keh Rahe haii K QonDe banana jaiz haii par aik Din k Liee Najaiz Haii??

Muftian AhleSunnat aur Aalahazrat ki Mubarak Naleen k Barkat k Sadqe Arzz karta HOun k isstraha KOi bhi Cheez najaiz Nahe HOti Aur Aaj Kal Jese K Badmazhab Firqe ( Wahabi , Deobandi, Aur ghair Maqlad ) jo apne ghar k fatwe chapte haii YE Quran wa hadees K Khillaf haii

kia inn chezo k najiaz hone ka hukam Quran Me Aaya ??

kia haddess Me Aaya ??

nahe Aaya hargiz Nahe Aaya Tu phir apni marzi KO Shereyat ka Aehkam Kehdena Quran wa hadees ki mukhalfat haiii Q k Quran wa hadees ne inn chezoo ko kissi bhi din Najaiz nahe kaha

LAHAZA QONDE BANANA JAIZ HAII HAR DIN haa! agar koii Najiaz Rassam ye Rivaj ya Ghalat neyat Shamil hojie issmee Tu woh Rism wa Rivaj ya Neyat ghalat hogi

Jese k baaz Loog kehte K Qonde ghar se bahar Nahe JaSakte, Ya isko karna Lazmi haii warna Nuqsan Ye Ghalat haii Q k Ye bhi Hadees me nahe aaya Jesa k Peche Likha gia wohi Mamla

Edited by Sag-e-Attar
Please Be Patient... Its Better for IM Environment
Link to comment
Share on other sites

Assalam o alaikum! (and jazakalah)

Ager main kohon k mangal (tuesday) k din gosht khana bidat hai tu loog mujhay pagal kahain gay q k koi kam bila wajah bidat nhn hojata. is ki aik aur misaal is tarah hai k main HADHRAT IMAM JAFER SADIQU say bohot aqueedat rakhta hn aur her mangal k din gosht paka ker logon ko khilata hn aur ye niyat kerta hn k is ka sawab HADHRAT IMAM JAFER SADIQU ko jaay tu mera ye ammal maqubool bhi hai aur quabile tareef bhi. ye hargiz hegiz bidat nhn. lekin ager main ye kohon k dosray logon ko bhi chahiye k ye amal her mangal k din kerain, aur jo na keray us ko "AULIA KA GUSTAKH" kohon ya dil main un k liye "rai baraber" bhi hasad ya jalan rakhon ya samjhon k ye loog aik "MUSTAHAB AMAL" say nawaquif hain tu yehi amal jo INTAHI MAQUBOOL tha bidat bun jaay ga. q k main logon ko esi baat ki taraf bula raha hn jo ferz ,wajib ya sunnat nhn. pas is he amal ko jo deen main naya dakhil kiya jaay ga BIDDAT kehlaay ga.(hadhrat MUHAMAD S.A.W ki kai ahadeeth biddat ki muqualfat main hain ,aap ko zaroor malom hon gi)

konday bhi is he wajah say biddat hain q k in k na kernay walon ko "ahle sunnat" say kharij tassawur kiya jata hai, aaj kal aap daikh saktay hain k ager koi shakhs kehay k main pakka ahle sunnat hn lekin konday nhn kerta tu loog usay ahle sunnat mannay say inkar ker dain gay ,is wajah say k wo konday nhn kerta. Ab aap khood he daikh lain k kondon ki ahmiyat hum nay ferz ,wajib ,sunnat aur mustehab say kitni ziyda kerdi hai k "AHLE SUNNAT" honay ka miyar quarar day diya hai, yehi cheez is amal ko biddat bana dayti hai.

ALLAH HUMARA HAMI WO NASIR HO!

Link to comment
Share on other sites

(bis)

Miya Mufti chaliye aapko Allah (azw) ne itni toufeeq to di ki kundo se mutaaliq jo sharai tasawwur ahle sunnat ka hai aapka bhi wahi hai, yaqeen janiye yahi tasawwur humary nazdeek bhi hai ki koi khas makhsoos din nahin hai niyaz ka, RAJAB ke mahiny me bhi jayaz or saal ke baqiya dino me bhi jayaz, hum bhi kundo ko farz, wajib ya sunnat nahin kehty or na hi kehty hain ki usi din kiya jaye warna nahin ....par aagy apky lafzon me tassub jhalakta ai....mufti sahab humy us bandy se koi chirh nahin jo kundy na bhary...(means imam jafar ki niyaz na de) kyu ki ahlesunnat mustahabh hi samjhty hain...haan par usy Biddati, Gumrah zaror kehty hain jo is niyaz ya isaal e sawab ke deegar mamlaat par Haram or Biddat ke fatwy lagata hai...jaisa aapny is wazahat se pehly 1st post me kiya....

konday bhi is he wajah say biddat hain q k in k na kernay walon ko "ahle sunnat" say kharij tassawur kiya jata hai, aaj kal aap daikh saktay hain k ager koi shakhs kehay k main pakka ahle sunnat hn lekin konday nhn kerta tu loog usay ahle sunnat mannay say inkar ker dain gay ,is wajah say k wo konday nhn kerta. Ab aap khood he daikh lain k kondon ki ahmiyat hum nay ferz ,wajib ,sunnat aur mustehab say kitni ziyda kerdi hai k "AHLE SUNNAT" honay ka miyar quarar day diya hai, yehi cheez is amal ko biddat bana dayti hai.

ALLAH HUMARA HAMI WO NASIR HO!

siwyae bad gumani ke kuch nahin, un deen se ghafil logo ka humary upar bhaar kya jo aisa kary, aap pehly hum se humara moqif daryaft kary usky baad fatawy lagyein....ye to koi baat nahin ki kisi ke zaati tajurby ki bina par aap puri jamat ko biddati keh dein...biddati kya aapko bohot halka lafz lagta hai ki jisy jahan chaha bol diya or jis amal par chahy chspa kar diya...

ye hadees lagta hai aapny sun kar an suni kar di hai....

Innal Aamalo Bin-niyaat

jis ki niyat jaisi hogi us par hukum bhi waisa hi sadir hoga bus itni si baat samajh lein...

Allah (azw) samajhny ki toufeeq de or musalmano par badgumani se mehfooz rakhy... Ameen

Link to comment
Share on other sites

HERAT HAI MENE PEHLE BAAR AAPSE SUNNA K agar koi Qonda Na kartee tu usse Loog Sunni nahe kehtiii

warna Hamara idher Tu najane Kitne Sunni ulma Bhi haii jinke ghar Mene Qonde Hoti nahe Dekhe Shayad woh kissi Aur tarrah Se AesaL SAWab karte houn. Lekun filhal mene unhe Qonde nahe karte Paya Lekun Aapki ghalat Fehmi Doar karne k liee Likhta houn Loug unhe Ulma AhleSunnat hi kehte haii

HAzrat Imam Jaffer radi Allahu Anhu se hame Peyar haii

par Ham Ye nahe Kehte k Ye Neyaz karna FArz ya Wajib haii

Agar koii AHLESUNNAT Par isstrah K Ilzam Lagaii TU jhoto Par Allah Ki Lannat haii

Qonde Lahaza Biddaat nahe jis muslims ka Dil chahe kare Aur Swab Kamai....

HAM KISSI KHASS DIN KARNE KO FARZ WAJIB NAHE KEHTEE pAR AAPNE AIK DIN ka APNi Tarraf Se LIKHDEYA K ISS DIN KARNA NAJAIZ HAII Jo K Quran AUr Hadees K Yaqene Khilaf Aur Quran aur Hadees K hallal karda chezo ko najaiz kehne k barabar hai...

Link to comment
Share on other sites

KONDEY ESALE SWAB KA ZARIA HAY LAKIN AGERR KOI FARZ YEH SAMJ KER KERYY MATII KEY HE BERTAN MEIN BNANA HAY AUR ISI TERHA HE AIK HE ROOM MEIN BETH KER KHANA HYY TU IS KO LAZAM NAHII SAMJHNA CHIYEE

ESALE SWAB TU KSI TERHA BHI KER SEKTY HAIN KSI KAM KO FARZ SMJHEE BEGIRE

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

buht achy jawabaat diye hain aap ny (ma)(azw) ........... (ja)(azw)

hum b koondoon ko jaiz samajty hain.........magar krty nhe hain..........hamen to aaj tk kisi ny AHLESUNNAT sy kharij nhe kiya (al)(azw)

.............

...................... bus aajkal k logo ka deen b.................kiya kahen.......?? ulama KEHLANY WALY LOG.......baat baat pr shirk o biddat ki ruttt lagany lagy hain.........jaiz ko "na Jaiz" keh kr logo ko gumrah kr rahy hain............

al amaaaaaaan wal hafeeeeeeeeeezzzzzz

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...