Jump to content

Dars-e-Nizami course mey kiya perhatay hain?

Faizan-e-Mustafa

تجویز کردہ جواب

(bis)

(saw)

(salam)

kia behnoo key lea bhi MUFTIA COURSE HAY ????????? YA SIRF males key lea

pyari behan meri naqis maloomat k mutabiq orat muftiya nahi ban sakti hay,is ki waja orat ki naqis ul aqli hay jo pehlay bhi disscuss ki ja chuki hay ap Yahan mulahiza farmain.

jazakillahu khaira

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

ume anwar baji.......i remember Mufti akmal sb ny ahkam e shariyat me frmaya tha k mera zehn kehta hy k females k liye b muftiya course hona chahiye........aur un ny ye b frmaya k (azw)(ia) me is course ka aaghaz krun ga........agarchy hmary han jamiyat me kahen b esaaaa nizam nhe.......me (ia) koshish krun ga k start kraun.......

wesy me ny b doosry ulama k point of views dekhy......k akser ulama frmaty hen k orat muftiya nhe bun skti.........

(bt Mufti akmal sb ka apna point of view hy)

mera mind b yehi kehta hy k orat muftiya nhe bun skti........bt hr aik ka apna point of view hy...... ....... ...... kuch kaha nhe ja skta....

Link to comment
Share on other sites

As-salam-u-alikum!

As i told you k behnein bhi humare saath hi Aalima course ker rahi hain... aur InshaAllah Muftia course bhi kareingi. Khawateen mai Muftia ki buhat zarurat hai... warna Khawateen apne personal problems kis se poocheingi.?... Aur larkiyaan Muftia bilkul ban sakti, koi muzaiqa nahi. Jab khawateen dr... engineer etc sub kuch ban sakti hain to Mufti q nahi?

Link to comment
Share on other sites

bilkul mien isi baat ki qail hun key knowldge chiyee ap deen ka lein ya dunia ka tu regularityy os cheez mein zada nikharr peada kertii hay aur jab taq lectures na leinn tu baat nahii bantii wo mein ne is lea poacha tha key AIOU SE agerr affilate hy tu is ka method .. thanx for sharing

mufti sb ne books bhii likhii hain un keyy name ?? aur jo books wo refer kerty hain wo bhi /

Mufti Sahib ne MashaAllah buhat saari books likhi hain. Kuch k naam yaad hain filhaal:

1)Baatini Gunah Aur Un ka Ilaaj

2)Meetha Zehar

3)Kya Aap Ko Malum Hai? (1&2)

4)Humare Masaail Aur Un Ka Hal?(1&2)

5)Chaalees(40) Hadeesein

6)Quraani Bayanaat

7)Faiz-e-Suaaleheen

8)Qabil-e-Rashk Khawateen

9)Ehsaas-e-Naimat

10)Thandi Chaaon(About Mother)

11)Eid-e-Qurbaan

Mufti sahib tamaam mustanad Ulama ki kitaabein parhne ki ijazat dete hain. Quran and Hadith on top.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

g ye baat apki bilkul theek hy k females dr engineer bun skti hain........my father z also a doctor..........bt u know..........doctors k kon kon sy fields me females hain....??? chund ginny chuny fields hain............surgery me females buht kam hain........aur jo hain b.......un me sy akser Mushkil case me..........case k doran hi confuse hojati hain aur phir CASE CHORRHHHHH KRR male dr.s ko call krti hain.........esyyyyy waqiyaat buhhhhht ziayada huay hain..........

and..........shayd ap k ilm me b ho..............ORTHOPEDIC SURGERY ME pooory pakistan me sirf 2 female doctors hain.........wo q......???????? q k orthopedic surgery buht tough hy.........

ye to sirrrrrfffffff duniyavi ilm hi hy...........jb k deen k ilm me kis qadar ehtiyaat chahiye...........??????

me behes nhe krna chahti.........ulama e kram ziada janty hain..........mgr me jst haqaa'iq bayan krny ki koshish kr rhi thi............

baqi ye k IKHTILAAF E RAAEY ULAMA E KRAM ME B MOJOOOD HY............aur yahan mukhtalif qism k log aaty hain.........jo mukhtalif ulama ki taqleed krty hungy...........aur sb ki raaey aik jesi yaqeenan nhe ho skti.......

WALLAHU TA'AALA AALAMU WA RASOOLUHU AALAM (azw) wa (saw)

Edited by madinah_madinah
Link to comment
Share on other sites

g i remember mufti sb ne frmya tha

BILKUL AGER KHAWATEEN IS SIDE PER AYIEN GE tu yaqeeneen dosrii khawateen apne problems easilyy disscuss ker sekein ge . muftian bhutt gherii nazaerr sey dekhtyy hain

aur jo aurt ki naqis ul aqall ki baat hay tu wo over all fermya gaya tha jesyy key mufti sb apney progms mein bayan ker chukey hain lakin ager infradii torr per hum dekhiin tu bazz femaless bhut achi mumala fehm hotii hian un mein achi sochneyy smjney ki salheyat hotii hay

`ager qismat ne sath dia tu INSHLLAH I WILL TRY FOR IT may ALLAH FULFILL MY DIS DESIRE AMENN

thanx RUAF BAHI FOR POSTING BOOKS OF MUFTII SB INSHALLAH I WILL BUY IT AS SOON AS POSSIBLE

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

ji madinah_madinah sister main ap se ittifaq kerti hoon k deeni muamlat men be intiha ahtiyat ki zaroorat hoti hay or rahi baat ye k agr ortain muftia nahi banaingi to un k personal masail kesay hal hongay to arz hay k ab tak bhi koi muftia nahi mgr khawateen k masail aj tak bhi hal hotay chalay arahay hain muftian e karam se islami behnain masail poochti hi hain kabhi apnay maharim k zariye to kabhi un ki maharim khawateen k zariye....

baharhal madinah madinah sister ap ne bilkul sahi point out kiya k khawateen mushkil muamlat men jaldi ghabra jati hain shayad apni naqis ul aqli hi ki waja se,,,

baharhal mera maqsad yahan kisi se ikhtilaf kerna nahi ulama e karam hamaray saron k taaj hain or muftian e karam ki to pairon ki khak bhi nahi ham is liye un se ikhtilaf kerna bilkul maqsood nahi main sirf apni naqis raye ka izhar ker rahi hoon.

or wesay bhi dawat e islami k madani mahole men to ulama e karam ka beintiha adab sikhaya jata hay

Ameer e ahl e sunnat (m-a) farmatay hain

ham ko aye attar sunni alimon se piyar hay

inshaAllah do jahan men apna baira paar hay

ata ho ghame madinah sister Allah ta'ala pyaray aaqa (saw) k sadqay men ap ko ilm e deen e nafay hasil kernay ki madani sa'adat ata farmaye or ap ko sunnaton ki khidmat k liye qubool farmaye aaaaaameeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

As-salam-u-alikum!

Doctors ki field is something totally different.Jahan ghabraane ki baat hai woh bhi srif OPERATE kerne k waqt hai na k THEORY parhte waqt. Dars-e-Nizami mai to faqt kitaabein hain aur kuch nahi. Agar khawateen ko yehi keh diya jaye k aap naaqis ul aqal ho, Fatwa nahi likh sakteen to kabhi bhi aagey nahi barheingi. Srif Medical Field ki baat hai to Females ka ratio ziaada hota hai Medical Universities mai Male students se. Duusri tamaam fields mai bhi girlz parh hi rahi hain, to Dars-e-Nizami parhne mai kya diqqat hai?

Maazrat k saath k Madaaris intehaai bura haal hai.. Male teachers buhat hi burrey tareeqe se parhaate hain to females mai kya haal hoga yeh Allah hi jaane. Aik acha environment + achey teachers female k Dars-e-Nizami k liye provide to keejye. Phir Aalima aur Muftia na niklein to kehyega.

Humare haan Aalima aur Muftia nahi hongi to phir humaari Aapaein jis tarah se oot patang baatein kerti hain majalis mai, yeh sub ko maalum hai. Bad-Mazhab is taraf khaas tawwajuh de rahe hain k Aalima aur Muftia banein. Agar aaj is taraf hum tawwajuh nahi kareinge to phir Farhat Hashmi jaisi beshumar badmazhab ghalat taaleemaat ko aam kareingi.

Jo Married khawateen hain un ka to samajh aata hai k apne husband se keh deti hain aur woh kisi Aalim se jawab le aate hain. Jo married nahi hain un k liye problem hoti hain, na woh apni bhaaiyon se share kerti hain aur na kisi aur se. Mere Ustaad-e-Muhtaram Mufti Muhammad Akmal sahib humein akser is tarah k phone calls k bare mai batate hain k khawateen apne sawalaat puch hi nahi paati. Phir woh apni zauja k zariye jawab dilwa dete hain.

Well sub ka apna point of view hota hai. Daira-e-Shareeat mai jo bhi Point Of View ho woh behtar hota hai. Kisi ko kuch bura laga ho to maazrat:)

Link to comment
Share on other sites

ASSALAM-U-ALAIKUM WA RAHMATULLAHI TA'ALA WA BARAKATUH WA MAGFIRAH

ALHAMDULILLAH DAWATEISLAMI KAY TEHAD ISLAMI BEHNOON KAY MADARIS HAIN JAHAN SAY ISLAMI BEHNAIN DARS E NIZAMI KAR RAHI HAIN OR ALIMA BAN RAHI HAI HAIN, ISS KAY ELAWA JO DARS E NIZAMI NAHI KAR SAKHTI TO WO WEEKLY ISLAMI BEHNOON KAY IJTIMA MAIN HAZIR HO KAR APNI ISLAH KAR SAKHTI HAIN, OR RAHI BAAT MASAIL KA HAL TO WO BHI INHI IJTAMAAT SAY HASIL KYA JA SAKHTA HAI. KYON KAH UB DAWATEISLAMI MAIN KAFI ALIMA HAIN. DOOSRA ULLAMA KI KITABIN BHI MOJOOD HAIN JIN SAY ISTIFADAH KIA JA SAKHTA HAI. AMEER AHLESUNNAT KAY AIK KITAB AAYE HAI ISSI HAFTAH """ ISLAMI BEHNOON KI NAMAZ """" ISS KITAB MAIN YE TOPIC HAIN WOZU KA TAREEKAH, GUSUL KA TAREEKAH, TAYYAMUM KA TAREEKAH, JAWAB E AZAN KA TAREEKAH, NAMAZ KA TAREEKAH, QAZA NAMAZ KA TAREEKAH, NAWAFIL KA BAYAN, ISTINJA KA TAREEKAH, HAIZ O NIFAAQ KA BAYAN, ZANANI BIMARIYOON KAY GARELO ELAAJ, NAJASATOON KA BAYAN, ISLAMI BEHNOON KI 23 MADNI BAHAREEN. ISS KAY ELAWA BAHAR E SHARIAT HAI.

OR JAHAN TAK BAAT HAI MUFTI COURSE KI TO YAHAN PAKISTAN MAIN KITNI JAGAH YE COURSE HOTA HAI 2 SAY 3 JAGAH PER ISLAMI BHAIOON KAY LIA HOTA HAI UN MAIN SAY AIK FAIZAN E MADINAH KAY JAMIA TUL MADINAH MAIN OR DORA E HADEES BHI KARACHI MAIN FAIZAN E MADINAH KAY JAMIA TUL MADINAH MAIN OR LAHORE MAIN AIK JAGAH HO RAHA HAI.

DOOSRA FATAWA DENAY KA MATLAB AGAR SIRF YE HAI KAH KISI NAY KOI MASLA POOCHA TO USS KAY JAWAB MAIN DOOSRA FATAWA KAY HAWALAY SAY JAWAB DE DIA TO YE BOHAT ASAAN HAI. YE TO ISLAMI BHAI KYA ISLAMI BEHNAIN BHI KAR SAKHTI HAIN. USS KAY LYE MUTALLAH OR YADDASTH QAWI HONI CHAHIYE, OR MUTAL'LAH KA INHISAR BHI KITABOON KI MOJOODGI PAR HAI, JO YA TO APP KI APNI HO YA APP KA KISI LIBRARY AANA JANA HO, ISS MAIN YE BHI HAI KAH HAR KITAB APP KO HAR LIBRARY MAIN DASTIYAAB NAHI HOGI KYON KUCH KITABAIN NAYAAB HAIN.

AGAR NAYE MASAIL KI TEHKEEQ HAI TO YE AIK DO MUFTI KI BAAT NAHI ISS KAY LIA POORA AIK GROUP OF MUFTIAN HOTA HAI JO NAYE MASAIL PER TEHQEEQ KARTAY HAIN. UB USS TEHQEEQ MAIN UN KO MATLOOBA MASLAH KAY HAWALA SAY MUTALIQAH JAGAH JA KAR MALOOMAT HASIL KARNI HOTI HAI, KAYE LIBRARY JANA PARHTA HAI KYON KAH AJJ KAL BOHAT SI KITABAIN EESI HAIN JO HAR JAGAH NAHI MILTI KISI KISI MADARIS YA KISI ALIM KI LIBRARY MAIN HOTI HAIN.

ISS KI MILSAL APP ROOZA KI HALAT MAIN EYE MAIN DROP DALNAY KI LAIN, ISS KA FATAWA HAI KAH ROOZA KI HALAT MAIN EYE DROP DALNAH SAY ROOZA TOOT JATA HAI, UB KESAY TOOTTA HAI ISS KAY LYE ULLAMA NAY KISI ENT SPECIALIST SAY RIJO KIA HOGA TUB HI UNHAIN MALOOM HOA HO GA KAH ANKH MAIN AIK HOLE ESSA HOTA HAI JO HALAK SAY MILTA HAI, EYE DROP DALNAH SAY ISS HOLE SAY ZARYE DROP HALAK MAIN CHALA JATA HAI OR ISS TARAH ROOZA TOOT JATA HAI.

TO BATANAY KA MAQSAD SIRF ITNA HAI KAH IN JADEED MASAIL KAY LYE ULLAMA KO KAYE JAGAH JANA PARHTA HAI PHIR USS PER BEHAS HOTI HAI, PHIR KAHEEN JA KAR SUB KI AIK RAYE QAIM HOTI HAI.

ESSA NAHI HAI KAH ISLAMI BEHNAIN YE SUB NAHI KAR SAKHTI LAKIN YE ITNA AASAN BHI NAHI KAH ISSAY DOC, ENG, SAY MILA DAIN. OR JAHAN TAK MADARIS KI TALEEM OR ASATAZAH KI BAAT HAI TO DAWATEISLAMI KAY JAMIAT MAIN ALHAMDULILAH ASATAZAH BOHAT KABIL HAIN OR TALEEM KAY SATH TARBIAT BHI DI JATI HAI.

TALIB ILM KAY SATH TEEN (3) MAMOLAAT HOTAY REHTAY HAIN, (1) KILLAT (2) ZILLAT (3) BIMARI............ KILLAT PAISOON KI KAH KISI KAY SATH BHI HO SAKHTI HAI...........ZILLAT AGAR KOI TALIB ILM APNA SABAQ YAAD NAHI KARAY GA TO USSAY ZILLAT KA SAMNA KARNAY PARAY GA....HALANKAH YE ZILLAT NAHI USSI KI BEHTARI KAH LIA ASATAZA KABHI DANTTAY HAIN KABHI MARTAY BHI HAIN KABHI DOOSRI SAZA BHI DETAY HAIN JESAY ITNI BAR LIKH KAR AANA WAGERA........ MARNAY KI BAAT TO USS MAIN BHI ITNAY ZIADA NAHI MARTAY KAH TALIB ILM KA BURA HAAL HOJAYE, JAMAI TUL MADINAH MAIN TO ITNA NAHI MARTAY DOOSRI JAGAH KA NAHI MALOOM..........BIMARI BHI HAR KISI KAY SATH LAGI REHTI HAI...

ISLAMI BEHNOON KO DEEN KA ILM HASIL KARNA CHAHIYE KYON KAH FARZ ILM HASIL KARNA MARD O AURAT DONOON PER FARZ HAI, DOOSRAY ULLOOM BHI HAIN JO KAH DONOON MARD O AURAT KO HASIL KARNAY CHAHIYE. UB YE HUM PER HAI KAH HUM FARZ O SUNNAT ILM HASIL KARAIN YA SIRF MUBAH ILM KAY HUSOOL KAY LIA APNI SARI TAWANAYE SARF KAR DAIN.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

me ny females k confuse hony ki baat sirf misaal deny k liye kahi............k orat ko complicated masail darpesh ho jain to forran ghabra jati hain..........aur ye to waqaee me female ki nature hy...........aur ye NAQIS UL AQLI hi ki to daleel hy.............bahar haal......aapka apna point of view hy....... .. .......

dars e nizami parhny ki to me ny baat nhe ki...........me ny MUFTIYA BN'NY ki baat ki thi...........k muftiya bn'na.........mery nazdeeek........ ........ ........... theek nhe...........

haan agr hmary BAPA JAN kabi frma dety hain to me b maan jaun gi (azw)(ia)

aalima bn'ny aur bnwany k to me pehly hi HAQ ME THI...........aur ub b hun............ (azw)(al)

baqi jo Jaddul Mukhtar bhai ny frmaya.............i agree with dat............

Pehle to yeh samajh nahi aaya k aap meri baat se Ittefaaq ker rahe hain ya Ikhtelaaf. Jab aap is baat k qaail hain k Khawateen Aalima ban sakti hain, to Muftia ban ne kya harj aagaya? Agar ittefaq kerte hain to simple kehye.. nahi kerte to saaf mana ker deejye.

Muftia laazmi baat hai wohi kaam karegi jiski Shareeat ne ijazat di hogi. Ab woh mardon k pass ja ker to taheeq laazman nahi kareingi. Fatwa dene k liye Books+Knowledge+Salahiyat chahiye hoti hain.. yeh 3 cheezon aaram se Khawateen mai aasakti hain.

Maine Madaris ki baat bil-umoom kahi thee na k Dawat-e-Islami ko target bana ker. Dawat-e-Islami jo kaam ker rahi hai woh apni jagah. Lekin Ahl-e-Sunnat ki almost tamaam jaamiyat ka jo maa`yaar hai yeh shayad aap ko maalum nahi. Ho sake to kissi bhi Jaamiya mai parh ker dekhye 3 maheene. Aam educated banda to wahan ki daant dapat, sakht mahaul aur tanzeemi pabandiyan to bardaasht ker hi nahi sakta. Khair aik yeh duusra issue hai k Jaamiyat ka mahaul qaabil-e-itmeenaan hai ya nahi.

Meri baat wazeh thee ke Khawateen Muftia ban sakti hain aur is se to aap bhi agree ker hi rahe ho to no jhagra.

Link to comment
Share on other sites

Aur agar aap ke kehne ka yeh matlab thaa k khawateen ko yeh saari kitaabein mayyasar nahi aasakti aur woh duusrey Madaris nahi ja sakti.. to mere bhai yeh Humari zimmedari hai k hum aisi Libraries Khawateen k liye banaein jis se woh istefaada ker sakein. Croron Rupiya jab duusre Mustahbbaat mai lag sakta hai, to ussey bacha ker hum Ilm-e-Deen ki khidmat aaraam se ker sakte hain.

Link to comment
Share on other sites

dars e nizami parhny ki to me ny baat nhe ki...........me ny MUFTIYA BN'NY ki baat ki thi...........k muftiya bn'na.........mery nazdeeek........ ........ ........... theek nhe...........

haan agr hmary BAPA JAN kabi frma dety hain to me b maan jaun gi (azw)(ia)

aalima bn'ny aur bnwany k to me pehly hi HAQ ME THI...........aur ub b hun............ (azw)(al)

Meri behan yeh to koi baat nahi hui k Hazrat sahib keh dein to aap maan leingi warna aap agree hi nahi kareingi. Khair mai agree kerwa bhi nahi raha, sub ka apna point of view hai. Jab aap bhi is baat ki qaail hain k khawateen Aalima ban sakti hain.. to agar aik saal aur parh ker mufti ban jaingi to kya muzaaiqa hai?

Agar Khawateen Muftia ban ne ki salalahiyat nahi rakhteen to Nabi-e-Kareem Sallalaho Aliyhe Wassalam ney kyoon irshaad farmaya tha k K Tehai Ilm Apni Waalida(Sayyeda Aisha Siddiqa Raddi Allaho Anha) Se Seekho?

Link to comment
Share on other sites

Meri behan yeh to koi baat nahi hui k Hazrat sahib keh dein to aap maan leingi warna aap agree hi nahi kareingi.

(bis)

(saw)

g bilkul ye baat HUI.........!!!

q k......

mery BAPA JIYA NA HORE.........

MERY BAPA JIYA NA HORE......

(azw)(al)

Agar Khawateen Muftia ban ne ki salalahiyat nahi rakhteen to Nabi-e-Kareem Sallalaho Aliyhe Wassalam ney kyoon irshaad farmaya tha k K Tehai Ilm Apni Waalida(Sayyeda Aisha Siddiqa Raddi Allaho Anha) Se Seekho?

g............ (azw)(al) mery AAQA ny frmaya aik tehai ilm e deen apni walida (AISHA (ra) ) sy seekho........ye nhe frmaya oraton sy seekho...........smile..........un jesi koi orat ho to phir kahiye ga........... ......... .......

Link to comment
Share on other sites

</FONT></B>

(bis)

(saw)

g bilkul ye baat HUI.........!!!

q k......

mery BAPA JIYA NA HORE.........

MERY BAPA JIYA NA HORE......

(azw)(al)

g............ (azw)(al) mery AAQA ny frmaya aik tehai ilm e deen apni walida (AISHA (ra) ) sy seekho........ye nhe frmaya oraton sy seekho...........smile..........un jesi koi orat ho to phir kahiye ga........... ......... .......

Phir buhat jald sun leingi aap InshaAllah:) To is se yehi saabit hota hai k Khawateen Muftia ban sakti hain:)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Ulema-e-Karam Key Firo'ee Masail Ko Zair e Behs Nhin Lana Chahye.. Jo Ulema Fermatey Hain Aurat Muftiya Nhin Ban Sakti Unka Apna Mo'aqaf Hai Jo Key Darust Hai Aur Jo Fermatey Hain Ban Sakti Hai Unka Apna Mo'aqaf Hai Woh Bhi Darust Hai.. Aur Ulema-e-AhleSunnat Ka Fir'oee Ikhtilaf Bais-e-Rahmat Hai.. (Mafhoom-e-Hadees)

Fatwa Dena Aur Masail Kaheen Sey Dekh Ker Bata Dena Is Mein Buhut Difference Hai.. Ager Islami Tarkeeh Ko Aik Nazer Utha Ker Dekha Jaye Tu Humein Kaheen Bhi Kisi Bazurg Aurat Ka Muftiya Hona Malom Nhin Hota Aur Na Hi Kisi Aurat Ki Tehreer Shuda Koi Kutub Milti Hain...

Is Liye Ameer-e-AhleSunnat (dba) Ney Islami Behno Ko Kitab Likhney Sey Bhi Man'aa Fermaya Hai.. Mager Na Jaiz Nhin Fermaya.. Ager Kitab Mein Sahi Masail Ka Bayan Hai..

Sahaba-e-Karam (raa) Sarkar (saw) Ki Tarbeaut Mein Reh Ker Mujtahid Ban Gaye Tu Un Hasti Ammi Jaan Hazrat Aisha Siddiqa (r-anha) Key Ilm Ka Maqam Koun Bayan Ker Sakta Hai Jo Sarkar-e-Madinah (saw) Ki Shareek-e-Hayat Hain.. Jesay Abhi Mujtahid Koi Nhin Hai Aur Sab Muqalid Hain Imam-e-Aazam (ra) Key Tu I Think Hazrat Aisha (r-anha) Sey Aam Aurat Ko Tashbeeh Dena Muftiya Nhin Mujhtahida Bananey Key Qaim Maqam Hoga...

Beherhal... Yeh Mera Nuqta-e-Nazer Hai... Main Pehley Arz Ker Chuka Key Yeh Firo'ee Masail Hain Inko Discuss Na Kerna Behter Hai...

Is Topic Per Mazeed Behs Munasib Nhin Aur Topic Key Asal Suwal Ka Jawab Aachuka Hai.. (azw)(ja)

Topic Closed

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...