Jump to content

sar ka masah


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

wuzoo mein jo sar ka jo masah karte hain,use mein sar ka chotahi masah karna chahiey, sar ka chotahi hissa masah kissey kehtey hain?

 

 

Make four equal parts of your head(In ur mind:). Each part is known as the CHOTHAI SIR.

Link to comment
Share on other sites

yani ke 4 mein se 1 hissa gila hona chahiey sar ka, lekin sunnat ke mutabiq to 3 fingers se masah karna chahiey, aur jab gilli fingers se sar ke samne se masah shuru karte hain to masah shuru karte hi fingers sookh jati hain aur peeche tak fingers aissey jati hain jaissey ke sookhi hui fingers. aur is tarah baqi ke baal gilley nahi ho saktey,

bohat confusion hai bhai,

Link to comment
Share on other sites

Madina, here is a video that I found appropriate please check out the 'Masah' part at 2:50

 

 

:)

sunnat ke mutabiq sar ka masah 3/3 unglion se kiya jata ha, yani ke 3/3 unglian peeche le kar jana aur wapsi par sirf dono hathon ki hathelian hi sar par lagni chahiey, lekin yahan par(video mein) wo 3/3 unglian peeche lekar jata hai aur wapsi par bhi unglian hi lekar ata hai.

Link to comment
Share on other sites

sunnat ke mutabiq sar ka masah 3/3 unglion se kiya jata ha, yani ke 3/3 unglian peeche le kar jana aur wapsi par sirf dono hathon ki hathelian hi sar par lagni chahiey, lekin yahan par(video mein) wo 3/3 unglian peeche lekar jata hai aur wapsi par bhi unglian hi lekar ata hai.

 

Jee, that was just to give you a rough idea, i couldn't find an exact one but let me search again.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

masah kar ne ka tareeqa ye hai ke donou haath ki teen ungliyan yani chohti ungli se bhij ki ungli tak aur ye teen ungliyoun se peshani ke upper se yani baal ki jad se pihche ki taraf lejaye us main khayaal rakhe ke sirf ungliyan hi lagni chahiye naa ke pure haath se karein.

us ke baad hateli se sar ke side se saamne ki janib laye.

us ke baad anghote ke bazo ki ungli yani jis se atahiyaat main ashashdu anha par ungli utha te hain us ungli se kaan ke under gumaye aur kaan saaf karein.

us ke baad ab anghote se kaan ke pehche anghota phere saaf karein.

us ke baad haath ke pihche wale hisse se gardan per pehre.

 

Is tarha masah pura hujayega.

 

Agar is main kisi ko kuch ghalti mile tu mujeh batayega main us ko sudhaar ne ki kooshish karounga.

Link to comment
Share on other sites

yeh sawaal abhi bhi adoora hai, jee han aur bhi masley hain bohat, aur maine issi section mein aur bhi sawaal kiye hain agar koi un par bhi roshni daal de, meherbani hogi

 

 

Acha, app Raza Ka Ghulam ki post check kerrain, he's told you the precise manner, aur phir issko try b kerrain. koi difficult nahe hai, a few tries mein theekh ho jaey ga.

 

You can do another thing, ask your family, friends or the local Imam, I'm sure they'll help you sort it out :).

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

masah kar ne ka tareeqa ye hai ke donou haath ki teen ungliyan yani chohti ungli se bhij ki ungli tak aur ye teen ungliyoun se peshani ke upper se yani baal ki jad se pihche ki taraf lejaye us main khayaal rakhe ke sirf ungliyan hi lagni chahiye naa ke pure haath se karein.

us ke baad hateli se sar ke side se saamne ki janib laye.

us ke baad anghote ke bazo ki ungli yani jis se atahiyaat main ashashdu anha par ungli utha te hain us ungli se kaan ke under gumaye aur kaan saaf karein.

us ke baad ab anghote se kaan ke pehche anghota phere saaf karein.

us ke baad haath ke pihche wale hisse se gardan per pehre.

 

Is tarha masah pura hujayega.

 

Agar is main kisi ko kuch ghalti mile tu mujeh batayega main us ko sudhaar ne ki kooshish karounga.

 

 

 

 

 

 

ok bohat shukrya,

mein kya karta hoon, masah karte waqat jab 6 unlgian peeche le kar jata hoon us ke baad hatheli kaanon ke paas se guzartey hooey samne ki taraf lata hoon, na k peeshani par, jaissey ke is cercle ke ander hai, : http://i37.tinypic.com/259k5yb.jpg

 

phir kaanon ko saaf karne ke baad jab haath ke ultey side se gardan ka masah karta hoon to main gardan ki side ka masah bhi karta hoon aur karte karte zubaan ke neech ka hissa jo hota wahan bhi karta hoon, jaissey ke is mein hai: http://i35.tinypic.com/epgp7a.jpg

 

yani ke jo hissa in cercle ke andher andher hain wahan pe masah karta hoon, bataiey ke sahi hain ke nahi!

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

 

 

 

Main ne jo bata ya hai us tarha aap masah karein . Aur jo aap ne pehli link main bataya ke kaan ke upper se haath ki haateli ko saamne lete hain wo sahi hai . Magar jo dosre link main bataya hai wo galat hai aap ko sirf gardan ka masah karna hai gale ka nahi pehche ke hisse par hi ulta haath pehrna chahiye galle par nahi layein.

 

Phir bhi main ek aur bar kisi aalim se puch kar aap ko agar ye galat hai to sahi jawab donga aur agar ye sahi hai to main reply na donga.

 

Thik hai ab aap samaj gaye honge.

 

(ah)

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

dooseray mein main galey ka masah nahi karta bal k sirf galey ki Hadi ka jo upper ka hissa hai, jahan pe dhadi khatam hoti hai, yani ke jahan jahan par dhadi ke baal hotey hain wahan par masah karta hoon, na k galey ki hadi se neeche, kyon k meri dhadhi nahi hai,

yeh sahi hai kya?

Edited by Gulzar
Link to comment
Share on other sites

dooseray mein main galey ka masah nahi karta bal k sirf galey ki Hadi ka jo upper ka hissa hai, jahan pe dhadi khatam hoti hai, yani ke jahan jahan par dhadi ke baal hotey hain wahan par masah karta hoon, na k galey ki hadi se neeche, kyon k meri dhadhi nahi hai,

yeh sahi hai kya?

 

 

(bis)

 

(salam)

 

 

Aap jis tarha masah kar rahe hain galat hai. Jo aap ne bataya ke gale ki haddi ke upper ka hissa wo bhi gale main aata hai tu sirf gardan ka masah kar na chahiye gale tak nahi lana hath . Umeed hai aap samaj gaye honge.

 

Agar aur bhi kuch masail hai tu aap puch sakte hain.

Link to comment
Share on other sites

sar ka masah kyon kartey hain? is se na to poori tarah sar ke baal gilley hotey hain aur na hi sar ki jild, main janta hoon ke yeh sunnat-e-rasool (sal lal laho alehey wasalm) hain.

 

 

Well, you don't have to entirely wet your hair, you just have to wipe your wet hands over them. You know what, I'll suggest you to take a bath(ghusal) if you're really really confused about it! :) (just kidding!).... or how about asking someone who's visually present infront of you so that he/she could demonstrate it to you?

Edited by Biimaar-e-Mustafa
Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...
  • 1 month later...

sar ka jab masah kartey hain to ek baar kartey hain to jab kanon aur gardan ka masah kartey

hain to kya wo bhi 1 hi baar karna chahiey ya 3 bar kar saktey hain ya 3 se zayada? mera masla

kanon aur gardan k masah k barey mein hai, main sar ka masah karney k baad kam az kam 3 bar

shahadat ki unglion se kaanon ke androoni hissey ka masah karta hoon aur itni hi martaba kanon

ke bahir k hissey ka, aur gardan par to mein taqreeban 5 ya 6 martaba haath ulta kar k pherta rehta

hoon kyon k ek ya 2 martaba haath pherney se mujhey tasali nahi hoti, aur masah karney k liey

sirf ek hi baar haaton ko gila karta hoon, to kya 6 martaba bar bar gardan par haath pherney se

wuzu par koi manfi asar to nahi parey ga, i mean wuzu ho jaey ga na, kyon k merey khial se 1 bar

kanon ya gardan ka masah karney se poora kaan ya poori gardan par tari nahi pohnchati to lehaza

mein tasali k liey bar bar haath pherta rehta hoon, aissa karna sahi hai aur aissa karney se sunnat

ada ho jaey gi kya?

aissey hi jab mein paaon dho kar wuzu mukamal kar leta hoon to paaon ko dhoney ki waja se haath

giley hotey hain to main un gilley hathon ko dobara poorey sar par aur chehrey par dobara mal leta

hoon, ta' k agar koi hissa khushak reh gaya ho to wo ab gilla ho jaey, aissa karna jaiz hai kya? koi gunnah ya makroo wali baat to nahi? aissa karney se wuzu par koi manfi asar to nahi parey ga?

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...