Jump to content

doosron ko neki ki dawat dena...


Gulzar

تجویز کردہ جواب

maine net par TV ke khilaaf yeh video dekhi aur sunni hai, ALLAH TALLAH KI KHUFIA TABEER, jis ka ek hi maqsad hai ke TV ko ghar se bahir nikalna, main is video ko dekh kar kafi mutasir hua, maine socha ke main ayenda tv ko nahin dekhon ga, kuch dinon tak is baat ka mujh par asar raha lekin ab halat pehle jaissey ho gaye hain, yani ke TV ko phir se dekhna shuru kar diya hai, halan k meri niyat yahi hai ke main TV ko ghar se bahir phenk doon lekin merey ghar waley TV ke haq main hain.

is video ka maqasad hai ke tv ko ghar se bahir nikalna jo k main nahi kar paya aur na hi dekhna choota,

Sawal yeh hey k, kya mein is video ko net par share kar sakta hoon torrent ke zariey?

sawal is liey kiya ke, kyon k maine ek hadees padi thi ke qayamat ke din us shakhs ko jahanam k andher phenka jaye ga jo k khud to amal nahi karta tha lekin auron ko us amal ki dawat deta tha,

to main yeh confirm karna chahta hoon ke mera is video ko ya aissi aur video jo k neki ki taraf bulati un ko net par share karna theek hai ya nahi. kyon k bohat sari aissi video'S hain jin par main amal nahi kar pa raha,

 

aap k jawab ka aur aapki duaoon ka muntazir, Gulzar

Link to comment
Share on other sites

asalamo alekum!

maine hadees mein pada tha ke, qayamat ke din ek shaks ko jahanam ke andher phenka jayega aur us ki intestine bahir nikal ayengi aur wo un ke ird gird ghoomey ga, to us ke ird gird ke jahanami poochey gey k bhai aap to dunyia mein balahi(neki)ka hukam detey they, naik amal karne ki batein karte they to aap kyon jahanam mein hain, to wo shaks jawab dega, han main logon ko naik amal karne ke liey kehta tha lekin KHUD US PAR AMAL NAHIN KARTA THA, bas isi liey main aaj jahanam mein hoon. yeh us hadees ka mehfoom hai. aur issi waja se maine sawaal kya hai.

 

agar koi aur bhai confirm kardey to mujhe zayada yaqeen ho jaeyga,

 

asalamo alekum!

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

 

 

merey bahi aap bilkul theek soch rahey ho k khud to amal ni karta dosroon ko kia batata hai par merey bahi merey zehan mein aik baat hai meine ye kahein parhi nahi n na hi kisi se suni hai per ye merey dil ki baat hai k banda beshak jitna b gunahgar ho per ager wo aisey kam karey jis se suniyat ko faida ho muslmanoon ka faida ho is ko dekh k ya per kar is ko sun ker ager wo naik ban jaien apni akhrat theek ker lein naik kam karna shuru kar dein to shayd hamari is naiki k badley mein hamara dil jis ko gunahoon ne pather kar dia hai shayad wo naram ho jai hum b naik ho jaien hamari b maghfarat hoo jai kioo k aik naiki hazar gunahoon se bhari hoti hai our us sharabi our zani bandey k barey mein socho bahi jis ko sirf is amal ki waja se bakhsh dia gaya tha k us ne nam e Muhammad ko choom ker us ko muattar kar k mehfooz jagha pe rakh dia tha dekhney mein to ye amal bohat chota hai per Allah ki rehmat bahana dhoondti hai is lie merey bahi har wo kam karo jis se kisi muslman bahi ya behan ko faida ho our ye na socho k fulana kia kahey ga

do wat u like ma bro

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

Asalamo alekum qasimattari saab!

main kafi mutasir hua aap ki baat sun kar, allah mujhe, aapko aur tamam musalmano ko jo hain aur jo ayenda ayengey, alla tallah hum sab ko har wo naik amal karne aur doosron ke saath bantenay ki tofeeq ata farmaey jis se allah aur hamarey Aqa Muhammad mustafa (sal lal ho alehe wasalam) hush hotey hain. Ameen, summa ameen.

dar'Asal main is hadees ki waja se thoda confus tha, lekin ab 2 admion ne 1 baat par itefaaq kya hai to main bhi aap se razi hoon aur itefaaq karta hoon.

is website ke zariey mujhe bohat kuch seekhnay ko mila aur merey bohat sarey masail hal ho gaye, allah aap sab ko jazaey khair de, Ameen, summa ameen.

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...