Jump to content

Travee ki namaaz kaisey padi jati hai?


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

Travee kaisey padi jati hai?

Travee ki niyat kaissey kartey hain?

Travee mein abhi aap ne Sanna na khatm ki ho aur imam qiraat shuru karde to kya aap ruk jayenge jahan aap the ya phir aap ko mukamal Sanna padni padey gi?

 

maine kahin pe pada tha ke Sanna ke bagair Sajda laho (lazam) nahi nahi hota,

 

 

Daga bazi kya hoti hai? http://i34.tinypic.com/2ut681k.gif

Edited by Gulzar
Link to comment
Share on other sites

ASSALAM-U-ALAIKUM WA RAHMATULLAHI TA'ALA WA BARAKATUH WA MAGFIRAH

 

TARAVEEH KI 29 RAK'ATAIN 2 , 2 KAR KAY 10 SALAM KAY SATH ADAA KARAY

 

( DUR E MUKHATAR, JILD 2 , PAGE 495)

 

TARAVEEH KI 20 RAK'ATAIN AIK SALAM KAY SATH BHI ADAA KI JA SAKHTI HAIN, MAGAR ESSA KARNA MAKROOH HAI, HAR DO RAK'AT PER QADA KAR FARZ HAI, HAR QADA MAIN ATTAHIYAAT KAY BAAD DUROOD SHAREEF BHI PARHAY OR TAAQ AR'AT ( YANI 1, 3, 5, 7 ,9......) MAIN SANAH PARHAY OR IMAM TA'AOWUZ O TASMIAH BHI PARHAY.

 

(DUR E MUKHTAR, JILD 2, PAGE 496)

 

JUB 2 , 2 RAK'AT KAR KAY PARH RAHA HAI TO HAR 2 RAK'AT PER ALAG ALAG NIYAT KARAY OR AGAR 20 RAK'ATOON KI AIK SATH NIYAT KAR LI TAB BHI JAIZ HAI.

 

(DUR E MUKHTAR, JILD 2, PAGE 494)

 

(FAIZAN E SUNNAT, FAIZAN E TARAVEEH, TARAVEEH KAY 35 MADNI PHOOL, PAGE 283-290)

 

NIYYAT APP ISS TARHAH KAR SKHTAY HAIN AGAR 2, 2 RAK'AT PARH RAHAY HAIN TO:

 

NIYYAT KARTA HOON 2 RAK'AT SUNNAT (SUNNAT E MUKIDAH) NAMAZ E TARAVEEH KI.........................

 

BAQI WOHI JO APP HAR NAMAZ MAIN NIYAT KARTAY HAIN.

 

SANA AGAR APP NAY NAHI PARHI TO NAMAZ HO JAYE GI, OR AGAR APP PARH RAHAY THAY KAH IMAM NAY QIRA'AT SHROO KAR DI AGAR APP NAY SANA KA AKSAR HISSA PARH LIA HAI TO APP JALDI SAY POORI SANA PARH LAIN, AGAR APP NAY ABHI SHROO HI KI THI TO RUK JAYEEN QIRA'AT SUNAIN.

 

YE JAWAB MAIN NAY APNI YADDASHT KAY MUTABIQ DIA HAI, AGAR MAIN GALTI PER HOON TO MERI ISLAH ZAROOR KARYE GA.

 

JAZAKA ALLAH AZZAWAJAL

 

AAMEEEEEEEEEEEN

Link to comment
Share on other sites

hamarey han 2, 2 kar de padtey hain.

niyat mein sunnat kehna hai ya poura sunnat-e-moakada kehna hai?

 

doosri rakat mein jab hum bethey hotey hain to ATTAHIYAAT ke baad Darood aur jo DUA hai yeh sab padni hoti hai?

 

ek aur khaas baat poochna chahta hoon, aap ne kaha ke Sanna abhi shuru hi ki thi aur qiraat shuru hogi to ruk jana chahiey, lekin maine to pada tha ke Sanna ke bagair sajda lago nahi hota, is par thodi see khaas roshni daal dijiey ga please!

 

bohat bohat shukrya aur aap sab ko Ramzaan ka maheena mubarak ho!

Link to comment
Share on other sites

hamarey han 2, 2 kar de padtey hain.

niyat mein sunnat kehna hai ya poura sunnat-e-moakada kehna hai?

doosri rakat mein jab hum bethey hotey hain to ATTAHIYAAT ke baad Darood aur jo DUA hai yeh sab padni hoti hai?

ek aur khaas baat poochna chahta hoon, aap ne kaha ke Sanna abhi shuru hi ki thi aur qiraat shuru hogi to ruk jana chahiey, lekin maine to pada tha ke Sanna ke bagair sajda lago nahi hota, is par thodi see khaas roshni daal dijiey ga please!

bohat bohat shukrya aur aap sab ko Ramzaan ka maheena mubarak ho!

 

Niyyat dar asal dil kay iraday ka naam hai zuban say kahna Afzal hai. Poori Sunnat e Muwakkada kah lain.

 

Jee Poori Dua parhni hogee chahay 2 pay salam phairain ya 4 pay kyu kay Faraz kay alawa jitni namazain hai us mai jab 2 rakat kay baad bhaithay hain tu Altahiyat kay baad darood sharif aur baki sab aakhir tak he parhtay hain..

 

Sana'a kay baghair sajda lago nahe hota:: nahee aisa nahe hai aap Imam kay peachay hain aur Imam nay Qir'at shroo kar dee hai tu ab khamoshi ikhtiyar karain aur kuch na parhain jo Imam Parh raha hai wo Sunain.

 

 

magrib ki namaaz keliey jab qiraat shuru ho gai aur main sana nahi pad saka, to allah akbar keh kar khamosh raha aur jab rakoo se farigh ho kar kharda hua to ''sameallah' ke baad maine sanna pad li, phir imam ke peeche sajada kiya, kya maine sahi kya ya nahi?

 

jaldi jawab mil jaye to ...

shukrya

 

Aap nay Jab Imam kay peachay Namaz Shroo ki tu jab tak Imam Khamosh hai aap Sana'a , Ta'uz (Ayozubilla) aur Tasmi'a (Bismillah) parhain . Jab Imam Qirrat shroo kar day tu ugar foran khatam kar saktay hai tu jaldi say khatam kar lain aur ziada waqt lagay ga mukammal karnay mai jaisay abhee aap nay shroo he kia hai tu ab mat parhain Imam ki Qirrat ko baghour Sunain.

 

Ab aap jama'at mai shamil howay aur Imam Qirrat kar raha hai tu ab khamoosh rahain aap ugar yei samgh rahay hain kay Sana ka parhna yaha zarori hai warna Sajda lago nahe hota ya namaz mukammal nahe hoti tu aisa kuch nahee.

 

Imam Agar Ruk'u mai hai tu Takbir kah kay seedhay Ruk'u mai mat jaiay ... Thori si dair kay Aaza jismani ko Qarar ho aisay Qayam karna sedhay kharay hona yei faraz hai tu Allah o akbar kay kay thora sa Qayam karain aur phir Ruk'u mai jaiay..

Link to comment
Share on other sites

bohat shukriya Sail-ul-Islam saab!

bohat umda jawab diye aap ne, allah tallah aapko jazaey khair de aur mujhe sahi amal karne ki tofeeq ata farmaey, ameen.

bas ek aur baat, aap beth kar athahiyaat pard rahey hain darood sharif karte hi imam salaam pher de aur har bar aissa hi hota ho keh aap darood ke baad dua na pard payen, no kya karen?

Link to comment
Share on other sites

bohat shukriya Sail-ul-Islam saab!

bohat umda jawab diye aap ne, allah tallah aapko jazaey khair de aur mujhe sahi amal karne ki tofeeq ata farmaey, ameen.

bas ek aur baat, aap beth kar athahiyaat pard rahey hain darood sharif karte hi imam salaam pher de aur har bar aissa hi hota ho keh aap darood ke baad dua na pard payen, no kya karen?

(salam)

 

har bar aisa he hota hai ? tu aisa karain kay apni aur Imam sahab kay parhnay ko milanay ki koshish karain takay Imam kay salam kay sath aap ki dua bhe khatam ho rahee ho.

aur Ugar aap bilkul ikhtitam kay qareeb hain tu jaldi say mukammal kar saktay hain magar abhee aap nay darood sharif khatam he kia tha kay Imam nay salam phair dia tu Imam ki pairwi karain ... aur salam phair dain.

Link to comment
Share on other sites

ASSALAM-U-ALAIKUM WA RAHMATULLAHI TA'ALA WA BARAKATUH WA MAGFIRAH

 

JAZAKA ALLAH AZZAWAJAL SAIF UL ISLAM BHAI, MASHA ALLAH AZZAWAJAL.

 

GULZAR BHAI SANNA SUNNAT HAI AGAR APP SAY CHOOT GAYE BHOOL KAR TO NAMAZ HO JAYE GI, LAKIN ISS KO AADAT NA BANAYEEN, AGAR APP JAMA'AT KAY SATH NAMAZ PARH RAHAY HAIN TO APP NAY SIRF SANA PARHNI HAI, TA'UZ (Ayozubilla) OR TASMIA (Bismillah) YE DONOON QIRAT KA HISSA HAIN, AGAR APP NAY SANA KAY SATH TAUZ OR TASMIA BHI PARH LIA TO KOI HARJ NAHI.

 

LAKIN YE DONOON QIRAT KA JUZ HAIN.

 

APP AMEER AHLESUNNAT KI AHKAAM E NAMAZ KA MUTALLAH KARAIN, ISS KAY BAHARAY SHARIAT KA MUTALLAH KARAIN.

 

JAZAKA ALLAH AZZAWAJAL

 

AAMEEEEEEEN

Link to comment
Share on other sites

aur agar aap bina tauz aur bismillah ke sanna aur surah fatiha pard kar namaaz ada karen to koi harj to nahi?(jab aap akele namaaz pard rahe hon, sunnat, witar, farz ya nafal).

 

jab aap sunnatein padtey hain to niyat mein yeh kehna zaroori hota ke sunnat mo'kada ya gair mo'akda?

 

SANA , TA'UZ, TASMIA TEENOON SUNNAT HAIN, INHAIN PARHNA CHAHIYE JUB APP INFIRADI NAMAZ PARH RAHAY HO LAKIN JUB BA'JAMA'AT PARH RAHAY HAIN TO SIRF SANNA PARH KAR KHAMOSH HO JAYEEN KYON KAH MUQTADI KAY LIA TA'UZ OR TASMIA SUNNAT NAHI KYON KAH YE QIRA'AT KA JUZ HAI.

 

GALTI SAY AGAR APP NAY TA'UZ OR TASMIA CHOOR DIA TO NAMAZ TO HO JAYE GI LAKIN ISSAY AADAT NA BANAYEEN.

 

NIYAT MAIN MUTLAQAN SUNNAT NAMAZ KEH SAKHTAY HAIN. ZAROORI NAHI KAH APP SUNNAT MOKIDA YA GHAIR E MOKIDA KAHEEN. KEH LAYNAY MAIN HARJ BHI NAHI.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...