Abdur Rehman 43 Posted September 3, 2008 Report Share Posted September 3, 2008 aap ka mazmoon taweel hone ki bina par sar sari nazar se padha maloomaat afza hai lakin aap ek jagah bahikha aur raza ju dost likha lafz-e-dost allah ki shaan me istimaal karna namunasib hai is liye ki ae ek aam lafz hai jo allah ke shayaan-e-shaan nahi Asslam alaikum lafz e doast ka koi ghalat mana urdu zuban mai nahe, aur mairi maloomat ki had tak kisi aur zuban mai bhee is ka koi mana ghalat nahee nikalta aur jo doast ka lafz ooper mazmoon mai guzra wo ahadis kay hawalay say hai maslan sunan ibne maja waghaira aur ooper aur bhe buhat say hawalay almukhtasar mai nahe samghta kay is lafz ko istama'l karna namunasib ha.. wAllaho alam wa Rauluh Quote Link to post Share on other sites
Ubaid-e-Raza 7 Posted September 4, 2008 Report Share Posted September 4, 2008 lakin aap ek jagah bahikha aur raza ju dost likha lafz-e-dost allah ki shaan me istimaal karna namunasib hai is liye ki ae ek aam lafz hai jo allah ke shayaan-e-shaan nahi Ye kitab Ahlesunnat k aik mustanad aalim alahazrat alaihrahma k bhai jan molana hassan raza khan alaihrahma ki hay. jinho ne post ki hay unki tehreer nahi. lafz Oliya Allah quran e pak main istimal howa hay. wali ullah ka matlab kya hay? Shayan e shan nahi se kya muraad hoyi? lafz dost main koi toheen be adabi ka pehlo mojod hay tu bara e karam wazahat farmain. Quote Link to post Share on other sites
Madinah_Madinah 12 Posted September 4, 2008 Report Share Posted September 4, 2008 g............dost lafz me to koi qabahat nzr nhe aati..........n iski daleel apko Ubaid e Raza Bhai ny b dy di.......... ALAHAZRAT ny b apni shairi me hum nikammon k liye shair likha: Hum to bid kr wohi karen jis me, DOST naaraz hy, kia hona hy.......?? Quote Link to post Share on other sites
Barkaati 0 Posted September 7, 2008 Report Share Posted September 7, 2008 Masrufiyaat ki bina par aap ka jawaab dene main daer howi. Lafz-e-dost ke maine main koi kharabhi nahi hain. Lekin kuch aam alfazaat ka istemaal allah tala ke liye nahi kiya jata hai. Lekin us mazmoon main Allah tala ke liye ye likha gaya. Halanke seerat ki kitaboun main istarha hai " Allah tala ne aap se farmaya ke aaye Habeeb" Hum bhi yahi kehte hain ke Alahazrat aur deegar ulama ne sarkaar ki shaan main tu habib aur dost ka istemaal kiya hai lekin meri naqis maloomaat ke mutabiq Allah tala ke liye lafz-e-dost ka istemaal nahi kiya. Ek bhai ne ye kaha hai ke ye Allama Hasan raza khan ki kitaab hai. Kitaab ka naam ya hosake tu us ki copy Share karein. Aur ek Bhai ne sunan ibne maja Hadees ki kitaab ka hawala diya hai Baraye karam Hadees share kar dein tu meri maloomaat main bhi Izafa hojaye. Aur ek bhai ne Alahazrat ke hawale se ye kaha hai ke Alahazrat ne Apne ashar main Allah ki shaan main lafz-e-dost ka istemaat kiya hai. Mujeh wo shair ya misra kiya hai samaj main na hi aaya baray karam kis naat ka shair hai waze karein Agar ho sake tu us ko scan kar ke copy share karein. Wallahutala Aalamu. Quote Link to post Share on other sites
Exothermic07 0 Posted September 9, 2008 Report Share Posted September 9, 2008 very nice sharing sister Faizan e Mustafa. There is a typing error in the naat though. I fixed it using Microsoft Paint . If it is not too much trouble, can you please remove the previous post with the naat and post this reviewed naat? Thanks. Quote Link to post Share on other sites
Abdur Rehman 43 Posted September 9, 2008 Report Share Posted September 9, 2008 very nice sharing sister Faizan e Mustafa. There is a typing error in the naat though. I fixed it using Microsoft Paint . If it is not too much trouble, can you please remove the previous post with the naat and post this reviewed naat? Thanks. Asslam alaikum Dear Brother Exothermic07 JazakAllah kay aap nay ghalati ki nishandahi ki Ahlebait ka lafaz typing mistake say Ahle niyyat ho gaya tha, aap nay itni mahnat say usay theak kar kay sahee image wapas post ki aapka buhat shukria jazakAllahu ahsanal jaza amin ab wo mistake theak kar dee hai jazakAllah for identifying.. Quote Link to post Share on other sites
Umm-e-Anwaar Raza 22 Posted October 13, 2008 Report Share Posted October 13, 2008 Ek bhai ne ye kaha hai ke ye Allama Hasan raza khan ki kitaab hai. Kitaab ka naam ya hosake tu us ki copy Share karein. kitab ka nam Aaina e Qiyamat title ye hay book ka: Aur ek Bhai ne sunan ibne maja Hadees ki kitaab ka hawala diya hai Baraye karam Hadees share kar dein tu meri maloomaat main bhi Izafa hojaye. is men sunan ibn e maja k hawalay se hadees likhi hay , Aur ek bhai ne Alahazrat ke hawale se ye kaha hai ke Alahazrat ne Apne ashar main Allah ki shaan main lafz-e-dost ka istemaat kiya hai. Mujeh wo shair ya misra kiya hai samaj main na hi aaya baray karam kis naat ka shair hai waze karein Agar ho sake tu us ko scan kar ke copy share karein. is naat ka 3sra shair mulahiza farmaiye ummeed hay ap ki uljhan door hojayegi wassalam ma'al ikram Quote Link to post Share on other sites
Hunter of Najdiat 0 Posted October 13, 2008 Report Share Posted October 13, 2008 Jazak Allah Quote Link to post Share on other sites
Ghulam E Mustafa 51 Posted November 13, 2008 Report Share Posted November 13, 2008 Quote Link to post Share on other sites
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.