Jump to content

Sehri aur Iftaari ke sahi auqaat kya hain?


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

 

Farz namaazon ka waqat kiss waqat se lekar kiss waqat tak hota hai?

 

hamarey han sehri aur iftaari ke waqat ka thoda masla hai, kaissey pata chaley k sehri ka waqat khatam ho gya? aur iftaari ka waqat ho gya?

iftaari ka waqat to merey khial se namaz-e-magrib ke saath hota, yani k jaissey hi magrib ka waqat hota aap iftaari kar saktey hain, kya sahi hai?

 

namaaz ke calender par jo likha hota hai(Asar ki namaaz k liey) Shadow1 and shadow2, iss se kya murad hai?

Link to comment
Share on other sites

hamarey han sehri aur iftaari ke waqat ka thoda masla hai, kaissey pata chaley k sehri ka waqat khatam ho gya? aur iftaari ka waqat ho gya? iftaari ka waqat to merey khial se namaz-e-magrib ke saath hota, yani k jaissey hi magrib ka waqat hota aap iftaari kar saktey hain, kya sahi hai?

 

Janab aap kisi Ahlesunnat ki masjid say poora time table lai kay ghar mai laga lain aur time table kay hisab say sahri aur aftari karain. yei pages ghour say parh lain..

sahriaftar.GIF

sahriaftar2.GIF

Link to comment
Share on other sites

namaaz ke calender par jo likha hota hai(Asar ki namaaz k liey) Shadow1 and shadow2, iss se kya murad hai?

 

Zuhar kay baad saya yani shadow aahista aahista barhna shroo ho jata hai.....

 

Fiqah e Hanfi kay Mutabiq Asar ka waqat jab shroo hota hai jab kisi cheaz ka saya yani Shadow us kay asal say mazeed , twice yani dugna (2 masl) ho jaiay ----- yani Shadow 2

 

kuch hazrat kay nazdeek Asar ka waqt us time shroo hota hai jab kisi cheaz ka saya apnay Asal say mazeed, 1 time ( 1 Masl) ho jaiay yani Shadow1.

 

 

Mairi naqis raiy mai calendar pay shadow1 , shadow2 is waja say likha hota hoga.

 

Ham Hanafi hai is leay Shadow 2 ko follow karain bahtar hoga kay kisi Hanafi Ahlesunnat ki masjid say time table lai lain aur us kay mutabik Asar aur deegar namazain ada kar lain.

 

Allah azzawajal koi ghalati maaf farmaiay aamin

 

wasSlam alaikum

Link to comment
Share on other sites

kya yeh sahi keh, sehri ka waqat sunrise se 1h30 minut khatam hota hai, jaissey ke farz karen k, sunrise 7h00 baje hota hai, aur hum is mein se 1h30 minut nikalein to sehri ka waqat 5h30 baje khatam hota hai, kya aissa hi hai?

 

:unsure::unsure: yei mai nay pahlay nahe suna wAllaho (azw) Aaam wa Rasuluh (saw)

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

maine kissi se poocha ke sehri ka waqat kab khatam hota hai to unhon ne mujhe yeh trick batai,

merey paas jo calender hai us par sehri k khatam honey ka waqat kuch aur hai aur iss trick k hisaab se waqat calender ke waqat se match nahi hota,

hamarey qareebi masal'ay main koi ramzaan ka calender bhi nahi hai aur internet par maine ramazaan ke schedule ke barey mein dekha to wahan par bhi mujhe different auqaat miley,

to main confus houn, ramzaan bhi hai, aur mujhe theek se pata nahi k sehri ka waqat kab khatam hota hai,

Edited by Gulzar
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

bai ap following link sy prayer timing dakh sakty ha kisi b maheeny aur din ki aur qibla direction b dakh satay ha

http://www.dawateislami.net/prayertimings/...activeYear=2008

sehri aur iftaari k auqat k liyay ap following link ko visit karain yeh bilkul durust timings ha ap in ko follow karain

http://www.dawateislami.net/prayertimings/...tsFrom=9/1/2008

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Gulzar bhai aap jo apki alaqay ki sab say nazdeeki Ahlesunnat wal jamat ki masjid hai waha say calendar lai lain aur phir us kay mutabiq amal kar lain aur dawat e islami ki website say jo aap nay bataya 3 min peachay hai tu neachay ugar aap check karain calendar kay bilkul neachay

 

30 30-September Tuesday 5:09 AM 6:38 PM

Precaution: Sehar -3 min to Dawn Timings & Iftaar +2 min to Sun Set

 

yani aap ka calendar aur dawat e i slami ki website pay jo calendar hai wo match kar raha hai kyu kay unho nay already mention kia howa hai kay ahtiyat ki waja say sahri ka time -3 mins show kar rahay hai aur aftar ka +2 mins..

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Gulzar bhai aap jo apki alaqay ki sab say nazdeeki Ahlesunnat wal jamat ki masjid hai waha say calendar lai lain aur phir us kay mutabiq amal kar lain aur dawat e islami ki website say jo aap nay bataya 3 min peachay hai tu neachay ugar aap check karain calendar kay bilkul neachay

 

30 30-September Tuesday 5:09 AM 6:38 PM

Precaution: Sehar -3 min to Dawn Timings & Iftaar +2 min to Sun Set

 

yani aap ka calendar aur dawat e i slami ki website pay jo calendar hai wo match kar raha hai kyu kay unho nay already mention kia howa hai kay ahtiyat ki waja say sahri ka time -3 mins show kar rahay hai aur aftar ka +2 mins..

 

 

sahi kaha aap ne maine mukamal tor par ghor nahi kiya tha, shukrya!

iftar ka jo website pe +2Minut hai, is ka kya matlib?

Link to comment
Share on other sites

Sehri ke waqat konsi dua (niyat) padni chahiey aur roza iftaar karne k baad konsi dua padni chahiey?

 

mujhe yeh dua mili hai lekin is mein likha hai Kal (tomorrow) ka roza, halan k sehri k waqat to roza shuru ho jata hai,

 

(salam)

 

Yeh dua parh lain aur kal ka roza is leay kay Sahri aap raat kay akhri hissay mai kartay hai aur roza aglay din ka hota hai.. yani aj rat mai jo sahri karta ho wo aj kay rozay ki nahe balkay kal kay rozay ki hoti hai..

 

wasslam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...