Jump to content

imamat kissey karani chahiey?

unknown

تجویز کردہ جواب

Salaam2.gif

Hadees sharif ke mutabiq namaz parte waqat, na to kahin se kapdey fold honey chahiey, sar par topi bhi honi chahiey, paaon ke darmian taqreeban 4 unglion ka fasla bhi hona chahiey ya phir 1 foot se zayada nahin aur daddi bhi ek muthi se zayada honi chahiey.

ek shaks jis musaley mein namaz parney jata hai wahan par imamat aksar wo log karatey hain jin ki aksar daddi ek muthi se kam hoti hai sar pe topi nahi hoti, ya phir kapdey kahin se fold hotey hai ya phir paoon de darmian 1, 2 foot ka fasla hota hai.

agar koi aissa shaks imamat karaey jiss mein in 4 mein 2 ya 2 se zayada khamian hon, to kya us ke peechey namaz parni chahiey?

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

Agar koi aissa shaks imamat karey jiss main ye khamiyan paye jaye tu us ke pihche namaaz nahi padni chahiye. Agar aisa koi shaks masjid main imamat kar raha hai tu foran use us masjid se nikaaliye aur kisi sahi imam ko laye taake logoun ki namaaz tu sahi adaa hojaye.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

yeh to bohat hi badi baat keh di aapne raza saab.

darasal wahan par koi bhi fix imam nahi rakha ja sakta fund ki kami ki wajah se, aur wahan par am tor par arbi log hi atey hai jo ke imamat karate hain, aur kabhi to un ke ilawa aur koi nahi hota imamat k liye.

aur merey sunaney mein yeh bhi aya hai ke wo salafi hain.

baraey meherabni zara mazeed roshni daliey aur agar mumkin ho sakey to imamat k kya faraiz hai wo bhi kissi fatwey ya hadees ke liaz se bata dijiey. shukrya!

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Ager Imam Mein Imamat Ki Sharait Nhin Payi Jati Hain Tu Us Ko Namaz Perhana Aur Jisko Malom Hai Uska Perhna Darust Nhin.. Aur Imam Per Sab Ki Namaz Ka Gunah Hoga Key Baghair Masail Seekhey Imamat Ka Musallah Sanbhal Liya Aur Jisko Malom Tha Aur Namaz Perhi Uski Namaz Wajib ul Ae'adah Hai.. Dobarah Perhni Hogi..

Aik Muth Darhi Rakhna Wajib Hai.. Aur Is Sey Kam Waley Key Pechay Namaz Perhna Makrooh-e-Tehreemi Wajib ul Aeadah Hai..

Kaprey Fold Kerna Makrooh-e-Tehreemi Hai.. Aur Namaz Dobarah Lotani Hogi... Tu Aisey Imam Key Pechay Perhi Janey Wali Namaz Bhi Dobarah Perhni Hogi..

Aur Salafi Wahabi Deobandi Shia Kisi Badmazhab Key Pechay Namaz Nhin Hoti.. Jitni Perheen Sab Dobarah Perhni Hongi...

Is Liye Imam Ager Aapko Sahi Nhin Milta Tu Aap Jamaat Key Sath Namaz Na Perhein Tanha Perh Lein.. Mager Aisey Imam Key Pechay Namaz Na Perhein Jo Badmazhab Ho Ya Imamat Key masail Ka Ilm Na Rakhta Hoo...

Koi Aisa Masala Jis Sey Namaz Wajib ul Ae'adah Ho Rahi Hai Tu Woh Aik Khami Hi Kafi Hai.. Namaz Aap Aisey Imam Key Pechay Nhin perh Saktey..

Wassalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Zaid ne aaj musal’eh main ek shaks se poocha ke aap kis aqeedey se tauluq rakhatey hain to us ne jawab diya ke main sunni hoon aur main quran aur hadees ke mutabiq chalta hoon. Phir poochaney par us ne jawab diya ke main MALIKI hoon. aur hamarey han topi penana obligation nahi hai, aur namaz partey waqat hum apne paon ek doosrey namazi se mila kar rakhatey hain ta keh shaitaan na ajaey,

Dar'asal zaid north america mein rehta hai aur wahan par namaz Musal'ah mein pardi jati hai nake masjid mein, aur musal'ah mein taqreeban 5 se 15 tak log atey hain namaz ke liey, un mein se koi hanafi hotey aur koi maliki, lekin qasrat malikion ki hi hoti hai am tor par. ab musal'ah mein differents country's ke log hotey hain, koi pak sai hai, koi hind se hai, koi maroc se hai, aur aissey musal'eh mein koi bhi imam fix nahi kiya ja sakta. lihaza aissi surte-e-hal mein kabhi koi karda ho jata hai to kabhi koi. leikin am tor par wo log us ko kharda kartey hain jo zayada quran janta ho.

Ab zaid ko masla kuch hal hota hua nazar a raha hai, kyon ki SALAFI ek sunni sunai baat thi kissi se confirm nahi thi is liey zaid ulaj gaya tha.

1-) Ab aap mujhe bataiey ke koi HANAFI kissi MALIKI ke peechey namaz pard sakta hai?

2-) kya koi mujhe kissi imam ki koi SAHI hadees arbi mein de sakta hai jiss mein likha hua ho ke sar par topi penani chahiey ya nahi?

3-) kya zaid namaz ghar mein pard sakta hai? koi gunnah to nahi?

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

mujhe jawab bohat jald chahiey is masley ke barey mein, please

sag-e-attar bhai ke jawab ke mutabiq imamat ki 3 shartein hain, daddi ek muthi se zayada, kapdey fold nahi honey chahiey, aur bad mazhib na ho.

agar kissi ki qudarti tor par daddi kam ho to wo bechara kya kare?

kapdey to is liey fold kartey hain kyon k lambe bohat hotey hain, aur waissey bhi jab wo ghar se nikaltey hain unhen thoda hi pata hota hai ke aj namaz mujhe parani hogi wo to ghar se namaz paraney ke liey nikaltey hain imamat ke liey nahi.

alhumdulilah wo sunni hain salafi nahi.

ek aur baat, kya koi fatwey ya kissi hadees se yeh sabit kar sakta hai k jab kissi imamat karaney waley ka kapdey fold hon neechey se lamabai ki wajah se,(paint) us ke peechey pardi hui namaz dobara parni hogi?

Link to comment
Share on other sites

yeh to bohat hi badi baat keh di aapne raza saab.

darasal wahan par koi bhi fix imam nahi rakha ja sakta fund ki kami ki wajah se, aur wahan par am tor par arbi log hi atey hai jo ke imamat karate hain, aur kabhi to un ke ilawa aur koi nahi hota imamat k liye.

aur merey sunaney mein yeh bhi aya hai ke wo salafi hain.

baraey meherabni zara mazeed roshni daliey aur agar mumkin ho sakey to imamat k kya faraiz hai wo bhi kissi fatwey ya hadees ke liaz se bata dijiey. shukrya!

(bis)

(salam)

Sag-e-Attar bhai ne jo jawaab diya hai wo bilkul sahi hai aur bahut hi achcha jawaab diya hai.

Aur aap ka jo masla hai ke wahan par imam fund par chalte hain to aap ke wahan area main dawat-e-islami wale tu honge kiyoun ke ye kai mumalik mian hain tu un se ye guzarish kariye aur puri baat bataye imam ke barey main tu wo zaroor wahan par kisi imam ko lagayein ge.

Aaap ka bakhi sawaal ka jawaab tu sag-e-attar bhai ne dediya hai.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Zaid ne aaj musal’eh main ek shaks se poocha ke aap kis aqeedey se tauluq rakhatey hain to us ne jawab diya ke main sunni hoon aur main quran aur hadees ke mutabiq chalta hoon. Phir poochaney par us ne jawab diya ke main MALIKI hoon. aur hamarey han topi penana obligation nahi hai, aur namaz partey waqat hum apne paon ek doosrey namazi se mila kar rakhatey hain ta keh shaitaan na ajaey,

Dar'asal zaid north america mein rehta hai aur wahan par namaz Musal'ah mein pardi jati hai nake masjid mein, aur musal'ah mein taqreeban 5 se 15 tak log atey hain namaz ke liey, un mein se koi hanafi hotey aur koi maliki, lekin qasrat malikion ki hi hoti hai am tor par. ab musal'ah mein differents country's ke log hotey hain, koi pak sai hai, koi hind se hai, koi maroc se hai, aur aissey musal'eh mein koi bhi imam fix nahi kiya ja sakta. lihaza aissi surte-e-hal mein kabhi koi karda ho jata hai to kabhi koi. leikin am tor par wo log us ko kharda kartey hain jo zayada quran janta ho.

Ab zaid ko masla kuch hal hota hua nazar a raha hai, kyon ki SALAFI ek sunni sunai baat thi kissi se confirm nahi thi is liey zaid ulaj gaya tha.

1-) Ab aap mujhe bataiey ke koi HANAFI kissi MALIKI ke peechey namaz pard sakta hai?

2-) kya koi mujhe kissi imam ki koi SAHI hadees arbi mein de sakta hai jiss mein likha hua ho ke sar par topi penani chahiey ya nahi?

3-) kya zaid namaz ghar mein pard sakta hai? koi gunnah to nahi?

(bis)

(wasalam)

1. Nahi.

2. Check kar ke bataounga. Agar kisi Bahi ko pata ho tu share kijiye.

3. Agar khareeb main Ahlesunnat ki masjid ho ya koi sahi imam hoto wahan pade ghar main padne se gunah hoga. Agar aisi masjid ya imam na hotu wo namaaz ghar main hi ada kary gunah na hoga namaaz hojayegi.

Link to comment
Share on other sites

mujhe jawab bohat jald chahiey is masley ke barey mein, please

sag-e-attar bhai ke jawab ke mutabiq imamat ki 3 shartein hain, daddi ek muthi se zayada, kapdey fold nahi honey chahiey, aur bad mazhib na ho.

agar kissi ki qudarti tor par daddi kam ho to wo bechara kya kare?

kapdey to is liey fold kartey hain kyon k lambe bohat hotey hain, aur waissey bhi jab wo ghar se nikaltey hain unhen thoda hi pata hota hai ke aj namaz mujhe parani hogi wo to ghar se namaz paraney ke liey nikaltey hain imamat ke liey nahi.

alhumdulilah wo sunni hain salafi nahi.

ek aur baat, kya koi fatwey ya kissi hadees se yeh sabit kar sakta hai k jab kissi imamat karaney waley ka kapdey fold hon neechey se lamabai ki wajah se,(paint) us ke peechey pardi hui namaz dobara parni hogi?

(bis)

(salam)

Bhai namaaz ki sirf 3 shartein nahi hain kai hain jab tak namaaz ke , wazu ke aur paki ke is jaise tamam masle jo namaaz ke liye zaroori hai un masloun ka jaannah zaroori hai jab ja ke wo namaaz pada sakta hai.

Aap ek kaam ye karein ke Aap khud BAHAR-E-SHARIYAT KE 5 HISSE PAD LEIN AUR PURE MASLE YAAD KAR LEIN TO AAP KHUD NAMAAZ PADA SAKTE HAIN YE BOOK AAP KO ONLINE MIL JAYEGI IS KITAAB KO ZAROOR PADEIN.

agar kissi ki qudarti tor par daddi kam ho to wo bechara kya kare?

AGAR KISI KI QUDRATI TOUR PAR DADDI KAM HO TO WO NAMAAZ PADA SAKTA HAIN YE ALAG MASLA HAI MAGAR WO DADDI BADNE KE BAWAJOOD KAATTA HAI TU WOS KE PEHCHE NAMAAZ NAHI HOGI.

kapdey to is liey fold kartey hain kyon k lambe bohat hotey hain, aur waissey bhi jab wo ghar se nikaltey hain unhen thoda hi pata hota hai ke aj namaz mujhe parani hogi wo to ghar se namaz paraney ke liey nikaltey hain imamat ke liey nahi.

SAB SE PEHLE TU WOTNE LAMBE KAPDE NAHI PEHNA CHAHIYE AGAR PEHAN BHI LIYE TO WOS KO FOLD NA KAREIN WAISE HI CHOD DEIN NAMAAZ HOJAYE GI.

CHAHE IMAMAT KARY YA NAMAAZ PADE DONOUN KE LIYE YE ZAROORI HAI KE KAPDE NA FOLD KAREIN.

MAIN SAMAJTA HOUN KE AAP KE JAWAAB CLEAR HOGAYE HONGE AGAR KUCH MASLA NAHI SAMAJ MAIN AAYA TO PHIR SE SAWAAL KAR SAKTE HAIN.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

bohat shukrya raza saab!

1-) aap ne kaha ke koi hanafi kissi maliki ke peeche namaz nahi pard sakta, kyon? halan k dono sahi aqeedey par hai aur dono hi ahlesunnat se hain. is baat ko aap kissi hadees se sabit kar saktey hai?

2-) jahan pe mein rehta hoon wahan par koi bhi dawat-e-islami ka koi nahi hai merey khial se.

3-) mus'alh to qareeb hi hai lekin wahan par am tor imamat Maliki hi karatey hain

Link to comment
Share on other sites

1-) agar assi baat hoti ke koi hanafi kissi maliki k peeche namaz nahi pard sakta, tab to khana kaaba mein jitne bhi 4 mein 3 fiqey waley hain une ki to namaz hi nahi hogi merey khial se.

kyon ki khana kaba mein jo imamat karata hai, wo imam bhi 4 mein se kissi ek fiqey se hai, farz karein k MALIKI hai, aur baqi jo hanafi, shafi aur hanbali us ke peechey namaz pard rahey hain, un ka kya?

2-) kya koi sahi hadees se sabit kar sakta hai ke, imam ki pant agar neechey se thordi si fold ho to peechey waley ko dobara namaz parni hogi?

1. Isliye ke wo logoun ka tariqa alag hai aur apna tariqa alag hai har fiqahi masle main ekhtelaf hai is liye un ke piche namaaz nahi pad sakte. G dono hi nahi balke 4 imamoun ko maane wale sab sahi hain aur sab Ahlesunnat hi hain magar in char imamoun ki bich kai fiqahi masle main ikhtelaafaat hain jaise ke ek imam ke nazdeek pure sarka masah karna zaroori hai aur ek imam ke nazdeek sirf kuch baal jhoone se masah hojata hai aur Apne imam ka masla ye hai ke chohtaye sar ka masah karne se masah hota hai.

Tu ab aap bataye ke jab tak chohtaye sar ka masah na karein wazu na hoga tu wo imam ke maane wale sirf kuch baal ko cho lein to un ka tu wazu hogaya magar hamare nazdeek un ka wazu hi nahi howa tu jis ka wazu hi nahi howa us ki namaaz kaise hogi aur imam ki hi namaaz na hoto muqtadi ki kaise hogi. Isi tarha kai masloun main ikhtelaaf hai. ye hi wajah hai ke un ke pehche namaaz nahi hoti.

2. Nahi bhai aap check karein waha koi tu hoga Dawat-e-Islami wale kiyoun ke ye kai mulkoun main hain taqreeban 50 ya 60 tu wahan bhi hounge. Waise aap kahan rehte hain.

3. Jahan par Imam sahi na ho tu wahan namaaz na pade jamaat ke saat , Alag ghar par hi ada karein ho jayegi.

UMEED KARTA HOUN KE AAP SAMAJ GAYE HOUNGE. AGAR KUCH AUR SAWALAAT HAIN TU PUCH SAKTE HAIN. AGAR KISI BHAI KO MERE IN REPLY MAIN ISLAH KI ZAROORAT LAGE TO ZAROOR KIJIYEGA.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

1-) agar assi baat hoti ke koi hanafi kissi maliki k peeche namaz nahi pard sakta, tab to khana kaaba mein jitne bhi 4 mein 3 fiqey waley hain une ki to namaz hi nahi hogi merey khial se.

kyon ki khana kaba mein jo imamat karata hai, wo imam bhi 4 mein se kissi ek fiqey se hai, farz karein k MALIKI hai, aur baqi jo hanafi, shafi aur hanbali us ke peechey namaz pard rahey hain, un ka kya?

2-) kya koi sahi hadees se sabit kar sakta hai ke, imam ki pant agar neechey se thordi si fold ho to peechey waley ko dobara namaz parni hogi?

(bis)

(salam)

1. Agar Imam e Azam ke maane wale yani hanafi ke pihche dosre 3 imam ke maane waloun ki namaaz ho jaye gi . Magar hanafi ki namaaz in 3 ke pihche nahi hogi. Aur imam e Kaba ke pihche namaaz nahi hogi alag padna hoga ya alag jamaat bana ke sahi imam ke pihche padiye. kiyoun ke wahan par jo imam hai wo imam e Shafi ke maane wale hai sahed. Tu wahan par aap ko alag namaaz padni hai ye yaad rakhye.

2. Is main maine tu sirf aalimoun se suna hai aur fatwa bhi dekha hai main is par hadees nahi padi isliye main aap ko hadees ke barey main tu nahi bata sakta AGAR KISI ISLAMI BHAI KE PASS HAI TO PLS SHARE KAREIN.

Paint fold kar ke padna makru-e-tehreemi hai isliye Namaaz daurani padegi. Aur taqne ke neeche tak agar hai paint tu waise hi chod dein namaaz hojaye gi ye Makru-e-tanzeemi hai.is se namaaz hojati hai.

Ye masla mujeh maloom tha main ne aap ko bata diya.

Agar phir bhi aap ko kuch samaj na aaye tu aap sawaal kar sakte hain.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

asalamo alekum!

bohat shukrya aap ke jawabat ka!

location montreal, canada.

1-) aap ne kaha ke aur 3 imamon ko manane walon ki namaz kissi hanafi imam ke peeche ho jaey gi, merey khial se un 4 mein se 1 imam aissa bhi hai jin k nazdeeq sare sar ka masah karna hoga, lekin hanafi to sirf chotahi sar ka masah karte hai, to phir agar koi hanafi imamat karaey to phir us ki shaks ke nazdeeq jo sare sar ka masah karta hai hanafi ki namaz to nahi ho gi na, lekin apne kaha ke teeno ki ho jaey gi kissi hanafi ke peechey. wo kaissey?

2-) bohat sare log hajh k liey jatey hain aur wo sab namaz ke waqat ek hi imam ke peechey namaz partey hain, kabhi aapne aissa dekha sunna hai k koi hajh k liey gaya aur farz namaz parney k liey us ne koi hanafi imam na milne ki waja se akele hi namaz pard li kyon k khana kaba ka imam hanfi nahi hai. ab kissi ko wahan ki zaban nahi ati to wo bechara kya karey ga, usey to phir akele hi namaz parni ho gi na jamat k saath nahi. kyon k bohat sare log jo haj ko jate hain un mein se aksar ko to yeh bhi nahi pata hota ke imam kissey kehtey hain aur hamara imam kon hai. maaf karna bhai, mujhe aapke jawab mein koi sens nazar nahi a rahi, please dont mind, u r like my brother.

3-) mumkin hai k imamon ke darmian ikhtilaaf ho, lekin sajda to 1 allah ko karna hai na, chahey koi hanfi ho ya shafi, sajda to sab ek jaissa kartey hai na.

4-) tariqa chahey kissi ka koi bhi ho, important to yeh hai ke namaz parney wala Ahelesunnat se ho aur sahi aqeedey wala bhi ho, aur alhumdulillah 4 imamon ko mananey waley ahlesunnat se hai aur sahi aqeedey waley bhi.

merey khial se 4 imam to iss liey hain na ke nabi paak salalaho alehey wasalam ki sari sunnatein ada ho jayen. example: hamarey aqa salalaho alehey wasalam kabhi naaf ke neechey haath bandetey they aur kabhi seeney ke uper namaz ke waqat, to agar sarey ahelesunnat waley sirf hanafi hotey, tab to sab ne haath naf ke neechey bandaney they, to is tarah se jab nabi paak salalaho alehey wasalam namaz mein haath seeney par rakh kar par partey they to is sunnat par to koi amal na karta na? to issi liey 4 imam hain ta k nabi paak salalaho alehey wasalam ki sari sunnatein ada ho jayen merey khial se.

charon imamon ke chahey tariqey alehda hon, lekin jard to ek hi hai na ke sajda allah ko karna hai, to phir koi kaisse keh sakta hai ke main to hanfi hoon aur meri namaz kissi hanbali ke peechey nahi ho gi.

aap masjid mein jatey hain aur wahan par 10 shafi namaz ke liey khardey ho gaey aur aap ne apni namaz alehda akele parni shuru kar di aur unhon ne jamat ke saath. namaz ke baad unhon ne aap se poocha ke aap ne namaz kyon akele pardi aur aap agar jawab de k mein to hanfi hoon shafi nahi, to zahiri baat hai aap un se qata tualiq kar rahey hain.

masjid mein 10 , 10 log charon fiqon se hain, namaz ka waqat hua to phir azan kon dega, is hisaab se to hanafi alheda azan de ga aur shafi waley alehda, issi tara wo apni jamat alheda khardi karein gey aur hanafi waley alehda.

merey khial se alhedagi shaitaan kon pasand hai allah aur us ke rasool allah salalaho alehey wasalam ko nahi.

to bataiey ke allah ke ghar mein a kar 2 musalman alehda ho gaey to kya allah ko yeh passand ho ga?

meri koi baat kissi ko buri lagi ho to main maafi ka talibgar hoon.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
  • 2 months later...

1.) yeh mujhe bahar-e-shariat wali kitab se mila hai lekin pard kar confus ho gaya hoon, is mein likha hai keh doosrey muqalid ki iqtada us waqat jaiz hai jab wo hamarey mazhib ki riayat karta ho aur neechey likha hai keh agar nahi pata keh doosrey muqalid ka imam riayat karta hai ya nahi to us ki iqtada jaiz hai,

2.) yeh kaissey pata chaley k us ne riayat ki hai ya nahi? wo to namaz para raha hai,

Sans_titre5.jpg

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

masla to imamat kay mutabiq hi hai. lekin agar 5 10 minut laga agar shuru say parna shuru karein gay to yaqeenan aap ko masla behtar samjh aey ga.

iss maslay ko octobre 2008 main post kiya gaya tha lekin aj jan 2010 a gaya lekin yeh masla abhi tak hal nahi hua. kyon keh is ka koi tasali bakhash jawab nahi mil paya.

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

On 1/28/2010 at 9:27 PM, Bismillah said:

masla to imamat kay mutabiq hi hai. lekin agar 5 10 minut laga agar shuru say parna shuru karein gay to yaqeenan aap ko masla behtar samjh aey ga.

iss maslay ko octobre 2008 main post kiya gaya tha lekin aj jan 2010 a gaya lekin yeh masla abhi tak hal nahi hua. kyon keh is ka koi tasali bakhash jawab nahi mil paya.

Hanfi doosray imam k muqalid k pcchay nmaz is soorat main parh skta hay jab wo imam masail-e-taharat-o-nmaz waghera main hanafion ki bhi riyat krta ho

2sra aapne pocha k ager kisi ki dhari ugi hi na ho to is ka jwab hay k ager kisi ki dhari qudarti tor per na ho ya qudrti tor per aik musht se kam ho to us k peechay nmaz jiaz hay , is main koi karahat nhi

3sra aapne nmaz main sar per topi k baray main poocha to Fatwa-e-Razawia shareef main hay:

حضوراقدس صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم کی سنت کریمہ نماز مع کلاہ وعمامہ ہے اور فقہاء کرام نے ننگے سر نمازپڑھنے کوتین قسم کیاہے اگربہ نیت تواضع وعاجزی ہوتوجائز اور بوجہ کسل ہو تومکروہ، اور معاذاﷲ نماز کو بے قدر اور ہلکا سمجھ کر ہوتوکفر، جب مسلمان اپنی نیت تواضع بتاتے ہیں تو اسے نہ ماننے کی کوئی وجہ نہیں، مسلمان پربدگمانی حرام ہے ننگے سررکھنے کااحرام میں حکم ہے اور اس حالت میں شبانہ روزبرابر سربرہنہ حضوراکرم صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم وصحابہ کرام سب سے ثابت، بغیر اس کے ننگے سر کی عادت ڈالنا کوچہ وبازار میں اسی طرح پھرنا نہ ہرگزثابت ہے نہ شرعاً محمود

is k elawa aor kuch janna ho to pooch sktay hain

Link to comment
Share on other sites

ZAID CANADA MEIN REHTA HAI AUR US KAY GHAR KAY QAREEB JO MUSALA HAI US MEIN IMAMAT MALIKI FIQH KAY LOG KARATAY HAIN. AUR YAHAN PE KOI HANAFI IMAM FIX NAHI KIYA JA SAKTA, LEHAZA UN KAY PEECHAY HI PARNI PARTI HAI NAMAZ. WARNA BOHAT SARI MUSHKILAAT KA SAMNA KARNA HO GA.

PEHLI BAAT TO YEH HAI KEH WAHAN PE KOI BHI IMAM FIX NAHI KIYA JA SAKTA,

JAMAT KAY SAATH NAMAZ PARNA WAJIB HOTA HAI. AUR YEH MUSALA ZAID KAY GHAR KAY BILKUL SAMNAY HAI KEH WAHAN JANAY KAY LIEY 1 MINUT

BHI NAHI LAGTA. YANI BILKUL GHAR KAY SAMNAY HAI.

AB JAB MUSALA GHAR KAY ITNA PAAS HAI TO GHAR MAIN NAMAZ PARNAY KA TO SAWAL HI NAHI HOTA KYON K JAMAT KAY SAATH NAMAZ PARNA

WAJIB HOTA HAI, LEKIN ISS MUSALA MAIN IMAMAT KARANAY WALAY MALIKI HOTAY HAIN HANFI NAHI. AUR WO AKSAR SAR PE TOPI NAHI PEHANTAY

SHAED ISS LIEY KEH WO KEHTAY HAIN KEH TOPI PEHNANA SUNNAT HAI FARZ NAHI.

AUR UN MAIN SAY AKSAR DADI KO BARNAY BHI NAHI DATAY, AISSA SAMJH LIJIEY KEH TAQREEBAN 2 YA 3 INCH LAMBI HOTI HAI. SHAED MALIKION

KAY NAZDEEQ ITNI DADI RAKHNA JAIZ HAI. YA ITNI RAKH KAR IMAMAT KARAI JA SAKTI HAI. BEHERHAAL MAIN FIQH-E-MALIKI KO ZAYADA NAHI JANTA.

AB DO MASLAY SAMNAY AEY KEH EK TO TOPI KI KAMI AUR DOOSRA EK MUTHI DADI KI. AUR TEESRA MASLA RIAYAT KA HAI JO KEH ZAID KO NAHI PATA KEH WO HAMARAY MASLIK KI RIAYAT KARTAY HAIN YA NAHI.

AB SAWAL YEH HAI KEH UN KAY PEECHAY NAMAZ PARNA JAIZ HAI YA NAHI.

YAHAN PE JITNAY BHI ULMA-E-KARAM SAY ZAID NAY POOCHA SAB NAY 1 HI JAWAB DIYA KEH NAMAZ HO JATI HAI DOHRANAY KI ZAROORAT NAHI HAI.

LEKIN DAWATEISLAMI KAY MUFTIAN-E-KARAAM NAY KAHA KEH AISSON KAY PEECHAY NAMAZ PARNA MAKROOH-E-TEHREEMI HAI KEH AISSI PARI HUI NAMAZ DOHRANI HO GI. BALKAY EK MUFTI SAAB NAY TO YAHAN TAK KAHA KEH AAP APNI NAMAZ HI ALEHDA KAR LIJIEY.

ZAID ISS MUAMLAY MAIN BOHAT BOHAT PARISHAAN HAI KEH WO IN KAY PEECHAY NAMAZ PAREY TO MUFTIAN-E-KARAAM KAY FATWAY KEH NAMAZ DOHRANI HO GI AUR AGAR NA PAREY TO WAJIB KA TARAK, FITNAY KA ANDESHA, BUGAS PEDA HONAY KA ANDESHA, JAMAT KAY SAATH NAMAZ PARNAY KA JO 27 GUNAH SAWAB MILTA HAI SHAED WO BHI NAHI.

ZAID KAY DIL MAIN BECHAINI KEH MAIN EK MUSALMAAN HO KAR GHAR MAIN NAMAZ PARTA HOON JAB KEH MUSALA MAIN LOG JAMAT KAY SAATH NAMAZ PAR RAHAY HAIN. MUSALY MAIN JANAY SAY JO BARKATEIN HASIL HOTI HON GI SHAED UN SAY BHI MEHROOMI,KHANA-E-QABA KAY IMAM SAAB BHI TO YAQEENAN HANAFI NAHI HAIN TO DUNYA SAY JITNAY BHI HANAFI HAJJ YA UMRAY KAY LIEY JATAY HAIN KYA WO SAB KAY SAB APNI APNI NAMAZEIN ALEHDA PARTAY HAIN.EK TARAF MUFTIANAY KARAM KAY FATWAY AUR KAUL AUR EK TARAF KAM AZ KAM YEH SAB CHEEZEIN. ZAID KO ISS MASLAY KAY BAREY MEIN AAJ TAK KOI TASALI BAKHASH JAWAB NAHI MILA.

YAHAN KAY LOG KEHTAY HAIN KEH JAHAN KA MASLA HO WAHIN KAY ULMA-E-KARAAM SAY POOCHANA CHAHIEY KYON KEH WO YAHAN KAY HALAAT BEHTAR JANTAY HAIN. AUR YAHAN KAY HALAAT KO MAD-E-NAZAR RAKHTAY HUAY JAWAB DETAY HAIN. AUR JAISSA KEH UPER ARZ KIYA KEH ZAID NAY YAHAN KAY KAFI ULMA-E-KARAAM SAY POOCHA AUR SAB NAY EK HI JAWAB DIYA KEH NAMAZ HO JATI HAI. AUR YEH SAB KAY SAB ULMA HANAFI HAIN.

AB ISS MUSALA MAIN MALIKION KAY ILAWA KOI HANAFI BHI NAHI HOTA JO KEH IMAMAT KARAYA KAREY AUR NAHI HI MALIKION KO HATAYA JA SAKTA HAI, AGAR UN LOGON KO HATA DIYA TO ISS MUSALA KAY BAND HO JANAY KA POORA POORA ANDESHA HAI,

AUR YEH BAAT BHI YAQEENAN THEEK NAHI.YAHAN PE KOI HANAFI IMAM FIX BHI NAHI KYA JA SAKTA KEH WO HAR NAMAZ KI JAMAT KARAYA KAREY,YEH EK BOHAT BARA MASLA HAI, KAHAN OCTOBER 2008 KO ZAID KO ISS MASLAY KA PATA CHALA AUR KAHAN AJJ JANVARY 2010 KA MAHEENA CHAL RAHA HAI. LEKIN MASLA WAHIN KA WAHIN.

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

Sag-e-Attar bhai pehli to guzarish hay k aap caps lock off kr k likha krain istrah parhnay main aasani hoti hai

ab aatay hain asal masla ki traf to bhai aap jammat k time k bad bhi jakr masjid main apni nmaz ada kr sktay hain aor masjid ka swab to aapko milay ga

pehli bat yeh hay k dhaari munday ya aik musht se kam rakhnay walay , yani jo katarta ho , k peechay nmaz nhi hoti , ager parh li to duhrana wajib

ab yeh masla k doosray aaima k muqaledeen k peechay nmaz hoti hay k nhi to bhai .... main aapko ikhtelaf-e-aaima ki aik misal arz kr deta hoon , isk baad har zi shuoor aadmi khud fesla kr skta hay

Hmaray nazdik yani Ahnaaf k nazdik Ghusl main Kuli krna aor gharghara krna k halq tak paani phunch jaee neez naak main paani charhaana FARZ hay , is k baghair banda paak nhi hota

Laikin imam shafi (ra) aor imam Maalik (ra) k nazdik yeh donon cheezain Sirf sunnat hain

ab aap hi btain k ager kisi Shafi ya maliki imam per ghusl farz hua , us nay yeh donon amal nhi kiay to us k mazhab k mutabiq to wo paak hay laikin hmaray nazdik napaak hay....to kia aap us k peechay nmaz parhain ge????????????

kia aapki nmaz hojaye gi??????

laikin ager whi mazkoora imam , Ahnaaf ki riyata kray aor kuli , gharghara aor naak main paani charhaa lay to hmaray nazdik bhi wo paak ho jaye ga , ab us k peechay nmaz jaiz hay bashartekay koi aor wja us k peechnay nmaz na parhnay ki na paai jaaye...

yeh sirf 1 masla arz kia hay aesay hazaron masail hain jin main ikhetalf hay..

bhoolkar nmaz main kalam kia to hmaray nazdik nmaz batil hay laikin imam malik k nazdik sirf sajda sahv krna pray ga

baghair uzr k khankaray aor lafz peda hogaye jesay 'AKH'' اخ to hmaray nazdik nmaz batil hay , imam Malik k nazdik nhi

Aagay Masha Allah aap khud samjhdaar hayn , andaza lga saktay hain...

Link to comment
Share on other sites

yani keh fitnay peda hotay hain to ho jaey, bugaz kina wagaira ka andesha hai to ho jaey, jamat kay saath namaz na parnay ka sawab nahi milta to na sahi lekin hum nay namaz nahi parni un kay peechay? yeh kya baat hui bala. aj hum musalmano ko ek honay ki zaroorat hai, ek doosray kay saath jurd kar rehnay ki zaroorat hai.

bohat sare log hajh k liey jatey hain aur wo sab namaz ke waqat ek hi imam ke peechey namaz partey hain, to un sab hanfion ki namaz kaissay ho jati hai? kabhi aapne aissa dekha sunna hai k koi hajh k liey gaya aur farz namaz parney k liey us ne koi hanafi imam na milne ki waja se akele hi namaz pard li kyon k khana kaba ka imam hanfi nahi hai. ya phir khana kaba kay samnay hanfio ki alehda jamat ho rahi aur doosray fiqh walon ki jamat alehda ho rahi hai. Imam-e-Azam Abu Hanifa razi allah tallah unhou say lekar aaj tak jitnay bhi hanfi aulia-e-karaam houay kya wo sab kay sab apni jamatein alehda kar kay partay thay??

hum musalman hain aur humein akatha rehnay ki zaroorat hai. hum jab khud hi ek doosray say alehda honay lagay gay to doosray log to kahein gay tum musalman ek doosray kay peechay namaz to partay nahi ho aur humein islam ki dawat detay ho. ghaur to karein. main ala hazrat kay fatway ka inkaar nahi kar raha hoo. main riayat nikalnay ki baat kar raha hoo.

maslan, alcool peena jaiz nahi. lekin agar yahi alcool kiss dawai main milli ho to ulma-e-karaam nay ijazat di keh yeh dawai aap pii saktay hain jab keh us main alcool hai jo keh islam main haram hai aur us ko peenay ki bari waeedain hain. ta k musalamaan gunah mein mubtala na ho jaey. akhir riayat nikal ai na???

issi tarah agar namaz ek doosray kay peechay na parnay say fitnay peda honay ka andhesha hai to kya riayat nahi nikal sakti?

yeh masla ghair islami mulk canda main darpesh hai , agar koi hanafi imam fix ho sakta to yaqeenan kiya jata lekin us musala kay zumadaraan nay kaha keh yahan pe koi bhi imam fix nahi kiya ja sakta keh us ki tanha kay paissay nahi hain. pehlay hi musala ka rent bohat bhari parta hai imam fix karna to door ki baat hai.

yeh musala yaqeenan inn maliki logon kay zariey say hi abaad hai keh wo namaz partay aur paratay. aur namazi bhi total taqreeban 5 10 hotay hain. ab un main say koi ek imam ho to insaan baat karey lekin wahan jo pehlay a jaey wohi imamat kara deta hai. agar koi maliki apnay imam kay hissab say gusal kar kay paak ho gaya to paak hai . apnay imam kay hissab say wo to paak ho k namaz to parta hain na. sajda allah ko karna hai chahey koi ahnaaf kay mutabiq ya malikion kay mutabiq ghusal karey. zaroorat to paak honay ki hai na?

ek shakhs ameer tareen hai aur wo har maheenay 1000 ropay masjid main deta hai lekin ek waqat us pe aya keh wo 10 ropay har maheenay denay laga, kyon? kyon keh jab us kay halaat achay thay wo 1000 diya karta tha ab us kay halaat badal gaey wo 10 deta hai. ab usay yeh kaha jaey ga keh aapkay halaat jaissay bhi hain 1000 hi do! yaqeenan nahi, jaissay halaat waissay muamlaat.

umeed hai keh aap zaid kay maslay aur halaat ko khoob samjay hongay.

meri wajah say kissi ki dil azari hui to mafi ka talibghar hoon

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

aap k nmaz parhnay na parhnay se fitna peda nhi hota aor yhan fitnay ki bat nhi hay , baat mazhab k usool-o-qwaneen ki hay

aor najdion ki hukoomat se pehlay Khana-e-Kaba main 4 imam thay......Hanafi shafi mailiki aor hanmbli aor 4 jamamtain hoti thi whan

aajbhi Alhamdulillah sunni whan ja rk apni nmaz elahida pahtay hain....

agarkoi maliki apnay imam kay hissab say gusal kar kay paak ho gaya to paakhai . apnay imam kay hissab say wo to paak ho k namaz to parta hain na.sajda allah ko karna hai chahey koi ahnaaf kay mutabiq ya malikion kaymutabiq ghusal karey. zaroorat to paak honay ki hai na?

to GHAIR MUQALIDEIAT kis cheez ka naam hay???????????? yehi k jab moqa mila jis imam ko chaha pakar lia

Aap ki tasali k liay main Fatwa-e-Faiz-ur-Rasool se fatwa naqal kr rha hoon...

Note.jpg

Note0001.jpg

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...