Jump to content

Shaitaan ke shar se bachao k liey koi wazeefa


unknown

تجویز کردہ جواب

Salaam2.gif

 

Kya koi shaitaan ke shar se din raat bachao k liey koi wazeefa bata sakta hai, jaissa k maine sunna tha shaed keh, sura-e-Fatiha ki Akhri teen ayetein pari jaen to insaan shaitaan se 3 din tak mehfooz rehta hai.

mujhe dara'asal yeh 3 aeytein zubani yaad nahi warna yahi parta,

Edited by unknown
Link to comment
Share on other sites

Ji aik tu yeh bhi tareeqa hai jo app ne bayan kiya tu woh Qur'an Paak say dekh kar par liya karain.

Nahi tu Subha Shaam Ayat-ul-Qursi par liya karain.

Aur aik wazeefa meine parha tha ky Surah Alam Nashrah ko din mein teen dafa aur raat mein teen dafa parny say banda Allah ky Hifz-o-imaan mein rehta hai.

Beharhal zyada acha wazeefa Ayat-ul-Qursi hai.

Link to comment
Share on other sites

shukrya Ghulam E Mustafa saab!

maine kahin pe para tha keh fajar ki namaaz k baad agar aap 11 martaba Taouz aur 11 martaba surat-Ikhlaas parein to shaam tak aap shaitaan se bachey rahein gein, kya koi bata sakta hai keh 11 martaba taouz ko alehda kar ke parna hai ya phir 1 martaba taouz aur uske baad 1 martaba surat?

doosri baat poochani hai keh, shaam kab shuru hoti hai?

Link to comment
Share on other sites

Meine app ko arz kiya naa Ayat-ul-Qursi sab say acha amal hai Shaitan ky shar say bacne kaa aur Shaitan ky shar say bachny ky tu bai shumar amal hain laikin Ayat-ul-Qursi sab say acha amal hai.

Aur shaam Gharob-e-Aftab ky waqt say hee start hoti hai yani Shaam ki namaz say.

App Subha 1 Dafa aur Shaam ko 1 Dafa Ayat-ul-Qursi par kar yeh dua kar liya karain...

 

'' Aai Allah humara Jan-o-Maal aur har cheez tumhare aur tumhare Pyare Habib (saw) ky Hawalay hein, Aai Allah tu apne Habib (saw) ky waseelah say humari aur humari har cheez ki hifazat farma aur humein shaitan ky shar say mehfoz rakh aur humein apne Hifz-o-Imaan mein rakh '' Ameen!

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...