Jump to content

Masla E Noor O Bashar


MOUWAHID

تجویز کردہ جواب

  • 2 weeks later...

(bis)

(saw)

 

(salam) sabh suniyo ko

 

janab Saajid khan sahib (Hanfi Muslim) aapny dawa to kar diya lekin dalail pesh nahi ki kia main wajah poch sakta hoon. :lol:

 

Masla Noor o BAshar k waqt hume kuch baate zehan mein rakhni chahiye k hum mein or aap mein ikhtalaf kis baat ka hai phir is masle ko sahi tareekey se samjha ja sakta hai.

 

aap or hum is baat par mutafik hain k Huzoor Sallaho Alaih wasalam bahsar hai .

 

lekin hum dono mein ikhataf is baat ka hai k hum kehte hai k Huzoor Afzalul Bashar honey k saath saath Noor bhi hai or aap kehte ho k woh noor nahi hain.

 

lekin aap nein jo apne article mein dalail k tor par jo ayat pesh ki hai un par to hum mutafik hai kiun k hum bhi mante hai k huzoor (saw) bashar hai.is liye aap woh apne aqeeday ko sabit karne k liye Huzoor Sallahao Alaih e Wasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo na k bashar honey ki kiun k Huzoor (saw) k bashar honey par to hum or aap mein itfaq hai.

 

is liye aap ka farz banta hai k aap apna aqeedah sabit karne k liye Huzoor Sallah Alaih e wasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo .

or hum Huzoor (saw) k noor hone ki daleel pesh karte hai .

 

umeed hai k aap ko yeh tajveez achi lagio hogi.

Link to comment
Share on other sites

or janab mujhe to aap ki dalail dekh kar yeh samajh nahi aa rahi k aap yeh pesh kar k sabit karna kia chahte ho.Qarein karam nein dekha k hum nein Huzoor Purnoor Sallalaho Alaih e wasalam k noor hone ki dalail k anbar laga diye .lekin janab hanfi Muslim sahib aap nein kia kiya woh ayat pesh kar di jin par hum mein or aap mein itfaq hai :lol:

or janab mujhe lagta hai k aap nein is masla ko abhi tak samjha hi nahi hai aap nein yeh daleel pesh karni hai k Huzoor (saw) noor nahi hai .lekin main nein aap ka article para mujhe kahi nahi dikha k aap nein koi aysi aik bhi daleel pesh ki ho.or janab aap nein hamara ulma k buhat se hawale diye or na jaane saath kia kia naare lagaye Jaado jo sar char kar boley wagaira wgaira o bandey kia ho gya tujhe to hum se munazra to karne agya lekin pehle hamara is masle par aqeedah to parh leta yeh poori kitab chapne se kuch nahi ho ga .yehi wahi baatein hain jin k jawab hamare ulma barso se dete aye hain.yaar kabhi to gor kar.tum nein hamare ulma k kai hawale diye k dekho tumhari kitabo mein likha hai nabi sirf bahsar hi ho sakta hai etc janab hum bhi yehi kehte hai k Logo ki hadayet k liye nabi ka bashar hona zaroori hai .lekin Huzoor Purnoor (saw) is dunya mein hamari islah k liye bashri labas mein aye hain .kiun k nabi k liye bashar hona zaroori hai .woh hai hqeeqat mein Allah Azawajal k Noor.

aap meri baat sun ley shayed k meri baat teri dil mein utar jaye .aye bandey main tera dushman nahi bulkey tera wellwisher hoon aa haq jaan ley haq man ley.abh haq ko nahi mane ga to kabh mane ga .yaar koi aik daleel to pesh kar dey k Huzoor sallalaho Alaih e wasalam noor nahi hai.suraj magrib se talo ho sakta hai lekin tum aik bhi aysi daleel nahi la sakte jis mein likha ho k Huzoor Sallaho Alaih e wasalm noor nahi hai.

Edited by Qadri Attari
Link to comment
Share on other sites

Janab Saajid khan sahib hum nein to apne aqeedy ko sahi sabit karne k liye buhat se dalail diye hain.K Huzoor (saw)

Allah K Noor hain.Abh aap ka yeh farz banta hai k ya to aap hamari dalail ka rad karein ya phir koi daleel dey .Or jaisa k aap nein kaha hai k Islam Kutb mein pehla Darja Quran ka hai to janab abh aap pehle Quran se hi Huzoor Purnoor (saw) k noor na hone ki koi daleel do.

or janab aap nein 33 ayat pesh ki hai or us k jawab mein hum nein yehi kaha hai k in ayat par to hum sabh mutafiq hai is liye aap k yeh dalail is topic mein aap ki kuch madad nahi kar sakti hain.is liye aap sirf or sirf Huzoor (saw) noor na honey ki daleel pesh karo.

Allah Sabh ko Haq samjhne or us par amal karne ki tofeek dey Ameen.

Link to comment
Share on other sites

yeh batye ga ke kahan pena sirf ummet ko dkehlane ke liya tha . yeh reason samjh nahiayee

phri yeh batye ke unka deen ke liya maar kahana woh taief me pather kane ke baad nabi pak (PBUH) ka zakhmi hona woh bhi ummet ko dkehlane ke liya tha . khoon kahan se nikla . gazwa uhad me hazoor pak (PBUH) ke dandan mubarek shaheed howy woh kiya tha. kiya noor se bana insan ka khoon nikal sakta he. im confusing.

me apni sooch ke mutabik bat karoon ga jis ka jwab aap de.ke ager nabi pak (PBUH) ko noor the to kiya aaj ke door me log yaeh kahein ge ke yar woh kahan pena woh pitan sirf dekhlwa tha ke ummet ko esa na ho to kon islam laye ga.

nabi pak bashriyet me itne afzal they ke un ko bhi neend atti thi un ko bhi bhook lagti thi un ko bhi hajet piesh ati thi. jo insan is duniya me kerta he jesa feel kare ga woh humari nabi pak (PBUH) ko bhi hasil thi . unhonn ne ummet ke liya dkehwlay ka kahanpena nahi kiya woh bhokke rahe. un ko bhook lagti thi mager qadri sahib dhiyan se kaheen noor O basher ke chakker me bahut age na nikal jaana. dekhlawa aap log karet hien mery nabi pak (PBUH) ke bare me esa kehna iman ke kahtra na ban jaye.

Link to comment
Share on other sites

yeh batye ga ke kahan pena sirf ummet ko dkehlane ke liya tha . yeh reason samjh nahiayee

phri yeh batye ke unka deen ke liya maar kahana woh taief me pather kane ke baad nabi pak (PBUH) ka zakhmi hona woh bhi ummet ko dkehlane ke liya tha . khoon kahan se nikla . gazwa uhad me hazoor pak (PBUH) ke dandan mubarek shaheed howy woh kiya tha. kiya noor se bana insan ka khoon nikal sakta he. im confusing.

me apni sooch ke mutabik bat karoon ga jis ka jwab aap de.ke ager nabi pak (PBUH) ko noor the to kiya aaj ke door me log yaeh kahein ge ke yar woh kahan pena woh pitan sirf dekhlwa tha ke ummet ko esa na ho to kon islam laye ga.

nabi pak bashriyet me itne afzal they ke un ko bhi neend atti thi un ko bhi bhook lagti thi un ko bhi hajet piesh ati thi. jo insan is duniya me kerta he jesa feel kare ga woh humari nabi pak (PBUH) ko bhi hasil thi . unhonn ne ummet ke liya dkehwlay ka kahanpena nahi kiya woh bhokke rahe. un ko bhook lagti thi mager qadri sahib dhiyan se kaheen noor O basher ke chakker me bahut age na nikal jaana. dekhlawa aap log karet hien mery nabi pak (PBUH) ke bare me esa kehna iman ke kahtra na ban jaye.

 

janab peer2009 sahib is waqt main ghar mein nahi hoon is liye aap k aitraz ka jawab nahi dey raha hoon .or waise bhi aap ko poora haq hai k aap is masley mein koi sawal karo jabh aap sawal nahi karo gaye to hum jawab kaise dey gay or jabh hum jawab nahi dey gaiy to haq ka kaise pata chale ga isliye peer2009 sahib aap k in sawalo ka jawab hamare ulma buhat barso dete chale aa rahe hain..or abh bhi main aap ko jawab ga.manna na manna aap ki marzi hai .is liye janab aap zara wait karein jaise hi main ghar jao ga to aap ko jawab dey donga .

Link to comment
Share on other sites

peer2009 sahib aap k kuch sawalo ka jawab to main abhi dey raha hoon baqi ghar ja kar hi doon ga.

 

aap nein kaha k Huzoor Noor they to un kk Dandan e Mubarak Shaheed kiun howe.

 

janab pehli baat to yeh hai k yeh aik ikhtalafi masla hai aap ka koi bhi alim kisi mustanad kitab k hawale k saath yeh sabit nahi kar sakta k Huzoor Sallalaho Alaih e wasalam k Gazwa Uhad mein dandaney mubarak shaheed howe they.

 

agr bilfarz man liya jaye k aap (saw) k Dandaney Mubarak shaheed howe bhi tehy to janab agr un k dant mubarak shaheed na hotey to deen ki khatir jaan dena ka jazba kaha se milta?

 

or aap nein yeh kaha hai k Huzoor Sallalaho Alaih wasalam par jabh logo nein pathar barsaye they to un ka khoon nikla tha.

 

to janab aap ko woh waqia to yaad agya jabh Huzoor Salllaho Alaih e wasalm ka Khoon nikla mere bhai aap ko woh waqai yaad kiun nahi jabh Miraj k mouqay par aur pahlay bhee Huzoor Sallalaho Alaih e wasalam k seena e Mubarak ko shaq kiya gya aur dil mubarak bahar nikala gaya na aap ki zindagi ruki aur na aik katra bhi khoon ka na niklaa.

 

or janab jahan tak khoon nikle ki baat hai to janab agr un ka khoon na niklta to hum logo ko deen ki khatir masibatey bardhasht karne ka hosla kaha se milta?

 

or janab jaha tak khane peene k aitraz ki baat hai to ka jawab main oper wali post mein dey chuka hoon .aap se guzarish hai k aap meri post ko dobara parho.or janab dekho to sahi hum nein kitne hawala jaat diye hai k Huzoor sallalaho Alaih e waslam Allah k noor hai .Lekin aap k taraf se abhi tak koi aik aysa hawala nahi mila jis mein yeh kaha gya ho k Huzoor Sallalaho Alaih e wasalam noor nahi hai.is liye mere dost aaj main koi suni ban ka baat nahi kar raha hoon neutral ho kar baat kar raha hoon is liye zara goq kar k ksi k paas zaida dalail hain.

 

Akhir mein Allah se Duua hai k Allah (jallah) sabh ko haq jannuney or us par amal karne ki tofeek ata faramaye Ameen

Link to comment
Share on other sites

abhi buhat kuch baqi hai .busy honey ki wajah se poora time nahi dey pa raha hoon.is liye baari baari dalail pesh kar raha hoon .or Allah azawajal k Shukar se abhi buhat se dalai baqi hain.jinko maine abhi pesh karna hai.agr kisi deobandi wahabi ko is maozo par baat karni hai to baat kar sakt hai.main to chahta hoon k sabh haq k baare mein janey k haq kia hai.or Akhir mein Allah se duaa k Ya Allah Awzajal Mujhe Hamesha Haq Likhne ki Tofeek Ata farma or dosaro ko meri baat samjhne ki tofeek ata farma.Ameen

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...
(salam)

qadri bhie in debandi wahabi beghwerto nay ap ki post ka yeh jawba diya hay may wahan un k forum pr un k saath debate kar rah hun or un komon tor raha hun plz is ka jwab jald say jald de deyn taqe un k mun pr marun...

 

bhai kia yeh jawab hai ???

saajid khan ko itni himat nahi hoi k meri baaton ka jawab yeha dey isi liye yeha se bhaga tha.

or abh apne ghar mein sher ban raha hai ,is mein saajid khan nein kaafi khiyanat ki hai,is ka jawab main likho ga lekin main is waqt busy hoon mera pahle se aik deobandi k saath aik forum par munazara ho raha hai ,isi liye main zara us mein busy hoon jabh waha se farig honga to inshallah is ka jawab likho ga.

 

or

Edited by Qadri Attari
Link to comment
Share on other sites

bhai kia yeh jawab hai ???

saajid khan ko itni himat nahi hoi k meri baaton ka jawab yeha dey isi liye yeha se bhaga tha.

or abh apne ghar mein sher ban raha hai ,is mein saajid khan nein kaafi khiyanat ki hai,is ka jawab main likho ga lekin main is waqt busy hoon mera pahle se aik deobandi k saath aik forum par munazara ho raha hai ,isi liye main zara us mein busy hoon jabh waha se farig honga to inshallah is ka jawab likho ga.

 

or

 

bhie is ka jwab sajid wahabi nay nahe likha balkay may nay waha khud upload kiya tha jis ka jwab us nay diya hay...

 

plz ap koy time frame work bta den taqe maywahan reply kardun k itnay time may jawba dunga warna ow shor krengay k bhag gaya bhag gaya

Link to comment
Share on other sites

me is debate ka sanjeedgi se mutalla karr raha hoon

mere zehen me 1 sawal gardish karr raha hai

jesa kay ham kehtay hain kay Huzoor S.A.A.W Noor bhi thay or bashar bhi

mera sawal ye hai kay jismani toor per Huzoor S.A.A.W Noor thay ya bashaer?

Agar jismani toor per Noor thay to phir Bashar se kia murad hai?

or Agar jismani toor per Bashar thay to Noor se kia murad hai?

kia Noor or Bashar jismani toor per 1 ho saktay hain jesa kay ham kehtay hain kay wo noor bhi thay or Basher bhi?

 

plz koi sunni bhai iski wazahat kar dain

 

Link to comment
Share on other sites

[]

bhie is ka jwab sajid wahabi nay nahe likha balkay may nay waha khud upload kiya tha jis ka jwab us nay diya hay...

 

plz ap koy time frame work bta den taqe maywahan reply kardun k itnay time may jawba dunga warna ow shor krengay k bhag gaya bhag gaya

 

 

(bis)

(saw)

(salam)

 

bhai main tafseeli jawab to nahi dey raha hoon kiun k main nein aap ko pehle bhi batay tha k main busy hoon,

Saajid khan Najdi nein Tafseer e Kabeer ki ibarat mein jo khiynat ki hai woh aap dekh lein

k us nein kaise aadi baat likhi or adi kha gya

post-2606-1245407692.gif

 

 

yeh main nein hig light kiya hai k us nein konsi ibarat aadi likhi hai

 

abh porri ibarat parhe

 

post-2606-1245407715.jpg

 

 

abhi mani asista ahista us k jhoot sabh ko batao ga,or un se kahiye ga k Ahle Sunnat ka yeh kaam nahi hai k Buzurgaaney deen ki ibarto mein khiyanat kare lekin haan aap deobandiyo ka yeh kaam dalail se sabit hai jaisa k abh main nein sabit kiya hai.

 

Saajid khan nein ki daleel ko

imam razi (ra) to yeh keh rahe hai k yeh zaeef hai.

 

aap un se sawal kare k woh pehle apni dawa mein dalail dein kiun k unho nein jitni bhi dalail di hai woh bashar honey par di hain jin par hamara or un ka itfaq hai,aap unhe kaho k woh Huzoor Sallalaho Alaih e wasalam k noor na honey ki koi daleel dein na k bashar honi ki.

 

Allah Azawajal sabh ko haq par chalne ki tofeek ata faramaye.Ameen

Link to comment
Share on other sites

janab saeedi sahab jitna may nay ap k nam needah deen ka mutala kiya hay utna shayed aap nay khud bhi nahe kiya hoga......

 

 

yeh tha reply saajid khan ka jis mein us nein apne aap ko buhat bhara sahib e ilm bataya tha ,odher apne forum par ja kar jhooti kahaniya suanata hai apne badmazhab bhaiyo ko ,or woh bhi is mein itna agey nikal chukey hain k bagair parhe hi mshallah jazakallah khera ,buhaat khoob jaise naare lagate hain,,

Allah Azawajal in badmazhabo ko hadyet dey Ameen

Link to comment
Share on other sites

bhai yeh book download kare ,is se aap ko kaafi madad miley gi

 

http://www.nafseislam.com/en/Literature/Ur.../HaqParKaun.pdf

 

Aap bralvi hazraat doghli policy par chaltay ho..ye clear karo ke tum logon ke maslak mein noor se kia muraad hay...Rasool Allah  (saw) ya to noor hein ya bashar.....Hazrat Adam (as) ko Allah Ta'ala ne matti se banaya aur unko bashar kaha..Kia Rasool Allah (saw) unki aulad nahi hein..Agar unki (saw) ki takhleeq sab se awwal noor se hoi hay to kia unke baad Hazrat Adam (as) ko matti se takhleeq kia..Kia matti ke bane hoey insaan ki nasal se noor ko paida kia..ye kia conflict hay isko zara clear karein..Aur zara wazahat karein kia Rasool Allah  (saw) hamari tarah gosht post ke insaan nahi thay..wo koi aur tarah ki makhlooq thay..Unki feeling aur Aam insaan ki feeling aik jaisee nahi thi..????? 

 

 

Asal gustaakh e Rasool tum log ho..Tum logon ne unko noor ka bana kar unke basharyat ke us maqaam se giraya hay jis mein unki azmat thi...TUM LOGON NE UNKI MEHNAT AUR TAKLEEF PAR PAANI PHER DIYA..Rasool Allah ne deen ke raastae mein kaysee kaysee taklifein uthain..unko mara giya..unki peeth par oojhri rakhi gai...unke dandaan mubarak shaeed hoey..unke chahray mubarak mein lohay ka khod ghusa..Rasool Allah  (saw) ne farmaya jitna mein Allah ke raaste mein sataya giya hoon utna koi peghamber nahi satya giya aur na kisi ko itni takleef di gai jitnee mujhko dee gai..unki betion ko talaaq hoi is deen ke rasste mein...

 

MAGAR AGAR HUM YE TAKALEEF KISI GHAIR MUSLIM KO BATAEIN KE HAMARAY PEGHMABER  (saw) KITNI TAKLEEF AUR AZIYAT UTHAI TO WO KAHE GA...TO IS MEIN KON SI BARI BAAT HAY..MEIN US WAQT UNKO APPRECIATE KARTA JAB WO HAMARI TUMHARI TARAH GOSHT POST KE AUR HAMARI TUMHARI TARAH JAAZBAAT RAKHNE WALE INSAAN HOTE..WO TO KOI NOORI MAKHLOOQ THAY..UNKO KIA PATA TAKLEEF KA..ASTAGHFIRULLAH..

 

AAJ AGAR HAMARE SAAMNE FARISHTA AEY AUR USKE SAAMNE BOHOT SA MAAL O DAULAT AUR KHUBSURAT AURTEIN RAKH DO TO USKO IN CHEEZON MEIN KOI DILCHASPI NAHI HOGI..AUR HUMKO IS BAAT PAR HAIRAT BHI NAHI HOGI ....KIONKE WO FARISHTA HAY HUM USKO BOLTAY AGAR TUM BASHAR O INSAAN HOTAY AUR PHIR IN CHEEZON SE BACH KAR DIKHATE TO HUM TUM KO SALUTE MAARTAY..

 

MUHABBAT KA DAWA KARNE WALE KHUD HI GUSTAKH NIKLE....AL AMAN AL HAFEEZ

 

KUFFAR NE RASOOL ALLAH  (saw) KI RISALAT KA INKAR KIA ..KION??? WO KEHTAY THAY KE TUM BASHAR HO..IS LIYE RASOOL NAHI HO SAKTE...

 

BRALVION NE RASOOL ALLAH (saw) KI RISALAT KO MANA ..KAYSAY ??? UNKI BASHARYAT KA INKAR KARKE.

 

Edited by Ya Allah Madad
Link to comment
Share on other sites

Ya Allah Madad Sb aap ko hamara aqeedah parhne mein shadeed shadeed ghalat fehmi hoi hai .plz pehle hamara aqeedah parh ley phir baat kijiye ga.main aap k jazbat ko samjhta hoon main chahta top aap ko is se bhi sakht alfaz mein jawab dey sakta tha ,lekin jo ho hi jahil us se sbaat karne ka kia faida ????

abh agr aap nein aysa reply kiya to kisi ko mon dikhane k kabil nahi raho gay ,agr tum ko hamare aqeeday k baare mein pata karna hai to piyar se poch sakte ho .is mein itna gusa honey konsi baat hai????

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...