Jump to content

Fiqah key yeh chand masaail Hadis ke muwafiq?


Ghulam e Azhari

تجویز کردہ جواب

(bis)

 

 

5. mai nay kaha tha refrence nahi diye. aur kaha tha keh mai apney liye aur logoon ki asani kay lie mang raha hun takeh pata lag jaye. lekin ab bhi wo apni poorani aadat par qaim hain.

 

khair....

 

mai nay ibn e Omar raziallahanho ki hadees ki tafseer imam tirmidhi say arabi ibarat samait aur tarjuma kay sath paish kar d hai. jo yeh parh raha hai us ko samajh lag jaye gee aaj kay molvi ki ya imam tirmizi,shafi,sori etc wagera ki.

dobarah parho usay.

 

 

 

‏قال ‏ ‏وفي ‏ ‏الباب ‏ ‏عن ‏ ‏ابن مسعود ‏ ‏وجابر ‏ ‏وعائشة ‏ ‏وابن عباس ‏ ‏وأبي هريرة ‏ ‏قال ‏ ‏أبو عيسى ‏ ‏حديث ‏ ‏ابن عمر ‏ ‏حديث حسن صحيح ‏ ‏والعمل عليه عند بعض أهل العلم من ‏ ‏أصحاب النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏وغيرهم وهو قول ‏ ‏سفيان ‏ ‏والشافعي ‏ ‏وأحمد ‏ ‏وإسحق ‏ ‏قال ‏ ‏الشافعي ‏ ‏وإن زاد في التلبية شيئا من تعظيم الله فلا بأس إن شاء الله وأحب إلي أن يقتصر على تلبية رسول الله ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏قال ‏ ‏الشافعي ‏ ‏وإنما قلنا لا بأس بزيادة تعظيم الله فيها لما جاء عن ‏ ‏ابن عمر ‏ ‏وهو حفظ التلبية عن رسول الله ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏ثم زاد ‏ ‏ابن عمر ‏ ‏في تلبيته من قبله لبيك ‏ ‏والرغباء ‏ ‏إليك والعمل

tirmizi,al hajj, maja fe talbiyah

translation:

abu eesa nay kaha is baab mai ibn e masood, jabir,aisha,ibn e abbas aur abu huraira raziallahanhum sai bhi riwayat hai. aur ibn e omar raziallahanho ki hadees hasan sahih hai. aur isi par ullema sihaba aur deegar ullema ka amal hai. aur yeh sufiyan,shafi,ahmad o ishaq ka qol hai. shafi kehtey hain agar ALLAH ki tazeem mai izafa karey to koi mazaiqa nahi. jubkeh merey nazdeek behter yeh hee hai keh itna hee parhey jitna keh aap sallahualihewasallam say sabit hai. is mai ziadti karney mai is liye koi harj nahi kion keh ibn e omer raziallahanho Huzoor sallahu alihewasallam kay talbiya kay hafiz the. phir bhi is mai apni taraf say ziadti ki. chunancha yeh amal is kay liye jawaz par dalalut karta hai.(end of translation)

 

Ibn e omar raziallahanho par keechar tum nay uchala hai hum nay nahi. tum nay iBN E OMAR RAZIALLAHANHO KI Hadees kay barey mai poocha tha keh wo bidat thi ya nahi. sihabi ko aisey alqaab say pukartey ho. sharam aani chahiye tumheen. khair kesey aaye jo Quran ko Orat ki farj say milaye us ki aqal zaail ho chuki hai.

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 83
  • Created
  • Last Reply
(bis)

 

 

6. Bidati Jahmi nay mujh par ilzam lagaya hai keh mai nay Abdullah bin Masood raziallahanho par nauzubillah ilzam lagaya hai.

 

alfaaz note karo un kay.

 

‏حدثنا ‏ ‏أبو نعيم ‏ ‏حدثنا ‏ ‏سيف ‏ ‏قال سمعت ‏ ‏مجاهدا ‏ ‏يقول حدثني ‏ ‏عبد الله بن سخبرة أبو معمر ‏ ‏قال سمعت ‏ ‏ابن مسعود ‏ ‏يقول ‏

‏علمني رسول الله ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏وكفي بين كفيه التشهد كما يعلمني السورة من القرآن ‏ ‏التحيات لله والصلوات والطيبات السلام عليك أيها النبي ورحمة الله وبركاته السلام علينا وعلى عباد الله الصالحين أشهد أن لا إله إلا الله وأشهد أن ‏ ‏محمدا ‏ ‏عبده ورسوله وهو بين ظهرانينا فلما قبض قلنا السلام ‏ ‏يعني على النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم

Bukhari al istezaan al ikhaz bil yadain

bukhari ijazat leney ka byan 6265

 

Abdullah bin masood raziallahanho farmatey hain. Rasool sallahu alihewasallam nay mujhai tashahud sikhaya. us waqat mera hath huzoor sallahualihewasallam ki hathelioon kay darmiaan mai tha (is tarha sikhaya) jis tarhaan aap Quran ki soorat sikhaya kartey the. ‏التحيات لله والصلوات والطيبات السلام عليك أيها النبي ورحمة الله وبركاته السلام علينا وعلى عباد الله الصالحين أشهد أن لا إله إلا الله وأشهد أن ‏ ‏محمدا ‏ ‏عبده ورسوله

aap sallahu alihewasallam us waqat hiyaat the. jub aap ki wafaat ho gai to hum is tarhaan parhney lagey nabi par salam ho.

(end of ranslation)

 

raza khani nay ilzam lagaya hai keh wo bus salam parhtey the. janab e wala salam detey the lekin wo Namaz mai is tarhaan kehtey the na keh alehda say. agar aisee baat hai to pehley attahiyaat ka zikar kion kiya. agar nahi manta to yeh lo Abdullah bin Omer raziallahanho ki hadees say samajh lag jaye gee.

 

Inshallah.

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

 

حدثني ‏ ‏عن ‏ ‏مالك ‏ ‏عن ‏ ‏نافع ‏ ‏أن ‏ ‏عبد الله بن عمر ‏

‏كان يتشهد ‏ ‏فيقول ‏ ‏بسم الله التحيات لله الصلوات لله الزاكيات لله السلام على النبي ورحمة الله وبركاته السلام علينا وعلى عباد الله الصالحين شهدت أن لا إله إلا الله شهدت أن ‏ ‏محمدا ‏ ‏رسول الله يقول هذا في الركعتين الأوليين ويدعو إذا قضى تشهده بما بدا له فإذا جلس في آخر صلاته تشهد كذلك أيضا إلا أنه يقدم التشهد ثم يدعو بما بدا له فإذا قضى تشهده وأراد أن يسلم قال السلام على النبي ورحمة الله وبركاته السلام علينا وعلى عباد الله الصالحين السلام عليكم عن يمينه ثم يرد على الإمام فإن سلم عليه أحد عن يساره رد عليه ‏

‏موطأ مالك‏ ‏النداء للصلاة‏ ‏التشهد في الصلاة

 

abdullah bin omar raziallahanho tashahud is tarhaan kehtey the. ‏بسم الله التحيات لله الصلوات لله الزاكيات لله السلام على النبي ورحمة الله وبركاته السلام علينا وعلى عباد الله الصالحين شهدت أن لا إله إلا الله شهدت أن ‏ ‏محمدا ‏ ‏رسول الله

 

shayed keh tumheen samajh aa jaye meri baat. ab kya karo gay ab to Abdullah bin masood raziallahanho kay ilawah abdullah bin omar raziallahanho bhi aa gaye? jhootey daway aur qiyaas ka koi faidah nahi hai razakhani sahab.

 

Hamarey nazdeeq afzal Assalamu alika hai aur agar koi assalamu allanabiyo kahey woh bhi theek hai. ALHUMDULILLAH

7. kaha gya hai keh salat ur rasool ka jawab na aaya. janab e wala mai nay to hadees paish ki thi jawab mai.

salat ur rasool mai aisey hai.

AAP SALLAHU alihewasallam nay sarr ka masah kiya. dono hath sarr kay pichlay hissa say shuroo kar kay guddee tuk peechey lay gaye. phir peechay say aagay us hee jagha lay aaye jhaan say shuroo kiya tha.

Bukhari kitab al wudhu baab masah al r`as` 185

 

aur Alhum dulillah hum bilkul aisey hee masah kartey hain. lekin aap ki tarhaan nahi.ap gardan ko dono hathoon kay pichlay hissay say masah kartey ho. hadees mai aisa kuch nahi. aap loge gardan ka alag say masah kartey ho.

 

yahaan aik khiyanat mai readers ko bata dun adhi baat kartey ho adhi kha gaye ho. meetha meetha hup hup korra korra thu thu. kion na karo gay jub hadees bhi adhi adhi quote kartey ho ye to phir ummati ka qol hai. salat ur rasool mai wuzu ki mukamal tarteeb mai hai

(Gardan kay masah ka ahadees mai kaheen zikar nahi aaya. aur ooper aap parh chukay hain keh sarr ka masah kartey waqat huzoor sallahu alihewasallam apnay hathoon ko guddi tuk lay jatey the. aur guddi sar ka pichla hissa hota hai jis mai kuch gardan bhi aa jati hai).

 

yeh hai wo ibarat jis ko bidati jahmi murji nay apnay mullanoon ki tarhaan adha quote kiya hai. nazreen khud dekhien aur faisala karien.

 

is say kya nikalta hai? yeh to hadees mai bhi hai. ikhtilaaf to gardan ka alehda say masah ka hai ya gardan ka masah nabi nay na kiya hai aur na hee koi sahih hadees hai. hamara amal sahih ahadees par hee hai. Alhumdulillah Modhu o zaeef ahadees razakhanioon bidatioon murjion jahmioon ko mubarak hoon.

 

 

 

 

Edited by asimsweetone
Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

 

8. Musnad e ahmad ka poora hawala do neez us ki sanad bhi paish karo. doosrey yeh keh yahaan tum nay qazaal ka matlab gardan ka pichla nichla hissa khaan say kar diya is ka matlab to guddi, sar ka pichla hissa hai(misbah ul lughat page 637 maqtaba quddusiya asha`at 1999)

 

9. gardan ka masah alehda say to mai mana hee nahi janab mai abhi bhi us hee hadees par amal karta hun. jis mai sarr kay aglay hissa say guddi tuk aur wahaan say phir aagay sarr tuk jahaan say shuroo kiya tha. ALHUMDULILLAH.

 

10. amama ki ahadees.

 

Nabi sallahu alihewasallam nay amama par masah kiya. is kay baraqas hidaya mai likha hai amama par masah karna jaiz nahi hai (hidaya jild 1 safa 44)

 

tum nay kaha sarr kay chothai hissa ka masah karna farz sabit hua??

 

yeh kesa istadlaal hai. amama wali riwayat us kay sath hee makhsoos hai. kion taveel kartey ho ahadees ki baaz aa jao. jahmiyoo baaz aa jao.

 

jub nabi nay amama ya pagree kay bagair masah kiya to us ka tareeqa alehda hai aur jub amama smait kiya to us ka alehda hai.

tumhara mazhab hee taveelaat par mabni hai.

 

aik taraf pagree par masah nahi mantey doosree taraf......... khair hum kya kaheen. kya kehney bidatioon kay.

 

bus firqoon mai bantna aata hai aur kuch nahi. refrence poora diya karo bidati gee. neez yeh keh topic par raho idher udher bhagney ki koshish na karo.

 

11. fazool behes ki hai koi faidah nahi. Sanad sahih aur matan zaeef ka koi refrence to do. ho sakta hai kisi nay kaha bhi ho. jo merey ilam mai na ho mai koi nauzubillah ilm e ghaib janta hun kya? khair yeh topic ka hissa nahi hai.

 

12. khud to taqleed ka patta galay mai dala hee hai. humien bhi andar ghaseet rahey ho? hamara to mazhab hee yeh hai jo cheeze Quran o Sunnat say sabit nahi us ko na manien. jub orat ki imamut sabit hee nahi mardoon ko to kesey maan lien jahmi jee? hum par kya zabardasti kar rahey ho?

 

13. fazool ki behes mai ulajh rahey ho. mai phir kehta hun hum abu hanifa rahimullah ki baat Quran o snnat kay khilaaf nahi matey to yeh loge to baad ki baat hai?. tum apni jahiliyat ka saboot day rahey ho.

 

Deen mai jo cheeze Quran o sunnat o hadees say sabit hai wo mano jo nahi wo na mano. simple c baat bidatioon ko samajh nahi aati.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

 

14. naimuwi hanafi ki konsi baat pehli hai konsi baad ki yeh sabit karo. doosrey yeh keh us nay khud hee qalabaziaan khatey huye us ko ghair mahfooz kaha hai. aur agar sahih kaha bhi hai to us ki kya daleel hai.

 

us kay bar aqas mai nay kaha tha

 

aur yeh keh yeh riwayat musannif ibn e abi shaiba mai is sanad say hai

haddasana wakee an moosa bin nomair an alqama bin wail bin hujar an abeeh(ibn e abi shaiba page 390 jild 1)

 

aur yeh hee riwayat ahmad bin hamble nay imam wakee nay brah e rast is sanad say naqal ki hai magar us mai tahtul surrah kay alfaaz nahi hain(musnad ahmad volume 4 page 316)

 

aur yeh hee riwayat imam darqutni nay imam wakee kay shagird yusuf bin moosa kay wasta say zikar ki hai magar us mai bhi yeh izafa nahi hai.(darqutni jild 1 page 286)

 

imam behqi nay sana abu naeem sana moosa bin umair kay tareeq say riwayat kiya hai magar us mai bhi tahtul surrah kay alfaaz mojood nahi hain(behqi volume 2 page 28)

 

agar aap ab bhi na manie to yeh aap ki zid hai. agar tahtul surrah kay lafz the to un mai bhi hona chahiyeen the.

batao ab wo izafa hai ya nahi?

16. ab koi hadees sey jawab na mila to typing ki ghaltiyaan pakarna shuroo kar deen.

15. hiyat sindhi ko aap nay muhammad bin abdul wahab ka ustad mana Alhumdulillah. aap nay aaj maan liya muhammad bin abdul wahaab say pehley bhi ahl e sunnat mojood the. warna aaj tuk yeh hee kaha jata raha keh ahl e hadees wahabi hain aur wahabi in ko muhammad bin abdul wahaab ki pairwi ki wajha say mila(jo bilkul ghalat hai)

Link to comment
Share on other sites

yahaan aik baat aur keh mujh say hadees kay tarjuma mai galti hui hai.

 

masah waly baab mai. mai nay likha hai.

AAP SALLAHU alihewasallam nay sarr ka masah kiya. dono hath sarr kay pichlay hissa say shuroo kar kay guddee tuk peechey lay gaye. phir peechay say aagay us hee jagha lay aaye jhaan say shuroo kiya tha.

Bukhari kitab al wudhu baab masah al r`as` 185

 

yahaan alfaaz mai galti ho gai wo yeh keh likhna yeh tha sarr kay aglay hissa say shuroo ho kar lekin likh diya pichla hissa lihaza mai samajhta hun keh hadees arabi matan kay sath likh dun.

 

imam malik say poocha gya kuch sar ka hissa masah karna kafi hai? to daleel mai unhu nay abdullah bin zaid ki yeh hadees paish ki yani poorey sarr ka masah karna chahiye.

 

‏حدثنا ‏ ‏عبد الله بن يوسف ‏ ‏قال أخبرنا ‏ ‏مالك ‏ ‏عن ‏ ‏عمرو بن يحيى المازني ‏ ‏عن ‏ ‏أبيه ‏ ‏أن ‏ ‏رجلا ‏ ‏قال ‏ ‏لعبد الله بن زيد ‏ ‏وهو جد ‏ ‏عمرو بن يحيى ‏

‏أتستطيع أن تريني كيف كان رسول الله ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏يتوضأ فقال ‏ ‏عبد الله بن زيد ‏ ‏نعم ‏ ‏فدعا بماء فأفرغ على يديه فغسل مرتين ثم مضمض واستنثر ثلاثا ثم غسل وجهه ثلاثا ثم غسل يديه مرتين مرتين إلى المرفقين ثم مسح رأسه بيديه فأقبل بهما وأدبر بدأ بمقدم رأسه حتى ذهب بهما إلى قفاه ثم ردهما إلى المكان الذي بدأ منه ثم غسل رجليه

مسح الرأس كله

الوضوء

صحيح البخاري

Link to comment
Share on other sites

yahaan aik baat aur keh abhi tuk jawab nahi aaya lihaza mai chahta hunk eh sajdatain aur rakatain ki behes hee khatam kar dun.

 

 

 

Wahaan sajdatain ka matlab rakatain hee hain

 

 

 

Nahi samajh aati to hadees dekho

 

 

 

‏ ‏حدثنا ‏ ‏مسدد ‏ ‏قال حدثنا ‏ ‏يحيى بن سعيد ‏ ‏عن ‏ ‏عبيد الله ‏ ‏قال أخبرنا ‏ ‏نافع ‏ ‏عن ‏ ‏ابن عمر ‏ ‏رضي الله عنهما ‏ ‏قال ‏

‏صليت مع النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏سجدتين قبل الظهر وسجدتين بعد الظهر وسجدتين بعد المغرب وسجدتين بعد العشاء وسجدتين بعد الجمعة فأما المغرب والعشاء ففي بيته ‏

 

 

 

Abdullaah bin omar raziallah anho nai khabar dee unho nay kaha mai nay nabi Sallahu alihewasallam kay sath (‏سجدتين قبل الظهر ) 2 rakat zuhur say pehley (سجدتين بعد الظهر) zuhur kay baad 2 rakat.(وسجدتين بعد المغرب ) Maghrib kay baad 2 rakat (وسجدتين بعد العشاء) Isha kay baad 2 rakat.(وسجدتين بعد الجمعة) jumma kay baad 2 rakat parhi hain………

 

Bukhari, tahajjud baab التطوع بعد المكتوبة

 

 

Is hee kay neechay hai

 

 

‏وحدثتني ‏ ‏أختي ‏ ‏حفصة ‏ ‏أن النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏كان ‏ ‏يصلي ركعتين خفيفتين بعد ما يطلع الفجر وكانت ساعة لا أدخل على النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏فيها ‏ ‏وقال ‏ ‏ابن أبي الزناد ‏ ‏عن ‏ ‏موسى بن عقبة ‏ ‏عن ‏ ‏نافع ‏ ‏بعد العشاء في أهله ‏ ‏تابعه ‏ ‏كثير بن فرقد ‏ ‏وأيوب ‏ ‏عن ‏ ‏نافع ‏

 

 

in say(abdullah bin omar raziallahanho nay byan kuiya) meri behen hasfa raziallahanha nay mujh say byan kiya keh fajar kay baad nabi 2 (ركعتين خفيفتين) halki rakatien parhtey the…..

 

 

Kya khyaal hai yahaan sajdaain ka matlab rakatain hee hai ya sajda? Agar sajda matlab lo gay to kya nabi nay zuhur say pehlay aur baad mai sirf 2 sajday kiye the? Maghrib kay baad 2 sajdey kiye the? Aur hafsa raziallahanho wali hadees mai rakatain lafz hai kya khyaal hai sirf fajar kay waqat rakatain parhi baqi namazoon mai sajdey kiye??

 

 

Agar yahaan matlab rakatain hai to Ali raziallahanho wali hadees mai bhi rakatain hee hai.

Edited by asimsweetone
Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...
  • 6 years later...

Asimsweetone Sahab waise to apke sare jawabat die ja chuke hai..

 

Magar ek cheez mai arz karna chahuga..

 

K apke comments se ye maloom hota hai k ap wasile e jahannam Zubair Ali zai Sahab k andhe muqallid hai..

 

Saaniyan mo'amil Bin Ismail par ki jarah apne chupa li ..

 

Jaise Abu hatim razi k age k alfaz jisme jarah thi wo apne pesh nai ki thi..

 

 

Khair agar mazeed Kalaam apke pas hai kuch is talluq se mo'amil Bin Ismail k talluq se to zaroor pesh kare ok..

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...