Jump to content

Sama'at-e-Mustafa (SalAllahuAlaiheWaSallam) ke munkireen ko mun tor jawab :: www.truecolorsofislam.com

True Islam

تجویز کردہ جواب

Answers by Allama Syed Muzaffar Shah Qadri

at

Q: Deobandi kehte hain k jb Huzoor SallAllahoalihewasallam par Salam parhte hain to Huzoor Sirf Rozay par Parha jaye to hi suntay hain yahan se parho to nai suntay Iss par koi Daleel Inayat Farmaiye

A: Ye In logon ki bunyadi galti hai k jb Sayyad e Aalam SallAllahoalihewasallam Mazaar Paak main Samaat Farmatay hain to Sawal ye hai k Khud se ya phir ALLAH ke Sunaye se aur jab Saabit hai ke ALLAH ke Sunaye se to phir Yahan se Sunnay main Kya Amar Manay hai.Ek nahin Kaseer Ahadees e Mubarka Mojood Hain ke Sayyad e Aalam SallAllahoalihewasallam Door se aur Kareeb se Suntay bhi Hain aur Dekhtay bhi Hain.Jamay Tirmizi main Wazay bayan hai ke;.......

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Read the complete answer and ask your questions at

ASK IMAM section of www.truecolorsofislam.com

Link to comment
Share on other sites

Agar Door se aur Kareeb se Suntay bhi Hain aur Dekhtay bhi Hain to Hazir Nazir kaisay huway? Jab door hain to Wahan Hazir kaisay huway. is se aap ka apna hi aqeeda ghalat sabit hota hai.

Link to comment
Share on other sites

Huzoor Alaihis Salaam jab chahen jahaan chahen Hazir hojaen bhala is se hamara Aqeeda kese ghalat sabit hua?

page01.gif

Aur kia aap Huzoor ki sama'at k munkir hen? Yaqeenan hen, K Ma'azAllah Huzoor alaihis Salam to door ki awaz sunne k mohtaaj hen lekin sitam zarefi ki hadd to ye hai k apne nam-nehad bani e Dar ul Uloom Deobandi Qasim Nanotvi par aqeedatmangi kesi zahir hoti hai zara mulahiza karen:

Aik baar Dar ul Uloom Deobandi main jhagrha hogaya aur Mehmood ul Hasan Deobandi Marsiya-khwan sahib ka Rafi ud Din deobandi se jhagrha hogaya, to bharhaal jhagrha yun khatam hua k Rafi sahib farmane lage "abhi abhi mere paas maulana Nanotvi jasd e ansari (jism e zahiri) k sath mere paas aae (jab tak k wo intaqal kar chuke the) jis se men aik dam paseena paseena hogaya aur mera lubada tar ba tar hogaya aur farmaya k Mehmood Hasan ko keh do k wo is jhagrhe men na parhe"

(Arwah e Salasah, page 242)

Wah jee wah, Nabi Alaihis Salam ko qareeb ya door ki khabar na ho aur sa'amat ka bhi ikhtiyar na ho, lekin Bani e Dar ul Uloom Deobandi ko marne k baad to sab khabar ho k jhagrha kis waqt hua, kahan hua, kiun hua, kon haq par hai aur kon nahi, kia wajha thi, Yani NAZIR the, na sirf ye balke khud jism e zahiri k apni marzi se samne aane ka ikhtiyar rakhte hue logon ko ziyarat karwata ho aur logon k paseene nikalwata logon ko "ba'ad wisaal madad" karta ho yani HAZIR the. Par Nabi Alaihis Salam ko esa kuch ikhtiyar na ho... Astagh firullah!

Yeh aqaaid ab kis k khaate men jaega?

Link to comment
Share on other sites

Mere confused confused ........ Aap k khyaal men haazir naazir kisse kehte hain?

Wo zahiri Doori to hamare liye ho sakti hai, Sarkar Alaihis Salatu Wassalam ke liye kese hogi? aur ye doori bhi to Haqeeqi nahi, balke majazi o zahiri hai aur wo majazi doori bhi 12 maheene nahi balke jab Huzoor Alaihis Salam chahe jahan chahe Hazir hojaen, jesa k mene pehle hi keh dia hai.

Jism e Asl or misl k jawab us attachement men hen, aur Hazir Nazir ka matlab hamare nazdeek kia hai wo bhi page men hai. Khair aap abhi ye bataen k aap k nazdeek Hazir Nazir k ki maana hen?

Edited by Ghulam e Azhari

Is ka matlab hai aap log Mijazi aur Zahiri dori mantay ho, aur ye bhi maantay ho k Majazi o zahiri tor pe Imam ul ambya saw.gif Hazir o Nazir nahi hain.

Aur phir ye bhi keh rahay ho k Jisam waghaira k saath jab chahain Hazir ho jain.

Aap ne jo scan lagaya hai us main Buzurgan e Deen bhi Hazir Nazir hain, To phir is main Imaam ul Ambiya saw.gif ki kya Khususiyat. Bulkay app k Alahazrat ne to Krishan Kannya ko bhi hazir nazir likha hai.

Jo cheez aik Hindu ko bhi hasil ho bhala wo Amam ul ambya saw.gif k lye Baais e fakhar aur shan kaisay bansakti hai.

Nazir ki jo definition aap k mullah ne ki hai, us k mutabiq Ala Hazrat aur Imam Muslim pe kya fatwa hai . Ala Hazrat aur Imam Muslim k mutabiq Amam ul Ambya saw.gif ko ghar main mojodd kuttay ka pilla nazar nahi aayaa.

Ahmad Raza ne apnay malfuzat main Muslim ki Hadees ko naqal kiya hai aur ussay sahi kaha hai. K Imam ul Ambiya saw.gif ghar main tashreef farma thai aur aap k palang k nichay kuttay ka pilla tha aur aap ko is ki khabar bhi nahi thi.

Edited by mameenkhn
Link to comment
Share on other sites

Awwal tu yaha behs Hazir-o-Nazir ke masle per ho hi nahi rahi, aap aiwaiye iss maslay ko beech mein ghaseet laye. Ab iss maslay ko utha hi lya tu pehlay apnay mullao ki bhi khabar le lijiye pehlay.

Mureed ye yaqeen se jan le ke Sheikh ki ruh aik hi makaan mein muqeed nahi. Mureed jaha kahi bhi ho, durr ho ya nazdeek, agar'chay woh Sheikh se durr hai lekin Sheikh ki rohaniyat durr nahi hai. Jab ye baat pakki hai tu mureed ko chahiye ke Sheikh ko her waqt yaad rakhay aur qalbi taluqq paida kare aur her waqt faida hasil kare.

(Imdad-us-Sulook, pg 10)

Ye tu aap ke mulla jee Sheikh ke maqaam bata rahe hain, tu zahir hai Imam-ul-Anbiya (saw) ka maqaam tu aur bhi zyada buland hai. Jab Sheikh apne mureed se itna qareeb tu phir tu Nabi apni Ummat se ba'darja-e-Aula qareeb huway.

3 saal kamil hazrat Imdad ka chehra mere qalb mein raha hai aur mein ne unn se poochay baghair koi kaam nahi kya, phir josh mein aa kar kehnay lagay, itnay saal Hazrat Muhammad (saw) mere qalb mein rahe aur mein ne koi baat baghair Aap (saw) ke poochay nahi ki.

(Arwah-e-Salasa, 290)

Ab ye 3 saal Huzoor-e-Akram(saw) Gangohi ke qalb mein thay tu phir kya Roza-e-Mubarak khali tha?

Baraye'mehr baani pehlay apna aqeeda tafseel se likhein phir agay baat karein gay.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...