Jump to content

Kya Hazrat Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Ab Bhi Rehmat Frmatay Hain.


GULAM_MUHAMMAD

تجویز کردہ جواب

ASLAM-0-ALAIKUM

MUJHAY KAL AIK KHIYAL AYAA TU CHAHTA HOUN KAY TAMAM FIRQOUN KAY ULAMA MERI ISLAH FERMAIN

Kal rat ko main lyta huwa tha kay achanak meray demagh main QURAN PAK ki aik verse aai jis ka terjuma kuch is tarha hai "aur hum nay tum ko tumam jahanoun kay liya rehmat bna kr beja " (agar yeh terjuma drst nahi usay bhi drust ferma dain.)

aur maray zehan main khayal aya kay jahan tu abhi baqi hay yani qiyamat nhi aai aur ALLAH QURAN main zikar frma rha hay usnay apni rehmat humaray drmian bhej di lakin yeh nhi frmaya kay wapis bhi mnqwaii.

yanni HAZOOR صلی اللہ علیہ وسلم hum mian mujood hain wapis nahi gaay.

aik ur baat kay jub tuk dunya (jehan ) rehay ga tu rehmat ka rehna bhi lazmi hay tum iska mutlab kay HAZOOR صلی اللہ علیہ وسلم qiamat tuk humaray dermyan mojood rehain gaay.

phir mujhay khal aya kay agar ALLAH nai nay HAZOOR صلی اللہ علیہ وسلم ko rehmat bantnay wala bna kr bheja hay to hum bayshuk dua allah say karain lakin quran ki is verse kay mutabiq rehm taqseem krnay ki zimaydari tu HAZOOR صلی اللہ علیہ وسلم ki hi hay

phir mujhay khyal aik malik ka do apnay nokar ko annaj kay qodam ( store) ki chabi day kr kehta hay kay tum ki qudam (store) incharge ho ur tum is main say annaj ussi ko do gay jiss ko main tumhain danay ko kahon ga. ur phir jo bhi malik say annaj lannay ata wo apnay nookr kay zriya anaj usay deta . kuch dair baad us (malik) nay godam (store) ki chabi apnay sub say acchay dost ko day di ur kaha jo koi maray zriya tumharay pass aiya ya ko direct akay tumhain application day tu tum usay bhi annaj day dena main tumhain is godam pay qadir krta hoon.

kya ALLAH aur uskay MEHBOOB صلی اللہ علیہ وسلم kay dermian bhi mamla aisa hi hay ya nhi?

app say teslai bukhsh jewab ka muntazir rahoon ga. inshallah

ALLAH hum sub per apni REHMET fermaay. AAMIN

 

Link to comment
Share on other sites

"Aur Ham ne tumko na bheja magar saare jahaan k liye Rahmat" (21:107)

 

MashaAllah. Brother, aapko tafseeli jawab chahiye to Alhamdulillah Hakeem ul Ummat Mufti Ahmad Yar Khan Naeemi Rahmatullah Alaih ne issi kism ki misaalen den kar ye Aqeeda Haq sabit kia hai k Huzoor Alaihis Salaam Allah ki Ata se Dunya k khazanon k Malik hen. Very beautiful detail and answers to the objection of other sects are also there in it. Please MUST read:

Saltanat e Mustafa

I'm currently about to complete its english translation.

 

Lekin mujhe ye baat samajh nahi arahi k akhir kese apko "tamaam Firqon k Ulama" Islah de sakte hen? Jabkeh Huzoor Alaihis Salam ne to farma dia k 63 firqon men se sirf aik hi firqa Jannati hoga baqi sab Jahannami honge. Aur wo wohi Firqa hoga jo Rasool aur Sahabah k Taabi yani unke batae hue raste par hen.

Agar aap is mamle men Deobandion ya Wahabion k paas jaenge wo to esi zubaan chalaenge "Jiska naam Muhammad Ya Ali hai wo kisi cheez ka Malik o Mukhtar nahi" (Taqwiatul Iman, Ismail Dehlvi). Is se zahir horaha hai k Mu'azAllah unko to kisi cheez par ikhtiar sirre se tha hi nahi. Mu'azAllah. Phir wo yeh bhi kehte hen "Rasool ke chahne se kuch nahi hota" (Taqwiatul Iman, Molvi Ismail Dehlvi).

 

Ye bhi yaad rahe k "Rahmatallil Alamin" ka tarjuma ajkal k Deobandi, jese Israr Ahmad, ye karte hen "Saari Insaniyat k liye Rahmat", goya Jahan men sirf Insaan hi men Mu'azAllah jin par Rahmat hai. Alhamdulillah, Allah ki 'Ata se Huzoor Alaihis Salam Jahaan k liye Qayamat tak Rahmat rahenge, par deobandion/wahabion ka aqeeda bhi is baare men zara dekh li jiye "Rasool mar kar mitti men mil gae" (Taqwiatul Iman, Ismail Dehlvi). Esi ibaraat parh kar Sahib e Imaan k to dil laraz jaenge, Issi liye hamain ese Gustakhan e Rasool se door rehna chahiye aur na hi in se koi Islaah ki umeed rakhni chahiye.

 

Read these short article as well:

1. Rahmatallil Alamin

 

More books:

1. Hayaat un Nabi

 

2. Hayaat e Jawedani

 

3. Roohul A'zam ki Kainaat men Jalwa-gari

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...