Jump to content

Need Video Of Qaza Namaz

Bismillah

تجویز کردہ جواب

Kya koi mujhey aissi video bata sakta hai jiss mein Qaza Namaz parney ka beaan ho, mera matlab hai, jis mein bataya ja raha ho keh qaza namazein kaissey pari jati hain? lekin video mein, waissey to yeh masla Namaz kay Akhaam main bhi likha hai lekin mujhey Video chahiey, iss say yaqeenan batanay waley ko bhi sawab milay ga, jazakallahou khaira!

[/size]

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...
  • 3 weeks later...

agar kissi shakhs nay fajar ki qaza namazein mukamal kar li hon to kya wo dobara iss niyat kay saath pard sakta hai keh jo namazein mainay sahi nahi pari wo main dobara parta hoon. kyon keh us nay apni umar ka hisaab laga kar jitni fajar ki qaza namazein banti thi wo to par li, lekin phir bhi ehteatan wo kuch aur parna chahta hai, keh kabhi us nay jaldi main par li ho ya niyat sahi na ki ho ya koi qabool nahi hui ho...

jab keh abhi us pay zuhar,asar wagaira ki qaza namazein baqi hain

Link to comment
Share on other sites

On 2/27/2010 at 3:36 AM, unknown said:

ager fajar ki koi nmaz aesi hay k jis main ghaltian reh gayi hon aor nmaz duhrani lazmi ho tab to Nmaz duhranay main harj nahi kionkay duhrana aap per zroori hay laikin ager aesa nahi to behtar hay k pehlay zuhar , asar aor doosri qaza nmazain parh li jaein ..... kionkay aapnay fajar ki qaza mukammal kr li hain aor ab sirf ehteatan duhrana chahtay hain .lihaza aap pehlay 2sri nmazain yani zuhr asr waghera ki nmaz parhain....aor apni tmam qaza nmazain ada krain...iskay bad aap apni koi nmaz duhrana chahain to duhra lain...

Link to comment
Share on other sites

Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou

1267440716_qaza.jpg

meray 2 sawal hain, waissay to un main ek ka jawab umper de diya gaya hai lekin phir tasali kay liey pooch lena behtar samjata hoon.

uper likha hai keh farz ki teesri aur chothi rakat main sirf 3 martaba subkhan allah keh kar rakoo main chalay jana chahiey, agar main sahi samja hoon to teesri aur chothi rakat main na to sura-e-fatiha aur na hi koi surat milanay ki zaroorat hai, yani keh jaissay hi aap doosri rakat say farigh ho kar teesri rakat kay liey kharay huay bas 3 martaba subkhanallah keh kar wapis rakoo main chalay jana chahiey aur aissay hi choti rakat bhi poori karni chahiey. sahi?

doosra sawal yeh hai keh qaza namazon main koi bhi sa darood par saktay hain ya sirf wohi darood jo keh uper likha hua hai?

WaAlaikumussalam........

Ans:1 ji, Aap nay saheh farmaya hay......

doosra sawal yeh hai keh qaza namazon main koi bhi sa darood par saktay hain ya sirf wohi darood jo keh uper likha hua hai?

ya to durood-e-ibrahimi complete parh lijiay ya jo durood shareef likha hay woh parhna hoga...

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...