First of all thanks alot for starting this thread dear sis... and sec. sab behno ka bht bht shukriya mubarak dena ka. Allah humara umrah kaqool farmaye our hum sab ko wahan jana baar baar naseeb farmaye. Ameen.
Iqra sis ne pucha wahan jaa kar kaisa lagha... Sis wahan jaa kr to aisa lagta hay k aap kisi our hi dunya mein aaghey hain, wahan aisa sakoon hay joh our kahin nahi milta.... our wapis ane ko to dil krta hi nahi... jis jagha aqa chalte the, us zamin pr chalna... us jagha pe rehna, our phir us muqadas jagha ko chor kr ana asan nahi...... hum sab wapis to aghey, mghir apna dil wahan chor aye... is dua k saath k Ya Allah hume baar baar yahan bulana...
mujhe yaad hay, hum logh subho fajr se kuch deer pehle hotel pohanche... samaan rakh kr, wuzo kr k hum logh Haram masjid jaa rahe the.... azaan ho chuki thi our namaz fajr b shuru ho chuki.. hum logh abhi raste mein the... masjide haram se thora door... kyunke namaz shurru ho chuki thi so hum sab ne wahin side per ho kr sarq pe namaze fajr ada kih..... joh sakoon our joh maza wahan mekka ki gali mein namaz ada krna ka mila, us ki kya hi baat thi. SubhanAllah. Namaz parh kr hum sab masjid haram ki terf chal pare.... Labaik Allahuma Labaik parthe hue...
ab hum masjid haram mein dakhal ho ghey our meri joh feelings thi jab Kabbe pe pehli nazar pari... Allah... meri nazar Kabba pr pari pari our neche ghir ghayi, our phir bht sara rona aya, rote rote Allah se dua manghi... apne ghunaho ki toba ki...
Aap yakin kare, dar our khushi ki kafiat thi.... khushi is liye k Ya Allah tu ne humhe apna ghar dekhni ki tofeq ata farmayi, hume is muqadas jagha pr bulaya... our rona is liye k hum kitne ghuna ghaar hay, kya hum is qabil hay yana ane k....
Sab ne dua manghi, our hum sab ne tawafe kaba kiya, safa marwa pr 7 chakr pure kiye our us k baad bhaion ne baal mundwaye our hum larkiyon ne thore se baal katwaye our yun humara umrah alhumdulilla complete hua... Ya Allah qabool farmana. Ameen.
Sis jab wahan azaan hoti, to sab logh masjide Haram ki terf chal parte... galion mein logh hi logh mashAllah... our joh Haram masjid mein jaa kr namaz nahi parh sakte (qarobar ki wahja se) wo wahin per sarko galion mein khare ho kr namaz ada karte.... main kaise bataon k wo manzar b kya manzar tha,
just imagine karen, k azan ka waqt hay, sab kuch chor kr sab logh eik hi terf jaa rahen hain eik hi kaam k liye.... mashAllah, mujhe bht acha lagta tha.
Our humara ghar to alhumdulilla sirf 5 min ki walk pr tha Haram Masjid se, maghir mashAllah itna rush hota tha, k hum takriban 15 mein ghar pochanchte the ... ji sis hum logh ghar hi kehte the (hotel ko)... aapko bataya na k wahan pr to aisa lagta tha k hum shuru se hi yahan pr reh rahen hain, our humarah joh kamra tha, wo hi humhe apna ghar lagta tha..
Ghare Hira
12 july ki subho fajr k baad hum sab ne ghare Hira jana tha.... Wo jagha jahan nabi paak pr pehli wahi nazil huyi thi.
Jab hum sab pohanche us pahar k samne, to yakin karen, hum sab larkiyon k rang urh ghey... mera to shahid kuch zaida hi itni unhchayi dekh kr main to dar ghayi.... maghir uper jana b tha.... Phir yeh kheyal b aya k humare pyare nabi b to isi raste se jate the, our din mein kayin baar jate the (if im not mistaken), to bus humne b Allah ka naam liya our durood paak parte parte hum alhumdulilla uper tak pohanch ghey. wahan pr nafl pare...eik chote bache ne mashAllah talawat ki our humare group k eik bhai ne mashAllah wahan nattein parhin....
Humare groupleader ne bataya tha k jab nabi paak ghare hira jate to eik eik patha un pr salaam behjta, subhanAllah...
Neche utarte waqt maine our eik baji ne b pathar ko haath lagate waqt un se kaha"aapne qyamat k roz humari ghawahi deni hay k hum yahan aye the apne pyare nabi ki mohabbat mein".... wapsi ka rasta alhumdulila asani our kafi jaldi se guzra.. Neche meri ammi jaan hum sab ka intezaar kr rahi thi our jab sab logh pohanch chuke the to abbu jaan ne dua kih our hum wapis ane ghar ki terf chal pare....
emm i think main kuch ziada hi likh paithi maghir abhi to itna kuch baqi hay, abhi to madina sharif b jana hay... i hope aap mere saath de rahin hongi.... Aghir main kuch ziada hi details mein jaa rahin hun, then plz let me know..
Milte hain inshAllah kuch hi deer baad