unknown 1 Posted November 20, 2008 Report Share Posted November 20, 2008 (edited) Kya koi shaitaan ke shar se din raat bachao k liey koi wazeefa bata sakta hai, jaissa k maine sunna tha shaed keh, sura-e-Fatiha ki Akhri teen ayetein pari jaen to insaan shaitaan se 3 din tak mehfooz rehta hai. mujhe dara'asal yeh 3 aeytein zubani yaad nahi warna yahi parta, Edited November 20, 2008 by unknown Quote Link to post Share on other sites
Ghulam E Mustafa 49 Posted November 23, 2008 Report Share Posted November 23, 2008 Ji aik tu yeh bhi tareeqa hai jo app ne bayan kiya tu woh Qur'an Paak say dekh kar par liya karain. Nahi tu Subha Shaam Ayat-ul-Qursi par liya karain. Aur aik wazeefa meine parha tha ky Surah Alam Nashrah ko din mein teen dafa aur raat mein teen dafa parny say banda Allah ky Hifz-o-imaan mein rehta hai. Beharhal zyada acha wazeefa Ayat-ul-Qursi hai. Quote Link to post Share on other sites
unknown 1 Posted November 23, 2008 Author Report Share Posted November 23, 2008 shukrya Ghulam E Mustafa saab! maine kahin pe para tha keh fajar ki namaaz k baad agar aap 11 martaba Taouz aur 11 martaba surat-Ikhlaas parein to shaam tak aap shaitaan se bachey rahein gein, kya koi bata sakta hai keh 11 martaba taouz ko alehda kar ke parna hai ya phir 1 martaba taouz aur uske baad 1 martaba surat? doosri baat poochani hai keh, shaam kab shuru hoti hai? Quote Link to post Share on other sites
Ghulam E Mustafa 49 Posted November 24, 2008 Report Share Posted November 24, 2008 Meine app ko arz kiya naa Ayat-ul-Qursi sab say acha amal hai Shaitan ky shar say bacne kaa aur Shaitan ky shar say bachny ky tu bai shumar amal hain laikin Ayat-ul-Qursi sab say acha amal hai. Aur shaam Gharob-e-Aftab ky waqt say hee start hoti hai yani Shaam ki namaz say. App Subha 1 Dafa aur Shaam ko 1 Dafa Ayat-ul-Qursi par kar yeh dua kar liya karain... '' Aai Allah humara Jan-o-Maal aur har cheez tumhare aur tumhare Pyare Habib ky Hawalay hein, Aai Allah tu apne Habib ky waseelah say humari aur humari har cheez ki hifazat farma aur humein shaitan ky shar say mehfoz rakh aur humein apne Hifz-o-Imaan mein rakh '' Ameen! Quote Link to post Share on other sites
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.