Janab Mufti Sahab,
Merey kuch sawalaat hain Kanzul Iman K ey Translation key barey main, Main nay hamesha yehi tarjuma parha hey jo key ab tak Urdu tarjumon main sab sey best hey.
Sawal ye hai keh shayad meri naqis aqal Alahazrat Imam Ahmed Raza Khan ke tarjumey main kuch alfaaz ka meaning samajh nahi saki aur mujhey is ki wazahat chahiye, Main khud bhi yehi urdu tarjuma parhta hoon. Chand batain mujhey aap sey poochni hain is tarjuma key hawaley sey. Details ye hain.
1. Sura Tehreem Ayat No. 4 ka tarjuma hey "Nabi ki donoon bibiyon agar ALLAH ki taraf tum rujuu karo to zaroor tumharey dil rah sey kuch hatt gaey hain"
Is tarjuma main mujhey Ummuhatul Mumineen ki shan main kuch harsh words use kiye huey lagtey hain aur kaha gaya hey keh, tumharey dil rah sey kuch hat gaey hain,,,,, konsi rah? means seedhi raah jo Nabi Kareem ki rah thi? us rah sey un do bibiyon key dil kuch hat gaey??? it means GHALAT rah per chaley gaey they????? Is ka jawab inayat ker dain.
Is main hey keh Agar tum ALLAH ki taraf rujuu karo to tumharey dil rah sey kuch hat gaey hain......yahan per lafz "to" izaafi lagta hey aur is sey meanings badal jatey hain yani ye matlab hua keh Unhon ney ALLAh ki taraf rujuu kya to un key dil rah sey kuch hat gaey??????? Kya ye printing ki ghalti hey ya ............
Q 2. Isi tarha Sura Ahzaab ki Ayat No. 43 ka tarjuma hey "Wohi hey keh darood bhejta hey tum per aur uskey farishtey keh tumhain andheron sey ujaley ki taraf nikalain".
Ye baat Nabi Kareem ko kahi ja rahi hey to kya ye maani liya jaey ga keh Nabi Kareem , Nauzu Billah andheron main they aur ALLAH aur Farishton ney unhain Darood bhej ker Ujaley ki taraf nikala???????? Please is ko clear ker dain.
Q 3. Isi tarha Sura Bani Israel Ayat No. 74 tarjuma "Agar hum tumhain sabit qadam na rakhtey to qareeb that keh tum un ki taraf kuch thora sa jhuktey aur aisa hota to hum tum ko duni umer aur do chand mot ka maza detey ... aur agli do ayat ka tarjuma .......
Sawal ye hey keh ye bat Nabi Kareem ko kahi gai hey to kya wo kufaar ki taraf thora sa jhuk saktey they??? do chand mot ka matlab? aur itni hard language use ki gai hey agli ayat main to kya ye sahi hey?........ please is ka bhi jawab dain.
Aap ka bohot qeemti waqt liya us k liye maazrat aur aapka bohot shukria, Mujhey jawabat ka intizar rahey ga.
Muhammed Anwar