Jump to content

MunAAm

اراکین
  • کل پوسٹس

    460
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    11

پوسٹس ںے MunAAm کیا

  1. Aqeel bhai is fatwe ki tafseel zaruri hai agr koi musalman muslim leeg k khilaf hogaya to agr o mar jaye to kya musalman par farz na hoga k o uski namaz e janaza padhaye??

    post-14686-0-37148100-1439721603_thumb.jpg
    ------

    khair mai waqt nikal k kabhi puri book padhne ki koshish kruga magr aapko ilm hoga to mere jawabat k pages yaha upload krdee fehrist dekh kr ulma ka kirdar padhna shuru kiya usme sirf hissa lene walo k naam hai aur thodi si tafseel
    ------


    Mera aur ek suwaal ye hai

    Musalmano ko hind se alag krk naya desh banane me kya samjhdari thi k apni masajid aur zameen jaidad tamam kafiro k hawale kr dena yaha beshumar auliya k mazarat hai un sab ko kafiro k hawale krna isme kya hikmat thi isse behtar to ye tha hind me hi reh kr islam ki tableeg ki jaati

  2. Ulamaa I Kiraam ki kosheshain kuffaar sa azaadi kay liaey thee.

    Pakistan benanay ka meqsad toh yehi tha, megar ibn ul weqt politicians kay hatho es mqaam per puhanchay ha.

    ye toh aap aik supposition paiesh kar raha ha ka shaeyd aaj hind ma musalmaan hkoomut hotee.

    essi terha ager koui ye supposition da ka ager pakistan nah banta toh shaeyd ajj barr I Saghir ma tmammi musalmaan mazloom hota??

    zaroorat yehhi thee ka islaam ka sahee maano ma niffaaz ho saka , essi leiay pakistan bnaaya geia.megar achay politicians nah mila toh es ma bnaanay waloo ke keiya ghaltti??

    jehaan tek film deraamay per pabandee ke baat ha , woh toh duniyaa ka kessi mulk ma most probably nahee ha. toh kieya aap aesee sb islamic countries ko mashwarra daen gay ka dobara kuffaar ki hkoomat taslim ker lo??

    zeroorat es baat ke ha ka hum pakistan koh waqee islam ka sachha qala bnaeein

    aur

    es ka baad dunieya ma jehaan jehaan muslamaano per zulm ho raha ha, un k hqooq ke leraaaei larrein.

    aesay ab pakistaan ka khelaaf bolna say koui faaeida nah ha.

     

    Khan bhai

     

    mai kya mashora duga ye to khud musalmano k leadro ko samjhna chahiye aur janab jb aise logo k haath me qanoon kyu diya gaya jo deen se dur the jbke pakistan ka maqsad khalis islamic country banana tha ??? ye yaqinan glti hai ya nahi???

     

    maine shayad isliye kaha k yaha jamhuriyat hai agr aaj paakistan me jitne musalman aaj hai o hind me rehte aur deen e islam ki tableeg krte to unki koshisho se musalmano ki tadad me b izafa hota ya nahi aur islamic power b badhti ham pehle musalman hote baad me hindustani

     

    kehna to mujhe bohut hai magr mujhe aap k jawab se tasalli nahi mili

     

    (bis)

     

    bhai zer o zabr (al) maine muqammal to nahi magr bohut sa hissa padha hai jisme siyasi tareekh b maine padhi magr hamara congress ya deoband se koi talluq nahi agr baazo ne congress ka haath pakad liya ho to b jamhuriyat k liye kya aaj pakistan me hindu nahi hai?? kya waha isai nahi? aur kya unki ibadat gaho ko potection provide nhi ki jati?? kya unke sath insaf nahi kiya jata... yaqinan kiya jata hoga aur hona b chahiye

     

    khair mere suwalo ka jawaab ye b nhi

     

    Khalil Bhai mere dil me aap ke liye bohat izzat hai mere suwal sirf im k liye hai

     

     

    attari sahib history parhain. 1946 ke sunni banaras ke history psrh lain .all sunni ulma pakistan ke himyat main thay. alag country na banta to muslim hindu ke ration 30 70 hay. aap ke hakoomat kaisay bun jaati. kia aap indian hain. aap nay bari jur aat say keh dia k pakistan ko banaana aik ghalti thee. deobandion nay saatn naheen dia. 1947 say aik do saal pehlay moulana shabbir ahmad usmani and zafar ansaari nay saath dia to deoband madrassa k talib ilmoon/ ulma nay gaaliaan isteharoon main likh kar in ko badnaam kar dia. abul kalam congress main tha. syed attaullah shah bukhari pakistan k khilaf tha/ haan shia saath thay. wahabioon main abubakar ghaznvee nay saath dia tha.

     

    tehreek e pakistan and ulma e ahlisunnat book parhain. nooraani sahib k walid sahib tehreek e pakistan main shamilthay. ali pur sayyadaan kay syed jamaat ali shah group sub saath thay. bahut saaray naam hain jo is waqat yaadnaheen

     

    asal main pakistan k wajood main aanay k baad wahabee and deoband mehkma taaleem main aa gay. sunioon ke tehreek ko books main aanay he naheen dia. student laa ilam rahay.

     

    :mellow: :mellow: :mellow: :mellow: :mellow:

  3. PAKISTAN K BANNE ME ULMA KA KYA KIRDAR THA??

     

    KIN ULMA E AHLESUNNAT NE PAKISTAN KO ALG KRNE ME HISSA LIYA??

     

    MUJHE PAKISTAN KA BANNA EK GALTI LAGTA HAI KYU K AGR MUSALMAN HIND SE ALG NA HOTE TO HO SAKTA THA AAJ YAHA MUSALMAN HI HUKUMAT KR RAHE HOTE MUSALMANO PR PAR JO AAJ YAHA ZULM HO RAHA HAI O B NA HOTA AUR

     

    KYA ZARURAT AAN PADHI THI JO PAKISTAN BANA LIYA?

    CHALO MAAN B B LETE BANA LIYA TO WAHA HANFI MAZHAB KA QANOON KYU NAHI???

    KYU WAHA FILME DRAME WAGERA PAR BANDI NAHI LAGAYI JATI??

     

    EK BOOK "IN THE SEARCH OF NEW MADINA(CREATING A NEW MADINA)" LIKHI GAYI LIKHNE WALA SHAYAD SE KAFIR THA KYA USME UTHATE SUWALAT KA JAWAAB DIYA GAYA?

     

    AUR B BOHUT SE SUWALAT HAI BARAYE MEHARBANI PAKISTANI BHAI ISK JAWAAB INAYAT FARMAYE

    • Like 1
  4. Hazrat Namtullah Alairehma ne 2000 farsi Ash'aar shayad san hijri 547 me likhe the jisme Imam Mehdi Alaihisslam k zahur tak hind me hone wale waqiaat ko bayaan kiya aur Aap alairehma ne kaha tha agr kisi ko janna hai k o waqia kb hoga to ilm e jafar k zariye malum kr sakta hai angrezo ne uspar bandi lagadi thi koi bhai janta ho to zarur reply kre

  5. Yahi baat majmua fatawa ahlesunnat wal jamat hanfi(karachi) book shayad suwaal 22 imam k piche surah fatiha padhna ke jawab me likha hai sahib e durre mukhtar ne kaha lekin waha koi daleel mojud nahi albatta arbi ibarat likhi hai....

     

    maine ek kitab padhi jo shafi'i molavi ki thi magr o modudi se aqidat rakhte the... usme unhone likha ye sartapa buhtan hai ke Imam Shafi'i (raa)  ki walida (un par ALLAH ki rehmat ho) ka nikah Imam Muhammad Shaibani (raa) se hua ... ye awam me galt baat phailayi ja rahi hai k imam Muhammad (raa)  Imam Shafi'i (raa) ki izzat aur unse muhabbat sirf is liye krte the unhone Aap (raa) ki walida se nikah krliya tha..... aur bhi likha hai magr mai likhna munaib nahi samjhta

  6. https://scontent-iad3-1.xx.fbcdn.net/hphotos-xat1/t31.0-8/11406125_1450982905196507_2751979486368010092_o.jpg?efg=eyJpIjoiYiJ9

    Ab jara scan ki nishadah ibarat
    ko dekhte hain mulla Ali Qari rh. Qazi
    ayaz se se naqal karte hain jisme dajjal
    ke sone ki halat ki tasbih huzur saw ke
    sone ki halat (jise ala Hazrat ne kuch
    safat pahle khas wasf likha hai ) se
    diya gaya hai aur is tasbih ko ala
    Hazrat ne mante huwe likha hai ( ye
    jaise ka lafz mere liye giran ka bayis
    hai ) apne fatawa me
    .
    Ab chunke aap saw ke khas wasf me
    dajjal jaise kafir ko tasbih di hai to ye
    bhi ala Hazrat ke mutabik ( his tarah
    hifz ul inam me gustakhi hai ) gustakhi
    huwi aur Ab uper wala hi fatwa yahan
    bhi lagega ke Jo aisi gustakhi karne
    wale ke kufr me shaq kare WO bhi kafir
    hai
    .
    Ala Hazrat ne is ibarat ko mirqat se
    naqal kiya lekin apni puri zindagi me
    unho ne mulla Ali Qari rh. Aur Qazi
    aayaz ko kafir nahi samjha balke
    musalman hi mante rahe

  7. Asslamualaikum

     

    book Auliya rijalul Hadees kitab me likha gaya hai Imam Shaibani Imam Shafi'ee par bohaut mehraban the kyu k aapne unki walida se nikah kiya

     

    ke ye sahih hai??? kya tabqat e hanfiyyah me iska zikr hai?

     

    yahi baat deobandi ya modudi Molavi Abdurrashid ne apni kitab jo Seerat Imam Shafi'i k radd me likhi Tabsra seerat Imam Shafi'i

     
     
     
  8.  

    Shah Waliullah Hanfi the Shafi'i the ya Mujtahid Hanfi the ya Mujtahid Shafi'i the ya Gair Muqallid The

     

    Kya Shah Waliullah Hind me Hanfi Mazhab ko mansookh krna chahte the?

     
    Kya Shah Sahab ne ye farmaya hai k Kitabil Umm (Imam Shafi'i ki kitab) ne aap ko ijtahad k darje tak pohchaya hai??
     
    Kya Hanfi Muqallid Shafi'i fiqah ki kitabe padhke uspe amal krne se hanfi mazhab se kharij hojata hai???
     
  9.  

    Is masle par Aalahazrat  (raa)  se b suwaal hua tha jiska bohat hi behtreen jawaab aap (raa)

    ne tehreer kiya hai lekin waha aisa waqia naql nahi tha (albatta isi kitaab me shaikh Mansoor Batahi (raa) ka khawab bayaan kiya jisme Nabi E Akram  (saw)  ne basharat di k aap  (raa)  ki behan ko jo ladka paida hoga o waliyo sab se afzal hoga aisa jaisa Anbiya me Mai hu aur qos me likha hai apne zamane me afzal hone se murad darja Gausul Aazam (raa)  k baad hone ka zikr hai Hazrat Sayiduna Gausul Aazam  (raa)  ki afzaliat par ijma e ummat hai)

     

    post-14686-0-20819200-1435573334_thumb.jpg

    post-14686-0-56326800-1435573419_thumb.jpg

    post-14686-0-39730200-1435573641_thumb.jpg

×
×
  • Create New...