Jump to content

Ghulam E Mustafa

رکنِ خاص
  • کل پوسٹس

    1,780
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    23

پوسٹس ںے Ghulam E Mustafa کیا

  1. (salam)

     

    Yeh Nacheez IM ke baray mein aik Suggestion daina cahta hai.

    Jaisa ke sabhi janty hein ajj kal IM per buhat say Spammers register hoo rahai hain aur Members Online Today mein bhi woh Banned show hotay hain.

    Meray (Irshad-ul-Islam Forum) and aur bhi kafi forums hain jahan per yeh spammers hain so iss mein itna pareshan hone wali baat nahi but jo suggestion mein daina cahta hon woh yeh hai ke inn ko Ban karne ki bajai inn ki Regsistration Delete ki jai kyon ki yeh jab Members Online Today mein itne zyada show hotay hain tu buhat bura saa lagta hai.

    Mujhe IM ke Board ke baray mein tu zyada info nahi but Mein apne Islamic Forum per jo board chala raha hon (vBulletin) uss mein inn Spammers ke baray mein kafi hall mojod hai jaisy IP Ban kar diya jata hai ya phir meine yeh system rakha howa hai ke Member Join tu kar lai but jab tak Administrator uss ka account activate nah karai woh Posting nahi kar sakta so mein tu inhain Ban karne ki bajai inn Spammers ki ke accounts hee delete kar daita hon.

    Aur Spammers to Usernames say hee pehchane jatay hain aur yeh zyada tar mail.ru ki e.mail dai kar join karty hain aur kuch gmail.com ki bhi e.mail addresses use karty hain.

    I hope ke meri suggestion per ghor kiya jai ga.

     

    fi-aman:

  2. 1. Kapron per aghar gandagi ya ganda pani lag jai tu zahir see baat hai ke woh napaak ho jain gai unn ko Pani say dhoo kar paak karna hoo ga.

     

    2. App ke kapron per jab bhi koi Napaak cheez lagai gi jaisa Peeshab ke katry, ganda pani ya koi bhi aise cheez jo napaak hoti hai tu kapray bhi napaak ho jain gai unn ko bhi Pani say dhoo kar paak karna hoo ga.

     

    3. Fiqh ka masla hai ke aghar app confuse hain aur kuch samajh nahi aa rahi ke yeh howa ya yeh howa tu app apne zehan ke mutabiq jiss cheez ki taraf zyada zehan manta hon ke haan yeh howa woh kar lain yani aghar app ka zehan zyada iss baat per agree hai ke app ke kapron ke sath peshaab ke qatry lagai tu fouran unn ko paak kar lain laikin aghar app ka zehan yeh kehta hai ke nahi yeh sirf mera weham hai peeshab nahi laga ho ga tu phir rehne dain.

     

    Aghar mujh say koi ghalti ho gai ho tu jiss ko pata ho woh zaror batain.

  3. Ji Bismillah bhai Fatwa mein yahi likha hai na ke kam say kam 4 unglion ka fasla rakhna zarori hai aur zyada say zyada 1 balisht laikin jaisa meine kaha ke meine Ulama say pocha hai ke aghar koi Mota banda hoo tu zahir hai woh tu 4 unglion ka fasla rakh nahi sakta so uss ke liye koi qaid nahi woh asaani say jaisy khara hoo sakay ho jai.

    Aur aghar koi asaani say khara ho sakta hai namaz mein tu uss ko sunnat ke mutabiq 4 unglion jitna fasla rakna cahiye.

  4. مفتی اکمل قادری صاحب سے کچھ روز پہلے یہ مسئلہ احکام شریعت میں پوچھا گیا تھا کہ کسی انسان کی نماز یں رہ جائیں تو اس کی طرف سے کوئی دوسرا پڑھ سکتا ہے اگر وہ انسان زندہ ہو تو۔

    تو انہوں نے فرمایا نہیں وہ نمازیں اسی کو پڑھنی ہوں گی۔

    تو میرے خیال میں نوافل بھی جس نے نیت کی وہ خود ہے ادا کرے گا اور بہتر ہے کہ وہ دو دو کی نیت کر کہ پڑھے کہ اس میں ثواب زیادہ ہے۔

    چار کی بھی پڑھ لے تو ہو جائیں گے لیکن جس چیز میں زیادہ فائدہ ہو وہ کرنی بہتر ہوتی ہے۔

  5. Qaseeda Burdah Shareef

    Mowlaya salli wasallim daa iman abadan

    'Ala habiibika kheyril khalqi kulli himi

     

    Muhammadun sayyidul kowneyni wa thaqaleyni

    Wal fariiqeyni min unrbinw wamin aajami

     

    Huwal habiib ulladhi turja shafa 'aatuhu

    Likulli howlim minal ahwaali muqtaahimi

     

    Ya akramal khalqi maali man aloo dhubihi

    Siwaaka 'inda hululil haadithil amaami

     

    Fa inna min juudi kad dunya wa da rataha

    Waamin 'ulumika 'ilm al lowhi wal qalaami

  6. Qaseeda Burdah Shareef

    (Arabic~ Persian~ Urdu~ Saraiki~ English)

    Mowlaya salli wasallim daa iman abadan

    'Ala habiibika kheyril khalqi kulli himi

    Muhammadun sayyidul kowneyni wa thaqaleyni

    Wal fariiqeyni min unrbinw wamin aajami

    Aan muhammad sarware konein o jin o ins ham

    Behtar e khalq e do 'aalam sayyide 'arb o 'ajam

    Aap hein khazrat muhammad sarware har do saraa

    Aap hein 'arb o 'ajam jin o bashar ke peshwa

    Ddu jahaanan da hei sarwar oo muhammad muhtaram

    Jeind e taabi' jin te aadam sab 'arab te sab 'ajam

    He is Muhammad peace be upon him;

    the lord of the both the worlds;

    the lord of man and all the hidden parts;

    The lord of the arabs & the lord of the rest of the world.

    Huwal habiib ulladhi turja shafa 'aatuhu

    Likulli howlim minal ahwaali muqtaahimi

    Oo habeeb ast o azo da reem chashm e iltifaat

    Dar balaii nagahaan o dar jamii' e haadthaat

    Aap hein mahboob e haq or shafi' e roz e jaza

    Naagahaani aafton main aap ke hei aasraa

    Hei habiib e har musiibat waale ki umeed gaah

    Hei shafi' te naagahaani aafton keete panaah

    He is the dearest, to whom hopes

    can look forwardfor succor

    and redress in all befallings,

    calamities and sudden frights.

     

    Ya akramal khalqi maali man aloo dhubihi

    Siwaaka 'inda hululil haadithil amaami

    Ii garaami tarz khalqat man na daaram multaja

    Juz to dar waqt e qiyaamat neez dar uftaadha

    Akram ul makhluq or maangun mein kiss se panaah

    Haadsaat e 'aam main hein aap meri takya gaah

    Akram ul makhluq thein bin koan ddeenda him panaah

    Har museebat 'aam o khaas ich tu hei meri takya gaah

    O most generous of all!

    Who else is there to give me protection

    in sudden calamities & common mis-haps?

    Surely there is none but You.

    Fa inna min juudi kad dunya wa da rataha

    Waamin 'ulumika 'ilm al lowhi wal qalaami

    Dunya hast az juud to da aakhirat az to karam

    Az 'ulum e tust 'ilm e loh neez 'ilm e qalam

    Be shuba donon jahaan hein aap ka juud o karam

    'Ilm kul hei aap ka or juz wa hei loh o qalam

    Ei jahaan te oo jahaan ddu hein taidda juud o karam

    Aap de kul 'ilm da hik juz wahei loh o qalam

    This world and it's counterpart; the other world,

    owe their existence to Your liberality.

    Even the knowledge contained in the Pen and the Tablet

    is just a fragment of the sciences You are the master of!

  7. Habibe Khuda Ka Nazara Karoon Mein

     

    Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon mein

    Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein

     

     

    Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro

    Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein

     

     

    Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke

    Tere sar se Sadqe utaara karoon mein

     

     

    Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche

    Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein

     

     

    Khudara ab aawo ke dam he labo par

    Dame wapasi to nazaara karoon mein

     

     

    Khudaa kher se laye woh din bhi Noori

    Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein

     

     

    Mujhe apni rehmat se to apna karle

    Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein

     

    Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon

    Tere Dar se apna guzaaraa karon mein

     

     

    Tera Zikr lab par khuda dil ke andar

    Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein

     

    Dame wapasi tak tere geet gaoon

    Muhammad Muhammad phukaaraa karoon mein

     

    Tere dar ke hote kahan jawoon pyare

    Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein

     

     

    Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein

    Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein

  8. Har waqt Tasaw'wur mein

     

    Har waqt Tasaw'wur mein Madine ki gali ho

    Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho

     

    Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa

    Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

     

    Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir

    Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

     

    Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina

    Ai kaash! muqaddar se mayas'sar woh ghadi ho

     

    Jab aaon Madine me to har chaak girebaan

    Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho

     

    Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae

    Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

     

    Jab leke chalo gharibaan ko janazah

    Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

     

    Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein

    Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

     

    ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein

    Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho

     

    AQA ka gada hoon ai jahan'nam tu bhi sunle

    Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

     

    Sadqa mere murshid ka karoon door balaein

    Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

     

    Allah ki rehmat se to jannat hi milegi

    Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

     

    Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se

    Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

     

    Attar hamara hai saray hashr ai kaash!

    Daste Shaha batha se yehi chit'thi mili ho

×
×
  • Create New...