Assalam o Alaikum
to all brothers
yeh forum chandd roz pehly join kia hy, 2014 k shuru saal se ALLAH k fazal o karam sy namazon k papandi ek taweel muddat k baad qaim karne k koshish ke or AL'HAMDU'LILLAH puri koshish hy k moot tak ye qaim rahay.
shurat main main bass apni namazon ke papandi or eski behtri ke taraf dehaan rakhay hoay tha, magar ko waqt k saath saath kuch baton ne bohat dil ko takleef or qarb main mubtala kia,
sub se pehly mere bachpan k dost or cousin ne jab dekha k main ab namaz waghaira ke taraf aya hon, woh mere first cousins main se hain, woh jante hain k main sunni or ek wagat main ne kuch dawat e islami main 1990 to 1991 guzara hy, or mere walid sb, Buzugane deen se aqeedat to unke yahan jate hain, Ajmeer, multan or pak pattan etc...
mujh se kaha.... qabar walon se manga jata hy, sajday, tawaf etc kiye jate hain.... mere liye ess watq koi aise baat nahi thi k main koi jawab dy sakon.... main yehi keh saka k hum ALLAH se buzurgane deen or azeem hastion k waseelay tufail se dua karte hain, fatiha or jo parhtey hain woh eesaal karte hain...
phir kaha k '' YA RASOOL.....", Noor or Bashar etc... maqsad k her woh baat jo ye tableeghi/deobandi kehty hain ke...
bohat khalish rahi dil main k aisa kiun kaha gaya mujh se, kai roz tak sochta raha k kia hamaray baray jo hain or jo guzar gae hain kia woh ghalat thy, kia buzargan'e deen jinho ne deen ke khidmat ke hay kia woh ghalat thy..... kafi uljhan main kafi time nikala phir mere walid se zikar kia un hon ne samjhaya or ek book mujhay batai k kahein se mill jae tu dekho " AL-MAWAHIB AL-DUNIYA" internet k zariye download ke parhi tu phir internet k zarye or logon k zariye baat cheet enn masail per karte karte bohat sari batein samne aai hain... or internet per search karte karte ye forum mila or join kia...
ALLAH aap logon ko ghush rakhay or aapko logon ko kamyab o kamran karay... Ameen
aap log deen k khidmaat k bohat azeem kar sar anjam de rahay hain.
Mohammad Raashid
Hyderabad