ye lijiye:
Mujy Har Saal Tum Hajj Pr Bulana Ya Rasool ALLAH
Bulana Aur madinah b dikhana Ya Rasool ALLAH
rahy hr saal mera aana jana Ya Rasool ALLAH
baqee' e pak ho aakhir thikana Ya Rasool ALLAH
meri ankhun me tum hr dam samana Ya Rasool ALLAH
dil e weeran ko jalwoon sy basana Ya Rasool ALLAH
na dolat do na koi khazana Ya Rasool ALLAH
sikha do ishq me rona rulana Ya Rasool ALLAH
nazar bhar kr kabi to dekh lun me Gumbad e Khazara
pa'ey shaikhain is qabil banana Ya Rasool ALLAH
dawa k wasity beemar e isiyaan dar py hazir hy
na tum mayoos isy dar sy phirana Ya Rasool ALLAH
nuqoosh e ulfat e duniya mery dil sy mita dena
mujy apna hi deevana banana Ya Rasool ALLAH
saleeqa apki yadoon me rony ka tarhapny ka,
pa ey Ghaus o Raza mujko sikhana Ya Rasool ALLAH
pa ey Ghaus ul Wara, Ahmad Raza Khan aur Zia ud deen
ata ho ishq o masti ka khazana Ya Rasool ALLAH
firishta maut ka ub aa chuka hy rooh leny ko,
sar e baalen zara jaldi sy aana Ya Rasool ALLAH
khuly hain daftar e aamal haa'ey! mera kia hoga!!
bachana shafe;e mahshar bachana Ya Rasool ALLAH
ye ghanda hy nikamma hy tumhara hy ye jesa hy
tumhi budkaar aashi ko nibhana Ya Rasool ALLAH