Jump to content

Madni.Sms

اراکین
  • کل پوسٹس

    132
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    6

سب کچھ Madni.Sms نے پوسٹ کیا

  1. Bhai aik Bat Btaden Ke Me Class 2 Isi Me Dalon Ya New Post Me Class 2 Ke Name Se???
  2. Insha Allah, Duaon Me Yad Rkhye Ga. Talib-e-Dua Muhammad Umer Qadri.
  3. Salam, KOi Bhai mjhe Btae Ga Ke IS Me Pictures Kese Upload HOsakti HI???
  4. Madni.Sms

    New Islamic Sms Service For Sunnis (Free)

    Salam Ahlian-e-Pakistan Ke Lie Khuskhabri: New Islamic Sms Service For Only Bralvis Join For Islamic Info, Islamic News, Islamic Msg Topic Wise etc etc Continue Topic "11wen Shareef KI Sharai Hesiat" Join Krne Ka Tariqa: Msg Me Likhen: FOLLOW MADNI_SMS Aur bhj dijye 9900 pe. Note: Sirf 1 bar 6opaise Lage Gen Is ke Bd Apko Daily Free Msg Mlen Gen> PLz Join And Forward. JAZAKALLAH
  5. Increase RAM: If you are running 128mb or 256mb of Ram, it's pretty cheap and easy to upgrade to 512mb. Although this suggestion will actually cost money but we think only 450/- Rs will increase Your computer's speed much more than before. Remember to buy RAM of good quality. In Pakistan the trusted RAM is of Kingston. Uninstall Useless Programs: Having old games or other software you no longer use can take up a lot of space on your hard drive, which can lead to an overall decrease in your PC's performance. Removing old programs is easy. From the Control Panel click on the "Add or Remove Programs" Icon. You can safely remove programs like games, demos, and other software you no longer use. Turn off Windows Animations: Fancy sliding, fading and animated effects that windows uses by default can easily be turned off, and will make the reaction time of simple tasks like opening and moving windows, taskbars, etc... much faster. From the Control Panel, click on the "System" icon. Click on the Advanced tab. Click the "Settings" button underneath "Performance". Uncheck the options related to animations, and other unneeded visual effects. Disable File Indexing: Indexing service gets info from files on the hard drive and creates a "searchable keyword index." If you don't use the XP search feature often to look for documents, you can turn this feature off, and the difference you'll notice is a slight increase in the time it takes for your computer to find a file, but an overall increase in general speed for everything else is much better than it. From My Computer > right-click on the C: Drive > select Properties. Uncheck "Allow Indexing Service to index this disk for fast file searching." Apply changes to "C: sub folders and files," and click OK. Clean Up Prefetch temp & cache file: Windows stores a lot of temporary files that can be safely cleaned out once a month or so. This will speed up Your Windows XP and of course You will enjoy much better speedy computer then. For this purpose You can use Free Software like CCleaner which You can easily download from software's section of Google URDU. So download it, install it and enjoy it Great Features, All Free and without any cost. Always USE Good Antivirus Protection: Its very important for a PC to Run in a proper way, You need a good antivirus program. There are many antivirus programs now a days in market some of them are free too but less in features. Anyway You can download AVG (Simple and Easy to USE Antivirus) and install it on Yours system. Its Freeware version is available at its site and We think its one of the Best Ant viruses Which are FREE. You can download its Premium version and get its key from Google Urdu's Software's section also. In this way You can enjoy Registered Version of AVG. Media Files: Do not store media files like mp3, dat, ram, wmv etc Audio and Video Files in the Windows XP drive i.e. C-Drive. Use other hard disk drives for storing media files.
  6. SHiRK (55 sms) A complete Series SHiRK 01 #Aqida e Touheed# ALLAH Ek He Uska Koi Sharik Nhi Na Zaat Me Na Sifaat Me Na Af'aal Me Na Ahkaam Me Na Asmaa Me Wo Wajibul Wujood He (Uska Wajud Zaruri He) Hamesha Se Hy Or Hamesha Rahe Ga {Bahaar e Shariat V1 P1} Qur'an Ki Sura e Ikhlas Sura e An'aam Sy Iska Istidlaal Hy IKHTILAAF KYUN? SHiRK @02 Q.Shirk ki Tareef Karen? A. Ek Se Zyada Khuda Man'na Yani ALLAH Ki Zaat, Sifat Ya Af'aal Me Kisi Ko Wesa Hi Samaj Kar Sharik Karna. Ya Kisi Ghairullah Ko Mustahiq e Ibadat W Paristish Jan'na Ahlesunnat Ko Khumakhwa Mushrik Kehne Wale Is Tarif Ki Roshni Me Mushrik Saabit Krn IKHTILAAF KYUN? SHiRK @03 Shirk Ki 3 Iqsaam 1> Shirk Fil-Ibadaat Murad Ye Ke ALLAH K Elawa Kisi or Ko Mustahiqq-e-Ibadat Samjha Jaye 2> Shirk Fiz-Zaat Murad Ye Ke Kisi Ko ALLAH Jesa Maan'na Jesey Majoosi 2 Khudaaon Ko Maanty The 3> Shirk Fis-Sifaat; Ye Hy Ke Kisi Zaat Me ALLAH Jesi Sifaat Maan'na IKHTILAAF KYUN? SHiRK @04 Jis Tarah Din Ka Andaza Raat Ke Baghair Nhi Lagaya Jaa Sakta Isi Tarah Agr Kisi Ke Saamny Batil Ka Tasawwur Na Ho To Wo HAQ Ki Laz'zaton Sy Aashna Nhi Ho Sakta To Jo Na Samjhe K SHiRK Kisey Kehty Hn, Wo Touheed Ko Nhi Jan Skta Ayinda Chand Misalon Sy Iski Mazeed Wazahat Hogi IKHTILAAF KYUN? SHiRK @05 "ILM" Insaniyat ka zaiwar he Lekin "ILM"To khuda ki sift he To kya ye "SHIRK" hoga? Iska jwab ye he k Jo"ILM" ALLAH ta'al ka he wo bande ka nhi, ALLAH ta'ala k "ILM" apna he, Hmara "ILM" usi ka ata krda he. Uluhiyat or Abdiyat k drmyan yehi "FARQ" he. www.fb.com/sunni.yalgaar IKHTILAAF KYUN? SHiRK @06 Isi trah ALLAH ta'ala "SAMI O BASEER" he. Or frmata he k hmne insan ko SAMI O BASEER yani sunne or daikhne wala bnaya. To ALLAH ta'ala ki tmam sifaat be niaz o ghani hokar hn Or bandon ki ye sifaat uske hajat mand or niaz mand hokar hn Kyunke unhn ye sifaat "RAB" ne den or wo khud or uski sifaat "RAB" k qabze or qudrat me hn ALLAH k hukm se ye bat bilkul wazeh hogai k ULUHIYAT OR ABDIAT K DARMIYAN YEHI FARQ HE PAGE ON FACEBOOK IKHTILAAF KYUN? SHiRK 07 ALLAH ta'ala frmata he!"Kon he jo SHAFA'AT kre baghar IZN E KHUDA WANDI k. (PARA 3)Pta ye chala k baghair IZN k shafa'at ka aiteqad "SHIRK"he.Or IZN k sath ain "TOHEED" he.Sabit hogya k jb ye aqeeda aaya k fulan shakhs ALLAH ta'ala k IZN k bagair koi hajat puri kr skt he to "SHIRK" he.Or jb "IZN E ILAHI" ka aqeeda aaya to "SHIRK" khatm. Search page on facebook: IKHTILAAF KYUN? SHiRK 08 Jb hzrt esa alaihe slam ne qom k samne taleem e risalat paish ki to unse kaha!Or acha krta hn andhe or korhi ko or murde ko zinda krta hn ALLAH k hukm se. (AAL E IMRAN 49)Ab daikhye shafa daina or murde ko zinda krna ye ALLAH ta'ala ka kam he.Is lehaz se to hzrt esa alaihe slam ne ALLAH ta'ala k kamo ka dawa kya,Laikin ab aage frmate hn"BE IZNILLAH"Yani me jo kuch krta hun ALLAH ta'ala k izn se krta hun.Wazeh hogya k yahan "IZN E ILAHI" Toheed or Shirk ka bunyadi nuqta he.Or mukhalfeen k lye 1 aasan jwab he Search page on facebook: IKHTILAAF KYUN? SHiRK 09 Agr koi"OLIYA ALLAH" ko"BE IZNILLAH" hajat rwa kahe to shirk khtm Lekin swal ye he k kya waqei ALLAH ta'ala ne unko IZN dya he? Agr IZN dya he to iski kya daleel he? Hm munkireen o munafiqeen ko dawat dete hn k wo aaen momineen ki traf k wo shirk se pak hn, QK unke pas"BE IZNILLAH" ka suboot he, Or wo"OLIYA ALLAH" ko "BE IZNILLAH" hajat rwa mante hn, Hm mut'thi bhar munafiqeen o murtideen ko ye dikha daina chahte hn k ALLAH ta'ala ne"OLIYA ALLAH" ko IZN dya heQK hmare aiteqad me na"SHIRK" ka sha'iba he or na hi"KUFR" ka Search page on facebook: IKHTILAAF KYUN? SHiRK @10 Bad Mazhab Shirk Fis-Sifaat Ka Galat Mafhum Paish Karke Musalmano Ko Gumraah Karney Ki Koshish Karty Hen Aaye! Qur'an Sy Aqaid e Islamiya Jaanty Hen SHiRK @11 Shirk Fis Sifaat or Qur'an; 1> ALLAH Rauf or Raheem (Baqarah 143) Huzoor B Rauf or Raheem (Touba 128) 2> Madadgaar Sirf ALLAH (Muhammad 11) Jibrael or Auliya B Madadgar (Tehreem 4) 3>ALLAH Jaan Ko Mout Deta Hy (Zumr 42) Mout Deta Hy Mout Ka Farishta (Sajda 11) 4>ALLAH Sunta Dekhta Hy (Hajj 61) Bande B Sunte Dekhty Hn (Dahar 2) 5>Ilm-e-Gaib ALLAH Ke Paas (Namal 65) Rasoolon Ko B Ilm e Gaib He (Jinn 26/27) Next... facebook: IKHTILAAF KYUN? SHiRK @12 Shirk Fis Sifaat or Qur'an; #2 6>ALLAH Azeez Hey (Touba 40) Rasool Azeez Hen (Touba 128) Q. Kya Qur'an Ne Rasool Ko ALLAH Ka Shareek Bana Dya? A. Nahi KyunKe ALLAH Zaati Tour Par Rauf, Raheem, Azeez Hy Jab Ke Rasool, ALLAH Ki Ataa Sey Rauf o Raheem Hn Search facebook page: IKHTILAAF KYUN? SHiRK @13 Q.Kya ALLAH Ke Elawa Kisi Ko "Faryad Sun'ne Wala" "Sab Kuch Deny Wala" "Gareebon Ko Nawazny Wala" "Mushkilen Hal Karny Wala" "Khazany Bakhshny Wala" Kehna SHIRK Hy? A. Jee Nhi, KyunKe ALLAH Zaati Tour Par Sab Kaam Karta Hy Jabke Makhlooq (Waliyon) Ko ALLAH Ne Hi Ghous, Daata, Gareeb Nawaz, Mushkil Kusha, Ganj Bakhsh or Dastageer Banaya Hy Yahi Islam Ki Ta'leem or Qur'an Sy Saabit Hy Jesa Ke Ibtidaa Me Aayaat Paish Ki Gayeen IKHTILAAF KYUN? SHiRK @14 Meanings; 1>RAUF =Meharbaan 2>RAHEEM =Reham Karny Wala 3>Sami =Sunne Wala 4>Baseer =Dekhne Wala Sub Kuch Parhney Ke Baad Zara Emaandari Se Sochen Kya Ye Bi ALLAH ki Sifaat Nhe? Magar Phir Isey Quran Ne Insan Ki Sifaat Bi Bataya Pas Jahilo Ko Chahye K ALLAH Ki Zaat Se Ye Aqida Rakhen K Wo Apni Sifaat Ka Mazhar Apne Bando Ko Apne Fazal Se Banata Hy Aur Jise Jitna Zyada Chahe Ata Kar Sakta Hy Qur'an Parhen, Jihalat Ka Andhera Door Karen SHiRK @15 Agar ALLAH Madadgaar, Mout Dene Wala, Gaib Ka Janne Wala Hy Aur Qur'an Ke Mutabiq Iski Makhlooq Me Bhi Ye Sifaat Hen To Ye Shirk Nahi Hua Kyunke ALLAH Ki Sifaat Zaati Jabke Makhlooq Ki Sifaat Ataayi (Granted) Hen Aur Jahan Zaati Aur Ataayi Ka Faraq Aajaye Wahan SHiRK Ka Hukum Nahi Lagta. SHiRK @16 Q.Hidayet Kon Deta He? A.Hamara Emaan He K ALLAH Ki Marzi k Khilaf Nabi Hidayat Nhe Karte Magar ALLAH Ki Ataa Se Nabi Hidayet Karte Hen "Aur Tum Aye Mehbub Hidayat Karte Ho Seedhe Raaste Ki" (AlShura Ayat#52) Rab Ne Huzoor Ko HAADI Bana Kar Bheja Aur HAADI Aapka Sifaati Name Bi He SHiRK @17 QUR'AN: ALLAH Aur Us KE Rasool Dono Dene Wale (Daata) Hen =AL-TOUBA>10/59 ~Mere Aaqa Detey Hen~ ~Jholi Sab Ki Bhartey Hen~ SHiRK @18 QUR'AN: ALLAH Bhi Wali Hai Aur Us Ka Rasool 0r Eman Waley Bhi =AL-MAiDA>6/55 Shirk, Biddat Ki Ratt Lagane Waley Gour o Fikar Karen SHiRK @19 Ye To Ap Jante Hen Ke Elm-e-Gaib ALLAH Ki Sifat He. Q. Agr Koi Qur'an Ki Roo Se RasooLon Ke Lye Bhi ELm e Gaib Ko Maane To Kya Ye Shirk Hoga? A.Ji Nahi, *AL-QURAN* "Gaib Ka Jan'ne WaLa Apne Gaib Par Sirf Apne Pasandida RasooLon Hi Ko Aagah Frmata He, Har Kisi Ko ELM Nhe Deta" (Sura e Jinn Ayat #26-27) Bus Samajhne Ki Baat Ye He Ke ALLAH Ka Aalimul Gaib Hona Zaati Aur MustaQil He, Jabke RasooLon Ko ALLAH ki Ataa se Haasil He. SHiRK @20 BeShak ALLAH Madadgaar He Musalmano Ka. Q.Agar Hum GhairULLAH Ko Bhi Madadgaar Kahen To Kya Ye Shirk Hua? A. Nahi AL-QURAN: "BeShak ALLAH Inka Madadgaar Aur JibreeL Aur Naik Mominin Bi" (Al-Tahreem Ayt#4) Agar GhairULLAH Ki Madad Ka Yaqin Rakhna Shirk Hota To Ye Aayt Kyun NaziL Hui? SHiRK @21 Shifa Dena Or Murdey Zinda Karna To ALLAH ki Sifaat Hen, LeKin Dusri Taraf to ESSA Alaihssalam Se Ke Mutalliq Qur'an Ye Sifaat Batla Raha He! AL-QURAN "Aur Me Accha Karta Hun Andhey Aur Korhi Ko, Aur Murdey Zinda Karta Hun ALLAH Ke Hukum Se" (Aal-E-Imran Ayat#49) > Pas Isi Tarah ALLAH Apni Ataa Sey Apne MaqbooLeen Ko Ghaib Ka ELm, Tasarrufat, Bando ki Imdad Wa Haajat Rawa'ee Wgera Ataa Frmate He. SHiRK @22 "ALLAH Jise Chahy Betyan Ataa Frmaye Or Jisey Chahy Bete Dey" (Al-SHURA Ayat#49) Q. To Kya Hum Ksi MaQbooL Ghair e KHUDA K Lye Aisa Aqeeda Nahi Rakh Saktey? A.Rakh Sakte Hen AL-QUR?N: (JibreeL) "Me Tere RABB Ka Bheja Hua Hun Taa Ke Me Tujhe Ek Suthra Beta Dun" (MARYAM Ayat#19) SHiRK @23 "Tum Frmao Tumhe WAFAT Deta he Mout Ka Farishta Jo Tum Par Muqarrar He" (SAJDAH Ayat#11) Kesi AJEEB Baat He Ke Loug Is Aayet Par To Sar-e-Kham Tasleem Karen Par Is Aayat Ka Inkaar Karte Phiren? Ke.. "ALLAH Aur Iska RASOOL Aur MOMIN Tumhare Madadgaar Hen" (MAAEDA Ayat#55) Aisa Kyun? SHiRK @24 "BeShak Izzat Sari ALLAH Ke Lye He" (YOUNUS Ayat#65) Q. Agar Hum ALLAH Ke Pyaron Ko Bhi Izzat Wala Kahen To Kya Ye SHIRK Hoga? A. Ji Nhe, Kyunke Ye Bi QURAN Ka Irshad He "Aur Izzat To ALLAH Aur Iske RasooL Aur Musalmano Hi K Lye He Magar Munafiqon Ko Khabar Nhe" (MUNAFIQOON Ayat#08) SHiRK @25 Hazrat Essaa Alaihissalam Ka Elaan; "Kon Mera Madadgar He ALLAH Ki Taraf" (Aale Imran Ayat#52) Q. Essa Alaihissalam Ka Is Tarah Gairullah (Yani Hawariyo) Se Madad Mangna Shirk Kyu Nhi Hua? A. KyunKe; "Beshak ALLAH Inka Madadgar Aur Jibreel o Naik Mominin Madadgar" (Tehreem Ayat#04) SHiRK @26 "Farma Dijye, Mere Lye ALLAH Kaafi He" (Touba Ayat#129) Q. To Kya Ye Kehna SHIRK Hoga? Ke "Mere Lye ALLAH o RasooL Kaafi Hen" A. Nahi Ji Qur'an Me To Ye Bhi He; "Aye NABI Aapko ALLAH Kaafi He Aur Ittiba Karne Waley Mominin" (Anfaal Ayat#64) Yaad Rahey!! Aayat Ka Inkaar KUFUR He SHiRK @27 ALLAH Hi Hukum Deta Hey Aur ALLAH Hi FAISLA Karne Wala Hey Lekin Dusri Taraf Qur'an Me Ye Bhi Irshad Hua; "Shohar Aur Biwi Ke Tanaz'ey (Jhagre) Ko Hal Karne Ke Lye Ek Faisla Karne Wala Biwi Ki Taraf Sey Aur Ek Shohar Ki Taraf Sey Muqarrar Kya Jaye" (Al-Nisaa Ayat#35) Kya Samjhey? SHiRK @28 Q.Hum"Ya Rasoolallah Madad" "Ya Ghous Al Madad" Kyun Kehte Hen? ALLAH Ki Ataa Sey Anbiya, Auliya Bhi Fayda Puhncha Saktey Hen. Qur'an Parhen; Noor Paayen; "Tumhara Madadgar Nahi Magar ALLAH Aur Uska Rasool (Sallal laho Alaihe Wasallam)" [Al-Maida 55] "ALLAH Aur Uskey Rasool Ney Apney Fazal Sey Ghani Kar Dya" [Touba 74] "Be Shak ALLAH Unka Madadgar Aur Jibreel Aur Naik Imaan Waley Aur Is Ke Baad Farishtay.." [Tehreem 4] SHiRK @29 Siddiq e Akbar: Sab Sy Zyada Sach Bolne Wala Farooq e Azam: Sab Sy Behtar Haq o Baatil Me Farq Karny Wala Ali Akbar: Sab Sy Zyada Buland Ye Sab Bhi To Insano Ke Alqaab Hen Baat Baat Par Shirk Ke Fatwe Lagany Walon Ki Nazar Me To Hazraate Abu Bakr o Umer Ke Name Lene Waly Bi Mushrik Hogaye SHiRK @30 Koi Musalman Kisi Banday Ko ALLAH Ki Misl, UsKi Manind Ya UsKe Bagair Madadgar Nahi Samajhta Aur ALLAH Ke Izan o Ataa Sy Hony Wali Madad Goya ALLAH Hi Ki Madad Hy. Kaainat Ka Koi Bhi Zarra ALLAH Ke Hukum Ke Bina Madad Nahi Kar Sakta Khaliq Apny Mehbubon Ki Dua w Wasilay Ko Qubul Farmata hy. Aur Aisa Krny My Wo Majbur Nahi Bulke Jab Wo Kisi Ko Mehboob Banata Hy To Unhe Apni Sifat Ka Mazhar Bana Ke Unki Baat Qubool Farmata Hy (Bukhari-Muslim) SHiRK @31 ALLAH Ka Naik Bando Ke Mutaliq Farman; "Me Uske Kaan Hojata Hun Jis Se Wo Sunta He, Uski Ankhen Hojata Hun Jis Se Wo Dekhta He" (Bukhari V2 P#963) Yaani Jub ALLAH Ka Noor Unke Kaan, Unki Aankh Hojata He To Wo Door o Nazdeek Ki Pukar Sun Lete Hen, Door Se Hi Mulahiza Karte Aur Mushkil Ko Asaan Karne Per Qaadir Hojate Hen (Tafseer Kabir V7 P#436) Magar Bandon Ki Ye Sifaat Aarzi, Ataayi, Majazi, Aur Haadis Hen Ye Aqeeda Rakhny Me Kya Burayi He? SHiRK @32 Alhamdulillah Hamary Da'wey Ki Daleel Par Qur'an o Hadees Ki Roshni Me Baat Ki Gayi Ab SHIRK Ke Fatwey Lagany Walon Ka Haal Mulahiza Farmaiyye >> SHiRK @33 "Buhat Se Log Is Qur'an Se Gumraah Hotey Hen Aur Buhat Se Log Is Se Hidayat Paate Hen" (Al-Baqarah Ayat#26) ¥ Gumraahiyat ¥ Zamana e MOULA ALI Me Ek GiROH Ne Qur'an Ki Ek Aayat Ko Maana Lekin Dusri Aayt Ka Inkaar Kya Aur MOULA ALI Ko Mushrik Kaha (Bukhari - Muslim) Jese Aaj Kal Ke... SHiRK @34 Beshak Wo Jinko Tum ALLAH Ke Siwa POOJTE Ho, Tumhari Tarah Bandey Hen, To Inhe Pukaro Phir Wo Tumhe Jawab Den Agar Tum Sachche Ho" (A'raaf Ayat#194) Ye Aur Is Tarah Ki Kayi Ayaat Buton Ki IBAADAT Ki Mazammat Me NaaziL Ki Gayin Hen Na Ke SAALiHEEN Ke Muta'alliq. (Qurtubi V7 P#300) (Tafsire Kabir V5 P#431) "Kharji Itne Gumraah Hen Ke Jo Aayaten Kaafiron Ki Muzammat Me Naazil Huin, Musalmano Par Chispaan Karte Hen" (Bukhari V#2 P#1024) SHiRK @35 Q. Kya Ummat e MUHAMMAD Kabi SHIRK Me Mubtila Hogi? A.Mere Aaqa (alehisalatuwassalam) Farmatey Hen! KHUDAA Ki Qasam Muje Tum Per Koi KHOFF Nhe K Mere Baad SHIRK Karoge (Bukhari Jild #2 Page #975 Hadith #6102) Iske Elawa Mazid 4 Maqaam Par Bukhari Me Hi Ye Hadees Paak Mojud Hy SHiRK @36 Sarkar Ek Din Uhad Walon Ke Paas (Mazar Pr) Nikly, Namaz Parhi, Phir Mimber Par Loutey Aur Farmaya; "Me Aagey Jane Wala Hun, Aur Men Tum Per Gawah Hun,Men Apne Houz Ki Taraf Bhe Dekh Raha Hun, Aur Zameen Ke Khazano Ki Kunjiyan Mujhe Di Gayi Hen, Aur BaaKhuda Muje Iska Khouff Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karne Lago Gy, Lekin Darr Hy Tum Dunya Ke Ragbat Me Ek Dusrey Se Muqabla Karogy" (Bukhari H#1261 -Janazey Ka Baab) Agar Is Hadis Par Gour Kijye To Is Sy >Urs Manana >Ikhtiyar e Mustafa >Hazir Nazir >Elm e Gaib >Hayaat Sab Sabit Hua Aur Phir Ye Bhi Bata Dya Ke Jo Ye Aqeeda Rakhy Wo MUSHRiK Nahi SHiRK @37 Q.Gumraah Logo Ke Mut'alliq Sarkar Kya Farmatey Hen? "Muje Tum Me Us Shakhs Ka Darr He Jo Qur'an Parhey Ga Islam Ki Chaadar Orhe Hoga, Phir Usey Allah Jidhar Chahe Ga Behka Dega Wo Islam Ke Chadaar Se Saaf Nikal Jaye Ga Usey Pas e Pusht Daal Dega Aur Apne Parosi Ko Shirk Se Mansoob Karega (Un Par Shirk Aur Kufur Ke Fatwa Lagaye Ga) Pucha Gaya; "Shirk Ka Haq Daar Koun Hoga?" Farmaya; "Jo Tuhmat Lagaye Ga" (Ibne Kaseer V2 P#665) SHiRK @38 #Sunni Zouq# ~Madad Kyun Na Maangey Walyon Ke Darbar Sy ~Ye Kaam Bahar Nahi Qudrat e Parwardigar Sy ~Badal Jaati Hey Taqdeer Us Banda e Momin Ki Bilal ~Jo Karta Hey Pyar ALLAH Ke Har Wali Har Yaar Sy ALLAH Jaga Sey Paak Hey Islye Yun Kehna Ke "ALLAH Arsh e Azeem Par Hy" Ye Kufar Hy. SHiRK @39 # MUSHRiK KOUN # 01 Wahabiyon Ke Waheed Uz Zaman Likhty Hen; "Hamarey Baaz Muta'akhireen Ahle Hadees Ne Ehkam e Shirk Me Buhat Tasaddad Se Kaam Lya Hey, Daira e Islam Ko In Logon Ne Tang Kardya Hey. Aur Amwaar e Makrooh Ko Shirk Qaraar De Rakha Hy (Hidayatul Mehdi 26) SHiRK @40 # MUSHRiK KOUN # 02 Wahabiyon Ke Peshwa Ismail Dehalvi; "Anbiya Auliya Ke Lye ALLAH Ka Dya Hua Elm, Ikhtiyar, Qudrat, Taaqat Aur Tasarruf Man'na Bhi Shirk Hy" (Taqwiatul Imaan P#36) JubKe Sarkar Alahissalatuwassalam Ne Farmaya Ke Muje Meri Ummat Par Shirk Ka Khouf Nhe (Bukhari 2/975 H#6102) SHiRK @41 # MUSHRiK KOUN # 03 Sanaullah Amratsari Ny Mehfil e Meelad Aur UsKe Qayam Ko Bid'at Aur Shirk Qaraar De Kar InKe Aamileen Ko Bid'ati Aur Mushrik Keh Dya Ahle Hadees Ka Mazhab P#34,35) Shayad Inhey Bukhari Parhny Ka Ittefaq Nahi Hua Jo Aaqa Ki Naat Khuwani Se Bhari Pari Hy (4/1537 , 5/2277) SHiRK @42 # MUSHRiK KOUN # 04 Sadiq Sialkoti Ne Huzoor Ko Noor Man'na Bhi Shirk Likha (Anwarul Touheed 115) Halankey Surah Maida Me Sarkar Ko Noor Kaha Gaya SHiRK @43 # MUSHRiK KOUN # 05 Yahya Godhalwi Ne Qabar Par Phool Paashi Ko Shirk Likha (Aqeeda Muslim :156) JubKe Qabar Par Phool Daalna Sarkar Sy Saabit Hy SHiRK @44 # MUSHRiK KOUN # 06 Abu Saeed Ashraf Wahabi; "Hazir Nazir Ka Aqeeda Rakhny Wala Mushrik, IsKi Iqtida Jaiz Nahi" (Sharfia Br-Fatawa Sanaiyya 1/364) SHiRK @45 # MUSHRiK KOUN # 07 Ab Aayiney Ka Dusra Rukh Mulahiza Ho; Abdullah Ropari Wahabi Ne Ek Maqaam Par Makhlooq Ko Banda Parwar Likha (Fatawa Ahle Hadees 1/80) Jub Ke Najdiyon Wahabiyon Ka Aqeeda To Ye Hey Ke Sirf ALLAH Hi Banda Parwar (Paalne Wala) Hy, Waseela Koi Nahi Haaye Ye AQAL Ke Andhey! SHiRK @46 # MUSHRiK KOUN # 08 Isi Ropari Wahabi Ne Ek Aur Jaga Likha; "Tabarrukaat e Saliheen Sy Kisi Ko Inkar Nahi" (Fatawa Ahle Hadees 1/347) JabKe Ismail Dehalwi Aur Sadiq Sialkoti Ke Nazdeek Ye Khalis Shirk Hua (Taqwiyatul Imaan) (Anwaarul Touheed) Batao! Dusry Bhai Ke Fatwey Se Hi Mushrik Hogaye SHiRK @47 # MUSHRiK KOUN # 09 Wahabiyon Najdyon Ke Sheikhul Islam Sanaullah Amratsari; "Rasool e Khuda, Khuda Ke Noor Hen" (Fatawa Sanaiyya 2/792) Isi Tarah > Yahya Gondlawi Wahabi Ne Bhi Noor Likha (Aqeeda Ahle Hadees :288) > Fazalur Rehman Wahabi Ne AapKo Noor e Khalq Likha (Eid Meeladun Nabi :68) SHiRK @48 # MUSHRiK KOUN # 10 Sanaullah Amratsari Wahabi Najdi; "Muqallideen Ko Shafa'at e Rasool Hogi" (Fatawa Sanaiyya :1/186) JubKe Wahabiyon Ke Nazdeek Taqleed Shirk Hy (Tareekh e Muhmmad :44) (Siraj Muhmmad :12) (Zafarul Mubeen :47) Dekhye Janab Khud Apne Hi Fatwey Me Phans Gaye SHiRK @49 Ismail Dehalwi Deobandi; Tujh Siwa Maangy Jo Ghairon Sy Madad, Fil Haqeeqat Hy Wohi Mushrik Ashad...! (Tazkeer-ul-Akhwan P#343) Qasim Nanotwi; Madad Kar Aye Kareem Ahmadi Ke Tere Siwa, Nahi Hy Qasim e Be'kas Ka Koi Haami Kaar...! (Qasaaid-e-Qasmi P#7) ALLAH Ki La'nat Ho In Munafiqon Par SHiRK @50 # AL-Mukhtasar # Ahl e Sunnat Wal Jama'at Ka Aqeeda Huzoor Noor, Gaib Ke Khaber Deny Waley,Haazir O Naazir Hen Aur Yahi Aqeeda Aap Ney Wahabiyon Ka Bhi Mulahiza Farmaya Phir Bhi Wo Hamey Mushrik Kehtey Hen Asal Me SHiRK Kya He Ye Bhi Inki Kitabo Sey Aapko Milega Faisla Kijye... Next >> SHiRK @51 Shirk #01: Deoband Ka Peer Ashraf Thanwi Risala Al Imdad P#35 Par; "La Ilaha IllallaH Ashraf Ali Rasool AllaH" Touba Jabke QUR'AN; "Men (Muhammad) Tum Sab Ki Taraf Us Allah Ka Rasool Hun" (Surah A'araaf Ayat#158) Shirk #02: "Qaasim Nanotvi Par WAHI Ka Nuzool Hota Tha" (Hawala DeoBand BooK-Sawaneh Qasmi P#258) Jabke QUR'AN; "Aye Mehboob Beshak Hum Ne AapKi Taraf Wahi Bheji (Surah Nisa Ayat#163) Afsos Hey In Aqal Ke Andho Par SHiRK @52 <FAiSLA> ALLAH Ne Apni Ataa Sey Apni Sifaat Ka Mazhar Bando Ko Banaya He Phir Ghous Khuwaja Gareeb Nawaz Kehna Shirk Kesey..? Agar Sab Shirk He To Nabi Ne Kyun Farmaya Ke Muje Tumse Shirk Ka Khouf Nhi? (Bukhari) Deen Buhat Aasan He Magar Fitna e Wahabiya Qur'an Ka Galat Tarjuma Kar Ke Aur Kafiro K Baare Me Nazil Hone Wali Aayat Muslmano Par Chispaan Kar Ke Logo Ko Gumraah Krne Ki Koshish Karta He ALLAH Inke Shar Se Bachaye! SHiRK @53 Yaad Rahey! ALLAH Ke Lye Jama Ka Seega Ista'maal Karna Masalan; ALLAH Ta'ala "Farmatey Hen" Kehna Munasib Nahi Lekin Keh Dya To Kufar o Shirk Nahi KyunKe QUR'AN My Bhi Jama Ka Seega Aaya Hy Jesey (Para#14 Ayat#9) Me Aaya "Be Shak Hum Ne Utaara Hy Ye QUR'AN...." (Fatawa Razawiya Jadeed V14) SHiRK @54 #Mas'ala# Allah Ta'ala Ke Baaz Naam Aisy Hen Jin Ke Sath "Abdul" Lagana Zaruri Hy Bina "Abdul" Ke Pukaarna Haraam Hy Jesy Kisi Ko Sirf RAHMAN, QAYYUM, QUDDUS, QADEER, SAMAD Keh Kar Pukarna. Ye Naam Bilkul Aisy Hen Jesy Abdullah Ko Sirf ALLAH Kehna.. Magar Baaz Naam "Abdul" Ka Lafz Lagaye Bagher Bhi Bandy Ke Lye Keh Sakty Hen Jesy Rasheed, Ali, Raheem Etc. "SHiRK" Ke SmS Mukammal Huey Jis Me Qur'an, Hadees w Deegar Dalail Sy Wazahat Ki Gayi SHiRK @55 "SHiRK" Ke Muta'lliq Hum Ne Jaana Tamam Suwalat Iska Mafhum Na Samajhny Ki Waja Se Paida Hoty Hen Mera Mashwara Ye Hey Ke Sunniyon Ko Chahye Ke SMS Ya Net Par Jahil Extremists Ko Jawab De Kar Apna Waqt Zayaa Na Karen Bulke Kisi Ilm e Deen Ki Mehfil My Shirket Karen Kyunke Hum HAQ Par Hen Is Me Koi Shakk Nahi Aur Hum Sarkar Ke Is Farman Par Amal Karenge "Jaahil Ki Baat Par Khamoshi Bhi Ek Jawab Hy" Aap Dekh Len Hum Kabhi Kisi Qadyani Ya Shia Ko Aetraaz Karen To Wo Jawab Dene Ke Bajaye Apne Kaam Me Lage Rehty Hen Halanke Wo Baatil Hen Dar Asal Bad Mazhab Hamen Uljhana Chahte Hen. Madni Group
  7. Akabr-e-Deoband Kay Ghalat Tarajum e Qur'an.rarAkabr-e-Deoband Kay Ghalat Tarajum e Qur'an.rarAkabr-e-Deoband Kay Ghalat Tarajum e Qur'an.rarSalam View Akabr-e-Deoband Kay Ghalat Tarajum e Qur'an. Allah Badmazhabon Se Bachae Ameen plz Veiw AttachmentAkabr-e-Deoband Kay Ghalat Tarajum e Qur'an.rar
×
×
  • Create New...