Jump to content

hanafi-hanafi

اراکین
  • کل پوسٹس

    49
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About hanafi-hanafi

hanafi-hanafi's Achievements

Contributor

Contributor (5/14)

  • First Post
  • Collaborator
  • Conversation Starter
  • Week One Done
  • One Month Later

Recent Badges

-1

کمیونٹی میں شہرت

  1. As'salamu alaikum WRB, Mainay ye kabhi nahi kaha kay aisa aqida shirk hai ya nahi. Mianay aisa karnay ka jawaz maanga tha magar is kay bajaye koi is ko Sama-e-mota say jodta hai to koi is ko marhoomeen ki madad kay asbaat wo nafi say jod raha hai. Aap ka sawal muddat say wahi hai. Kisi amal ka agar zikar na ho to usko karnay ka jawaz dhoondna aur uski tayeed. phir har zamanay main kisi na kisi ko yehi dhoondnay per amaada kariaga kay nafikay na honay ko isbaat banaday. Hajaat aur Dua'on kay qubool honay kay liye jab dua-e-tawassul hai to phir istimdaad ka istimaal kiyoun. Ab kiyounkay istimdaad ko madad say jod diya gaya phir us madad ko jayez tahranay kay liye Zinda aur murda ki takhsees mitanay kay liye Sirf Allah (swt) ko fa'el haqeeqi aur dosron ko majazi, phir momineen wali ayat say marhoomeen ko shamil karna aur is tamaam amal ko jari rakhnay kay liye Mazaarat ki tameer, urs aur phir us ka jawaaz waghaira. Ab aap mujh say ye fatwa mat maangna kay mazarrat-e-auliya jayez hai ya nahi. Jab tak aap istimdaad ko wazeh taur per sabit na karaingay tab tak her cheez ka jawaz milta rahaiga. Meray khayal main ab ye behas yahi per khatam kar'saktay hain kiyoun kay adam jawaz hi daleel hai ek aiasay amal ko jari rakhnay jo kay ghaliban kashf aur khush aqeedagi ki paidawaar hai. Mera is say inkaar meray liye koi nuqsandah nahi hai. Is per shirk waghaira ka fatwa dainay ki mujhay zaroorat nahi kiyounkay ho sakta hai is ki koi wazeh daleel ho isliye tab tak ye mu'attal rahay ga.
  2. As'salamu alikum WRB, Salam ka jawab dainay say kis tarha ye sabit hota hai kay wo hamari pukar sun kar imdaad bhi kartain hain? Ya Hamaray liye dua kartay hain? Mazeed wazhat karain. Kanzul Ummal kay hawaly ghalat hain. Salam ka jawab dainay wali hadees # 42993 hai. Is hadees main sirf salam ka jawab hai Salamti ki duayen nahi. Agar Salam kay jawab say murad salamti ki dua hai to koi haraj nahi. Paraishan haal agar Salam kar kay salam ka jawab bataur dua laita hai to koi ghalat baat nahi. Yahan Jaan'na ye hai kay Sahib-e-qabar Agay ki jaanay wali faryaad ko sun kar dua karta hai ya madad us ka hawala chahiye. Meray Paas Anfas ul Arifeen hai (www.maktabah.org) agar sahi hawala sfha ka miljaat to baat wazih hojaati Surah Imran Ki Ayat ka bhi hawaala bay mahal hai. Kiyoun kay is ayat main anbia say Jo madad karnay ka hukm hai wo madad milnay ka kahin bhi tazkira nahi hai balkay 3 hazar Ya 5 hazar farishton ka zikar hai. Tafsir Ibn kaseer main Sayedna Ali aur Syedna Abdullah bin Abbas say murwi hai kay Allah (swt) nay Tamam Anbiya say ye ahad liya tha kay unki Zindagi main agar Rasool Allah (sallal lahu alaikhi wa Sallam) ki Baás ho to wo unki madad karaingay. Is say ye kahan sabit huwa kay tama Anbiya nay madad ki. Agar ki to is ka hawala dain. Is ayat ka itlaq Bani Israel per bhi hota hai kay ek nabi ki maujoodgi main doosray nabi ka zikar milta hai. aur unhon nay ek doosray ki tasdeeq bhi ki Tafseer-e-naeemi main ye bhi likha hai Kay Allah (swt) nay Tamam Anbiya say ye ahad liya kay Huzoor ko payen to un per emaan layen. Aur unsay ahad laina sirf azmat-e-Mustafa ka izhaar tha warna Allah (swt) ko pata tha kay wo Huzoor ka zamaana nahi payengay Is say istimdaad-e-auliya kahan sabit huwa? Sahib-e-qabar ka nuqsaan pahonchnay ka nazriya Taik laga ker baithnay wali hadees say kis tarha akhaz kiya ja sakta hai. Jab kay ek hadees main Hazrat Ali ka Qabar per sar rakh kar lait jana sabit hai (Kanzul Ummal 42996). Taik lagany aur sar rakh kar laitjanay main kitna farq hai aur is say sahib-e-qabar ko kitni kum aziyat hoti hai? Un Sahabi ko ho sakta hai Aqa nay taleeman kaha ho ya aur koi baat magar is say bhi Istimdad kaisay sabit hota hai. Jahan tak Zarar ki baat hai quboor ki bayhurmati karnay per Allah (swt) saza daiga aur zarar wo nuqsaan ka zariya qabar ya sahib-e-qabar hoga. Wahhbiyoun nay sainkdon Qabron ki bayhurmati ki kiya unko saza Sahib-e-Mazar nay di ya Allah (swt) nay. Syedna Musa ka hawala bhi kis tarha auliya say Istimdaad ko sahi tahrata hai? Kiya Anbia ki hayat bad al-mamat aur auliya ki ek jaisi hoti hai.? Anbiya nay Merja ki raat Namaz padhi thi kiya auliya bhi is tarha namaz padhtay hain? Sirf ek misaal hai Syedna Sabit Binaani ki magar kiya ye sob auliya per lagoo hai? ek Qabar say tilawat ki awaz aana bhi ahadeesmain hai magar is isay ye kahan sabit hota hai kay sahib-q-qabar pukar sunkar dua karta hai ya madad. Kis tarha khas ko aam kiya ja sakta hai pata nahi Kazul Ummal aur Tafseer Ibn Kaseer say hawala :
  3. As'salamu alaikum WRB, Kiyoun kay aap dalail nahi dai saktay is liye is topic say jo chahay karain. Dalail ki ghair maujoodgi main meray nazdeek ye bay bunyaad aqida hai. Na Jaanay kiyoun tawassul ko badha kar istimdaad main badal diya gaya hai jab kay auliya ka hamari baat sun'kar Allah (swt) say dua karnay ki koi daleel nahi. Ummat kay Aamal per Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa Sallam) ka khush hona aur dua karna sabit hai magar kisi wali ko ye muqaam ataa karna khush aqeedagi ki intihaa hai jis ki bunyaad kiya hai is ka jawab nahi mila abhi tak. Momineen Musalamano kay madagaar hai is ka matlab fautshuda auliya ko kis tarha maana jata hai pata nahi. Agar aisa hai to is ki koi daleel nahi mili. Is kay alawaa ayat-e-Mubarak main momineen ka zikar hai kiyoun mohsineen ka nahi. Kiya auliya sirf momin hi thay mohsin nahi aur ihsaan kay muqaam say mahroom rahay? Kiya kuch auliya sirf momin thay mohsin nahi? Ghouse, Qutb, Autaad, Abdaal ki jo istilahain wo zinda per ya fautshuda auliya per bhi lagoo hain? Agar Zinda per to phir momineen ka itlaq in per ho sakta hai. Farishtay momin hain aur unki madad ka Quran-e-hakeem main zikar bhi hai. Is kay alawaa mainay Jis tarha namazon kay fidya rozon kay fidye jaisa adaa kiya jata hai heela ya asqaat kay naam per us tarha ki koi misaal bhi maangi thee. Is say ziyada aur kuch nahi kaha Ja sakta kiyoun kay is aqida ki bunyaad kashf per maloom hoti hai jaisay kay Fatwa Razviya main zikar hai. Fatawa say Istimdad per kuch iqtisabat paish hain. Is main bhi akabir ulema ka zikar hai magar Quran aur hadees say nahi.
  4. Sirf aap meray sawal ka jawaab dain aur mauzu say na hatain aur na hi kisi sahab ka aqida bayan karain aur na hi mujh say fatwa maangay. Mujhay kisi kay aqiday say koi dilchaspi nahi. Aap ka aqida hai to is ka difa karain ya wazahat karain. Warn aap ki majboori mujhay pata nahi meri majboori sirf ye hai kay main sirf pooch raha hon suboot ya dalail ki bunyad per. dalail nahi tab mujhay is amal say koi matlba nahi. Main kisi ko mushrik Ya kafir tahraanay kay jhagday may nahi padna chaahta.
  5. As'salamu alaikum WRB, Mainay sirf aap ko ilm wala samajh kar ye sawal kiya hai magar aap mujh say fatwa maang rahay hain. Kabhi aap mujhay shikanjay main kasnay ki baat kartay hai, kabhi Deobandi samjhtay hain aur kabhi kisi qaum walon jaisa qarar daitay hain. Chalain aap hi batadain kay aisa aqida dalail ki ghair maujoodgi main kaisa hoga Kiyoun kay aap ilqaab dainay main mahir hain to mujhay ek nau muslim samjh lain jo aap kay aqiday ka suboot mang raha hai Ya kuch aur bhi samajh lain jis say aap ko itni tashaffi zaroor ho kay aap sanjeeda jawab dainay per aamaada hojayen. Warna aap ka forum hai jitni baar jo likhna hai likhtay rahain.
  6. As'salamu alaikum WRB, Towheedi Bhai aap yehi poochtay rahain aur dohratay rahain. Jab kay main dalail mang raha hon na kay ashqas ka aqida. Dalail kay bajaye agar ashqas hi ko paish karna hai to phir unko masoom bhi samajhna hoga aur unko wahi ya ilhaam say bhi nawazna hoga kay unka jo aqida hai wo ghalat nahi. Aap mujhay Shah Sahab (r a) aur Aala Hazrat (r a) dono kay aqiday say yehi sabit karna chahtay hai kay agar Barelvi aqida ye hai to Deobandi bhi yehi hai is tarha baat khatam - yani ek ghalat is liye nahi kay dosra bhi ghalat hai, kiyoun kay ek hi waqt main dono ghalat nahi to sob sahi. yehi aap ka kulya hai Aqida kisi ka bhi paish karain unka makhaz bhi paish kardain, warna aap jo kahtay ya poochtay hai us say aagay bat kabhi nahi bad'hay gi Ap ki sahulat kay liye ek tajweez hai: Agar yehi sawal aap say koi nau-muslim karay tu aap kiya karain'gay? Dalail daingay ya akaabir ka aqida bayan karaingay?
  7. As'salamualaikum WRB, Ayat main diyegaye momin ka itlaaq kis kis per hota hai wo daikh lain. Auliya per bhi hoga magar yahan masla unki madad ka hai. Agar farishton ko momineen main shamil kar lain to unki madad ka suboot maujood hai jab kay aisa suboot auliya kay liye darkaar hai. Aalim ki baat bina daleel kis tarha maantay hain? Akhar unkay ilm ka makhaz kiya hai. Kiya ye jaan'na theek nahi? aur Is kaa khayal karain kay mainay raye nahi di hai main sawal pooch raha hon. Aalim bhi apni baat kisi ilmi nukta per kartay hongay. aap wahi samjha dain. Masla ye hai kay ulema nay jo likh hai agar wo unki samajh hai to wo awam ko kiyoun samjhna pasand nahi kartay. Baat samjhanay kay bajaye mukhalif camp say daleel paish kartay hain. Misaal kay taur per aap Guldasta-e-Tawheed wo Risalat Volume 2 daikh lain (page 189 say aagay), Is main shaikh Siyalvi nay Shah Waliullah (r a) kay qaul say ye sabit kiya hai kay Momineen bhi baad wafat Malaika main shamil hojatain hain. Shah Sahab ka ye kahna Syedna Jafar bin Tayyar kay Jannat main farishton ki tarha peron say udnay wali hadees shareef say sabit kiya hai. Agay ki tamaam behas main Sirf ulema kay aqwaal say fareeq-e-mikhalif ko haranay ki sayee ki hai na kay koi wazeh daleel. Khas ko aam krnay wali batain hain. Kiyoun kay mera iraada sirf jaan'na hai is liey mainay ye hawala diya hai taakay aap mujhay kuch samjha sakain ya apnay mauqaf ka difa karsakain.
  8. As'salamu alaikum WRB, Is ayat-e-Mubaraka main Jahan Momineen ka Zikar hai unsay muraad kis traha marhoom Auliya ho saktay hai.? Is ki wazahat kardain. Quran Majeed main is ka zikar hai kay Allah (swt) nay Musalmano ki madad farishton say ki. Kiya Lafz mominka ka un per itlaq nahi ho sakta. Farishtay bhi imaan walon main shamil hain aur unki madad ka Zikr bhi. Ek aur hadees shareef hai Ibadullah Madad ki. Is main bhi ye nahi kaha gaya kay Allah (swt) marhoomeen ko logon ki madad kay liye muqarrir karta hai. Sufiyoun ki istliahaat jaisay kay Qutb, Ghouse, Abdaal waghaira ye bhi Shayad hayat logon kay liye istimaal hoti hain warna unkay guzarnay aur dosron ki unki jaga lainay ka zkr nahi hota
  9. As'salamu alaikum WRB, Aap ka pehla refrence to murdon ko jalanay kay bajaye dafnanay ki hikmat kay baray main hai. Us main Shah Sahab nay Jis nafa dainay aur lainay ki baat likhi hai wo kis tarha ayat kay Siyaq wo sabaq say sabit ho sakti hai. Kiya unka aisa likhna aqida ban sakta hai? Doosara hawala bhi daikh lain. Kis tarha unhon nay ye aqida ya nateeja akhaz kiya hai samajh main nahi aaya. Bina kisis dalel kay likh diya kay auliya ko baad wafaat tasarruf ka ikhtiyaar diya jaata hai. Mujhay is ki wazeh daleel chahiye. Wazahat kar dain. Agar unka aqida taayeedan ikhtiyar kartay hai tu wazahat bhi kar dain Is kay alawa ye batadain kay agar akabir kay kisi aqiday ya fatway ki daleel na milay to usko kis tarha ikhtiyaar kiya ja sakta hai. Aap ko pata hai main kiya jaan'nay ki koshish kar raha hon,
  10. As'salamu alaikum WRB, Mainay bataur-e-Talib Ilm ye sawal kiya tha. Daleel paish karnay kay bajaye aap shuyukh ki sanad aur aqida paish kar rahay hain. Aap ka ye kahna kay Shah Sahab per meray ulema ko etemaad hai samajh may nahi aaya. Shayad aap mujhay Deobandi Samajh rahay hain jo Ghalat hai. Main Sirf Sunni hon. Qissa mukhtasar kay auliya ko raast pukarnay ki mujhay koi wazeh daleel nahi mili. Tawassul meray liye kaafi hai. Istigasa main nahi karta aur na hi mujhay itna tahqeeq ka shauq ya waqt hai kay main istigasa karnay walon per koi kalam karon. Maujuda daur main Ihtiyaat ka paholoo hi behtar hai. Jab Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa Sallam) say tawassul sabit ho, due-e-tawassul sikhlai gayee ho tu phir auliya say istigasa ka kiya matlab?
  11. As'salamu alikum WRB, Agar aap ko Shah sahab kay Makhaz ka ilm nahi to unka hawala daina baysood hai. Mujhay pata nahi aur main jo jaan'na chahta hon wo wazeh hai. Agar Ap main jo jaan'na chahta hon usko samjha saktay hai to behtar warna kisi bhi aalim ka fatwa baysood hoga bina daleel ya wazahat kay.
  12. As'salamu alaikum WRB, Theek hai ab aap misalain bhi paish karain Sahaba ki jis tarha aapnay samjha hai usi tarha unhon nay bhi samjha aur kis tarha ye amal mutawatir balkay ek aadat ban gaya hai Indo-pak main to isi tawatur ko sabit kardain. Towhidi Bhai: Aap nay jo daleel de hai wo Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa sallam) kay liye sabit hai. Masalan: - Aaap nay naabeena sahabi ko dua sikhai jis may tawassul aur istigasa dono hain - isi dua ko syedna Usman kay zamany main Usman bi Hunaif wali riwayat main kiya gaya - Utibi ki riwayat main bhi Bedouin(Baddo) ka Aap (sallal lahu alaihi wa sallam) kay Rauza per aana aur mghfirat ki faryad karna istigasa sabit karta hai - Syedna Umar kay barish kay liye tawassul say pahlay Malink bin Dinaar ka Rauza-e-rasool per jaana aur faryad karna bhi istigasa ko sabit karta hai - Halaan kay uskay baad syedna umar nay raast Rauza-e-rasool per aakar istigasa nahi kiya balkay Namaz istisqa ka ihtimaam kiya aur App (saws) kay chahc(ra) kay saath tawassul kiya. ye aur baat hai kay is say wahhabiya ye sabit karnay ki koshish kartay hai kay marhoomeen say tawassul jayez nahi, jab kay Sunni aap (saws) ko hayat maan tay hain aur aap (saws) kay chacha ke fazeelat yahi thi kay aap(ra) Aqa kay chacha thay is trah ye Aqa say hi tawassul huwa -Is kay alawa farishtay hamara darood pahonchatay hain to us say bhi ye jawaz nikalta hai kay hamari pukar Aqa tak pahonchti hai. Agar is may hazir wo nazir ko shamil karlain to phir koi bhi masala nahi rahta Main ye jaan'na chaahta hon kay jo fazilat ya khusoosiyat Aqa say mansoob hai usko tamam auliya kay liye kis tarha saabit kiya ja sakta hai
  13. As'salamu alikum WRB, Mujhay kuch sabit nahi karna hai. mainay sirf jan'nay ki koshishs ki hai. Jo sabit hai jaisay kay tawassul, tahajjud kay waqt dua ki qubooliyat, Ism-e-Azam waghaira, inkay alaawa dosra amal sabit karnay ki kiya zaroorat hai. Bahar'haal aap samajh tu gaye hongay kay main kiya pooch rahan hon. Agar samjha sakain to behtar warna meray liye tawassul kaafi hai aur istigasa karnay walon kay baray may khamoshi.
  14. As'salamu alaikum WRB, Tauwhidi Bhai Shikanjay may Aany aur phansnay ya phansnay ki baat smajh may nahi aayee. Shah Sahab nay jo natayej akhaz kiye hai unka makhaz kiya hai? Wo mushrik huway kay momin iska faisla koi aalim hi kar sakta hai. Aap bhi ye maanaingay kay Shah Shahab ki tahqeeq ko naa maannay say mujhay koi khatra nahi jab tak shirk ka ilzaam nahi lagata jis ki mujhay koi zaroorat nahi. Jitni bhi ayaat paish ke gayeen unmay marhomeen ka zikr nahi. Is liye pahlay auliya ki hayat sabit karna padta hai phir kisi say bhi madad maangnay ka jawaz paish kiya jaat hai. Dunya darul amal hai aur Aalam -e-barzaq akhirat ka pahla padao jo kay darul Jaza/ssaza hai. Ab ye kahan say saabit hota hai kay auliya apni quboor main Allah (swt) ki di gayee naimaton aur rahmat may gharq rahnay kay bajaye pukarnay walon ki pukar suntay hain? Istigasa per amal karnay kay liye koi wazeh daleel taweelan bhi jaisa kay Namazon kay fidye ki rozon kay fidye jaisi hai bata dain. Warna mujhay tawassul may hifazat aur istigasa may khatra mahsoos hota hai aur meray liye tawassul hi kaafi hai.
  15. As'salamu alaikum WRB, Shah Abdul Aziz ko agar hum na manayn tu kiya harj hai? Kiyoun ki unhon nay jab kaha kay baaz Auliya ko tasarruf ka hukm huwa tu ye baat kis Qurani nus Ya hadees say sabit ki jasakti hai? Misal kay taur per Namazon ka fidya Rozon kay fidye sayy sabit kiya jata hai kay agar kisi nay Namazin nahi ada ki tu unk a itna fiday hoga. Is ki daleel ye di jaaati hai kay Roza bhi ek farz ibadat hai aur chonkay namaaz bhi ek farz hai tu Shayad is tarha fiday adaa hojaye ga. Ek aur misaal kay nafil Ibadaat ka sawab Hajj-e-badal ki buniyad per pahonchanay ka suboot banta hai. Isi tarha agar koi misaal miljati tu behtar hota. Warna tawassul say badh kar kiya baat hosakti hai kay Istigasa ko ikhtiyaar kiya jaye?
×
×
  • Create New...