Jump to content

Dosti Ka Standard


ata_ho_ghame_madina

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

KIA FREINDS STANDARD DEKH KER BANNIYE CHIYE?????

mery khayal mein ye hamery maswery ka aik masala hay key her cheez ko ager apnana hay tu SATANDARD dekh ker waerna nahi

loag her aik cheez mein aik meye'ar chyete hain. ya apna he meyaer banyea hota hay. kia aik khas standarad bnayana zruri hay???? ya ye sirf ap ki personality kko bilud kerta hay??

 

jesy kaiii examples dekhney mein atti hai key FULAN SE DOSTI KERNA HAY WO MERY SATANDARD KI HAY YA MATLAB KIA HAY?????

 

 

sb suggession ya opnoion dein key SATANDARD hona chiye ya nahi? ager hona chiye tu kis surat mein ????????

 

 

 

 

 

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

(salam)

mara nhi khyal k standard hona chahiye

asa hota ha k ajkal friendship sirf matlab k liye ki jati ha

or jo matlab k liye friendship krta ha us ka pata b chal jata ha

han dosti daikh bhal kr krni chahiye bcoz bad company app ko

kharab b kr sakti ha

but i dont know k ye standard main shamil hota ha ya nhi

i think isy standard nhi khty

mara nhi khyal k standard hona chahiye

aj app kisi ko apny matlab k liye use krain gy to kal koi or app k sath asa kry ga

standard rakhny wala insaan LOGON ki sachi mohabat sy b door ho jata ha or ALLAH (azw) ki mohabat sy b mahroom

mara to yhi khyal ha

fi-aman:

(ah):)

TALBY DUA

Link to comment
Share on other sites

Behen dosti k hawalay say to insan apnay standards khud bana sakta hay, as far as wo Islami taleemat say na takraatay hon. Aur ye standards her banday k liye mukhtalif bhi ho saktay hain, lihaaza hum kisi makhsoos standard ka paband nahin ker saktay aap ko. Dosti kernay k liye insan sub say pehlay to apnay aap ko dekhta hay...k kia main ksii shakhs ki dosti k qabil hon ya nain? kia main matlabi to nain?? kai aisa to nahin k main faqat chand lamhon k sukoon aur gappen(gosspis) maarnay k liye dosti ker raha hoon ya waqaii Allah ki raza k liye ker raha hoon...jaisa k Ahadees mein bhi kai maqaamaat per aapas mein Muhabbat rakhnay, tohfay tahaaif denay waghera ka hukum hay...

 

Agar aap Ahaadees per amal kerna chahti hain to Aik hadees ka mafhoom paish-e-khidmat hay k Banda qayamat k roz us shakhs k sath hoga k jis say wo dunya mein muhabbat kerta hoga...!!!

 

To kion na kisi aisay shakhs say dosti ki jaaey k jis ka saath qyaamat mein nafa' bakhsh ho....YAAA us ka hamaray saath rehna us shakhs k liye qyaamat mein nafa' bakhsh ho, k agar donon mein say kisi ki bhi bakhshish hogai to doosray ka saath hona laazim hoga :) Inshaa Allaah!!!

 

Aur naik logon ki suhbat qyaamat to qyaamat, dunya mein bhi nafa' bakhs saabit hoti hay!!!

 

bahar haaal...ye aik misaal thi...zaroori nahin k her shakhs ka yahi nukta-e-nazar ho....baaz auqaat insan buray logon say bhi dosti kerleta hay magar Muhabbat her dost say nahin hoti...lihaza derkhuast ye hay k apnay aap ko khangaalen, apna tajzia karain, logon ko perkhen, aur phir ye faisla karain k aap kis qism ki dosti chahti hain??

 

Ummeed hay baat samajh agayi hogi,

 

Muhammad Ameen.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

 

 

 

پیاری بہن! میں آپ کی بات سے 100٪ متفق ہوں کہ دوستی کا معیار ہر شخص کے نزدیک مختلف ہوتا ہے اور اس کا تعلق ذہنی سطح سے بھی ہوتا ہے لیکن سسٹر !

اصل میں ہمیں اپنے بنائے ہوئے معیارات کے بجائے شریعتِ مطہرہ کے دئے گئے معیار کو اپنانا چاہئے

سب سے پہلے تو یہ بان ذہن نشین کی جائے کہ دوست بناتے وقت ہمیں اس کے عقائد کو دیکھنا چاہئے ۔بدمذہب اور برے شخص کی دوستی تو ہے ہی ایمان کے لئے زہرِ قاتل اور بری صحبت سے بچنے کی جابجا تاکید کی گئی ہے

اسی طرح ایک حدیث شریف میں آتا ہے

حضرت ابو موسیٰ اشعری رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ (saw) نے ارشاد فرمایا:

اچھے اور برے ساتھی کی مثال مشک کے اٹھانے اور بھٹی دھونکنے والے کی طرح ہے۔ مشک(ایک بیترین خوشبو کا نام) اٹھانے والا یا تو تجھے ویسے ہی دےگا یا تو اس سے کچھ خرید لے گا۔اور یا تو اس سے اچھی خوشبو پائے گا اور بھٹی دھونکنے والا یا تیرے کپڑے جلادے گا یا تو اس سے بدبو پائے گا

( متفق علیہ، مشکوٰۃ ص 426)

اسی طرح سسٹر ! ایک حدیث ِ مبارکہ میں اس طرح ہماری رہنمائی کی جاتی ہے کہ نبی کریم (saw) نے فرمایا

المرءعلیٰ دین ِخلیلہ فلینظر احد کم من یخالل

(رواہ الترمذی احمد و ابو داود البیہقی فی معب الایمان مشکوٰۃ ص 427)

ترجمہ:

آدمی اپنے دوست کے دین اور اس کے طور طریق پر ہوتا ہے لہٰذا ضروری ہے کہ وہ دیکھے کہ کس سے دوستی رکھتا ہے۔ کشف المحجوب مترجم ص 483)

اور اگر بالفرض اگر بد قسمتی سے ہم نے کوئی بری صحبت اختیار کر بھی لی تو ابھی بھی ہمارے پاس موقع ہے قرآن ِ کریم میں اللہ (azw) ارشاد فرماتا ہے

و امّا ینسینک الشیطٰن فلا تقعد بعد الذکریٰ مع القوم الظٰلمین

(سورہ انعام آیت 68)

ترجمہ:اور اگر( کہیں) بھلادے تجھے شیطان تو مت بیٹھ یاد آنے کے بعد ظالم قوم کے پاس۔

ایک حدیث شریف میں اچھے دوست کی یہ پہچان کرائی گئی کہ

“اچھا ساتھی وہ ہے کہ جب تو خدا کو یاد کرے وہ تیری مدد کرے اور جب تو بھولے تو یاد دلادے(بہارَشریعت بحوالہ ابن ابی الدنیا فی کتاب الاخوان عن الحسن رضی اللہ عنہ مرسلآ کنز العمال ج نہم)

 

ایک جگہ برے دوست سے بچنے کی اس طرح تاکید کی گئی:

حضور اقدس (saw) فرماتے ہیں کہ برے مصاحب سے بچ کہ تو اسی کے ساتھ پہچانا جائے گا یعنی جیسے لوگوں کے پاس آدمی کی نشست و برخاست ہوتی ہے لوگ اسے ویسا ہی جانتے ہیںابن عساکر،فتاویٰ رضویہ ج دہم ص 13)

تو پیاری بہن! شریعت مطہرہ نے ہمارے لئے اصول مرتب کر دئیے ہیں ہمیں چاہئے کہ ان رہنما اصولوں کو مد ِ نظر رکھتے ہوئے ہی دوست کا انتخاب کیا جائے ۔

فی زمانہ دعوتِ اسلامی کا مدنی ماحول ہمیں تمام برائیوں سے بچانے کے لئے کافی ہے ،اس مدنی ماحول سے وابستہ ہونے کی برکت سے ہم خود بخود اچھے دوستوں کی صحبت سے مستفید ہوسکتے ہیں. اورآدمی اپنے دوست کے دین پر ہوتا ہے اور ان شا ءاللہ آ ج اس مدنی ماحول کو اپنانے کی برکت سے کل ہمارا حشر بھی اچھے لوگوں کے ساتھ ہی ہوگا

 

صحبتِ صالح ترا صالح کند

صحبتِ طالح ترا طالح کند

والسلام مع الاکرام

 

 

Link to comment
Share on other sites

MASHALLLAH BHUT ACHA ANSWER KIA APNE

 

dekhin khuch tu log hote hay na jo shouru se he DEEN KE qareeb hotey hain aur kuch baad mein ye sadat hasil kerty hain

 

tu un key phely bhi freinds hote hain ab wo aik dam tu chorr nahi sekty ya dunia mein tu her aik key sath rekhnai he perti hy

 

matlab hum ko wo bhi friendz banaye chiye jo deen ke qareeb hote hain tu MADINA MADINA lakin kuch freindz tu khud bakhud baann jaety hain

 

auur phir ager koi friend banye bhi tu phley kia ye pochcy key ap ky aqaiad kia hay???

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

hmmm........buht acha Question raise kia ss aap ny........

meri b kuch fellows budmazhab hain.........aur tkreebun hr wqt hi uni me mery sath hoti hain......ub unko nafrat sy dhudkara b nhe ja skta :( aur un k sath rehna b majboori hy :( hamari class me to akser hi budmazhab hain........aur jo budmazhab nhe b hain........wo b zakir nalaik n DR.Pur asraar ko sun sun k budmazhab horhy hain :(

 

mujy ye to malooom hy k na mery aqaid IN'SHA ALLAH (azw) wo nhe change kr skteen.........mgr mujy ye ummeed hy k shayd me unko change kr skooon........

 

uni me akely rehna b to acha nhe hy :(

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

i'll add some aayaat INSHA ALLAH (azw) regarding friendship........!!

 

i agree k standard hona chahiye frndship ka..........jistarha k umme anwar aapi ny farmaya.........!!

Link to comment
Share on other sites

(bis)(saw)

(salam)

 

Wese to har 1 ka apna 1 dost banane ka maayaar hota hai or har koi chahta hai ke mere is tara ke dost hon or istara ke naa hon.... but personally what i think is... standard hona chahiye.... jin logo se mil kar hamein acha lage khushi mile or dil se awaz aae ke haan ye banda theek hai, usi se dosti karni chahiye..... baqi "mailey" logo se kon dosti karta hai,, or haan jaise Ache dost ka har 1 ka apna maayaar hota hai,, aise hi "Mailey"(gande) logo ke bare mein bhi har 1 ka apni apni thinking hoti hai.... :unsure:

Link to comment
Share on other sites

g very nice answer

 

kiuon key her ek person ki apni aik personality hoti hay os ki apni soch ka aik mayer hota hay tu os ko dosti bhi os sey he krni chieye jo os ki soch key mutabiq ho

 

 

lakin college mein tu her aik ko bulana perta hay tu kia ye dosti hoti hay ya kisi se kcuh pochna ya bhi dosti hoti hay?????????????? tu ye sb kam kia ham apne faidey key lea nahi kerty kia?

 

aur phir ager wasey tu kisi ki frends achiy hain lakin reliogion per un se baat na ho tu kia esi freindship theak hay ???????

Link to comment
Share on other sites

(saw)(bis)

(salam)

bhai ye app ny theak kha k personality sab ki different hoti ha or wo

is k mutabi friendship krta ha.sab ki nature different hoti ha kuch zada

friends bnana pasand krtay ha i mean gathering jab k kuch ko zada friends

bnana acha nhi lagta.its nature.lakin kya ham is ko standard khain gy?

mara nhi khyal k ye standard ha.

its reality k college main sab sy baat krna parti ha.

lakin college main b to grouping hoi hoti ha.lakin ye

grouping matlab k liye to nhi hoti.isay standard nhi khty bcoz its only depend on ur nature.

start main yahi show kiya gya tha k standard wo ha k app jo apny fida k liye bnain i mean friend app k matlab ka ho.na k

us ki gandagi or pakeezgi ko dakha jaye.

fi-aman:

ALLAH HAFIZ

TALBY DUA

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

 

 

 

پیاری بہن! میں آپ کی بات سے 100٪ متفق ہوں کہ دوستی کا معیار ہر شخص کے نزدیک مختلف ہوتا ہے اور اس کا تعلق ذہنی سطح سے بھی ہوتا ہے لیکن سسٹر !

اصل میں ہمیں اپنے بنائے ہوئے معیارات کے بجائے شریعتِ مطہرہ کے دئے گئے معیار کو اپنانا چاہئے

سب سے پہلے تو یہ بان ذہن نشین کی جائے کہ دوست بناتے وقت ہمیں اس کے عقائد کو دیکھنا چاہئے ۔بدمذہب اور برے شخص کی دوستی تو ہے ہی ایمان کے لئے زہرِ قاتل اور بری صحبت سے بچنے کی جابجا تاکید کی گئی ہے

اسی طرح ایک حدیث شریف میں آتا ہے

حضرت ابو موسیٰ اشعری رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ (saw) نے ارشاد فرمایا:

اچھے اور برے ساتھی کی مثال مشک کے اٹھانے اور بھٹی دھونکنے والے کی طرح ہے۔ مشک(ایک بیترین خوشبو کا نام) اٹھانے والا یا تو تجھے ویسے ہی دےگا یا تو اس سے کچھ خرید لے گا۔اور یا تو اس سے اچھی خوشبو پائے گا اور بھٹی دھونکنے والا یا تیرے کپڑے جلادے گا یا تو اس سے بدبو پائے گا

( متفق علیہ، مشکوٰۃ ص 426)

اسی طرح سسٹر ! ایک حدیث ِ مبارکہ میں اس طرح ہماری رہنمائی کی جاتی ہے کہ نبی کریم (saw) نے فرمایا

المرءعلیٰ دین ِخلیلہ فلینظر احد کم من یخالل

(رواہ الترمذی احمد و ابو داود البیہقی فی معب الایمان مشکوٰۃ ص 427)

ترجمہ:

آدمی اپنے دوست کے دین اور اس کے طور طریق پر ہوتا ہے لہٰذا ضروری ہے کہ وہ دیکھے کہ کس سے دوستی رکھتا ہے۔ کشف المحجوب مترجم ص 483)

اور اگر بالفرض اگر بد قسمتی سے ہم نے کوئی بری صحبت اختیار کر بھی لی تو ابھی بھی ہمارے پاس موقع ہے قرآن ِ کریم میں اللہ (azw) ارشاد فرماتا ہے

و امّا ینسینک الشیطٰن فلا تقعد بعد الذکریٰ مع القوم الظٰلمین

(سورہ انعام آیت 68)

ترجمہ:اور اگر( کہیں) بھلادے تجھے شیطان تو مت بیٹھ یاد آنے کے بعد طالم قوم کے پاس۔

ایک حدیث شریف میں اچھے دوست کی یہ پہچان کرائی گئی کہ

“اچھا ساتھی وہ ہے کہ جب تو خدا کو یاد کرے وہ تیری مدد کرے اور جب تو بھولے تو یاد دلادے(بہارَشریعت بحوالہ ابن ابی الدنیا فی کتاب الاخوان عن الحسن رضی اللہ عنہ مرسلآ کنز العمال ج نہم)

 

ایک جگہ برے دوست سے بچنے کی اس طرح تاکید کی گئی:

حضور اقدس (saw) فرماتے ہیں کہ برے مصاحب سے بچ کہ تو اسی کے ساتھ پہچانا جائے گا یعنی جیسے لوگوں کے پاس آدمی کی نشست و برخاست ہوتی ہے لوگ اسے ویسا ہی جانتے ہیںابن عساکر،فتاویٰ رضویہ ج دہم ص 13)

تو پیاری بہن! شریعت مطہرہ نے ہمارے لئے اصول مرتب کر دئیے ہیں ہمیں چاہئے کہ ان رہنما اصولوں کو مد ِ نظر رکھتے ہوئے ہی دوست کا انتخاب کیا جائے ۔

فی زمانہ دعوتِ اسلامی کا مدنی ماحول ہمیں تمام برائیوں سے بچانے کے لئے کافی ہے ،اس مدنی ماحول سے وابستہ ہونے کی برکت سے ہم خود بخود اچھے دوستوں کی صحبت سے مستفید ہوسکتے ہیں. اورآدمی اپنے دوست کے دین پر ہوتا ہے اور ان شا ءاللہ آ ج اس مدنی ماحول کو اپنانے کی برکت سے کل ہمارا حشر بھی اچھے لوگوں کے ساتھ ہی ہوگا

 

صحبتِ صالح ترا صالح کند

صحبتِ طالح ترا طالح کند

والسلام مع الاکرام

 

 

 

assalamoalaikum

sister app ny jo kuch bataya main in sy agree krti hon.

ye to deeni lahaz sy myaar howa.lakin yahan to dunyawi myaar ki baat ho rhi ha.or ye dunyawi myaar nhi hona chahiye app ny mention kiya JAZAK ALLAH.

lakin mujhay app sy aik or masla discuss krna ha k hamain colleges main hr kisi sy baat krna parti ha.or aik trhan sy ye b friendship hi ho jati ha.bcoz agar ham nhi baat krtay kisi say to hmara hi issue bnaya jata ha.lakin ham kisi sy baat krny sy pehlay us k AQAID to nhi pooch sakty.is sy aik to doosry k ooper galat asar pray ga (i mean jasa k ajkal bataib bani jati han,jab ham sy kuch glat ho jaye bcoz sister ham insaan han bholain main b to kuch KHATA sarzad ho jati ha, k ye apny app ko bohat mazhabi samajhti/samajhta ha aty sath hi mujh pay impression dalny ki koshish ki etc

ooper sy to bohat acha banany ki koshish krti/krta ha andar sy ham sy b zada.........)

SISTER HAM KISI SY DIRECT (KHAS TOR PY COLLEGE MAIN)ASA NHI POOCH SAKTY BCOZ JAHAN ASI BAAT NHI HOTI WHAN HAM AGAR ASI BAAT KRAIN GY TO KYA HAM RYAKAAR NHI KHLAIN GY?YA BAAZ GANDAY ZAHAN HMARA GLAT MATLAB NHI LAIN GY?

HAMAIN NA CHAHTY HOYE B ASA KRNA PERTA HA.

MARAY COLLEGE MAIN annoor madrisa(dayoobandi) KI TALBAAT AA KR LACTURE DATI HAN.SARA RAMZAN WO COLLEGE KI MASJID PY KABZA KIYE BATHI REHTIN HAN.HAMARY COLLEGE MAIN ALHAMDULILLAH BOHAT SI ISLAMI BEHNY HAN OR INSHAALLAH AINDA WAKTON MAIN HAM B APNY BYANAAT KA SILSLAH SHURU KRAIN GY.JAB annoor WALI HAMAIN APNI TAFSEER PERHANY KO KEHTI HAN TO US WAQAT HAM UN KI TAFSEER OR BOOKS PEHANY SY INKAAR KR DATY HAN K HAM SUNNI HAN.IS SOORAT MAIN TO SISTER HAM INKAAR KR SAKTY HAN.LAKIN HAM STUDIES K DOORAN TO ASA NHI KR SAKTY.KYA AB B HAM GUNAHGAR HON GY?

HMARI BOHAT SI ISLAMYAT KI TEACHERS B dayooband/whabi HAN.LAKIN UN SY PERHNA B TO HMARI MAJBOORI HA.

 

PLZZZZZZZ MEHARBANI FERMA KR MARY MSAIL KO MADHANAZAR RAKHTAY HOWAY JAWAB DAIN

fi-aman:

TALBAY DUA

Link to comment
Share on other sites

attaaria91 bhut achi post ki apne key college mein tu hum ko sb key sath rekhna perta hay ager koi nahi chata mazhab ki disscussion aur hm shoru ker dein tu hum he ajeeeb agey gain. aur mera nahi khayal k her salam kerney wala hamra dost hota hay

 

DOST WOH HOTA HAY JIS KEY SATH HM APNI PERSNAOL SHARING KERTY HAIN

jab hum kisi se koi kam weghara pochty hain tu kia ye dosti hemrai apni zaat key lea nah hoi??????????????

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

meri b kuch fellows budmazhab hain.........aur tkreebun hr wqt hi uni me mery sath hoti hain......ub unko nafrat sy dhudkara b nhe ja skta :( aur un k sath rehna b majboori hy :( hamari class me to akser hi budmazhab hain........aur jo budmazhab nhe b hain........wo b zakir nalaik n DR.Pur asraar ko sun sun k budmazhab horhy hain :( uni me akely rehna b to acha nhe hy :(
lakin college mein tu her aik ko bulana perta hay tu kia ye dosti hoti hay ya kisi se kcuh pochna ya bhi dosti hoti hay??????????????
hamain colleges main hr kisi sy baat krna parti ha.or aik trhan sy ye b friendship hi ho jati ha.

meethi islami behnon!

sab se pehlay to ye sochain k dost kisay kehtay hain? ap sab (ma) college, university students hain, main bhi ye time guzar chuki hoon . aik class men bilfarz ager 100 students hain to kia wo 100 k 100 fellows ap ki dost hongi? nahi na un men se ap ki sahaili koi 1/ 2 ya 3 hi hongi na dost wo hota hay jis se insan apni tamam pareshanian share karay jo hamaray dukh dard ka sathi hota hay,jis se koi bhi takleef pareshani keh ker ham halkay phulkay hojatay hain. to dost kisay banana chahiye ye mayyar to shariat e mutahhara hamain de hi chuki hay dost to bas apna ham aqeeda or naik salih hi banana chahiye jo hamara muhasib bhi ho naiki k kamon men madadgar bhi or buraiyon se roknay wala bhi.

baqi rahi baat k dost k ilawa jo fellows hain hamain un se kesa behaviour rakhna chahiye, to sisterz! sab se behter tareeqa aqaid maloom kernay ka ye hota hay k jab ap mil ker baithti hain college/uni men koi free period hay ya break hay to kisi bhi bahanay is tarah ka topic start kerdain maslan madani inaamat ka risla nikal ker hi dikhaden k ye ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya k ata kerda madani inaamat hain jo asani se naikian kernay or gunahon se bachnay k liye hamain ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ne ata farmaye hain. chalain ager ye kehnay ki himmat nahi hopati k sab larkian doosray topics per baten ker rahi hain to is tarah se baat ki jaye k kisi se poochain k ap ki ghar men kia masroofiat hain phir apni masroofiat ka ziker karain k main ghar k kaam kaaj parhai se farigh honay k baad internet use kerti hoon apni friends ko dawate islami ki site ka link den ,IM ka link den or batain k yahan kitna acha deeni kaam hota hay ham yahan apnay masail bhi disscuss kertay hain,mujhay 100% yaqeen hay ager koi badmazhab larki hogi to dawat e islami k naam se hi apnay ander ka zehar ugal degi jab k ahl e mahabbat ka to andaz hi alg hoga :) ,to ap direct aqaid ka na poochain jab aik group ki soorat men larkian baithi hon bas ziker chairden ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ki new vcd ka,bal k ap ager mumkin hosakay to apni friends ko dawat e islami k hafta war ijtima men shirkat ki dawat den or sunnaton bharay ijtima men shirkat k fazail bata ker targheeb den is tareeqay se bhi jo badmazhab hongi pehchani jaingi, ab un se kaisa rawayya rakha jaye?

ap un se baat cheet karen zarooratan parhai k baray men notes bananay k baray men kon si reference book se notes behter ban saktay hain is baray men waghaira waghaira.

laikin yahan baat chali thi dosti ki to us per main ne ap ki khidmat men ahadees e mubaraka paish kin thi.

sister aisi badmazhab badaqeeda sahailion k saye se bhi door bhagain sirf kaam ki baat us k baad koi baat nahi wesay bhi collegge men ziada time to periods attend kertay hoay hi guzar jata hay jo free period milay us men koshish to yehi karen k un badaqeeda sahailion se door hi rahain bilfarz milna bhi paray to bas kaam ki baat karen or un ko na apnay qareeb karen na un se qareeb hon, yani na unhain apnay raaz batain na hi un se un ki personal life ki baten karen is soorat men to shayad bachat ki soorat nikle aye wegerna sister ager ap ye sochain k dunya main rehna hay to sab se mail jol rakhna hoga to ye soch ap ko ap k aqaid per mazbooti se jamnay nahi degi.

dost bananay hay to apna ham aqeeda or baqi logon se ta'alluq sirf kaam ki had tak.

mujy ye to malooom hy k na mery aqaid IN'SHA ALLAH (azw) wo nhe change kr skteen.........mgr mujy ye ummeed hy k shayd me unko change kr skooon........

sister! ap ki ye soch achi hay ap apni class fellows per infiradi koshish zaroor karain laikin sis......

yaad rahay k aik hadees e mubaraka ka mafhoom hay

jis ne apnay nafs per aitimad kiya us ne bohat baray kazzab per aitimad kiya.

to koshish jari rakhain laikin sath hi apnay nafs per mukammal aitimad nahi k hamain kuch nahi hosakta yad rakhain suhbat ka ser bohat jaldi hota hay,Allah (azw) ki khufiya tadbeer se dertay hoay hi deen ka kam behter andaz men hosakta hay ham ap kia baray baray log is maidan men apnay nafs per aitimad kernay k zaum men barbad hogaye.is liye sister ap koshish zaroor jari rakhain laikin apnay aqaid per mazbooti se qaim rehnay k liye zaroor tadbeerain farmain. hafta war sunnaton bharay ijtima men lazmi shirkat karen or madani inaamat k risalay ko bhi mazbooti se thamain rahain inshaAllah (azw) ap khud bhi kamyab rahaingi or ap ki koshishon se inshaallah (azw) ap ki badmazhab fellows bhi rah e rast per ajaingi.

ummeed hay ap sab ki uljhan door hogai hogi, ager abhi bhi koi confusion ho to zaroor disscuss karen.

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men ham sab ko ba amal banaye or naikian kernay doosron ko naiki ki dawat denay, buraiyon se bachnay or doosron ko bachanay ki madani sa'adat ata farmaye or ham sab ko ikhlas k sath deen ka kaam kernay ki tofeeq ata farmaye or buray logon ki suhbat se bachnay ki sa'adat ata farmaye.

aaaaaaaaaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

(ja)(azw) baji.........

 

aap ny buht achi tarha sy satisfy kiya.........i agreee wid u.........

ALLAH (azw) aapko jaza e khair ata farmaey.......

aur hamen dawateislami sy wabasta rakhy........madani mahol me isteqamat dy........

aameeeeeeeeen

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

ویوم یعض الظالم علی یدیہ یقول یٰلیتنی اتخذت مع الرسول سبیلا

یٰویلتٰی لیتنی لم اتخذ فلانا خلیلا

لقد اضلنی عن الذکر بعد اذجا ئنی وکان الشیطان للانسان خذولا

surah e furqan (ayat no. 27-29)

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

yaad rahay k aik hadees e mubaraka ka mafhoom hay

jis ne apnay nafs per aitimad kiya us ne bohat baray kazzab per aitimad kiya.

to koshish jari rakhain laikin sath hi apnay nafs per mukammal aitimad nahi k hamain kuch nahi hosakta yad rakhain suhbat ka ser bohat jaldi hota hay,Allah ki khufiya tadbeer se dertay hoay hi deen ka kam behter andaz men hosakta hay ham ap kia baray baray log is maidan men apnay nafs per aitimad kernay k zaum men barbad hogaye

me ny nafs pr etibar krty huay nhe kahi thi ye baat........(back of the mind kuch aur baat thi ye type krty huay)......khair waqaee.... bykhof nhe hona chahiye itna.......aur ALLAH (azw) ki khufia tadbeer sy darna chahiye hamen........

aap ny bilkul theeeeek farmaya

ALLAH (azw) ki mery bary me khufiya tadbeer kia hy......ye to me waqaee nhe janti....... :( ALLAH (azw) apna khususi karam farmaey.........aameeeeeeen

Link to comment
Share on other sites

JAZAKILLHA BHUT SHUKRIA

 

MEREA questin AB BHI WOHI HAY

KEY jab hum se koi friendship key lea hath beryhe bila takluf

tu hum koi kia krna chiye

kiuon key esa hota hay colges mein

 

plz disscuss it also

 

oper tu topic he change ker dia

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

ss..........ume anwar api ny bataya to hy......pehly batoon batoon me aqaid maloom kiye jain......

wesy mera tajrba yehi hy k hr budmazhab apny ander ka mail KHUD HI UGAL deta hy ;) jo na ughly to zara c baat usko blast krny k liye kafi hoti hy ;) bus kuch b aqaid ki baat kro to budmazhab ignited..........!!

Link to comment
Share on other sites

(salam)

ji ata ho gham e madinah sister!

jo doosray topic ka disscussion start hoa tha us ki posts ko alag topic banadiya gaya hay. jazakillah (azw)

main inshaallah (azw) jald hi ap k swal ka jawab denay ki koshish kerti hoon

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

JAZAKILLHA BHUT SHUKRIA

 

MEREA questin AB BHI WOHI HAY

KEY jab hum se koi friendship key lea hath beryhe bila takluf

tu hum koi kia krna chiye

kiuon key esa hota hay colges mein

 

plz disscuss it also

 

oper tu topic he change ker dia

(bis)

(saw)

(salam)

meethi islami behan!! :)

main ne pehlay bhi ap ki khidmat men arz kiya k dosti her kisi se nahi hoti han ap zarooratan baat cheet karen parhai se muta'alliq.

rahi ye baat k ap ki taraf koi larki bila takaluuf dosti ka hath barhaye to ap ko kia kerna chahiye?

ap us se baat cheet karen or baat ker k andaza laganay ki koshish karen k wo larki kin aqaid ki hamil hay aik do tareeqay jo main ne pehlay arz kiye usi tarah werna ager wo bhi mumkin nahi hain to is tarah baat karen k jab larkian t.v channels k baray men baat cheet karen( or ye to usually baat cheet ka hissa hota hi hay) to ap Q.T.V ka ziker chairain us per jitnay ulama e kiram or juhala atay hain un per disscuss karen, ap is disscuss se yaqeenan andaza laganay men kamyab ho hi jaingi k ap ki kon si class fellow kis aqeeday ki hay, acha kuch badmazhab aisay hotay hain jo baray pakkay hotay hain or apnay aqaid bilkul zahir nahi kertay ap is tarah bhi koshish ker k dekhain k islamiyat k notes bananay per disscuss karen k hamain islamiyat (ya ager ap k pas islamic studies /islamic history subjects hon) k notes kon si reference books se bananay chahiyen, ( main ne akser is tarah apni badmazhab fellows ko pehchana hay) or jaisa k madinah madinah sis ne bhi kaha

hr budmazhab apny ander ka mail KHUD HI UGAL deta hy ;) jo na ughly to zara c baat usko blast krny k liye kafi hoti hy ;) bus kuch b aqaid ki baat kro to budmazhab ignited..........!!

to mera bhi tajurba hay k aisa hi hota hay. bilfarz ab bhi koi larki jo badmazhab hay or apnay aqaid chupaye hoay hay kisi tarah pata nahi chalta k kia aqaid hain to ab ap mazeed toh men pernay k bajaye us se sahih tareeqay se milain kion k jab tak ap per kisi ki badmazhabi ya bad aqeedgi zahir nahi hoti tab tak to shareeat e mutahhara riayat deti hay laikin jahan pata chali waheen ap ko us se door hona hoga sirf kaam ki baat or bas na koi personal metter disscuss karen na hi koi or hansi mazaq.

kion k jahan kisi se personal mettar disscuss kiye jain phir us se hamdardi or bilakhir mahabbat paida hojati hay or ager kisi badmazhab k liye koi soft corner dil men ban gaya to ap phir apnay aqaid per mazboot nahi reh sakaingi na us ko apnay se door kersakaingi or na hi us se door hosakaingi.

is liye jab bhi koi larki ap ki taraf barhay ap baat cheet karen wesay bhi collegge men to roz ka milna julna hota hay ap baat cheet ker k andaza lagain ab jab ap ki tasalli hojaye k wo larki sahih ul aqeeda sunni hay to beshak us se garam joshi se milain or is hadith e mubaraka ko yad ker k khushi se jhoom jain

الحبُّ للہِ والبغض للہِ

( yani mahabbat sirf Allah (azw) k liye or nafrat sirf Allah (azw) k liye)

yani musalman ki shan yehi honi chahiye k wo jis se bhi mahabbat karay to sirf Allah (azw) k liye hi karay(apnay sahih ul aqeeda muslman bhai/behan se) or nafrat bhi ager kisi se rakhay to Allah (azw) ki riza k liye hi rakhay( dushmanan e deen or badmazhab/badaqeeda/gustakhan e rasool (saw) se)

to pyari behan yaqeenan ap k zehan men ye concept clear hogya hoga k hamain kis tarah se rehna chahiye laikin ager ab bhi koi uljhan ho to zaroor disscuss karye ga.

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 5 months later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...