Assalam-o-alaikum,
Aajkal Khilaafat ki bahaali k liye mukhtalif tanzeemain kaam kerrahi hain, jin mein Hizbut Tahrir aur Tanzeem-e-Islami sar-e-Fehrist hain. Qata'-e-nazar is baat say k In donon jama'aat say hamaray(Ahlus Sunnah k) kia Nazri-o-Mantiqi ikhtilaafaat hain, main apnay Qabil-e-Qadr aur saahibaan-e-Ilm sathion say chand sawalat discuss kera chahta hoon:
1) Kia khilaafat qaaim kernay ki jidd-o-jehed kerna her musalman per Ferz hay? Hizbut Tahrir walay is Da'way ki daleel mein kuch ahaadees paish kertay hain, jin k hawalay denay say is waqt qaasir hoon.
2) Kia JAMHOORIYAT(Democracy) Islam ki roo say HARAAM qaraar paati hay? Is ki daleel ye hazraat aisay detay hain k Jamhooriyat mein Insan apnay qawaaneen khud banata hay( yani Laws made by people for the People). Aur choon kay ye Nizaam kufr ki paidawaar hay lihaza is nizaam ki bina per Islami Riyasat qaaim hi nahin hosakti.
3) (Hizbut Tahrir k ilaaqaai nigraan k mutabiq:) Ulama-e-Ahl-e-Sunnat najanay kion Khilaafat k baray mein khamosh hain aur Awam ko haqeeqat say agah kernay ki zimmay dari ada nahin kerrahay. Aur Hukoomat k hathon KHILONA banay huay hain. Jamhooriyat mein reh ker HARAM kaam kerrahay hain.
4) hum log aajkal jis tareeqay say zakaat ada kerrahay hain us tareeqay say zakaat ada nahin hoti. Yani apnay maal say zakaat nikaal ker kisi bhi ghareeb ko de dena. Jub k UN k mutaabiq zakaat ada kernay ka durust tareeqa wohi hay jo Nabi-e-Kareem (sallallaahu Alaihi wasallam) aur Khulafaa-e-Raashideen k adwaar mein hua kerta tha. Yani Hukoomat k Ummaal(zakaat jama kernay walay) Muqarrar hotay thay k jo zakaat jama ker k Khaleefa ko bhejtay thay aur phir Khaleefa unhain "Kisi" tareeqay say baant-ta tha.(Aur is "kisi" tareeqay ki sahih wazaahat nahin ho paai thi.)
Filhaal to ye chand sawaalaat hain. main khud bhi research kerta hoon, aap bhai behen bhi is k baray mein ba hawaala tehqeeq ker sakain to kia hi khoob baat hogi!!!
Fee amaanillaah,
Wassalaam-o-alaikum warahmatullaah.