Assalamoalaikum
Ek deobandi ne sarkar alaihissalaato wassalaam ke ilme ghaib par bahot si hadeese di hai
Mujhe in hadeeso ka pura ibaarat aur mudallal jawab chahiye
Mai yaha uske saare aitrazat rakh raha hoo
Mujhe in sab ka jawab urdu me chahiye
1 )Aap saw ne farmaya k jab me meraj se wapas hua or
mene mushrikeen k samne apna ye sara qissa bayan kiya k
me makka mukarrama se masjid e aqsa tak or fir waha se
sidratul muntaha tak or fir jaha tak khuda taala ko manzoor
tha : alam e bedari me ek hi rat ke andar apne jasad e ansari
k sath allah taala k hukm or uski khas nawazish or qudrat se
ser kar aya hu to mushrikeen ne kaha accha agr ap waqai
gaye he to hame batlaye ke baitul maqdis ki fala fala chiz
kaha he or kis moqe par waqe hui aap farmate he k mujhe
maloom na tha ( or na mere jane ki ye garz thi )
Is par mushrikeen ne phabti udai
Ap ke alfaz me suniye ﻓﮑﺮﯾﺖ ﮐﺮﺑﺖ ﻣﺎ ﮐﺮﺑﺖ ﻣﺜﻠﮫ ﻗﻂ muslim
jild 1. $ 94
Me itna pareshan ke esa pareshan kabi bhi na hua tha
Allah taala ne baitul maqdis ko thode waqt k liye mere samne
hazir kar diya mushrikeen jo puchte jate the me dekh kar
jawab deta jata tha
( bukhari shafeer jild 1 $ 548 )
( Muslim shareef jild 1 $ 94 )
.
Gor farmaiye hazrat
Agr aap saw hazir o nazir hote or ilme gaib hota to itni
pareshani ki kya zarurat thi ??????
.
Agr ap saw ko ilme gaib hota to ap ye q farmate ke mujhe
malum na tha ?????
.
Agr ap saw hazir o nazir hote to fir Allah ne unke samne
baitul maqdis q hazir ki ?????
( 2 ) hazrat ayisha farmati he ke huzur s.a.w. ne
farmaya agr me pehle se apne kam ke bare me jam
leta jo bad me maloom hua to me hadi ( qurbani ka
janwar ) na hank lata or logo ke sath a'hram se
bahar hota jab wo log e'hram se bahar hue
.
( bukhari shareef kitabut tamanni )
agr nabi ko ilme gaib hota to wo ye q kehte ke agr
me pehle se jan leta jo mene bad me jana
3 ) hazrat ayisha rz.a farmati he :- ek dafa huzur
mere
pas se gaye or aap bhot mutmain or khush khush
the jab aye to gamgeen the mene iska sabab pucha
aap ne farmaya me khana kaba me dakhil hua tha
or me chahata tha ke esa na karta
( tirmizi jild 1 s.no. 106 )
.
ye hadees daud shareef me b he or iske alfaz ye
he :- is bat ko mujhe pehle se maloom hota jo ab
hua to me khana kaba me dakhil na hota andesha
hua ke mene apni ummat par mashaqqat dali he
( sunann abu daud jild 1 $ no. 277 )
.
is hadees me nabi ne khud kaha ke is bat ko mujhe
pehle se maloom hota
mtlb nabi ko maloom nai tha agr ilme gaib hota to
nabi esa na karte jis se ummat ko mashaqqat me
dalne ka andesha ho
na nabi ye kehte ke mujhe pehle se maloom hota jo
bad me imaloom hua
4 ). Hazrat abu hurairah rz.a. kehte he ek siyah fam
orat ( kali orat ) masjid ki safai kiya karti thi aap
saw ne use kuch din mafqood paya ( kuch din
nazar na ayi ) to us ke bare me daryaf farmaya -
huzur saw ko khabar d gayi ke wo fot ho gay
( intqal kar gayi , mar gayi ) aap saw ne farmaya
tumne mujhe kyu na batlaya
Kya pas tumne kyu na batlaya aap ne ye isliye
kaha ke goya un hone is marhooma ka mamla
mamuli samjha tha
Aap saw ne fir kaha ke mujhe uski qabar ki taraf
rehnumayi karo aap ne fir us par namaze janaza
padhi
( muslim sharif jild 1 $ no. 310 )
.
Agr nabi ko ilme gaib hota to us orat ke bare me q
puchte
.
Agr nabi ko ilme gaib hota to wo sahabi se ye q
kehte ke tumne mujhe q na batlaya
.
Agr nabi ko ilme gaib tha to uski qabar pe jane ke
liye rehnumayi ki zarurat q padhi
.
.
.
Yahi riwayat nisai shareef me is tarah he
.
( 5) So ap ne farmaya ke jab ye mar jaye to mujhe
ittala ( khabar ) dena wo rat ko fot hoi or un hone
aap saw ko iski ittala na d jab subah hui to aap
saw ne uske bare me daryaft farmaya sahaba ne
arz kiya ki hamne aap ko jagana munasib na
samjha tha fir aap iski qabar par aye or waha apne
4 takbeero se iski namaze janaza padhi
( nisai shareef jild 1 $ no. 28 )
.
Agr nabi ko ilme gaib hota to wo us orat ke marne
ki khabar dene ke liye sahaba se q kehte
.
Agr nabi ko ilme gaib hota to subah aap saw us
orat ke bare me q puchte
.
Agr sahaba ka b yahi aqeeda hota jo barelwiyo ka
he to wo aap saw se ye q kehte ke hamne apko
jagana munasib na samjha
Sahaba ye ke sakte The ke aap to alimul gaib ho
aapko to sab pata he isliye nahi bataya
6 ) Hazrat huzaifa rz.a. kehte he me jang e ahzab ke
moqe par mosam sardi ka tha or kadi sardi ( tez
sardi ) padh rahi thi aap saw dushman ki khabar
( positoin ) maloom karna chahate The aap ki
khwahish thi ke koi shakhas himmat kar le or
dushman ke halat se apko bakhabar kar de jab koi
sar had par jane ko tayyar na hua to aap saw ne
hazrat huzaifa se kaha
.
Huzaifa utho or hame unki khabar la kar do aap
saw ne chunke mera nam le kar farmaya tha mujhe
uthne se chara na raha ( uthne ke siwa koi dusra
rasta na tha ) aap ne fir kaha jao or un logo ke
halat mujhe la kar do or unhe apne khilaf uthana
nahi
( muslim shareef jild 2 $ no. 107
.
Ye barelwiyo ka aqeeda hazir o nazir ke b khilaf he
agr nabi har jagah mojood hote to khabar lane ki q
kehte jab wo waha b mojood he agr har jagah jazir
nazir he to
.
Agr hamare nabi ko ilme gaib hota to itni tez sardi
me wo hazrat huzaifa se khabar lane ki q kehte
.
Or agr ilme gaib tha fir b itni sardi me sahabi ko
zabardasti takleef kyu d apne kya ilme gaib hone ke
bawajood sahabi ko itni tez sardi me takleef d to
barelwiyo ke aqeede ke mutalliq nauzubillah nabi
gunah gar he
7)Hazrat masoor bin mukhrima rz.a. kehte he k ap saw ne
farmaya
Me nai jan raha k kon ijazat de raha he or koi nai ap log
wapas chale jaye yaha tak k tumhare bade tumhara fesla
hamare pas laye fir sab log chale gaye or un se un.ke
chodhriyo ne bat ki
( sahi bukhari jild 2s.no. 1064 )
8)
Hazrat huzaifa kettle he k ham ap saw k pas bethe hue the k
aap saw ne farmaya me nai janta kitna arsa tum me rahu so
tum mere bad un do.ki perwi.karna or ap saw ne hazrat
abu.bkar or hazrt umar ki taraf ishara kiya
.( tirmizi.jild 2 $ no. 207 )
Masnad e ahmad jild 5 s. No. 285 )
.
.9)
Hazrat jabir bin abdulllah ansari rz.a. kehte he ke mene
yamunnah pr aap saw ko.apni.sawari.par rami.karte dekha or
ap.keh rahe the
Tum apne manasik.haj sikh lo.qk mujhe maloom.nai..shayad
me is.hajj ke bad or.hajj na kar saku
.(.sahi muslim jild 1 s. No. 491 )
10) Hazrat abu sayeed khudri rz.a kehte he k ek a' rabi huzur saw
k pas.ek.goh le kar aya k ap use khaye aap saw ne.irshad
farmaya
Aye a'rabi allah taala ne.bani israil ke ek qabile par lanat ki or
un.apne gazab ka izhar farmaya unhe zamin par chalne wale
janwar.bana diye mujhe ilm.nai.k.shayad ye goh.un
me.se.ho.ise khata nai.na (.dusro.ko.) is se rokta hu
Sahi.muslim jild.jild 2 s. No. 152
.
11)
Hazart sabit bin yazeed ansari rz.a kehte he k me huzur saw
k.sath ek safar me.tha un hone raste me ek.goh pakdi
use.bhuna or huzur saw ki.khidmat me.le aye aap
saw.ek.chadi.( lakdi ) se.uski.ungliya ginne.lage or farmaya
Banu.israil ka ek. giroh zamin.par chalne wale
janwro.ki.surat me.mskh hua.tha or.me.nai janta.ke.wo.kon
.se janwar.the
( nisai jild 2.s.no.198 )
Abu daud jild 2 s. No. 176 )
12) Hazrat jabeer bin motim rz.a kehte he k duck shakhs ne huzur
saw.se.pucha konsi jagah markaze.share.he ( zyad buri he )
aap saw ne farmaya me.nai janta jab tak.k.punch na lu
Hazrat imam ahmad riwayat karte he
Aap saw ne kaha me nai.janta yaha tak.k puch na.lu.fir.aap
saw ne uske bare.me hazrat jibrail se pucha un hone.b kaha
me bagair.puche nai.bata sakta aap gaye or jab fir aye to
bataya mene allah taala se pucha tha allah taala ne farmaya
zamin.par sabse buri.jagah bazar he
( masnad imam ahmad jild 4 s. No. 81 )
13) .
Hazrat bin amr bin aas rz.a kehte he ke ek rat aap saw ne
badi becheni.se.guzarguzari zada jagte rahe aap se arz kiya
gaya huzur esa q.raha aap saw ne farmaya
Mene ek.khjoor.giri hui payi.or mene .khali fir.mujhe yad aya
ke hamare pas kuch sadqe ki.khajoore.bhi.rakhi me nai janta
ho.sakta he ye khajoor un.me.se.ho.ya mere ghar
ki.khajooro.me se fir is bat me mujhe rat bhar jagaye rakha
( sahi.bukhari jild 1 s. No. 328 )
.
14) Aap saw ne farmaya.ke me nai janta ke hazrat tab'a nabi the
ya na or me.nai.janta k.zulqarnain.nabi the.ya na
.( mustadrak hakim jild 1 s.no.36 )
.
15) Hazrat abdullah bin masood rz.a.kehte he:-
Tumare nabi saw ko.har chiz ka ilm diya gaya siway un.5
chizo.ke qayamat ka waqt or 4 or.bate
(Fatahul bari jild 1 jild 8 jild 13 )
In sab ka jawab mujhe roman urdu ya urdu me hi chahiye mujhe English nahi aati
Shukriya