Jump to content

Nasir Noman

Under Observation
  • کل پوسٹس

    198
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Nasir Noman نے پوسٹ کیا

  1. fateh Makkah key din Hazoor Sallaho ALiohey Wassalam ney Khana-e-Kaaba key chabian Usman bin Talah sey lian or ye khayal tha key ye chabian Hazrat Abbas razi Allaho Taala Unho ko di jaey gi magfer us waqat Ayat utri:<BR><BR>Allah Taala Tumhain Hukum deytey hain key amanat walon ko in ki amanat ada kerdo Sorah-e-Nissa ayat no 58 Rukuh 8 Para 4<BR>Pghir Hazoor Sallaho ALihey Wassalam ney chabian Usman bin Talaha ko marhamat farmadi <BR><BR>ye chabian Qasa key baad Abdul Dar ko baad main Usman binAbdul Dar,Abdul AAza bin Usman,Abi Talah yaani Abdullah bin Abdul Uzza Talaha Bin Abi Talaha ko naslan milta tha.<BR>Usman bin Talaha 07 Hijri main Musalman hoey. in ki wafat key baad in key Chaha zad bhai Shiba bin Usman Bin Abi Talahako ye azaz Naseeb hua jab sey ab tak Naslan issi khandan ko hasil hai ek dafa Yazeed ney un ki nasal sey ye chabian chheen li thin or Khana-e-Kaaba key Darwazey nay khulney sey inkar kerdia tah<BR>apney Ulama-e-Kiram sey tafseel poochh saktey hain
  2. Assalam-o-Alikum, sab doston sey maazrat key hum jawab late dey rahy hain asal main loadshading ki waja sey moqana mil saka ap logon key jawabat deney ka humain to bohat herat hoi key itney sarey logon key jawabat dey ker or taqreeban mozzoo sey hat ker jawabat diey ja rahy hain, sirif ye Sag-e-Madinah bhai ka jawabat mozoo key sath hai, hum sirif mozoo sey munsalik eitrazat ka jawab dain gey or mozzoo sey hat ker ager hum jawab na dain gey barah-e-mahrabani ap log mozoo kjey sath chaley alag mozoo na chhery. jawab hazir hai, kia apko pata hai ek Hadees pak khana-e-Kaaba sey mutaliq: Nabi-e-Pak Sallaho ALhiey Wassalam ka farman hai:jab tak meri ummat Haram ki Taazeem kerti rahy gi wo bhali sey mala maal rahy gi or jab is ki taazeem chhor dey gi to phir halak hojaey gi" ibn-e-maaja page no 225 pehley jab banu Abbasi key dor main Khana-e-Kaaba ki Tahir Qaramta ney jab Khana-e-Kaaba ki hurmat ko pamal kia to ALlah Taala ney ye saadat banu abbas sey cheen li or phir jab saltanat-e-Usmania ney bhi jo kuch kia wo bhi ap key samney hai. ye Allah Taala ki zaat hai jo her cheez per qadir hai or Allah Taala apney Markazi gher ki hifazat farma raha hay. Salatnat-e-Usmania ney sahaba ki Qabron ko pakka banaya or ghumrahi key rastey main perney lagey to Allah Taala ney un sey bhi ye saadat cheen li. ager ye sab tareeqey Allah Taala or Nabi-e-Pak Sallho Alihey Wassalam key tareeqey hotey to shayd Saltanat-e-Usmania ye saadat nahi khotey kia ap logon key liyain ye saadat chheen jana Allah ki taraf sey is bat ki ishara nahi deti key sahi aqeeda kia hai. sabar rakhain dost sari baton key jawab dain gey mager ahista ahista mozoo key jawabat mozoo sey hat ker nahi. aaj light ki waja sey bethna nahi hua kal inshaALlah apko sarey jawabat miley gey apko is ka jawab dey cukey hain mager shayad ap post sahi sey perhtey nahi or new sawal ker detey hain hum ney kaha key ager itney sarey Ulama Wahabiyat ka rad kertey hain or Wahabion ko Kafir jantey hain barailvi Ulama ki tarha to itney sarey Ulma key mannaey waley Saudi Ulama key peechaey Namaz kio poerhtey hain? or itney sarey Ulama key manney waley Musalaman kahan hain ? wo log Pakistan or India ki tarha in Barelivi aqeedon key mutabiq amal kio nahi kertey ? or ager kertey hain to Green amama kaha hai sab ka ? un countryt mian kon sey buzrugana-e-deen ka mazarat per is tarha rush kio nahi hota jesa Pakkistan or India main hota hai ? Salat-o-Salam ki awazain is tarha nazar kion nahi aati jesey Pak-o-hind main nazar ati hain ? Eid Milad un Nabi Sallaho Alihey Wassalam per barey barey Jaloos kio nahi nazar aatey ? ek dost ney jo youtube key clips pesh kiey hain un key jawbat bhi hazir hain mager unki quote key sath
  3. ye pichhli post sey lia hai ap pehley ye perhley Ap Buzrugan-e-Deen ki books ki bat karty hain yaha to logon ney Asmani books ko bhi nahi chhora or Yahoodion ney or Essaiyon ney apni asmani books main tabdilain ki or logon ko sachai tak nahi pohanchney dia. Humari tarha hi wo log bhi insan they. Mager aaj ap dekh saktey hain aaj asal Aasmani books humarey darmiyan nahi hain. Ager kisi Buzrug Hasti sey mansoob book ko hum ye samjh lian key kio key ye book Muqadas Hasti sey Mansoob hai to bilkul sahi hogi to phir ye bat bhi samney aaey gi key bible main jo chiristen Hazrat Essa Alihey Assalam key ehkamat pesh kartey hain to wo bhi humain manna chahiey kio key wo to Hazrat Essa Alihey Assalam key ehkamat hain? Mager ye humain Allah Taala ney Quraan Pak (jis ko qayamat tak mehfooz rakhney ka waada Allah Taala ney kia hai) main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key Zaryey pegham dia hai kia such hai kia ghalat hai? Or ye silsila waha khatam nahi hua balkey ap dekh saktey hain key Shia Hazrat bhi bohat sarey apney Aqaid ko sahi sabit kerney key liyain essi mohtaram Hastion ki books or un key hawaley deytey hain jo na sirif Shia Hazrat key liyain Mohtaram hain balkey Ehley Sunnat key liyain bhi mohtaram hain. Kia in Shia Hazrat ki books main diey hoey Mohtaram Hastion key hawalon key mutabiq humain Shia Hazrat key Aqeedey ko bhi qabool kerna chahiey ? kio key ye batain Shia Hazrat key mutabiq Muqadas Hastion key irshadat hain or ye Muqadas Hastiyan humarey liyain bhi intehai qabil-e-Ehtaram hain. Sirif ek book hai jo humara eman hai key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key dor-e-Mubarak sey ley ker aaj tak bagher kisi zair-o-zabar ki ghalti key aaj bhi na sirif humarey pas balkey sari dunia main mojood hai jo key Allah Taala ka ek moijza hai. Issi liyain hi ye sawalat ki attachment apkey pas hai key jab sarey log mukhtalif Buzrugan-e-Deen ki books key hawalon sey or ek hi Quraan Pak or sab key pas ek hi Ahadees Pak key Hawalon sey apney Aqaid ko durust sabit karay or Quraan Pak or Ahadees Pak wo Buzrugan-e-Deen key hawaley sab key liayin qabil-e-ehtaram hoon to phir such or ghalat ka faisla kesey ho? is ko in sari baton ko zehan main rakh ker perhain or sochain phir jawabat inyat farmaey . or rehgai bat dekh ker belive kerna ki to is waqat bat horahi hai jo aqeedey Pakistan or India main nazar atey hain wo Arab country main ya or dunia ki country main azar kio nahi aatey? ager poori dunia main barelvi aqeedey key log hain ? to issi tarha nazar ana chahiey jesey Pakistan or India main nazar atey hain ?
  4. ap bat ko ghoom phir ker ussi topic per ley aatey hain key Deobandi Toheen-e-Risalat key murtakib hain. ye humarey sawal ka jawab nahi hai kio key hum ney ap sey bar bar ek hi bat keh rahy hain or ap bat ko ghoom phir ker issi topic per aajtey hain. apko kaha hey key in baton key Jawabat Ulama-edeoband dey chukey hain apko book ka refrence dey dain gey. deobandi bhi Khatam-e-Nabowat per eman rakhtey hain or Qdyanion key liyain hi Tahreek-eKhatam-e Nabuwwat chali thi shayad ap Molana Yousuf Ludhyanwi sahib sey waqif hoon. or Qadyani ager Khatam-e-Nabuwwat key munkir hain to wo is sey ikhtalaf nahi rakhtey key hum Khatam-e-Nabuwwat per eman rakhtey hain or na hi unhon ney koi tanzeem bani KHatam-e-Nabuwwat ki, wo apney qool-ofail sey apni bat per qaim hain. kher hum ney kaha ye bat mozoo sey hat ker hai is dafa eaitrazart key jawabat kafi hain hum sab key jawabat dain gey mager ahista ahista bhai jaan issi liyain hi apko sawal pesh kia hai mager ap pata nahi koi sawal sey hatna chah rahy hain? issi liyain apko ek mukhtalif sawal pesh kia hai kio key jo batin ap kerna chah rahey hain humain pata hai key is mozoo per bohat baat hochuki hai sab apney apney moaqif per qaim hain or ye faisla nahi hota kia sahi hai kia ghalat hai issi liyain hi ye sawal apkey samney pesh hai
  5. hum ye baar baar keh rahy hain key likhi hoi bataon or amali tor per honey main bohat faraq hota hai.likhi hoi batain ager aap amli dekha sakey to..... humain Intezar hai
  6. Ager Arbi Ulama Barailvi Aqeedey rakhtey hoon to humara sawal hi khatam hojey ga or humain humara jawab mil jaey ga. pls sabit kary? or rahi bat apkey fatwey ki to bhai ap ye hi kahna chahh rahy they key "jin logon ko pata hai wo namaz perhtey hain to phir masla hai ager jin ko nahi pata hai wo namaz perhleytey hain to ALlah Taala ki taraf sey rehmat ki umeed hai key wo ek kafir key bhi peechay namaz ko qabol kerney wala hai? ap sirif apney aqeedey ki taraf sey soch key ya apney aqeedey ki nazar sey jawab deney ki koshish ker rahy hain. ager ap is maamaley ko is nazar sey dekhain key ye kessey mumkin hain key Allah Taala apney Markazi gher main essey Kafir ko rkhah hua hai? kia essa to nahi ye Allah ki taraf sey Taeed ho key ye log Kafir nahi hain? hum ney ap sey sawal kia tha kia 1400 saal ki history main essi koi misal dekhasaktey hain key jab Allah Taala key markazi gher main kisi Kafir ney itney taweel arsey qabza kia ho ? ager ye such hota key pori dunia ki nazar main or tamam MAzahib ki nazar main Islam ki kia ehmiat rahy gi key jab in Musalman ki markari Intazamia hi Kafir hai to hum apney Mazhhab ki sachai kesey gher Muslim ko sabit karey gey ? ap shayad jantey hoon gey key kisi bhi markar ki ehmiat poori dunia main intahai ehmiat ki hamil hotyi hai ? koi bi country ka sadar apney markaz main apni markazi kabina ya markazi mohakmon main kia ye jantey hoey key ye shhakhas mera dushman hai kia koi muluk ka sadar rakh sakta hai essi intezamia ?or jab key wo sadar mukammal baa iktayar o sadar ko jis ko cahhhey wo rakh sakta hai? jab ek maamooli sey muluk ka sadar ye ghalti nahi kerta to kia ALlah Taala jo her Ghhalti sey Paak hai kia Allahh Taala ki kia hikmat hai key 1400 saal sey kon log Allah key markazi gher main khidmat ser anjam dey rahy hain ? apko pichli post main Usman bin Talaha ka hawala dia tha key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ney Khhana-e-Kaaba ki chabian Usman bin Talaha key Hawley ki thin kia ager ye naslal is dor main aker kafir hojey gi to Allah Taala kio essi nasal ko cabian dilwata ? sochain apney zehan sey ikhtalafat ko bhula ker is nazar phir sochain or wo jawabat na dain jo log in sachai ko chupaney key liyain essey fatwey jari kertey hain . Allah Taala hum sab ko hidayat ata farmaey Ameen duaon ka talabgar Nasir Noman ap humarey jawabat ki roshni main dekhain key ap is sawal ka jawab deney main kaha tak kamiab hoey hain? ap key jawabat key muntazir rahey gey NAsir Noman
  7. Dost ye batain mozooo sey hat ker hain hum apko us book ka hhawala zaror dain gey jis book main in sarey eitrazat key jawabat mojood hain. yaha ager abhi is mozoo per bat shoro ki to ek new topic shoro hojaey ga or baat taveel hoti jaey gi or baat asal mozooo sey hat jaey gi. kio key Barailvi or Wahabi key darmiyan bohat sey mozoo hain or baat bohat hi taveel hoti jaey gi ap asal mozoo ko barqarar rakhney ki koshishh kary umeed hain ap humari bat samjh rahy honegey NAsir Noman
  8. ap saboot is tarha dainney ki koshish karain jis main amli tor per ye aqid batain ya dekhain kio key ap samjhtey hain key ye aqeedey poori dunia main hain to phir is kararon (Biilion) Muslamano main ye aqeedey dekhanaey main apko kio mushkilata aarahi hain? jo khushboo hoti hai wo batai nahi jati balkey sab ko khud hi pata chal jata hai. or ap sirif books main ye aqeedey sabit kertey rahy gey to apkey khayal main dunia key billion musalman in eham aqeedon ko sirif books main rakhey hoey hain amal nahi kartey or ager amal kertey hain to kaha hota hai ? or rahi bat bila saboot key kisi book ko Tehreef ka Ilzam laganey ki to ap batain key apkey pas kia saboot hai key Shia Hazrat ney apney Aqeedey sahhi sabit kerney key liyain jo Mubarak Hastion key Irshadat pesh kertey hain wo ghalat hain or khud sey banaey hoey hain? NAsir Noman
  9. Hazoor Sallaho ALihey Wassalam key baad KHulafa-e-Rashideen. us key baad Banu Ummiya. us key baad Banu Abbasi. uskey Baad Saltanat-e-Usmania. uskey baad Wahabi. poori history hai ager ap kahin gey to sarey Ameer Makkah key naam apko saal key sath bhej dain gey. ab ager ap ye kahin gey key Saltanat-e-Usmania Barailvi Aqidon wali thi to Usmania Turkey key they kia aap Turkey ya Iraq main kahin aaj bhi Barailvi Aqeedon key mutabiq waha Islam dekha saktey hain? kio key ager apkey mutabiq ager wo log barailvi aqeedon key mutabiq they kia aaj bhi waha barailvi aqeedey waley mojood hain? kio key unki goverment khatm zaror hoi thi mager un key aqeedon key nishan to abhi bhi baqi hona chhahiey? ek taraf apka dawa hai key Baraivi Aqeedey poori dunia main mojood hain to apko in billion barailvi aqeedon waley aqeedey poori dunai main aasani sey nazar aaney chahiey jesa key wahabi aqeedey na sirif poori dunia main nazar aatey hain balkey ap ye bhhi dekh saktey hain key 4 mukhtalif Imamo main Imam Abu Hanble key manney waley bhi wahabi nazar aatey hain. Imam Malik key bhi manney waley wahhabi aqeedon key mutabiq nazar aatey hain Imam Shafai key muslak key bhi Wahabi Aqeedon key mutabiq nazar atey hain or sab sey bari baat Imam Abu Hanifa key hi mannaey waley Dewbandi bhi Wahabiat key aqeedon key mutabiq nazar atey hain. ek ghalat hoga 2 ghalat hongey 3 ghalat hongey hatta key apkey hi Imam Abu Hanifa Rehmatullah Alihey key manney waley bhi ghalat hain? Nuqus apney under bhi hosakta ahi jis ko koi talash nahi ketrta balkey apney under key nuqus ko sari dunia main talash kertey rehey hain
  10. sawal main ye hi likha hua hai key jab ek hi zuban sey taaluq rakhney walon main kisi bat per ghalat fehmi hosakti hai,jab key ap bhi Urdu zuban waley hain or ye attachment bhi urdu zuban main likhi hoi hai. mager is key bawajood ap likhney waley ka nuqta-e-nazar nahi samjh sekey? wo khatam-e-Nabuwat key munakar hain or wo bhi khulam khulla. or Khatam-e-Nabuwat ka munkar tamam Ulama-e-kiram key nazdeek Murteed hai. or is liyain hum namaz nahi perhtey. mager pls ab ap is bat per wo hi purani baton ko na shoro kijiey ga key deobandi bhi is waja sey Murtid or kafir hain waghera waghera. ye bat ho rahi hai sawal key jawab ki ap sirif us sey mutaaliq jawab deney ki koshhish karay. NAsir Noman
  11. Assalam-o-Alikum, hum kisi bhi khas firqey sey taaluq nahi rakhtey,hum sirif ek Musalman hain, hum kisi key peechhey undha dhund taqleed key qail nahi hain.kio key Allah Taala ko humara Taqwa pohanchta hai. or hum sari MAsjid main namaz perhleytey hain,balkey aksar Namaz-e-Jumma Shah Tarab Ul Haq sahib ki Masjid main hoti hai. Assalam-o-Alikum, Hum ney essa kuch nahi kaha key humarey lehaz sey siwaey wahabi key sab Nari hain. Hum jo aqeedey sahi or ghalat ki behas ker rahy hain is ki ek khas waja hai,wo hum aakhir mian batain gey., Or age rap janna chahtey hain wo kia waja hai to hum ek link bhej rahy hain is par click kary or page no 15 sey page no 28 tak arama or tassali sey parhain phir apko samjh aey ga key hum kio ye aqeedey ki behas ker rhy hain. Link ye hai: http://picasaweb.google.com/roshnikasafer/AndhereySeyRoshniTak or rahi bat Quraan or Hadees main sawalat key jawabat ka to marey aziz dost hum kafi dafa ye samjha chukey hain jab sarey log Quraan or Ahadees.sey apney Aqaid drust sabit karty hoon to phi rap ye faisla kesey kary gey ? ap ye hi kahian gey na key is Ayat ka tarjuma ye nahi hai jo ap bata rahy hain? Is key liyain apko humari attachment key sirif 06 page perhain gey to apko ye bat samjh ajaey gi key kia is main mushkilat hain? Dost ager ap humara jawab tafseel sey perhain gey to apko ye samjh aey ga key hum ney kaha key Ikhtalafat her jaga hain Saudia main bhi hain.mager essay nahi hain jesey India or Pakistan main hain. Ap ney jin Ulama –e-Kiram key Naam diey hain ager wo sab bhi barailvi aqaid ki tarha Saudi Ulma ko Kafir qarar deytey hain to in country key log ya in Ulama-e-Kiram ko manney waley kio Saudi Ulama key peechey Namaz perhtey hain ? Hum ney pichli post main likha tha : Sirif chand 100 log hotey hain jin ko pata hai baqi sari dunia key 60 lakh logon ko is raaz ka pata nahi hai ?or ye aaj kal ki bat to nahi hai taqreeban 400 saal sey wahabiat shoro hoi thi to itney time baad bhi poori dunia key Musalman abhi tak is RAAZ ka pata nahi chala sakey key Saudi Ulama Allah or Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key Dushman hain?sirif Pakistan or India key Barailvi Ulama hi is RAAZ ka pata laga sakey hain ? Bhai ap ney jo Lebia ka hawala dia hai,us main to khud likha hai Lebia key Islam key barey main? Dosri bat Seerat-un-Nabi Sallaho Alihey Wassalam ki confarnce to Pakistan or India or bohat sarey country main bhi ki jati hain.jo wahabiat (dewbandi)sey taaluq rakhney waley bhi kerty hain. Mager ap shayad sawal samjh nahi pa rahy. Jesey Jaloos ap yaha Pakistan main dekhetey hain. Jesey gher gher Jhundey lagey jatey hain. Jesey Naat khuani ki mehfil hoti hain. Jesey Pakistan or India mian Mazarat per jo kuchh hota hai. Jesey Pakistan or India main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ko Hazir Nazir Mana Jata hai. Kia aap essi bohat sarey aqaid key sabot dekha saktey hain key Pakistan or India key alawa kin country main ye sab kuchh hota hai ? Nahi dost shayad apko koi ghalat fehmi horahi hai, Sirif 06 pages ki attachment hai ap ney kia perha kia samjha or is sirif 06 pages ka kia jawab ahi ap key pas Eh chhota sa sawal hai key : Tamam Muslamano ney apney Aqaid ki drustagi kaha sey seekhi? Yaqinan Quraan Pak or Ahadees Pak sey seekhi or is key alawa koi or dosra rasta nahi hain Islami arkaan seekhney ka. Jab her firqey key Musalmano ney apney Aqeedey Quraan Pak or Ahadees Pak sey seekha or us key bawajood ager itna bara Ikhtalaf hai to kisi na kisi key Quraan Pak or Ahadees Pak ko samjhney ka faraq hai ? Wo kia faraq hai or kis tarha hum samjh saktey hain key kis key Quraan Pak or Ahadees Pak ko samjhney ki ghalat fehmi hai us key liyain ye sirif 06 pages diey hain, Ap sirif in pages perhain baqi abhi sari batain bhool jain ye hum sirif apkey eitrazat ki wazahat ker rahy hain humara asal sawal ka jawab ka abhi tak intezar hai. Ap kisi behas main na perain sirif in 06 pages ka jawab darker hai pl sager ap sirif is ka jawab dey saktey hain to dey dain .
  12. Ap ney shayad attachment sahi sey read nahi ki,ye bohat asan or sada lafzon main likhi hoi hai,key jab ek taraf ye kaha jata hai key humarey ye aqeedey drust hain or humarey ye Aqeedey Quraan Pak ki mukhtalif Ayat sey sabit hotey hain,or phir log barey barey Burugan-e-Deen key Hawaley detey hain, Or jab dosri taraf sawal kia jata hai to udher bhi ye hi soorat-e-Haal hoti hai. Ab ye faisla kesey ho? Assalam-o-Alikum, Dost hum ney jo sawal pesh kia hai ye sawalat humarey pas pichhley 02 saal sey hain,ye ek book hai jis ka naam “Andhery sey Roshni Tak hai” jis ka link ye hai: http://picasaweb.google.com/roshnikasafer/AndhereySeyRoshniTak yaha poori book mojood hai, hum ney ye book 4 dafa Shah Tarubul Haq Qadri sahib ,03 Dafa Tahir Ul Qadri Sahib or ek dafa Molana Kokab Okarvi sahib ko bhejwa chukey hain, or bohat sarey Ulma ehley Sunnat ko bhi bhej chukey hain,or taqreban 500 sey ziada nett friend jis main Pakistan key Alawa bohat sery dosrey country key log bhi shamil hain, internet per http://nooremadinah.net(yaha Suleman Subhani admin hain in sey in sawalat key barey main pooch saktey hain inhon ney or bohat sarey doston ney challenge kia tha key jawbat dain gey mager sirif 05 days baad forum band kardi and 10 din baad jab forum open ki to ye sawalat delet kerdiey they) http://yanabi.com( yaha bhi admin sey pooch saktey hain} http://ashraf786.com (yaha sister Nomee admin hain ap un sey pooch saktey hain) bataney ka maqsad ye hai key ap ney sawal ka jawab nahi dia balkey ek alag baat shoro kerdi. Hum ye nahi kahtey key in sawalat ka jawab Ehley Sunnat key pas nahi hai hosakta hai key waqat ki kami ki waja sey ya ye book un tak na pohanchney ki waja sey Ulama Ehley Sunnat jawab na dey sakey hoon. Ager ap samjhtey hain key Molana Kokab Okarvi in sawalat ka jawab dey saktey hain to pl sap bhi koshish kijiey. Or rahi baat Molana Kokab Okarvi ki Speech sunney ka, to dost hum ney kafi book read ki hain,jis main qabil-e-Zikar Jaa Ul Haq bhi hai ap jo bhi kehna chahtey hain wo hum bohat sarey Ulma Ehley Sunnat ki books main eprh chukey hain, uskey baad hi ye sawalat pesh kiey hain kio key Is sawalat main essi bohat sari baton key jawabat bhi shamil hain age rap dehan sey perhain gey. Ap Itmenan sey tassali sey sirif 06 pages hain ap perhain or samjhain key kahney wala kia kahna chah raha hai phir is key jawab key liyain koshish karain. Ap ney sahi kaha humari maaloomat to naqis hain hi,mager hum ney apna nazar wazeh kia tha key ager poodri Dunia main Ehley Sunnat key Aqaid ko dekhna chahey to ap 2 hisson main taqseem kar saktey hain, Jin main ek taraf Barailvi Ulama hain or dosri taraf Ulama Saudia, Ulama Deobandi, Ulma Ehley Hadees. Ap ye bat kio nahi samjh pa rahy key jab her koi apney aqeedey Quraan or Hadees sey sabit kertey hain to ghalat kon hain? Apkey Khayl main 4 mashhoor Imam hain un main Barilvi Abu Hanifa key manney waley hain, To baqi Imam key manney waley apkey khayl main sab ghalat hain or sab log Wahabiat per amal ker rahy hain or Hatta key Imam Abu Hanifa Rehmatullah Alihey hi key Manney waley dewbandi bhi ghalat hain? Or ap key khayl main ager essa nahi hain to ye baat kio nahi samjh pa rahy key ye barailvi Aqaid poori Islami dunia key bohat sarey country main kio nazar nahi aatey siwaey India or Pakistan key key kuchh log Barailvi Aqaid per amal kertey or kuch log Wahabiat aqaid per amal kertey ? Kia aap bata saktey hain dunia key kon sey country hain jaha Barailvi aqeedon key mutabiq amal kia jata hai? Matlab ye key Eid Milad Un Nabi Sallaho Alihey Wassalam key jalsey jaloos or bohat bohat srey essay aqeedey jo Pakistan or India main nazar atey hain? Hum Jaa Ul Haq Kafi tafseel sey perhchukey hain, Masla to ye hi hai Barailvi ye kahtey hain, balkey ek nahi sarey Ulma Ehley Sunnat apni allag alag books main taqreeban ek hi tarha key eitrazat deytey hain, Mager issi tarha Dewbandi Ulama is ki tardeed kartey hain, Ab ye faisla kesey ho key kis ka kahna sahi hai kis ka kahna ghalat hai ? Bilkul 13hveen Sadi Sey Pehley Itney Nhin they... Yeh Jo Fitna Utha.. Iski Khabar Aaj Sey 1400 Saal Pehley Hi Dey Di Gayi Thi... Hadees-e-Najd Shayed Aap Ney Suni Hogi... IM Key Munazra Section Mein Is Hadees Najd Ko Aik Ghair Muqalid Ney Iraq Ki Taraf Sabit Kerna Chaha... Mager Baad Mein Woh Khud Phans Gaye Aur Reply Kerna Chor Diya.. Hum Inteezar Mein Hain Key Koi Wahabi Aaker Is Sahi Hadees Ko Iraq per Sabit Ker Key Apney Abdul Wahhab Najdi Ko Bacha Ley... Aur Aap Ager Jan'na Chahtey Hain Key Bazurgan-e-Deen Ka Key Kiya Aqaid They Tu Isi Forum Per Aapko Kayi Topics Mil Jayen Gey... Ager Aap Kahain Tu Aapki Aasani Key Liye Links Bhi Diye Ja Saktey Hain... Aur Recently Aik Book IslamiEducation.com Per Mojod Hai Merey Nick Name Mein Uska Title Image Mojod Hai... Siraj-ul-Hind Hazrat Shah Abdul Aziz Muhadis Dehalvi (Aleh Rahma) ... Iska Muta'aliya Kerein... Yeh Wahabi deobandi Aur Wahabi Ghair Muqalid Dono Key Nazdeek Motabar Mohadis Hain... Aap Sirf Inkey Aqaid Perh Lein Bama Hawalajat... Phir InshaAllah Aapko baqi Bhi pesh Kerein Gey Ager Aapko Zarorat Hoon Tu... Mery Aziz Dost sara masla hi ye hai key ager ap kissi bhi Buzrugan-e-Deen key hawaly dain gey to ye hi to asal masla hai,(Khuda nakhusta ap ye na samjhiey ga key Buzrugan-e-Deen ki books key mutaliq kah rahy hain ap aagey wazahat mojood hai wo perh lain phi rap samjhin gey hum kia kahna chahtey hain) Ager waqai dunia itni seedhi sadhi hoti to shayad aaj dunia main itney mazahib nazar nahi aatey. Is ki bohat sari missal hain, Ap Buzrugan-e-Deen ki books ki bat karty hain yaha to logon ney Asmani books ko bhi nahi chhora or Yahoodion ney or Essaiyon ney apni asmani books main tabdilain ki or logon ko sachai tak nahi pohanchney dia. Humari tarha hi wo log bhi insan they. Mager aaj ap dekh saktey hain aaj asal Aasmani books humarey darmiyan nahi hain. Ager kisi Buzrug Hasti sey mansoob book ko hum ye samjh lian key kio key ye book Muqadas Hasti sey Mansoob hai to bilkul sahi hogi to phir ye bat bhi samney aaey gi key bible main jo chiristen Hazrat Essa Alihey Assalam key ehkamat pesh kartey hain to wo bhi humain manna chahiey kio key wo to Hazrat Essa Alihey Assalam key ehkamat hain? Mager ye humain Allah Taala ney Quraan Pak (jis ko qayamat tak mehfooz rakhney ka waada Allah Taala ney kia hai) main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key Zaryey pegham dia hai kia such hai kia ghalat hai? Or ye silsila waha khatam nahi hua balkey ap dekh saktey hain key Shia Hazrat bhi bohat sarey apney Aqaid ko sahi sabit kerney key liyain essi mohtaram Hastion ki books or un key hawaley deytey hain jo na sirif Shia Hazrat key liyain Mohtaram hain balkey Ehley Sunnat key liyain bhi mohtaram hain. Kia in Shia Hazrat ki books main diey hoey Mohtaram Hastion key hawalon key mutabiq humain Shia Hazrat key Aqeedey ko bhi qabool kerna chahiey ? kio key ye batain Shia Hazrat key mutabiq Muqadas Hastion key irshadat hain or ye Muqadas Hastiyan humarey liyain bhi intehai qabil-e-Ehtaram hain. Sirif ek book hai jo humara eman hai key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key dor-e-Mubarak sey ley ker aaj tak bagher kisi zair-o-zabar ki ghalti key aaj bhi na sirif humarey pas balkey sari dunia main mojood hai jo key Allah Taala ka ek moijza hai. Issi liyain hi ye sawalat ki attachment apkey pas hai key jab sarey log mukhtalif Buzrugan-e-Deen ki books key hawalon sey or ek hi Quraan Pak or sab key pas ek hi Ahadees Pak key Hawalon sey apney Aqaid ko durust sabit karay or Quraan Pak or Ahadees Pak wo Buzrugan-e-Deen key hawaley sab key liayin qabil-e-ehtaram hoon to phir such or ghalat ka faisla kesey ho? is ko in sari baton ko zehan main rakh ker perhain or sochain phir jawabat inyat farmaey . Umeed hai key ab apko humara nuqta-e-nazar poori tarha wazeh hogaya hoga. Humain ap key jawab ka intezar rahy ga. Ager Koi Bandah Ghair Janibdar Ho Ker Haq Ki Talash kerey Aur Uski History Per Bhi Nazer Hoo Tu InshaAllah Ussey Haq Jan'ney Mein Mushqil Nhin Hogi... Hamarey Kuch Dost Hain Jinho Ney Waqayi Ghair Janibdar Ho Ker Mukhtalif Firqoon Ka Muta'aliya Kiya... Aaj Woh Ahle Sunnat Barelavi Maslak Per Hain... Aur Lafz Barelavi Key Barey Mein Saif ul Islam Bhayi Aapko bata Chukey Hain Key Yeh koi Naya Firqa Nhin Hai... Chonkey Humein Aisa Kaha Jata Hai Aur Aik Wali Kamil Sey Nisbat Ho Rahi Hai Is Liye Humein Apney Aapko Barelavi Kehtey Howey Koi Chirh Bhi Nhin Hai... Mager Hamarey Aqaid Ahle Sunnat wal Jamaat Waley Hain... Ager Aap Is Baat Per Discussion Kerna Chahein Tu Hum Aapko Hawalajat Sey Proof Ker Saktey Hain... Mager humarey Aziz dost humrey dada bhi Baravi maslak sey taaluq rakhtey they mager jab dosrey Ulama ki batain perhi or suni or samjhi to humarey khandan ney apney khayalat badal liey or aaj in hi sawalat ko ley ker apkey samney hazir hain. Hum apney asal sawal key jawab key muntazir hain jo attachment main mojood hai. Duaon key talabgar Nasir Noman
  13. Assalam-o-Alikum, Ap ney shayad attachment sahi sey read nahi ki,ye bohat asan or sada lafzon main likhi hoi hai,key jab ek taraf ye kaha jata hai key humarey ye aqeedey drust hain or humarey ye Aqeedey Quraan Pak ki mukhtalif Ayat sey sabit hotey hain,or phir log barey barey Burugan-e-Deen key Hawaley detey hain, Or jab dosri taraf sawal kia jata hai to udher bhi ye hi soorat-e-Haal hoti hai. Ab ye faisla kesey ho? Jab sab ney apney Aqaid Quraan Pak sey sabit kerty hain to kisi key samjh main to faraq hai kio key ager Quraan pak or Ahdees Pak key samjhney ka faraq hota to chhotey motey ikhtalafat to samjh aatey hain mager ager faraq Zameen-o-Aasman ka ban jaey to humarey khayal main is ko samjhna itna mushkil nahi. Us key liyain hi ye sawal pesh kia hai? Ager ap ye kahtey hain key poori dunia main Brelvi Aqaid walon ki aksaryat hai. To ye sochain key ye jo Ikhtalafat jo Pakistan or India main nazar aatey hain essay hi Ikhtalafat sari dunia main nazar aaney chahiey? Hum ney Malaysia dekha hai waha 100% Saudi Ulama ko follow kertey hain, Or bhi bohat sarey Islami dunia key log taqreeban 100% wohi Aqeedey follow kertey hain, Or ager ap kehtey hain key hum ghalat kahtey hain to ye batain key Barelvi Ulama ye kahtey hain key Saudi Ulma key peechhey Namaz nahi hoti, Ager ap kabhi Haj per gaey hoon ya kisi esey sahib jo kabhi Haj per gaey hoon un sey poochain key taqreeban 60 lakh Musalman hotey hain dunia bher key, mager sirif chand 100 Baraelvi Musalman hotey hain jo Saudi Ulma key peechey Namaz nahi perhty. To ap ye batain ya to sarey Muslaman barailvi Aqaid key nahi hain ya phir ager ap key hi mutabiq un main sey ziada tar Barailvi Aqaid key log hain to ager wo Muslaman Saudi Ulma key peechhey Namaz perhtey hain to is tareeqey sey un ki Namaz nahi hoti or ager Namaz nahi hoti to un ka Haj kesey hosakta hai? Is ka matlab ye nahi hua key poori dunia key Musalmano key Haj nahi horahey ager ap key Mutabiq poori dunia key Musalman Barailvi Aqeedey key hain? apkey khayal main poori Saudi arab ki qoom main koi bhi essa bahadur nahi hai jo Islam key in eham mamlat key liyain apni government sey Ikhtalaf ker sakey?or poora Saudi Arab undha dhund Wahabiat per amal kar raha hai? Ager apka jawab ye hai key “essa nahi hai” to please ye batain key Saudi Arab key kon si jaga main Pakistan and India waley Ikhtalafat hain? Yaani Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ko Hazir Nazir mana jata hai? Ya kon si Masjid main Azan sey pehley Salat-o-Salam perha jata hai? Ya Eid Milad Un Nabi Sallaho Alihey Wassalam per jhundhey lagaey jatey hain jaloos nikaley jatey hain? Ya issi tarha key beshumar Ikhtalafat jo Pak-oHind main paey jatey hain waha ya poori dunia main kio nahi nazar atey ? Ap shyad humari bat ghalat samjh rahy hain, Humara maqsad ye nahi hai key sirif Arab key log hi drust hain or baqi sari dunia ghalat hai, pori dunia main Ehley Sunnat main Aqaid key jo barey Ikhtalafat hain unko do hisson main taqseem kia hai,(Jo aap dekh saktey hain key ek Taraf Saudi Ulama,Dewbandi or Ehley Hadees hain jin main bhi apas main Ikhtalafat hain mager Aqaid key Nuqta-e-Nazar sey apas main Ittefaq rakhtey hain or dosri taraf humarey Barailvi Ulma Hazrat hain) Apko itney aasan lafzon main samjhya hai key Quraan Pak or Ahdees pak ko samjhney key baad ager chhotey ikhtalafat hotey to samjh aatey hain mager jab Ikhtalafat zameen-oAasman ka faraq hota hai to phir ye faisla ker neykey liyain hi sawal pesh kia hai, Ye jo ooper ap ney Buzrug Hastion key Naam Mubarak diey hain ap ager tareekh utha ker perhain to in Buzurgan-e-Deen key Ikhtalfat itney barey nahi they, Ap ye keha chahtey hain key ye ikhtalafat jo aaj kal humarey darmian hain in Burugan-e-Deen key dor main bhi they? To apki maloomat ghalat hain. Musalmano main Ikhtalafat her dor main rahey hain mager essey Ikhtalafat nahi jo aaj ek hi Imam Abu Hanifa Rehmatullah Alihey key manney walon key darmian hain(Matlab Dewbandi and Barailvi) itni lambi tafseel sey likhey ka maqsad hi ye hai key hum un sawalat ka jawab talash kar sakey jo humain confuz kartey hain.ye humari koshishi hai.kio key hum kisi per bhi undha dhund taqleed key qaail nahi hain,hum samjhtey hain key zid kerna shitan ka amal hai or apney dil main gunjaish rakhni chahiey takey kisi dosrey ki bat bhi sun or samjh sakain.Hum humesha Allah sey dua kerty hain key Allah Taala humain Hidayat ata farmey Ameen. Nasir Noman
  14. Assalam-o-ALikum ye sari batain jo ap ney batai hain ye hum Jaa ul Haq main bohat tafseel sey perh chukey hain, or issi tarha dewbandi ney apni jin books main in baton ki wazahat ki hai wo bhi perh chukey hain. or yaqinan Saudi Ulma key pas bhi in key bohat sarey essey jawabat hongey,kio key essa to nahi sarey Saudi bas undha dhund Wahabi ki Taqleed kerty hongey, humara sawal to ye hi hai key ager sab ye hi kehtey hain to ghalat kon hai ? is key liyain hum ney 6 pages attached kiey hain mager is post main nahi hosakey or is key baad jo dosri same post hai us main mojood hai, usko dehan sey pehain koi bat miss nahi kijey ga or achhi tarha samjh ker jawab dijey ga, humain Intezar rahy ga Nasir Noman
  15. Assalam-o-Alikum, Hum apki main new hain,or aaj pehli post ker rahy hain,mager ye post essi hai jis sey hosakta hai bohat sey logon ko achhi na lagey,mager hum koshish karey gey mukhtasir lafzon main apna is post ka bohat eham maqsad batain gey, Aaj Pakistan or India main aqaid key itney barey barey ikhtalafat hain kia hum ney kabhi socha hai key is ka koi hal hai? Kia aap ney kabhi socha key ye aaqaid key ikhtalafat humain kaha ley ker jarahy hain or in ikhtalafat sey aalam Islam ko kin khatrat ka samna hai? Jis firqey sey aqaid key ikhtalafat key barey main sawal karey to apko jawabat Quraan Pak or Ahadees Pak key reference sey hi dain gey,or apko sab ki batain hi sahi lagey gi, kio key inkar kerty hoey apko ye dar hoga kahin ap anjaney main kisi Quraan Pak ya Ahadees pak ko jhutlaney key gaunahgar ban saktey hain. Issi liyain ye ikhtalafat itney pecheeda hotey gaey jo aahista aahista ek nafrat ka roop dhartey gaey, Islam key kisi bhi firqey ney apney apney aqaid ki drustagi kaha sey seekhi? Yaqinan Quraan Pak or Ahadees Pak sey hi seekhi, Is key alawa koi or rasta to nahi hai? Ab ek hi sab key pas Quraan Pak or sab key pas ek hi Ahadees mubarka or phir bhi itney shaded ikhtalafat ? Kahin koi to ghalati per hai ?kio key chhotey motey ikhtalafat to samajh main aatey hain mager ager faraq zameen or aasmaan ka hojey to humarey khayal main is faraq ko pakarna itna mushkil nahi jitna aaj kal log ulajh gaey hain key kon drust hai kon ghalat hai? pls dehan sey poori akhir tak sawal perhain or samjh ker phir ap log apni raaey dain humain apkey jawab ka intezar rahy ga NAsir Noman
  16. Assalam-o-Alikum, Hum apki main new hain,or aaj pehli post ker rahy hain,mager ye post essi hai jis sey hosakta hai bohat sey logon ko achhi na lagey,mager hum koshish karey gey mukhtasir lafzon main apna is post ka bohat eham maqsad batain gey, Aaj Pakistan or India main aqaid key itney barey barey ikhtalafat hain kia hum ney kabhi socha hai key is ka koi hal hai? Kia aap ney kabhi socha key ye aaqaid key ikhtalafat humain kaha ley ker jarahy hain or in ikhtalafat sey aalam Islam ko kin khatrat ka samna hai? Jis firqey sey aqaid key ikhtalafat key barey main sawal karey to apko jawabat Quraan Pak or Ahadees Pak key reference sey hi dain gey,or apko sab ki batain hi sahi lagey gi, kio key inkar kerty hoey apko ye dar hoga kahin ap anjaney main kisi Quraan Pak ya Ahadees pak ko jhutlaney key gaunahgar ban saktey hain. Issi liyain ye ikhtalafat itney pecheeda hotey gaey jo aahista aahista ek nafrat ka roop dhartey gaey, Islam key kisi bhi firqey ney apney apney aqaid ki drustagi kaha sey seekhi? Yaqinan Quraan Pak or Ahadees Pak sey hi seekhi, Is key alawa koi or rasta to nahi hai? Ab ek hi sab key pas Quraan Pak or sab key pas ek hi Ahadees mubarka or phir bhi itney shaded ikhtalafat ? Kahin koi to ghalati per hai ?kio key chhotey motey ikhtalafat to samajh main aatey hain mager ager faraq zameen or aasmaan ka hojey to humarey khayal main is faraq ko pakarna itna mushkil nahi jitna aaj kal log ulajh gaey hain key kon drust hai kon ghalat hai? pls dehan sey poori akhir tak sawal perhain or samjh ker phir ap log apni raaey dain humain apkey jawab ka intezar rahy ga NAsir Noman
×
×
  • Create New...