Jump to content

Raza ka ghulam

Members
  • Posts

    130
  • Joined

  • Last visited

  • Days Won

    2

Raza ka ghulam last won the day on July 14 2015

Raza ka ghulam had the most liked content!

About Raza ka ghulam

Recent Profile Visitors

14,432 profile views

Raza ka ghulam's Achievements

Collaborator

Collaborator (7/14)

  • First Post
  • Collaborator
  • Conversation Starter
  • Week One Done
  • One Month Later

Recent Badges

4

Reputation

  1. Aap Hazraat ka bahut bahut Shukriya. Allahutala Aap Hazraat ko Jaza-e-Khair Dein. Ameen.
  2. Muje kuch hadith aur quraan ke hawaale chahiye jis se sabit ho ke Fateha delana jaiz hai aur sawaab ka kaam hai aur Fateha kiya saamne rakh kar delana Quraan u Hadith se sabit hai kiya aur Isaal-e-Sawaab kiya murdoun ko pahounch ta hai. In Sab par muje jitne bhi Quraan ki Ayaat aur Hadith hai sab ke hawale ke saat chahiye. Ya phir Kisi ne aisi book likhi jis main Hadith aur Quraan se sabit kiya gaya hai ke Fateh dena aur Saamne rakh kar dena jaiz hai tu muje us ki Download ki Link Bhejiyega. Please Muje Jald se Jald is ka jawaab chahiye Main aap logoun ke Reply ka intezaar karounga. Jazakallahu Khaira.
  3. , Aap logoun ne bahut achchi sharing ki hai.
  4. , , Mudasir bhai aap ne bahut hi achchi aur bahut hi important information share ki hai shukriya. Aaj ke zamaane main aisi cheezoun ko yani apne buzrugoun ke qa'oul ko zahir karne ki bahut zaroorat hai kiyoun ke aaj ke logoun ko ilm tu kuch nahi hai magar wo apne aap ko hi sab kuch samajte hain aur Maslak-e-Alahazrat ko bhool jate hain ke maslak-e-Alahazrat kiya hai ye koi naya maslak hai. Aap ne babhut achcha kaam kiya hai Allahutala aap ko din Giyarwi aur raat barwi taraqqi ata farmaye.
  5. 1. Agar Imam e Azam ke maane wale yani hanafi ke pihche dosre 3 imam ke maane waloun ki namaaz ho jaye gi . Magar hanafi ki namaaz in 3 ke pihche nahi hogi. Aur imam e Kaba ke pihche namaaz nahi hogi alag padna hoga ya alag jamaat bana ke sahi imam ke pihche padiye. kiyoun ke wahan par jo imam hai wo imam e Shafi ke maane wale hai sahed. Tu wahan par aap ko alag namaaz padni hai ye yaad rakhye. 2. Is main maine tu sirf aalimoun se suna hai aur fatwa bhi dekha hai main is par hadees nahi padi isliye main aap ko hadees ke barey main tu nahi bata sakta AGAR KISI ISLAMI BHAI KE PASS HAI TO PLS SHARE KAREIN. Paint fold kar ke padna makru-e-tehreemi hai isliye Namaaz daurani padegi. Aur taqne ke neeche tak agar hai paint tu waise hi chod dein namaaz hojaye gi ye Makru-e-tanzeemi hai.is se namaaz hojati hai. Ye masla mujeh maloom tha main ne aap ko bata diya. Agar phir bhi aap ko kuch samaj na aaye tu aap sawaal kar sakte hain.
  6. 1. Isliye ke wo logoun ka tariqa alag hai aur apna tariqa alag hai har fiqahi masle main ekhtelaf hai is liye un ke piche namaaz nahi pad sakte. G dono hi nahi balke 4 imamoun ko maane wale sab sahi hain aur sab Ahlesunnat hi hain magar in char imamoun ki bich kai fiqahi masle main ikhtelaafaat hain jaise ke ek imam ke nazdeek pure sarka masah karna zaroori hai aur ek imam ke nazdeek sirf kuch baal jhoone se masah hojata hai aur Apne imam ka masla ye hai ke chohtaye sar ka masah karne se masah hota hai. Tu ab aap bataye ke jab tak chohtaye sar ka masah na karein wazu na hoga tu wo imam ke maane wale sirf kuch baal ko cho lein to un ka tu wazu hogaya magar hamare nazdeek un ka wazu hi nahi howa tu jis ka wazu hi nahi howa us ki namaaz kaise hogi aur imam ki hi namaaz na hoto muqtadi ki kaise hogi. Isi tarha kai masloun main ikhtelaaf hai. ye hi wajah hai ke un ke pehche namaaz nahi hoti. 2. Nahi bhai aap check karein waha koi tu hoga Dawat-e-Islami wale kiyoun ke ye kai mulkoun main hain taqreeban 50 ya 60 tu wahan bhi hounge. Waise aap kahan rehte hain. 3. Jahan par Imam sahi na ho tu wahan namaaz na pade jamaat ke saat , Alag ghar par hi ada karein ho jayegi. UMEED KARTA HOUN KE AAP SAMAJ GAYE HOUNGE. AGAR KUCH AUR SAWALAAT HAIN TU PUCH SAKTE HAIN. AGAR KISI BHAI KO MERE IN REPLY MAIN ISLAH KI ZAROORAT LAGE TO ZAROOR KIJIYEGA.
  7. Main ne Barkaati bhai ka pura jawaab pada bahut hi achcha jawaab diya hai main un ke jawaab se sahmat hon. Ab aap sub logoun ki is main suggestion dein to achcha hoga ke kiya sahi hai kiya ghalat hai. Shahed aap logoun ko bhi pata hoga ke jab se ye Madani Channel shuru howa hai Tab se Ameer-e-Ahlesunnat par logoun ke sawaal bade gaye hain aur kayi loog ab is baaat ka sahara le kar Dawat-e-Islami ko ghalat sabit kar rahe hain. Isi liye Ye jo channel shuru kiya gaya hai ye sahi nahi howa aur pehle bhi tu audio sun kar loog amal karte the magar aab video dekh kar kai logoun ke diloun main sawaalaat paida hogaye hain. Main bhi Barkaati bhai ki baat se sahmat houn. Aur jo is book main ulama-e-Ikraam ka name lekar bataya gaya hai ye bahut ghalat kiya hai book ke writer ne jis ne bhi likha hai us se keh kar wo ibaraat ko nikaale is liye ke sunchne ki baat hai ke wo jo security camere hote hain Air port par tu wo Government ki taraf se hain us par un ulama-e-Ikraam ka control nahi hota. Tu is baat ko book main daal kar kiya sabit karna chahte hain ke wo loog bhi video lete hain ye bahut bahut ghalat kiya hai. Meri is baaat par ga'ur kar ke meri ye ilteja book ke writer taak pouncha dein to maherbaani hogi. JAZAKALLAHU KHAIRA.
  8. Khair Mubarak JAZAKALLAHU KHAIRA for shairing very nice information.
  9. QADIM-E-RAZA aap ka is Forum main wel come (khush aamdeed karta houn) Qadim jis ke bane hain aap wo nisbat bade piyaari hai hum sab ko Maslak-e-Haq yani Maslak-e-Alahazrat par qayam rehne ki taufeeq ata farmaye. Aameen. Aur aap is Forum se bahut se maloomaat hasil kareinge. .
×
×
  • Create New...