Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! aap yahan say bhi un ki books pard saktay hain, http://www.dawateislami.net/book/bookHome.do#section:writer_0.0 http://library.faizaneattar.net/index.php
  2. jawab kay liey shukrya! yani keh jo aaj kay zamanay mein Barelvi hai wohi sunni aur Ahlesunnat wal jamat mein say hai aur jitney bhi firqay is kay ilawa hain wo sab na to sunni aur na hi ahlesunnat wal jamat mein say hain? kya mein sahi samja hoon? maslak aur fiqah mein kya farq hai? kya yeh 2 alehda cheezein hain? yeh bhi samjaiey keh al'a hazrat nay jo fatwa diya hai keh kaprey fold karney say namaz makroo-e-tehreemi ho jati hai, kya aissa Nabi Paak salalahou alehi wasalam nay ya un kay sahaba karam nay aissa faramaya tha keh aissa karney say namaz makroo--e-tehreemi ho jati hai? ya aissa kya imam-e-azam abu hanifa radhi allah tallah unhou nay aissa fatwa diya tha keh kaprey fold karney say namaz makroo-e-tehreemi ho jati hai? [/size]
  3. Allah Azwajal maaf karey agar kuch likhanay mein koi khata ho jaey, ameen, ek baat ki mujhey samajh nahi ati, hum to hanafi hain to phir hum al'a hazrat rehmatullah alehi ki pervi kiyon kartey hain? hum apney ap ko barelvi kyon kehtey hain? kya barelvion ka maslak Imam-e-Azam Abu Hanifa radhi allah talla unhou kay maslak say alehda hai? aksar jab koi masla poochana ho to jawaban iss tarah samjaya jata hai keh al'a hazrat rematullah alehi kay mutabiq falan kaam makroo, najayz, mustakhib ya hai wagaira wagaira, hum jawaban seeda seeda kyon nahi kehtay keh imam-e-azam radhi allah tallah unho kay nazdeeq yeh kaam iss tarah hai aur yeh is tarah? maslan, al'a hazrat rematullah alehi kay nazdeeq namaz mein kaprey fold karna makrooh-e-tehreemi hai to kya imam-e-azam radhi allah tallah unho nay kaprey fold karnay ko makrooh-e-tehreemi likha hai? umeed hai keh aap mera sawal samajh gaey hongay, Allah Azwajal maaf karey agar koi likhaney, samjaney mein koi galti ho gai ho, ameen
  4. Bismillah

    Sag-e-Attar kehna kaissa hai?

    kya koi bata sakta hai keh Sag-e-attar kehna kaisa hai aur iss kay kya maani hain?
  5. subkhallah mashallah jazakallahou khaira!
  6. waissey bhi aap to Babul Madina Karachi kay rehnay waley maloom hotey hain to aap wahan kay dawateislami kay muftian-e-karaam say kyon nahi pooch laitey, merey khial say aissa karney say aapko behtreen jawab mil jaey ga kyon keh yahan pe to yaqeenan koi bhi mufti nahi hai. beherhal mujhe kuch kehney sunanay mein galti ho gai ho to maaf kijiey ga.
  7. Aap is link par click kijiey aur ek vcd ki downloading shuru ho jaey gi jis ka size ghaliban 201Mb hai, aur is VCD ka naam hai << [/size]Mufti-e-Dawate-islami ki jab Qabar Khuli>>. iss mein ek mufti saab ko dafnaya gaya tha aaj say taqreeban 3 saal pehlay aur iss saal jab unki Qabar khuli to un ka jism bilkul sahi salamat tha aur un kay sar par Sabz Sabz Imama Sharif Bhi Tha. . Aap iss link par bhi click karein keh iss mein mufti saab nay aap kay sawal kay mutaliq ek sawal ka jawab diya hai jiss ko sunanay kay baad yaqeenan aapko samjh a jaey gi. <<Qabar main Imama>> agar mujhe kuch samjaney ya samjaney ya likhaney main koi ghalti ho gai ho to main allah azwajal say mafi mangata hoon keh allah azwajal mujhe maaf farmaey, ameen duaoon mein yaad rakhiey ga, jazakallahou khaira!
  8. is album ki naaton ki list' Ali Haq Ali <LI>Allah Allah Unka Karam <LI>Aye Sabz Gunbad Wale <LI>Chand se unke Chehre <LI>Chooma Daraz-e-o Sama <LI>Hum Khaak Hain <LI>Imdad Kun <LI>Karam Mangta Hon <LI>Mile Hain Khaak say <LI>Saeyadi Anta Habibi <LI>Wichore De
  9. Bismillah

    Karam mangata hoon

    owais raza qadri ka jo naya album hai Karam Mangata Hoon, kya koi bata sakta hai keh iss album ki naatein kiss nay likhin? bilhasoos Ali Haq Ali, kya yeh sari naatein Ala hazrat ki likhi hui hain?
  10. doosra sawal yeh hai keh, kya aurtein owais qadri ya aur naat khawan ki naatein tv aur internet ya cd ya casset kay zariey sun sakti hain? yani keh naatein sun sakti hain?
  11. Bismillah

    Abdul Rauf Raufi Naats

    Abdul Rauf Raufi saab jo k naat khawan hain, wo aksar apni naaton kay saath duff ya kuch is tarah ki sound wala ala istimaal kartey hain, kya koi bata sakta hai keh un ki iss tarah duff kay saath pari hui naatein sunana jaiz hai ya nahi? jawab kay liey shukrya![/size]
  12. kya mazi kharij honey say roza toot jata hai? jazakallahou Khaira!
  13. Bismillah

    Ghusal Kay Barey Mein Sawal

    bahar-e-shariat mein yeh masla likha hua hai, masla number 10, is say kya murad hai? meri maloomat kay mutabiq to mazi say ghusal wajib nahi hota balqay mani say ghusal wajib ya fariz hota hai, kya koi mujhe explain kar sakta hai?, shukrya
  14. Bismillah

    yeh kitaab chahiey

    madni panjsura
  15. Kya koi confirm kar sakta hai keh Imam-e-Azam Abu Hanifa Radi allah tallah unhou ko kitney sahaba-e-karam(allah ki un par rehmat ho) ki ziarat hui? aur aap radi allah talla unhou ne kitney sahaba-e-karaam(allah ki un par rehmat ho) say hadeesein naqal farmaein ? aur aissey hi baqi kay jo 3 Aeima-e-karam(Allah tallah ki un par rehmat ho) hain un kay barey mein bhi in sawalon ko mad-e-nazar rakhatey huey jawab irshaad farma dijiey AGAR KISSI KO SAHI PATA HO TO. Jazakallahou Khaira!
  16. Zaid yeh samjata tha keh rozey ki halat mein Aehtelaam honey say roza too jata hai, to ek din zaid rozay ki halat mein so raha tha keh usey ganday kism kay khialat aey aur kuch hi deer baad mani kharij ho gai(yani aehtelaam ho gaya). zaid ko laga keh roza toot gaya hai aur ghusal bhi wajib ho gaya hai, zaid ko thora bohat nazla bhi laga hua tha aur us nay socha keh ab aehtelaam ki wajah say roza to toot gaya hai chalo daant brush kartey hain keh jo jaraseem hain danton mein wo nikal jaey aur nazley ka kuch asar kam ho, aur zaid nay aissa hi kya aur toothpast ki aur us kay baad ghusal kya, yani keh ghusal kay 3 faraiz pooray kiey, kyon keh usey namaz parni thi aur ghusal to karna hi tha. zaid jab namaz pard kar wapis aya aur us nay Mufti Akmal Saab ka roza tornay kay mutaliq program dobara dekha aur wahan say zaid ko pata chala keh Ahtelaam ho janey ki soorat mein roza nahi tootata jab keh ghusal wajib ho jata hai. zaid pareshaan ho gaya keh kaash pehley hi is masley ko ghaur say samjh liya hota aur pata chal jata keh aehtelaam ki soorat mein roza nahi toota to na main toothpast karta aur na kuli aur naak mein pani charata. Ab zaid ka aap hazraat say yeh sawal hai keh is situation ko parney aur samajney kay baad koi confirm kar sakta hai keh roza uska toot gaya ya abhi bhi baqi hai? Agar aap ko Mufti akmal saab ka wo ahkam-e-shariat wala program dekhana hai to is link par click karein jis mein mufti saab nay poori detail kay saath bataya hai keh kin cheezon say roza tootata hai aur kin cheezon say roza nahi tootata. aehtelaam kay barey mein unhon nay Part 2 mein taqreeban 7 minut kay baad bataya hai. beherhaal aap log yeh pooray dono parts dekhiey aur bataiey. shukrya! Zaid nay yeh program pehlay bhi dekha tha lekin zaid ko is mein say yeh samjh aei thi keh aehtelaam ki surat main roza toot jata hai. wo to dobara dekhaney kay baad pata chala. Ahkam e Shariat Related to Ramdan Shareef (1 of 2) Ahkam e Shariat Related to Ramdan Shareef ( 2 of 2) [/size][/size]
  17. Bismillah

    Bahar-e-Shariat

    Bahar-e-Shariat kiss nay likhi hai aur iss kitaab kay kitney hissay hain?
×
×
  • Create New...