Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. aap ne kaha k Sallay bhi pard saktey hain aur Sali bhi, yeh kya baat hui bala, ab jo lafz ka mukharij nikalta hai, usey waissa hi parna ho ga na? aap is link mein dekhiey ke Qari saab T k uper Pesh ko Tou kar k pard rahey hai aur Laam Zeer ko Li, Link of Bay Zeer Bi, Tay Zeer Ti,
  2. bohat bohat shukrya janab! lekin jab ghar mein dakhil hotey hain to pehley konsa paon(foot) rakhatey hain aur ghar se bahir jatey waqat konsa paon pehley bahir nikaltey hain?
  3. Bismillah

    ghar mein aney janey ki sunnatein

    Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! kya koi mujhe ghar mein aney janey ki sunnatein bata sakta hai, keh ghar mein dakhal hotey waqat konsa paon pehley rakhna chahiey aur bahir jatey waqat konsa paon pehley nikalna chahiey? aisey hi bathroom ki sunnatein.
  4. Bismillah

    Namaz mein kapdon aur degar masail

    mein Canada, Montreal mein rehta hoon, hamarey ghar k paas jo musalah (Masjid) hai mein us mein namaz parney jata hoon, wahan par kuch namazi Maliki hotey hain aur kuch namazi Hanafi hotey hain, Is musalah mein jitne bhi log atey hain na to un mein se koi mufti hai, na hi koi bada alim aur na hi koi Hafiz-e-Quran, bas chand log ek Musalah(masjid) mein akathey ho jatey hain namaz parney k liey, aur na hi yahan par koi imam fix kiya ja sakta hai, lehaza kabhi imamat koi Hanafi kara leta hai aur kabhi koi Maliki aur aam tor par azan hanafi deta hai, aur am tor par Imamat ek Maliki karata hai, maliki jo hotey hain wo amtor par sar par topi nahin pehantey namaz mein (shaed is liey k Imam Malilk k lihaz se un ki namaz bina topi ke bhi ho jati hai) aur agar un ki pant lambi ho to usey neechey se fold bhi kar letey hain ta' k un ki pant takhnon se neechey na ho, aur wo log merey khial se Morocco se hain. main ek hanafi hoon, aur maine para hai k agar kaprey neechey se ya uper se fold hon to namaz par Kirahitey-Tehreemi lazam aeygi, yani k namaz dobara parni ho gi. 1. ab aissi jaga pe agar imam koi maliki ho aur wo kaprey fold kar k ya phir bina sar ki topi k jamat karata hai to us k peechey pari gai namaz ho jaey gi ya dobara parni ho gi? agar ho jaegi to theek hai aur agar dobara na pardi jaey to gunnah to nahi? 2. ab iss musala(masjid) mein taqreeban har namaza k liey kabhi 5 admi atey hain aur kabhi aissey hi 8, aur kabhi 15 k qareeb jin mein kuch hanafi aur kuch maliki. is liey imamat kabhi koi hanafi aur kabhi koi maliki karata hai, aissi situation mein pari hui namaz ho jaey gi ya nahi. 3. ek fatawey mein yeh bhi hai keh, agar koi maliki imam hanafi mazhab ki riaayat karta ho to us k peechey namaz parna jaiez hai, ab agar meri situation mein yeh na maloom ho keh maliki jo k imamat kara raha hai wo hanafion ki riaayat karta hai ke nahi, to kya karen? aur waissey riaayat se kya murad hai? 4. ab agar meri is situation k mutabiq aap kehtey hain keh jo namaz maine kissi malilki k peechey pari thi usey dobara parna ho ga, to dobara parney ki bajaey agar mein akeley par loon to kaissa hai? 5.yahi baat meine masjid mein se kissi admi se poochi jo k hanafi hai aur is musallah mein ata hai bachon ko quran ka sabaq paraney aur log unhen imam bhi keh kar pukartey hain, aur wo jummah ki imamat bhi karatey hain, unhon ne kaha keh, hamarey musllaha k mutabiq, unhon ne kaha ke agar imam k kaprey fold bhi hon, chahey wo maliki ho ya hanafi, phir bhi un peechey pari gai namaz ho jaey gi kyon k daddi, kaprey, yeh imam ki sharait mein se nahi hain. 6. meri situation k mutabiq, iss musalah mein, jahan par har namaz k waqat taqreeban 2 se lekar 15 k qareeb log atey hain wahan par jab koi hanafi imamat karata hai aur us ne apne kaprey takhnon se uper rakhaney k liey neechey se fold kiye hon ya phir naley ki jaga se fold kiey hon, to us k peechey pari gai namaz dobara parni ho gi ya nahi, agar nahi to theek hai agar han to agar wo namaz dobara na pari jaey to gunnah to nahi? mujhe in sawalon ka jawab tafseel se, kissi hadees ya fatawey ke tehad chahiey, agar koi apney is bhai ki mushkil ko hal karna chahta hai to. bohat shukrya!
  5. Kya koi mujhe aissi hadees aur fatawey ki links de sakta hai jis se yeh sabit hota ho keh kapredy chahey uper se fold hon ya neechey se, namaz dobara parni hogi. its urgent for me, thanks for ur efforts!
  6. kya koi confirm kar sakta hai k yeh sab kissi hadees se sabit hai?
  7. Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! Arbi zaban mein jab Laam k neechey zear a jaey to usey Lee para jata hai jaissa k hum urdu mein kehtey hain, Gilli Mitti, issi tara jab Arbi zaban mein jab B k neechey zear ho to usey Bee para jata hai, lekin jab hum darood-e-Ibrahimi partey hain to us k shuru mein jo laam ata hai us k neechey zear hai to phir usey hum Lii ki bajaey Lay kyon partey hain, aissey hi athahiyat k shuru mein jo T ke uper pesh ati hai, usey Tou ki bajaey Tau kyion partey hain? main iss masley se kafi parishaan hoon, mujhe nahi pata mein jo namaz mein parta hoon wo sahi parta hoon ya nahi, baraey meherbani jitni jaldi ho sakey is sawal ka jawab zaroor dijiey ga, Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!
  8. can i share some hadees on this website?
  9. Bismillah

    Arbi kaissey sahi pari jati hai?

    mujhe apni sura-e-Fatiha aur aur athahiyaat, darood aur baad mein jo dua pardi jati hai wo darust karani hai, kya koi mujhe aissi audio ya video de sakta hain jisey mein sun kar pata lagaon k mein jo namaz mein parta hoon wo sahi hai ya hai, kyon k urdu mein agar T par Pesh ho to usey '' TO'' para jaey ga jaissey k hum kehtey hain '' TO KYA HUA?'' lekin arbi mein T k uper pesh ho to usey TOU para jaey ga, jaissey ke urdu mein hum kehtey hain'' TOU KAN HAI? isi taraha Athahiyaat k shuru mein jo T ati hai, us k barey mujhey confusion hain aur issi dara pouri namaz mein jo kuch para jata hai, us mein bhi mujhe bohat confusion hai, main iss masley se kafi parishaan hoon. abhi abhi meine Ameer-e-Ahlesunnat ka yeh audio jawab sunna to us mein unhon ne Athahiyaat ka zikar kya aur unhon ne Tou ko TO kaha, aur mein Tou kehta hoon, ab to confusion aur bard gai hai, Audio Jawab
  10. aapko yeh audio kahan se mili? kya wo link aap yahan pe share kar saktey hain?
  11. Subhan Allah Ghulam E Mustafa saab Aeiey zara Imaan taza kar li jiey, Naaaara-e-Takbeer! Allah HOU Akbar Naaaara-e-Risalat! Ya Rasoolala (salalaho Alehey Wasalam) Naaaara-e-Haidri! Ya Ali(Karm Allaho wajhulkareem) Naaaara-e- Ghussia! Ya Ghuass Al Azam
  12. Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! Janab Riz Danish saab, app ke jawab se maloom hota hai k aap ilm k maidan main bohat zayada peechey hain issi liey aap ne itna NON-SENSE jawab diya, jiss sawal ka jawab aap ko na maloom ho, barey meherbani khamosh rahiey, warna app kahin doosron ki gumrahi ka zaria na ban jaeny. Ameer-e-Ahlesunnat Hazrat Molana Abu Bilal Ilyaas Attar Qadri Rizawi(rehmatullah aley) khud ek qadri hain, aur qadri wo hota hai jo Hazoor Ghuass-al-Azam ka ghulam ho, aur aap yaqeenan un se zayada ilm rakhaney waley nahi hain. dont mind please!
  13. Bismillah

    sunnatein gair mo'akda ka tariqa

    sunnatein gair mo'akda aur mo'akda main kya farq hai aur parne ka tariqa kya hai?
  14. Bismillah

    Namaz k Baad ki Dua

    Wo konsi dua hai jo namaz k baad pari jaey to wo har dua se afzal hoti hai, maine kuch aissey hi sunna tha Mufti Mohammad Akmal RehmaTullahAlehey saab se, wo kuch bata rahey they k yeh dua jo hai sab se afzal hai, socha aap se pooch lon.
  15. Sahjra-e-Attariya Qadriya Razawiya se kya murad hai, jaissey k Attari, Razawi
  16. what is meaning of shrink? aur green kapra move kyon kar raha tha? aur is qabar mein jo allah ka banda tha wo recently dafnaya gaya ya kafi deer se hain wo apni qabar main?
  17. ji maine kissi se aissa hi sunna tha ke 17 maqbool hajh ka sawab milta hai, lekin main dobara un se confirm karwa loon ga, shaed mujhe hi samjane mein galti hui ho, berhal shukrya aap ke jawab ka!
  18. main darasal wo purana pakistani rupee smajta tha jo k kaghaz ka bana hua hota hai. berhaal, jo apne 1 ropey ka sikka bataya hai agar us k barabar ya us se zayada ho to tab un kapron namaz nahi pard saktey jab tak ke un ko paak na kiya jaey. ab samjh a gai hai. lekin mein hatheli wala tajurba bhi kar k dekhon ga k us par kitna pani theherta hai. bohat shukya janab!
  19. Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! is fatwey mein 1 dirham ko calulate karne ka tariqa bean kiya gaya hai, aur meri samjh main yeh aya hai keh 1 dirham 1 pakistani rupee ke barabar hota hai, lekin ropaya to bohat bada hota hai aur us ke barabar kapdon par chotey peshab ke qatrey lagey hon to zahiri baat hai k kaprey to napak ho jaen gey na, lekin mujhe lagta hai ke mujhey theek se samjh nahi ayi, to baraey meherbani koi mujhe samja de to inshallah main apni islah kar loon ga. Link for Fatwa
×
×
  • Create New...