Salam everyone!
Mera sawal kuch aisa hai jiska jawab kaafi research krne k baad bhi mujhay exact nahi mila.
Mere kuch sawal ye hai k kya biwi khawand k tamam maali maamlat mein dakhal de sakti hai ?
kya shohar apne walidein py jo paisay khrchay biwi uspr sawal kr sakti hai ?
kya har maamlay mein (maali) wo sawaal kr sakti hai ?
kya biwi shohar ki kamayi aur kharchon py sawal utha skti hai ?
e.g : apne itne paisay ghr walon ko kyun diye ?
apne ye paisay khrch krne say pehlay mujhsay baat kyun nahi ki ?
apne koi fala’n cheez kharidnay say pehlay mujhsay poocha kyun nahi