Jump to content

unknown

اراکین
  • کل پوسٹس

    84
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ unknown نے پوسٹ کیا

  1. Kya koi shaitaan ke shar se din raat bachao k liey koi wazeefa bata sakta hai, jaissa k maine sunna tha shaed keh, sura-e-Fatiha ki Akhri teen ayetein pari jaen to insaan shaitaan se 3 din tak mehfooz rehta hai. mujhe dara'asal yeh 3 aeytein zubani yaad nahi warna yahi parta,
  2. kya ap kisi kitaab ka hawala de saktey hain jis mein yeh likha ho keh doosri rakat men darood ke baad dua pard kar teesri rakat shuru karni chahiey?
  3. namaz k andher darood ke baad konsi dua parni chahiey, kya kissi namaz mein koi aur dua, aur kissi namaz mein koi aur dua pard sakty hain? jaissey k mein zuhar ki 4 sunnton mein ek dua parta hoon darood k baad aur farz mein koi aur, aur baad ke nafafil aur sunnat mein koi dua, aissa kar sakty hain kya?
  4. meri maloomat ke mutubiq to sunnatein gair mo'akda mein Qa'ada Oula ke baad sirf Darood Sharif hi partey hain, Dua nahi, aur phir khardey ho jatey hain, aur dua wo chothi raka'at khatam karne ke baad partey hain sirf 1 martaba poori 4 raka'ton mein,
  5. yeh website sunnion ki hai ya nahi? http://mufti.faizaneattar.net/
  6. Salalaho Alehey Wasalm Meri Dua hai ky Allah Azawajjal apne Pyare Habib Hazrat Muhammad Mustafa ky Waseela say app ky Father ko Sehat-e-Kamila ata farmai aur app ki tamam pareshanion ko dor farmai AMEEN! Salalaho Alehey Wasalm
  7. unknown

    farz aur wajib se kya murad hota hai?

    farz, wajib, sunnat, sunnat-e-moakda aur sunnat-e-gair moakda se kya murad hota hai? aur farz saqit se kya murad hai, jaisa k is pic mein hai.
  8. Nara-e-Takbeer, Allah Hoo Akbar Nara-e-Risalat, Ya Rasoolala Nara-e-Haidri, Ya Ali Nara-e-Ghussia, Ya Ghuass al Azam
  9. how do u know its a fake pic? please answer me?
  10. KYA ZABARDAST JAWAB DIYA JANAB AAPNE, JAZAKALLAH KHAIR! KYA AAP WO WEBSITE SHARE KAR SAKTEY HAIN JAHAN SE AAP NE YEH JAWAB LIYA TA K AYENDA KOI SAWAL HO TO WAHIN SE DHOOND LIYA JAEY?
  11. unknown

    Lafz mola ka kya matlib hota hai,

    Hum hazrat ali razi allah tallah unho k naam mubarak ke saath Mola kyon lagatey hain? halan k amtor pe Mola ka lafz Allah tallah ko pukarney ke liey istimaal hota hai
  12. unknown

    Smok on Kaaba

    is tasveer mein kya bata ja raha hai?
  13. kya tarteeb war wuzu aur ghusal karna chahiey jaissey k in link mein hain, ya phir aap ghusal karne ke baad tub se aleda ho kar sink mein naak mein pani aur kuli kar saktey hain? Ghusal http://www.lookpic.com/files/111111111.jpg Wuzu http://www.lookpic.com/files/22222222221.jpg
  14. aissa kehne se niyat ho jaey gi? main niyat karta hoon 4 rakat farz, namaz-e-zuhar, parni khaas allah tallah waste mou mera khana kaba sharif ki taraf.
  15. ghusal karte waqat pehle wuzu karna chahiey ya 3 bar kuli aur naak mein pani daal kar phir sare badan par pani dala jo k sare jism par beh gya ? ghusal mein lazmi hai k pehle kuli hi ki jaey aur naak mein pani dala jaey ya phir nahaney ke baad bhi kuli kar aur naak mein pani dalney se ghusal ho jaey ga? pani ki kami bhi na ho aur waqat bhi ho, uss k bawajood bhi agar koi sirf wuzu k sirf 4 faraiz se wuzu karta hai to koi gunnah to nahi?
  16. unknown

    namaz ki niyat

    jab koi farz namaz partey hain to niyat mein yeh kehna zaroori hota hai ke ''AAJ KI FALAH NAMAZ'' ya phir itna keh lena kafi hota keh, main niyat karta hoon 4 rakat farz namaz-e-zuhar parni khaal allah tallah waste mou mera khana kaba sharif ki taraf ?
  17. unknown

    wuzu aur ghusal ke faraiz

    1-) Wuzu k 4 faraiz hotey hain, jo k yeh hain; http://www.lookpic.com/files/2222222222.jpg agar ek martaba chehra do lia jaey, ek martaba dono haath koonion tak, ek martaba masah aur ek martaba dono paaon dho liey jaeyen to aissa karne ke baad namaz pard saktey hain? in 4 faraiz k mutabiq na to kuli hai na hi naak mein pani dalna hai aur na hi azoo ko 3, 3 bar dhona hai, iss liey mera yeh sawal tha wuzu k barey mein. 2-) Aissey hi ghusal k 3 faraiz hai jo k yeh hain:http://www.lookpic.com/files/11111111.jpg agar ek martaba kuli ki jaey, ek martaba naak mein pani dal kar saaf kiya jaey aur ek martaba sarey badan ko gila kar diya jaey to kya is se ghusal ho gya?
  18. yeh to bohat hi badi baat keh di aapne raza saab. darasal wahan par koi bhi fix imam nahi rakha ja sakta fund ki kami ki wajah se, aur wahan par am tor par arbi log hi atey hai jo ke imamat karate hain, aur kabhi to un ke ilawa aur koi nahi hota imamat k liye. aur merey sunaney mein yeh bhi aya hai ke wo salafi hain. baraey meherabni zara mazeed roshni daliey aur agar mumkin ho sakey to imamat k kya faraiz hai wo bhi kissi fatwey ya hadees ke liaz se bata dijiey. shukrya!
  19. aslamo alekum! aap to ham ha gussa ho rahey hain, masla bohat hi simple hai, agar aap ko lagta hai ke aap sahi hain, to aap ko jawab dene k liey pakistan janaey ki kya zaroorat hai. aap seedey seedey sag-e-atar ke sawalon ke jawab de dijiey, agar ap apne aap ko sahi keh rahey hain to yaqeeqan is ke peechey koi to wajah ho gi na, koi to aissa saboot ho ga na aap ke paas jis se aap apne aap ko sahi keh rahey hain. aap ke kehne ka kahin yeh matlib to nahi ke saboot pak mein hi hota hai bahir nahi? tasveeron ko dekhney se kuch khaas pata nahi chalta ke kiss ka kya aqeeda hai. lehaza aap naraz mat hoey, gussa mat hoey. aap ke paas koi thoos baat hai kehne ki to zahir kijiey warnA bilawaja kissi ko galith kehna bhi sahi nahi hai.
  20. kya is darood ko pardney ke baad Salalaho alehe wasalam kehna chahiey ya nahi? kyon ke is darood ke akhir mein word (Muhammad)Salalaho alehe wasalam likha hua hai.
  21. unknown

    imamat kissey karani chahiey?

    Hadees sharif ke mutabiq namaz parte waqat, na to kahin se kapdey fold honey chahiey, sar par topi bhi honi chahiey, paaon ke darmian taqreeban 4 unglion ka fasla bhi hona chahiey ya phir 1 foot se zayada nahin aur daddi bhi ek muthi se zayada honi chahiey. ek shaks jis musaley mein namaz parney jata hai wahan par imamat aksar wo log karatey hain jin ki aksar daddi ek muthi se kam hoti hai sar pe topi nahi hoti, ya phir kapdey kahin se fold hotey hai ya phir paoon de darmian 1, 2 foot ka fasla hota hai. agar koi aissa shaks imamat karaey jiss mein in 4 mein 2 ya 2 se zayada khamian hon, to kya us ke peechey namaz parni chahiey?
×
×
  • Create New...