Jump to content

unknown

اراکین
  • کل پوسٹس

    84
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ unknown نے پوسٹ کیا

  1. Aslamo Alekum! bohat hi umda bataein zahir ki aap ne Sag-e-Attar saab! jo log chishti saab ki video's link mein they, kya pata wo khud hi ahl-e-sunnat mein se na hon, aur isi liey shaed dr.tahir ko support kar rahey ho, aur waissey bhi kisi ko dekh kar to nahi na kaha ja sakta ke wo waqaiey mein sacha sunni hain ya nahi. i mean maybe he is deobani, barelvi etc... beher hal, mujhe umeed hai ke bohat se logon ki Sag-e-Attar saab ke beaan ke mutabiq sulha ho gai ho gi. bas ek meri aur confusion bhi door kar dijiey ga apne meethey meethey alfaz se Sag-e-Attar saab! sahi baat hai ek muthi se daddi (bear) kum nahi honi chahiey, agar dr.tahi saab ki ek muthi se kam hai to mumkin hai ke wo zayada rakhna chahtey hon magar qudarti tor se un ki choti ho. jaissey k yahan par Shaikh ul Islam ki hai: http://www.youtube.com/watch?v=nknNsNxnDRA
  2. lekin wo to Hazrat Gauss al Azam razi allah talah un ho ke Mureed hain, aur hazrat gauss pak razi allah talah un ho to sunni they yaqeenan. aur 2007 mein jab eid ul milad nabi salalaho alehey wasalam aya tha, to dr.tahir qadri ke bean k doran chand ke neechey muhammad salalaho alehey wasalam badlon ke zariey likha gya tha. aur to aur masjide aqsa ke jo imam hain wo bhi dr.tahir qadri ke mureed hain. inshallah mein ap ki di hui link visit karoga.
  3. unknown

    Dr.Tahir Ul Qadri is sunni or shia?

    Dr.Tahir Ul Qadri is sunni or shia? i watch many of his video on google video, but i m confused, what he want to say by these video's. can somebody tell me please? http://video.google.com/videoplay?docid=81...82557&hl=fr http://video.google.com/videoplay?docid=65....tahir+ul+qadri
  4. mujhe nijasat ke barey mein maloom karna hai, main ek kitaab mein yeh pard raha tha lekin kuch zayada samajh nahi aei, to maine socha ke ap se share kar k pata ka loon. ab nijasat -e- galeeza ka wazan kaisseykiya ja sakta hai. ab kapdon pe nijasat -e- galeeza lagi ho to wazan kaissey karenge? http://i33.tinypic.com/jic028.jpg http://www.nafseislam.com/en/Literature/Ur...an/complete.pdf
  5. yahan ek Balshat se kya murad hai? http://www.dawateislami.net/services/askim...97&scatid=1
  6. unknown

    kapdon ki paki aur napaki

    main bohat confus hoon kapdon ki paki aur napaki ke barey mein. pehli baat to yeh hai k istanja karte waqat agar kapdey is gol cercle se lag kar kahin se giley ho jatey hain to wo napak ho gaey ya nahi? http://www.lookpic.com/files/low_flow_toilet.jpg doosra agar koi mujhe yeh bata de keh kapdey kin kin cheezon se ya phir kaissey napak hotey hain, to kya hi baat hai. teesra istanja karne k baad agar koi chotey pechab k qatrey kapdon par lag jatey hain aur aap ko pata nahi to kya kapdey napak ho gaey? agar jawab jaldi mil jaey to main apni islah jaldi kar sakon ga. bohat shukrya!
  7. maine zayada to nahi janta lekin merey khial se nawafil khud hi pardney hongey, kyon k niyat bhi aapne khud parney ki ki thi aur waissey bhi kaam bhi to aap hi ka hua hai. to merey khial se aap khud hi allah ka shukar karein to behter hai. aur sirf 10 nafal hi to hain zayada to nahi. aam to pe namazon mein 2, 2 nafal hi hotey hain. aap 2,2 kar k pardey ya 4, 4 kar k . parney to phir bhi 10 hi hain. 2, 2 kar k pardey gey to zayada bar niyat karni hogi aur is se zayada sawaab mileyga. inshallah.. maine kuch galith kaha ho to meri islah karwa dijiey ga!
  8. bohata shukriya raza saab! jee han maine bhi kuch aissa hi pada tha ke 4 unglion ka fasla hona chahiey. kya dono haathon ki 4, 4 unglion fasla hona chahiey ya sirf ek haath ki? agar hum sirf 4 unglion ka fasla rakhen ge to ek namazi ke paaon doosrey namazi k paaon se nahi mill paeyn ge jis ki wajah se shaitaan paaon ke zariey a k kharda ho jaey ga. kya koi mujhe aissi koi authenticated hadees (hanfi) bata sakta hai paaon k fasley k barey mein? aap logon k zariey mujhe bohat maloomat hasil hoti hai. god bless we all, ameen
  9. Jab imam saab ke peeche koi farz namaaz partey hain to dono paaon ke darmiaan kitna fasla hona chahiey sunnat ke mutabiq? kissi ka kehna hai k, namaz k doran paaon shoulder k barabar honey chahiey,(yani k jitna fasla dono baazooun k darmiaan hota hai utna hi fasla dono paaon k darmian hona chahiey) ta k shaitaan na to paaon ki taraf se ah sakey na hi shoulder ki tarf se. yani k do namazieon ke paaon ek doosrey namazi ke saath miley honey chahiey partey waqat dono paaon ke darmiaan.
×
×
  • Create New...