Jump to content

absalam

اراکین
  • کل پوسٹس

    4
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About absalam

Previous Fields

  • فقہ
    Shia

absalam's Achievements

Newbie

Newbie (1/14)

  • First Post
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Ye shirk nahin bol raha, bulke aap Ayat-e-Qurani ka inkar kar kye is ke murtakib ho raye hain janab Asif Attari Sahib kahan gaya aap ka ilm un ko bata to dain ke Aye Qurani ke mutabiq "Allah ne ye Zameen-o-Aasman banaye aur khur Arsh per mustavi hua" (ayat number abhi mujhye yaad nahi) lakin donga zaroor (Bashart ke reply se block nahin kia gaya) ap ye bhi dakhyain Hazrat Abdul Qadir Jeelani (Rah) Ghuniatut Talebeen main raqamtraz hain, " Allahtaa'la buland aur Arsh per mustavi hai, sara jahan us ke ahata-e-qudrat main aur her cheez us ke ilm ke dairye (Circle) main hai" (page 52, Vol 1) Ab kia kahyingye kon kia bol raha hai?? neez (page 56 vol 1) per farmatye hain ke " Wo Allah is baat se munazza hai ke usye makhlooq se tashbih di jaye, is ke ilm se koi jagha khali nahin hai, Allah ki ye sifat biyan karna ke "wo har jagha per hazir hai" jayez nahin bulkye us ke barye main youn kaha jaye wo (Allah) Arash per mustavi hai, jesa ke Allah ne khud fermaya hai, "Rahman to Arsh per mustavi hai" aur dosri jagha irshad hai " phir Rahman Arsh per mustavi hoa", aik aur jagha irshad-e-Rabbani hai " isi ki taraf pakiza kalimat charhtye hai aur naik aamal in ko buland kertye hain" isi tarha Rasool Akram nye us londi (Ghulam) ke barye main kaha ye musalman hai jis se poocha gaya ke "Allah kahan hai" to us ne jawaba main Aasman ki taraf ishara kia" kia khaingye aap Hazrat Abdul Qadir Jeelani (Rah) ko???????? BAQI RAHA RAFA YADIAN KA MAS-ALA TO JESA KE MAIN KEH CHUKA HON KE RAFA YADAIN KE BAGHAIR NAMAZ HO JATI HAI to phir is ko chernye se kia faida ??????
  2. Janab ghaib nahin hoye, bul ke pehlye t net work problem rahi, baad main ye bhi pata chala ke kuch reply kernye se aur upload kernye se rok diya giya hai Najd ke barye main jo kuch likha is se pehlye ye to maloom ker legiye ke "Najd" tadaad (number of Najd) kitnye hain? Allama Zubaidi (Rah) Tajul-Uroos Shrah Qamoos ke Page 511 Vol 2 main aur Allama Hamvi Muajm alabdan main Page 265 Vol 19) main raqamtraz hain ke Najood ke Tadaat mundarja zail hai 1) Najd-ul-Waz, 2) Najd-e-Ja', 3) Najd-e-Barq, 4) Najd-e-Khal, 5) Najd-Ush-Shra', 6) Najd-e-azar (Adar), 7) Najd-ul-Aqab, 8) Najd-e-Kabkab, 9), Najd-e-Marie', 10)Majd-ul-Yaman, 11) Najd-ul-Iraq, 12)Najd-ul-Hijaz Mdina ke mashriq main Najd-ul-Hijaz ke sath Jand-ul-Iraq bhi hai, Najd-e-Iraq ka zikr (Fitno ke peda honye, shetan ke qurn ke nikalnye) (Kanzul Amal, Page 177 Vol 14 Alhadith 38273) aur Abdullah bin Umer se marvi (Kanzul Amal, Page 177 Vol 14 Alhadith 38228) hai jub ke Banu Tamim ki azmat Hazrat Abu Huraira se marvi is hadith main sabith hai, ke ""main banu tamim se us waqt se Mohabbat karnye laga jab main ne Hazoor Akram se un ke bary main teen batain suni, 1) Meri ummat ke Dajjalon ke liye ummat main Banu Tamim sab se ziyadao shadid hongye, 2) Banu Tamim ke aik aurat Hazrat Ayesha ke pass qaid this Huzoor Akram ne use azad karnye ko kaha aur kha ke Banu Tamim Hazrat Ismail ke aulad main se hain, 3) Banu Tamim ke Zakat ayee to Huzoor Akram ne kaha meri qom ke Zakat ayee hai (Bukhari page 266, Vol 2, Muslim page 307, vol 2) is ke ilawa Huzoor Akram ne aik najdi shakhs ko jannat ki basharat di (Bukhari page 11, vol 1, Muslim page 30 vol 1 (Bahawale Mishkawt page 13)) Ravi hain Hazrat Talha Zara thandy dill se ghor karain
  3. Janab ye kuch aap ki Khidmat main pesh karna chahta hon, braye meharbani thandye dil se mutalia kerain and sochain
×
×
  • Create New...