JazakAllah, I really needed that. Below is the transliteration of the Naat. Also if you go to the link provided (below) there is a translation available in English.
woh su’ey laalah zaar phirtey haiN
tere din ay bahaar phirtey haiN
jo terey dar se yaar phirtey haiN
dar ba dar yuN hi khaar phirtey haiN
aah kal `aysh to kiye hum ne
aaj woh be qaraar phirtey haiN
un ke eemaa sey donoN baagoN par
khayl e layl o nahaar phirtey haiN
har charaaghe mazaar par qudsee
kaysa parwaanah waar phirtey haiN
us gali kaa gadaa huN maiN jis meiN
maangtey taajdaar phirtey haiN
jaan haiN jaan kyaa nazar aaye
kyuN `adu gird e ghaar phirtey haiN
phuul kyaa dekhuN meri aankhoN meiN
dasht e taybah ke khaar phirtey haiN
laakhoN qudsi haiN kaam e khidmat par
laakhoN gird e mazaar phirtey haiN
wardiyaN boltey haiN har kaarey
pahra detey sawaar phirtey haiN
rakhiye jaise haiN khaana zaad haiN hum
mol ke `ayb daar phirtey haiN
haay ghaafil woh kyaa jagaah hai jahaaN
paanch jaatey haiN chaar phirtey haiN
bayeN rastey na jaa musaafir sun
maal ke raah maar phirtey haiN
jaag sun saan ban hai raat aayee
gurg bahr e shikaar phirtey haiN
nafs ye koyi chaal hai zaalim
jayse khaaSey bijaar phirtey haiN
koyi kyuN puuche teri baat razaa
tujh se shaydaa hazaar phirtey haiN
http://www.sunniport.com/masabih/showthread.php?t=1057