piari sisters main yahan pai aik new topic start kar rahi hoon jis main hum hamaray muashray main phaili hoye fizool aur jahilana baaton ki nishandahi karain gai aur un pai disscuss karain gai aur QURAN uar SUNNAT kai mutabik un ka jawab bhi dain gay
hamaray is section main sab log genaral topic pai baat karain gay agar kisi nai koi private topic ki baat karna ya poochni ho to woh bahan privacy section main ja kar same isi name kai topic main pooch sakti hai yaani same isi name ka topic hum general section main aur private section main start karain gay takah jahan privacy ka topic ho sisters wahan ja kar baat karain . is general section main brothers bhi participate kar aktay hain
main sab sai pahlai is baat ki nishdahi karongi jo aksar suunain main ati hai yaani newly married dulhan black colour ka libaas na pahnnay
hamaray muashray main kuch khawateen ka kahna hai kah kala libaas nahoosat hai aur newly married dulhan ko to bilkul nahin pahnna chaiye
kionkah black libaas soog ki nishani hai
aap sab members ka is baray main kia khial hai ???